Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

    Salam ahl-e-bazm
    Is Maah Ka Lafz hai KHUSHBOO tha!

    Mashallah kaafi logon ne is baar participate kiya aur woh bhi ek se barhkar ek intekhab ke saath ..ab poliing ka waqt aa gaya hai...sorry for the delay... polling ek hafte baad(7th july) band ho jaayegi...aap sab se guzarish hai ke jam kar vote karein aur deserving participant ko jeetaayein...shukriya :rose

    aur han Koi Bhi Member Khud Ko Vote Nahin Kar Sakta Aisa Karne Ki Surat Mein Vote Count Nahin Ho Ga !


    15
    musaddaq
    66.67%
    10
    rida
    6.67%
    1
    Eshaa Chaudhry
    13.33%
    2
    -aa-
    0.00%
    0
    ASK
    0.00%
    0
    Mr. Khan
    6.67%
    1
    life
    0.00%
    0
    ANEY
    6.67%
    1

    The poll is expired.

    Last edited by shummu; 1 July 2008, 11:48.

  • #2
    Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

    (1)
    Socha nahi acha bura dekha suna kuch bhi nahi
    manga khuda se raat din teray siwa kuch bhi nahi

    Socha tujhay ,dekha tujhay,chaha tujhay, pooja tujhay
    meri khata, meri wafa ,teri khata kuch bhi nahi

    Jis per humari aankh ne moti bichaiay raat bhar
    bheja wohi kaghaz usay hum ne likha kuch bhi nahi

    Aik shaam k saaiay talay bethay rahay woh der tak
    aankhon se ki batain bahut muun se kaha kuch bhi nahi

    Ahsas ki khusboo kahan awaaz k jugnoo kahan
    khamosh yaadon k siwa ghar main raha kuch bhi nahi

    Do char din ki baat hai dil khak main mil jaiay ga
    jab aag per kaghaz rakha baqi bacha kuch bhi nahi
    ---------------------------------------------------------------------
    (2)
    meri zindagi kay kisi bab say kabhi roshni ka guzar na ho
    koi khusbooun ka safar na ho..
    chahay khiza ho k bahar ho
    mere dil ko na hi karar ho
    mujay roshni ka aser na ho..
    par ay Khuda!!!..ay mere Khuda!!
    meri hai ek ilteja..
    wo jo kabhi tuj se dua karay..
    wo jo mera dost hai..ajeeb sa
    tu To itna usse ata karay
    phir na mangnay ko dua rahay
    kay khushiyan itni naseeb hoon..
    kabhi ghum na us k qareeb ho
    phir jism-o-jan kay chiragh ko
    Tu chandni ka uoon noor de..kay
    us kay hootoon ki hansi..
    us ki ankhoon ki chamak
    us ki chori ki kahnak
    aur wo bhi jo buhut kam nazar ati hai..
    us ki bali ki jhalak
    chahay main dekhnay ko rahoon ya na rahoon
    sub salamat rahay
    ta qayamat rahay
    -----------------------------------------------------------------------
    (3)
    To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?


    Kisi Ghulaab ki Khushboo k bikharne per b
    Zara se Aab ke Aankhon mai utarne per b
    Kitaab uthate hoye, Geet koi Gatey hoye
    Sanwar k dair talak Aainey ko takte hoye!


    To kya Tumhain Mai kabhi Yaad hi nahi aaya?

    Subha ko uthtay hoye, Shaam ko Tehlte hoye
    Neend na aaye agar Karwatein badalte hoye
    Kabhi yun hi kisi Makhsoos Dhun ko sunte hoye
    Faarig Auqaat mai koi Kitaab parhte hoye!

    To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?

    Baraste Abr mai Chhat per kabhi Khare ho ker
    Kisi ke Rooth ke Jaane per Chirchiray ho ker
    Kisi Saheli se bus yun hi Baat karte hoye
    Kisi Khayal mai Bethe se uth ke chalte hoye
    Kisi bhi Raat ko uth ker yun hi Tehlte hoye!

    To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?

    Akele yun hi kabhi apni Dhun main chlate hoye
    Kisi ki Saalgira per yun hi behlte hoye
    Kisi unchayi pe Tanha sambhal ke charte hoye
    Utarte Chaand ka Mojon mai Aks parte hoye!

    To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?

    Kisi Gulaab ko Tehni se Torr ker bhi nahi??
    Kisi Darakht ke Saaye mai beth ker bhi nahi??
    Apne Darwaze pe Dastak koi Sun ker bhi nahi??
    Kisi Dareecha-e-Makaan se Khaank ker bhi nahi??

    Apni Kitab mai koi Naam dekh ker bhi nahi??
    Yaad-e-Maazi mai kahin Door Doob ker bhi nahi??
    Kisi bhi Shakhs ko Khamosh dekh ker bhi nahi??
    Kisi bhi Aankh ko Namm dekh ker bhi nahi??
    Kahin Lafzon mai koi Aah dekh kar bhi nahi?
    Azaan hoye hi Duaaon mai bhi nahi??

