Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO


    tumhain maloom hai kay ham ne
    ksi kay hijr main yeh zindagi guzari hai
    her ik khushboo ki aahat per
    gumaa'n ous ka guzarta tha
    her ik saa'at main dil, aankh'oan main a ker beth jata tha
    kaee pehloo badalti khwahish'ain haath'oan ko phela'ay
    dua'ain mangti aur haampti
    dil say guzarti thein
    mgr ji hijr laa'heq hai
    woh jism-o-jaan ki dewaar'ain girata hai
    umme-o-beam ki aankh'oan say judaii kay saaray manzar'oan ko
    khaak kerta aur mitaata hai
    so ham bhi khaak hain
    aur khaak ki taqdeer main likha hai
    be'amaan rehna...!!!

    Comment


    • #17
      Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

      assalamo aliakum.
      main bhi entry maaroonga.:dance2:
      Last edited by ASK Afridi; 16 June 2008, 13:27.

      Comment


      • #18
        Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

        :roseyeh lijiye jannab hamaree entry:rose

        1




        2


        3


        4


        5

        Comment


        • #19
          Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

          Here's my entry :lpop:


          1.



          Click image for larger version

Name:	Khushbu.jpg
Views:	2
Size:	27.2 KB
ID:	2389837



          2.


          Click image for larger version

Name:	khushbu 1.JPG
Views:	1
Size:	27.6 KB
ID:	2389838

          3.


          Click image for larger version

Name:	Khushbu2.gif
Views:	1
Size:	5.8 KB
ID:	2389839



          4.


          Click image for larger version

Name:	Khushbu%20men%20mehkay%20jao.gif
Views:	1
Size:	19.3 KB
ID:	2389849


          5.


          Click image for larger version

Name:	Vo_to_kushno_hai.gif
Views:	1
Size:	19.5 KB
ID:	2389850
          Last edited by Mr.Khan; 24 June 2008, 21:25.

          Comment


          • #20
            Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

            Originally posted by Mr.Khan View Post
            Here's my entry :lpop:


            1.






            2.



            3.




            First three to hum already share kar chukay hain Maaz:lpop:
            sigpic

            Comment


            • #21
              Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

              vv nice

              Comment


              • #22
                Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

                mujhay dil mila mujhay ghum mila mujhay pojnay ko sanam mila
                mujhay kia jahan main kam mila ju na mil saka woh qarar tha

                Comment


                • #23
                  Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

                  walaikum Salam,
                  aur Assalam-o-alaikum,



                  ...kitni Khuwhish Hai ...

                  kitni Khuwahish Hai Ke Ek Shakhs

                  mujhe Tarjuma Kare

                  itne Haseen Lafzon Mein

                  ke Meri Zaat Ka Har Ek Rang

                  phool Ban Ke Khil Jaye

                  aur Is Phool Ki khushbo

                  mehromiyon Ke Jangal Se

                  murda Jazbon Ki Kauhna Baas Ko

                  kahin Door Le Jaye

                  kitni Khuwahish Hai

                  *************************

                  tamaam Log Akele The, Rehber Hi Na Tha
                  Bicharne Walo Mein Ik Mera Hamsafer Hi Na Tha

                  barhana Shakho Ka Jangal Garra Tha Ankhon Mein
                  Wo Raat Thi Ke Kahin Chand Ka Guzar Hi Na Tha

                  tumhare Sheher Ki Har Chao'n Meherban Thi Mager
                  Jahan Pe Dhoop Kari Thi Wahan Shajar Hi Na Tha

                  samait Leti Shakista Gulaab Ki khushbo
                  hawa Ke Haath Mein Aisa Koi Hunar Hi Na Tha

                  mein Itne Saanpo Ko Raste Mein Dekh Aai Thi
                  Ke Tere Sheher Mein Pohonchi To Koi Dar Hi Na Tha

                  kahan Se Aati Kiran Zindagi Ke Zindan Mein
                  Wo Ghar Mila Tha Mujhe Jis Mein Koi Dar Hi Na Tha

                  badan Mein Phail Gaya Surkh Bail Ki Manind
                  Wo Zakham Sookhta Kya, Jiska Charagar Hi Na Tha

                  hawa Ke Laye Hue Beech Phir Hawa Ko Gaye
                  Khile The Phool Kuch Aise Ke Jin Mein Zar Hi Na Tha

                  qadam To Rait Pe Sahil Ne Bhi Na Rakhne Diya
                  Badan Ko Jakre Hue Sirf Ek Bhawar Hi Na Tha

                  *************************

                  ...hum Safer...

                  tumhara Naam Kuch Aise Mere Honton Pe Khilta Hai
                  Andheri Raat Mein Jaise
                  Achanak Chand Badal Ke Kisi Kone Se Bahir Jhankta Hai
                  Aur Sare Manzer Mein Roshni Si Phail Jati Hai
                  Kali Jaise, Larrasti Aoos Ke Katre Pehen Ker Muskurati Hai
                  Badalti Rut, Kisi Manoos Si Aahat Ki Daali Le Ke Chalti Hai
                  Tu khushbo Baag Ki Dewaar Se Roke Nahi Rukti
                  Issi khushbo ke Dhage Se Mera Har Chaak Silta Hai
                  Tumhare Naa Ka Tara Meri Sanso Mein Khilta Hai

