Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )








    Ajnabi Shehar Ke Ajnabi Raaste

    Meri Tanhaayi Pe Muskurate Rahe

    Hum Bohot Dair Tak Yun Hi Chalte Rahe

    Tum Bohot Dair Tak Yaad Aati Rahi

    Zehar Milta Raha Zehar Peete Rahe

    Rauz Marte Rahe Rauz Jeete Rahe

    Zindagi Bhi Humein Aazmati Rahi

    Aur Hum Bhi Isay Aazmate Rahe

    Sakht Baarish Main Taiz Toofan Main

    Is Ne Pakra Mera Haath Aur Chor Diya

    Ajnabi Shehar Ke Ajnabi Raaste

    Meri Tanhayi Pe Muskurate Rahe






    Comment


    • #62
      Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )








      Dil De Chuke Hain Aap Ko Pehli Nazar Main

      Jee Na Sakein Ge Tere Bin Ik Pal Bhi Ab Sanam

      Deewar Koyi Hum Ko Juda Kar Na Paaye Gi

      Barh Kar Na Ab Rukein Ge Mohobbat Ke Ye Qadam

      Manzil Hamare Pyar Ki Nazdeek Aaa Gayi

      Ab Tere Mere Pyar Ki Khaate Hain Sub Kasam

      Sadiyon Ka Apna Pyar Hai Sadiyon Ka Saath Hai

      Ek Doosre Ke Liye Phir Lain Ge Hum Janam







      Comment


      • #63
        Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )








        Gairon Ki Baaton Ka Aakhir Aitabar Aaa Hi Gaya

        Meri Jaanib Se Tere Dil Main Gubaar Aaa Hi Gaya

        Jaanta Tha Khaa Rahi Hai Tu Jhooti Kasam

        Saadgi Dekho Ke Phir Bhi Aitabar Aaa Hi Gaya

        A Sitamgar Tu Nahin To Kiya Hum Mar Gaye

        Kuch Din Tarpe Phir Aakhir Qarar Aaa Hi Gaya

        Poochne Waalon Se Chupaaya Maine Dil Ka Haal

        Phir Bhi Tera Naam Lub Par Aa Hi Gaya

        Dil Main Tha Kabhi Is Se Na Bolein Ge

        Par Wo Jub Bhi Saamne Aayi Pyar Aaa Hi Gaya







        Comment


        • #64
          Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )

          wow Sajid bhai really beautiful

          Comment


          • #65
            Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )

            Bohot Bohot Shukriya Adnan Bhai

            Comment


            • #66
              Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )

              Sajid bro really nice collection

              Comment


              • #67
                Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )

















                Bachpan Ke Dukh Kitne Ache Hote Thay



                Tub Dil Nahin Sirf Khilone Toota Karte Thay



                Wo Khushiyaan Bhi Najaane Kaisi Khushiyaan Thi



                Titli Ke Par Noch Ke Uchla Karte Thay



                Paaoun Maar Ke Khud Baarish Ke Paani Main



                Khud Apni Kashti Dubooya Karte Thay



                Ab Sochein To Chot Si Parti Hai Dil Pe



                Rait Par Gharonde Bana Kar Khud Tora Karte Thay



                Chote Thay To Makr_O_Faraib Bhi Chote Thay



                Daana Daal Kar Chiriya Pakra Karte Thay



                Apne Jall Jaane Ka Afsos Bhi Na Tha Humein



                Jub Jalte Sholon Ko Tang Kiya Karte Thay



                Khushboo Ke Urte Hi Kyun Murjha Gaye Phool



                Kitne Bhole Pan Se Hum Poocha Karte Thay



                Aaj Bhi Wo Taabeerein Lahoo Lahoo Rulaati Hain



                Bachpan Main Jo Hum Sapne Dekha Karte Thay



                Ab To Ek Aansoo Bhi Ruswa Kar Jaata Hai



                Bachpan Main To Jee Bhar Ke Ro Liya Karte Thay

















                Last edited by Silent Tears Sajid; 6 April 2008, 14:47.

                Comment


                • #68
                  Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )

                  Agla Collection Bohot Jald Aaa Raha Hai INSHALLAH

                  Comment

                  Working...
                  X