    To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?

    ----------------------------------------------------------------------
    (4)
    Zakhm-e-Tanhai Main Khushboo-e-Hina Kiski Thi
    Saya Deewar Pey Mera Tha Sada Kiski Thi


    Ansuon Se Hi Sahi Bhar Gaya Daaman Mera
    Haath To Maine Uthaye They Dua Kiski Thi

    Meri Aahoun Ki Zubaan Koi Samjhata Kaisey
    Zindagi Itni Dukhi Mere Siva Kiski Thi

    Chor Di Kiskey Liye Tunay sari Duniya
    zustaju Si Tujhey Har Waqt Bata Kiski Thi

    Uski Raftaar Main Lipti Rahi Meri Ankhaein
    Usney Mur Kar Bhi Na Dekha Wafa Kiski Thi

    Aag Say Dosti Us ki Thi Jala Ghar Mera
    De Gaye Kis Ko Saza Aur Khata Kiski Thi
    -----------------------------------------------------------------------
    (5)
    ABHI BHOOLNAY MAIN WAQT LAGAY GA
    ABHI BHOOLNAY MAIN ZAMANAY LAGAIN GAY
    ABHI TOU KITABON MAIN GULAB HAIN TAAZA
    GYE UNN DINNON KAY AZAB HAIN TAAZA
    ABHI ROSHNI KAY WOH SAAYE HAIN ZINDA
    ABHI ZAKHMI CHAHAT KI GOONJAIN HAIN ZINDA
    ABHI BHOOLNAY MAIN WAQT LAGAY GA
    ABHI BHOOLNAY MAIN ZAMANAY LAGAIN GAY
    ABHI AASMAN KA RANG WOHI HAI,,,,,,,
    ABHI PARBATON PAY DHUND WOHI HAI
    ABHI USS KI SORAT HAI AANKHON MAIN ZINDA,,,,,
    ABHI USS KI CHAHAT HAI KHOABON MAIN ZINDA,,,
    ABHI BHOOLNAY MAIN WAQT LAGAY GA,,,,
    ABHI BHOOLNAY MAIN AMANAY LAGAIN GAY.,,
    ABHI MOSAMON KA TAGHAYYOR WOHI HAI
    ABHI UNN FIZAON MAIN KHUSHBO WOHI HAI
    ABHI DILL MAIN USS KI MOHABBAT BASI HAI
    ABHI AANKH MAIN USS KI SOORAT SAJI HAI
    ABHI BHOOLNAY MAIN WAQT LAGAY GA
    ABHI BHOOLNAY MAIN ZAMANAY LAGAIN GAY

    Last edited by musaddaq; 4 June 2008, 05:52.

    Comment


    • #3
      Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

      main kuch na kahoN aur yeh chahoN keh mairi baat
      khushbo ki tarah urr kay tere dil mein uatr jai


      @@@@@@@@@@@


      chandni raat k hathon pay sawar utri hai
      koi khushboo meri delhiz k paar utri hai

      is main kuch rang bhi hain khuwab bhi mehkar bhi hai
      jhilmilati hui khawish bhi inkaar bhi hai

      isi khushboo main kayi dard bhi afsanay bhi
      isi khushboo nay banaye kayi dewanay bhi

      meray anchal pay umeedon ki qitar utri hai
      koi khushboo meri delhiz k paar utri hai

      isi khushboo say kisi yaad k der khultay hain
      meray pairon say jo liptay to safar khultay hain

      yahi khushboo jo mujhey ghar say utha layi thi
      ab kisi tor palat ker nahi janay deti

      meri delhiz bulati hai mujhey loot aao
      yahi khushboo mujhey wapis nahi aanay deti

      ranj or dard main doobi bahar utri hai
      koi khushboo meri dehliz k paar utri hai


      @@@@@@@@


      kaghzi phool say khushbo kay khazanay mangay
      dil hai khush fehem behelnay ko bahanay mangay
      ham keh tabeer gaziida hain daray jatay hain
      aankh ka kia hai wohi khwaab poranay mangay

      @@@@@@@@@
      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment


      • #4
        Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO


        Asalam-o-Alikum



        Wa.Salaam
        Last edited by La'hasil; 1 June 2008, 09:56.
        Zindagi Thak Gaye ..!!