                  tumhein Mein Dekhta Hoon Jab Safer Ki Shaam Se Pehle
                  Kisi Uljhi Hui Gumnaam Su Chinta Ke Jadoo Mein!
                  Kisi Soche Hue Be Naam Se Lamhe Ki khushbo Mein!
                  Kisi Mousam Ke Daman Mein, Kisi Khuwahish Ke Pehlo Mein!
                  Tu Is Khushrang Manzer Mein Tumhari Yaad Ka Raasta
                  Na Jane Kis Taraf Se Phoot'ta Hai
                  Aur Phir Aise Meri Har Rah Ke Hamrah Chalta Hai
                  Ke Ankhon Mein Sitaro'n Ki Guzargahein Si Banti Hain
                  Dhanak Ki Kehkashaein Si
                  Tumhare Naam Ke In Khush Numa Hurfoon Mein Dhalti Hain
                  Ke Jin Ke Lams Se Honton Pe Jugno Raks Kerte Hain
                  Tumhare Khuwab Ka Rishta Meri Neendo'n Se Milta Hai
                  Tu Dil Aabaad Hota Hai
                  Mera Har Chaak Silta Hai
                  Tumhare Naam Ka Tara Meri Raaton Mein Khilta Hai

                  *************************

                  hijir Ki Shab Mein Kaid Kare Ya Subah Wisaal Mein Rakhe
                  Acha Moula! Teri Marzi Tu Jis Haal Mein Rakhe

                  khail Ye Kaisa Khail Rahi Hai Dil Se Teri Mohobbat
                  Ek Pal Ki Sarshari De Aur Dino Malaal Mein Rakhe

                  mein Ne Sari Khushbo'ein Anchal Se Bhandh Ke Rakhin
                  Shayed In Ka Zikar Tu Apne Kisi Sawal Mein Rakhe

                  kis Se Tere Ane Ki Sargoshi Ko Sunte Hi
                  Mein Ne Kitne Phool Chune Aur Apni Shaal Mein Rakhe

                  mushkil Ban Ke Toot Pari Hai Dil Peye Tanhai
                  Ab Jane Ye Kab Tak Isko Apne Jaal Mein Rakhe

                  *************************

                  ...mera Ehsaas Mat Cheeno...

                  wo Jazbe Cheen Lo Mujhse
                  Jo Mere Ang, Meri Ruh, Mere Dil Mein Baste Hain
                  Jinhein Khud Mein Samone Ke Liye Seene Taraste Hain
                  Wo Lamhe Cheen Lo Mujhse
                  Jo Mere Zehen Ki Tarikiyon Mein Shama Roshan Hai
                  Meri Khalwat Ki khushbo Hai, Meri Yaadon Ke Gulshan Hain
                  Wo Chehre Cheen Lo Mujhse
                  Jo Khal-o-khad Nahi Aaiene Hain Meri Seerat Ke
                  Jo Har Pehlo Se Aks-e-sofashan Hain Meri Surat Ke
                  Wo Rishte Cheen Lo Mujhse
                  Jo Mere Zehen-o-dil Mein Roshni Ke Beech Bote Hain
                  Jo Rag Rag Mein Lahu Ki Chaap Se Mansoob Hote Hain
                  Wo Ankhein Cheen Lo Mujhse
                  Jo Meri Rooh Ka Noha Hain, Meri Zaat Ka Lehja
                  Jahan Dhalta Haiaaienon Mein Ehsasaat Ka Lehja
                  Wo Sapne Cheen Lo Mujhse
                  Jo In Veraan Ankhon Mein Abhi Tak Jagmagate Hain
                  Abhi Tak Saans Lete Hai, Abhi Tak Mukurate Hain
                  Ye Sab Kuch Cheen Lo Mujhse
                  Mager Ae Zalimo! Mujhse Mera Ehsaas Mat Cheeno
                  Talab Ki Aas Mat Cheeno
                  Jo Mere Zabt Ki Pehchan Hai Wo Piyaas Mat Cheeno
                  Mera Ehsaas Mat Cheeno!
                  Mera Ehsaas Mat Cheeno!
                  Last edited by Ainy Guriya; 26 June 2008, 18:30.

                  Comment


                  • #24
                    Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

                    Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
                    First three to hum already share kar chukay hain Maaz:lpop:
                    :(
                    ye to garbar ho gaii

                    Comment


                    • #25
                      Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

                      Originally posted by Mr.Khan View Post
                      :(
                      ye to garbar ho gaii
                      to ab is garbarr ka kya kiya jaey

                      achha chalein , koi nahin chalta hay humnay koi win karnay k liey to share kiey nahin ..yunhee bas kar diey ..khair hay
                      sigpic

                      Comment


                      • #26
                        Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

                        Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
                        to ab is garbarr ka kya kiya jaey

                        achha chalein , koi nahin chalta hay humnay koi win karnay k liey to share kiey nahin ..yunhee bas kar diey ..khair hay
                        Nahi janab jis ne pehle share kiye usi ka haq banta hai :thmbup:

                        mod sahab meri 1st 3 entries ko move kar diye ga

                        mai apni 2 entries k saath hi participate karta hon :)

                        Comment


                        • #27
                          Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

                          Originally posted by Mr.Khan View Post
                          Nahi janab jis ne pehle share kiye usi ka haq banta hai :thmbup:

                          mod sahab meri 1st 3 entries ko move kar diye ga

                          mai apni 2 entries k saath hi participate karta hon :)
                          As U Wish ...:)

                          Per agar delete na bhi kiey jaen to hamein koi aiteraz nahin hay
                          sigpic

                          Comment


                          • #28
                            Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

                            Polling bhi start karwa den plzzzz

                            Comment


                            • #29
                              Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

                              Assalam alikum
                              ab pick the best one out kesey karin jab sab ki hi entries achi hain

                              best of luck to every one:thmbup:

                              Comment


                              • #30
                                Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

                                Voted.............
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X