        Comment


        • #5
          Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

          Ahan, lijiey hum bhi aagaey

          participate karnay :dance2:




          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO


            (2)



            sigpic

            Comment


            • #7
              Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

              (3)



              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

                (4)













                (5)


                Last edited by Eshaa Chaudhry; 3 June 2008, 18:53.
                sigpic

                Comment


                • #9
                  Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

                  ummm nice

                  Comment


                  • #10
                    Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

                    Musaddaq or Eshaa .....aap dono ki entries ka jawaab nahi hai :thmbup:
                    Buhat umda or buhat aala intikhaab kya hai :rose.......awesome

                    Comment


                    • #11
                      Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

                      Originally posted by Mr.Khan View Post
                      Musaddaq or Eshaa .....aap dono ki entries ka jawaab nahi hai :thmbup:
                      Buhat umda or buhat aala intikhaab kya hai :rose.......awesome
                      Thanks Maaz :rose

                      hamara zauq to hay hee bht achha :blush:
                      sigpic

                      Comment


                      • #12
                        Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

                        koan kehta hai keh jadu nahein ber'haq koi
                        teri khushboo say mehek uth'ta hoan bethay bethay

                        Comment


                        • #13
                          Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

                          kis tarha sajatay ho
                          maslihat ki sham'oan main
                          mehfil'ain mohabbat ki
                          aur mohabbatain bhi woh
                          saal bhar mehek jin ki
                          dil ki sari galiyoan main
                          raqss kerti phirti hai

                          kis tarha jalatay ho
                          aandhi'yoan kay mausam main
                          tum deeay rafaaqat kay
                          tum jo pyar kee daulat
                          apnay dil kay haath'oan say
                          khushboo'oan ki baatoan say
                          is tarha luta'tay ho
                          jis tarha koi jugnoo
                          shab kay raig'zaar'oan per
                          roshni lutaata hai
                          tum jo habss mausam main
                          ik hawa ka jhonka ho
                          kis tarha sajtay ho
                          maslihat ki sham'oan main
                          mehfil'aon mohabbat ki
                          kuch hamain bhi batla'o
                          kuch hamain bhi sikha'o
                          ham to apnay sehra kay
                          be'nawa musafir hain
                          ham tumharay jazboan ki
                          naik si fiza'oan main
                          phool jesay geet'oan ki
                          raqs kerti khushboo kay
                          be'qarar shaa'ir hain...!

                          Comment


                          • #14
                            Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

                            ae sitaara-e-shab-e-zindagi!!!


                            wohi shaam, koher see shaam phir
                            teray naam ho to ghazal kahein
                            wohi shaam jis kee ragg'oan mein thay
                            teri khwaab aankh'oan kay ratt'jagay
                            wohi subha, dhoope kee laadli
                            teray aariz'oan pay khillay to phir
                            ragg-e-jaan say nazm kasheed ho
                            wohi samaa'atoan ka jaloose ho
                            wohi rang ho wohi roshni
                            wohi khushboo'oan ka hajoome ho!
                            wohi aik pal teri deed ka
                            jo millay to ashk damak uthain
                            jo bujhay hain daagh, chamak uthain
                            wohi aik pal teri deed ka
                            jo milay to dard kee oat mein
                            sabhi qehqahay say chalak uthain
                            serr-e-loh-e-shaam-e-firaaq phir
                            gham-e-ishq mauj-e-naveed ho
                            ae sitaara-e-shab-e-zindagi
                            idhar aa keh jashn ho moa'tabir
                            nazar aa keh dhangg sae eid ho!

                            Comment


                            • #15
                              Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO

                              mein nay daikha thaa oun din'oan mein ousay
                              jab woh khiltay gulaab jesa thaa
                              ous kee palkoan say neend chantii thee
                              ous ka lehjaa sharaab jesa thaa
                              ous kee zulfoan see bheegti thee ghataa
                              ous ka rukh maah'taab jesa thaa
                              loge perhtay thay khadd-o-khaal ous kay
                              woh adab kee kitaab jesa thaa
                              bolta thaa zubaan khushboo kee
                              loge suntay thay dharkan'oan mein ousay
                              mein nay daikha thaa oun din'oan mein ousay!

                              saari aankh'ain thein aa'inay ous kay
                              saaray chehroan mein intikhaab thaa woh
                              sab say ghul mil kay ajnabi rehna
                              aik dunya numa saraab thaa woh
                              khwaab yeh hai keh woh haqeeqat thaa
                              yeh haqeeqat hai, koi khwaab thaa woh
                              dil kee dharti pay aasmaan kee tarhaa
                              soorat-e-saaya-o-shaab thaa woh
                              apni neend'ain ousi kee nazar hoo'ein
                              mein nay paaya thaa ratt'jagoan mein ousay
                              mein nay daikha thaa oun din'oan mein ousay!

                              mein nay daikhaa thaa oun din'oan mein ousay
                              jab woh hans hans kay baat karta thaa
                              dil kay khaimay mein raat karta thaa
                              rang perhtay thay aanchal'oan mein ousay
                              mein nay daikha thaa oun din'oan mien ousay

                              yeh magar dair kee kahaani hai
                              yeh magar dard ka fasaana hai
                              ous kay meray milaap mein haa'il
                              ab to saddiyoan bhara zamaana hai
                              ab to youn hai keh haal apna bhi
                              dasht-e-hijraan kee shaam jesa hai
                              kia khabar in din'oan woh kesa hai
                              mein nay daikha thaa oun din'oan mein ousay!

                              Comment

                              Working...
                              X