Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )

    PRAY 4 ME










    A RAB Aaj Phir Se Ye Mojza Kar De

    Us Ki Chahat Ka Phir Se Silsila Kar De

    Qabooliyat Ki Wo Ghari Batla De Mujh Ko

    Main Jo Mangoon Mujh Ko Ataa Kar De

    Tujhe Waasta A KHUDA Tere Mehboob Ka

    Us Ke Dil Main Meri Jaga Kar De

    Dikha De Tu Rang Apni Qudrat Ka

    Tapte Sehra Ko Tu Behta Huya Darya Kar De

    Parhne Waale Se Hai Ye ILtija Sajid Ki

    Mere Haq Main Faqat Apni Dua Kar De







  • #2
    Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )







    Tu Jo Roye Gi To Meri Palkon Pe Nami Reh Jaaye Gi

    Zindagi Bus Naam Ki Zindagi Reh Jaaye Gi

    Tu Mujhe Chor Rahi Hai Ek Baar Phir Se Soch Le

    Main Chala Jaaoun Ga Aur Tu Dekhti Reh Jaaye Gi

    Ye Nahin Kehta Ke Tum Bin Jee Nahin Paaoun Ga

    Haan Meri Zindagi Main Ek Kami Reh Jaaye Gi

    Main To Tay Kar Ke Chala Jaaoun Ga Dunya Ka Safar

    Mere Baare Main Ye Dunya Sochti Reh Jaaye Gi

    Zindagi Main Sub Se Zyaada Maine Tujhe Chaha

    Main Agar Na Bhi Raha To Ye Shayiri Reh Jaaye Gi






    Comment


    • #3
      Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )

      zaberdast ! very nice

      keep shearing
      :)

      Comment


      • #4
        Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )




        Udaasiyon Ka Sabab Jo Likhna

        To Ye Bhi Likhna

        Ke Chand Taare Sub Badal Gaye Hain

        Wo Zinda Lamhe Jo Teri Raahon Main

        Tere Aane Ke Muntazir Thay

        Wo Thak Ke Saayon Main Dhal Gaye Hain

        Wo Teri Yaadein Khayal Tere Ranj Tere ILzaam Tere

        Wo Teri Aankhein Sawaal Tere

        Wo Tum Se Mere Tumaam Rishte Bichar Gaye Hain

        Udaasiyon Ka Sabab Jo Likhna

        To Ye Bhi Likhna

        In Honton Pe Na Mukkamal Hone Waali Duaon Ke Suraj

        Pighal Gaye Hain

        Ab Tumaam Sapne Hi Jall Gaye Hain


        Comment


        • #5
          Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )

          Thx Alot Sana :rose


          Originally posted by SANA NAZ View Post
          zaberdast ! very nice

          keep shearing :)

          Comment


          • #6
            Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )








            Agar Aisa Ho Jaaye

            Agar Tumhari Mohobbat Naakaam Ho Jaaye

            Subah Kar Ke Kisi Ki Dunya Main Tumhari Shaam Ho Jaaye

            Koyi Tumhari Jaan Le Ke Tumhari Jaan Ho Jaaye

            Ro Ro Kar Tumhara Dil Pareshan Ho Jaaye

            Kisi Ko Rulaane Ki Saza Aam Ho Jaaye

            Dil Churaane Ka Tum Par ILzaam Ho Jaaye

            Kismat Raaste Ki Deewar Ho Jaaye

            Jo Pyar Kare Wo Naadaan Ho Jaaye

            Ek Ek Pal Maah_O_Saal Ho Jaaye

            Tanhaayi Mehfil Main Bhi Hum Kalaam Ho Jaaye

            Kisi Se Mohobbat Ka Ikrar Sar_E_Aam Ho Jaaye

            Kisi Se Doori Mohobbat Ka Anjaam Ho Jaaye

            Kisi Ki Mohobbat Pe Jeewan Tumaan Ho Jaaye

            Dil Kisi Ke Dar Ka Ghulaam Ho Jaaye

            Samandar Pyaasa Ho Kar Nidhaal Ho Jaaye

            Mohobbat Mohobbat Na Rahe Maut Ka Paigaam Ho Jaaye

            Dil Kisi Ke Wajood Main Dunya Se Anjaan Ho Jaaye

            Kaatil Ban Jaaye Maseeha Dil Hairaan Reh Jaaye

            Saari Zindagi Ek Anjaan Ke Naam Ho Jaaye

            Mohobbat Main Har Gunaah Sawab Ho Jaaye

            Mohobbat Khud Hi Har Sawaal Ka Jawab Ho Jaaye

            Dil Ki Dharkan Kisi Ke Naam Ho Jaaye

            Kisi Ke Dil Ka Dharakna Tumhari Dharkan Ka Jawaz Ho Jaaye

            Ajab Kashmakash Main Kisi Ka Bura Haal Ho Jaaye

            Kisi Ka Pyar Jaan Ke Liye Azaab Ho Jaaye

            Mohobbat Ke Muaamle Par Sub Qurbaan Ho Jaaye

            Dharkan Dil Ki Be Ikhtiyaar Ho Jaaye

            Aansuon Ke Chalakne Se Samandar Sairaab Ho Jaaye

            Waqt Khel Khele Phir Zindagi Khayaal Ho Jaaye

            Aise Main Agar Aisa Kamaal Ho Jaaye

            Khaamosh Mohobbat Dono Ka Paigaam Ho Jaaye

            To Jeena Kis Qadar Aasan Ho Jaaye






            Comment


            • #7
              Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )








              Kisi Shaam Ki Pehar Main Wo Deewana

              Tujhe Khara Nazar Aaye Ga

              Tere Deedar Ki Hasrat Se Udaas

              Magar Tanha Nazar Aaye Ga

              Haan Aisa Deewana

              Jis Ki Subah Hoti Hai Tere Naam Se

              Jis Ki Shaam Hoti Hai Tere Naam Se

              Jis Ki Saansein Chalti Hain Tere Naam Se

              Tere Milan Ki Aas Se Be Khabar

              Dunya Main Tanha Nazar Aaye Ga

              Haan Aisa Deewana

              Jo Tujhe Bohot Pyar Karta Hai

              Apne Khawabon Main Apne Khayalon Main

              Apni Wafaon Main Apni Duaon Main

              Apni Socho Main Apni Tanhaiyon Main

              Apne Sher Main Haan Apne Geeton Main

              Kisi Bhi Pal Tujhe Teri Raah Main

              Khara Nazar Aaye Ga

              Haan Aisa Deewana

              Jis Ki Aas Bus Yehi Hai

              Tum Kisi Din Us Ko Yaad Karo Gi

              Yaad Magar Is Ki Wafa Main

              Is Ke Marne Ke Baad Karo Gi

              Haan Us Waqt Tum Jahan Bhi Jaao Gi

              Tujhe Is Ka Saaya Nazar Aaye Ga

              Tere Deedar Ki Hasrat Se Udaas

              Magar Tanha Nazar Aaye Ga







              Comment


              • #8
                Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )




                Ab Aansoun Ko Aankhon Main Sajaana Hoga

                Chiraagh Bhuj Gaye To Khud Ko Jalaana Hoga

                Ye Na Samajhna Ke Tum Se Bichar Ke Khush Hain Hum

                Humein Laugon Ki Khaatir Muskurana Hoga

                Phir Shaam Dhal Gayi Tum Aayi Na Aaj Bhi

                Dil Ko Aaj Phir Umeedon Se Behlaana Hoga

                Vaada Khilaafi Kar Ke Muskurati Ho Tum

                Dekhna Ek Din Sanam Tum Ko Pachtana Hoga

                Lahoo Se Apne Kafan Par Tera Naam Likh Jaaoun Ga

                Thaam Ke Haath Main Phool Tum Ko Aana Hoga

                Tere Intezar Main Ik Umar Guzri Hai Sanam

                Ab To Aaa Gaya Hai Waqt Ab To Hum Ko Jaana Hoga


                Comment


                • #9
                  Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )




                  Agar Saare Zamaane Main

                  Hazaron Laug Bhi Tum Se

                  Mohobbat Karte Haun

                  Tu Tum Itna Samajh Lena

                  Ke Un Main Ek Main Bhi Hoon

                  Agar Bilfarz Dunya Main

                  Ek Shakhs Ho Aisa

                  Jisay Tum Se Mohobbat Ho

                  Agar Tum Janna Chaho

                  To Wo Ek Shakhs Main Hi Hoon Ga

                  Agar Saare Zamaane Main Milay Na Koyi Aisa

                  Jisay Tum Se Mohobbat Ho

                  Yakinan Phir Yehi Hoga

                  Main Dunya Main Nahin Hoon Ga



                  Comment


                  • #10
                    Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )








                    Aankhon Main Raha Dil Main Utar Kar Nahin Dekha

                    Kashti Ke Musafir Ne Samandar Nahin Dekha

                    Bewaqt Main Jaaoun Ga Sub Hairaan To Ho Gaye

                    Ek Umar Huyi Din Main Kabhi Ghar Nahin Dekha

                    Jis Din Se Chala Hoon Meri Manzil Pe Nazar Hai

                    Aankhon Ne Kabhi Patthar Nahin Dekha

                    Ye Phool Mujhe Wirasat Main Milein Hain

                    Tum Ne Mera Kaanton Bhara Bistar Nahin Dekha

                    Mehboob Ka Ghar Ho Ya Mehfil Main Tanhayi

                    Jo Chor Diya Phir Usay Mur Kar Nahin Dekha

                    Patthar Mujhe Kehta Hai Mere Chahne Waala

                    Main Mom Hoon Us Ne Mujhe Choo Kar Nahin Dekha

                    Wo Mere Masaayil Ko Samajh Hi Nahin Sakta

                    Jis Ne Meri Aankhon Main Samandar Nahin Dekha







                    Comment


                    • #11
                      Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )








                      Bohot Hi Yaad Aata Hai Mere Dil Ko Tarpaata Hai

                      Wo Tera Paas Na Hona Bohot Mujh Ko Rulaata Hai

                      Wo Mera Teri Aankhon Ke Samandar Main Utar Jaana

                      Aur Teri Muskurahat Ke Bhanwar Main Doobte Jaana

                      Teri Awaaz Ke Sahar Se Na Nikal Paana

                      Tujh Ko Dekhna Aur Bekhudi Se Dekhte Jaana

                      Bohot Chaha In Guzre Huye Lamhon Ko Na Sochoon

                      Na Teri Yaad Main Reh Ke Tere Saath Ka Sochoon

                      Bhula Doon Saari Yaadon Ko Jin Se Dil Tarapta Hai

                      Tere Hi Khawab Hote Hain Teri Hi Baat Hoti Hai

                      To Ab Maine Socha Ab Mumkin Nahin Tujh Ko Bhula Dena

                      Teri Yaad Main Rehna Tujhe Hi Sochte Rehna

                      Tujhe Jub Yaad Karte Hain To Dil Apna Tarapta Hai

                      Wo Tera Paas Na Hona Bohot Mujh Ko Rulata Hai







                      Comment


                      • #12
                        Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )








                        Bichar Ke Tum Se Har Pal Aisa Aaya

                        Shab_O_Rauz Teri Yaadon Ne Bohot Tarpaaya

                        Tu Hi Jub Paas Nahin Dil Ko Koyi Aas Nahin

                        Phir Raat Kyun Khawab Suhana Aaya

                        Chiragon Ki Surat Main Teri Yaadon Ne Jalaaya

                        Dard Ki Har Aahat Par Chonk Uthta Hoon

                        Hawa Ka Jhonka Jub Bhi Tera Paigaam Laaya

                        Lub Par Jub Bhi Tera Naam Aaya

                        Aankhon Se Ashkon Ka Toofan Aaya






                        Comment


                        • #13
                          Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )








                          Bin Us Ke Zindagi Dard Hai Tanhaayi Hai

                          Meri Aankhon Main Kyun Maut Simat Aayi Hai

                          Kehte Hain Laug Ishq Ko Ibaadat

                          Ibadat Main Phir Kyun Ruswayi Hai

                          Wo Na Aayi To Dil Rone Laga

                          In Aankhoan Main Us Ki Yaad Chali Aayi Hai

                          Mehfil Main Reh Kar Bhi Tanha Rehna

                          Ye Adaa Bhi Us Ki Mohobbat Ne Sikhlaayi Hai

                          Ye Bhi Us Ki Mohobbat Ka Sila Hai

                          Main Tamasha Bana Aur Dunya Tamashaayi

                          Intezar Main Kisi Ki Raat Ko Na Barbaad Karna

                          Doobte Taaron Ne Mujhe Baat Ye Samjhaayi Hai

                          Us Se Taluk Hi Kuch Aisa Raha Hai Sajid

                          Jub Bhi Socha Usay Aankh Bhar Aayi Hai







                          Comment


                          • #14
                            Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )








                            Dil Ki Baatein Bata Deti Hain Aankhein

                            Dharkano Ko Jaga Deti Hain Aankhein

                            Dil Pe Chalta Nahin Jadoo Kisi Ka Kabhi

                            Dil Ko To Deewana Bana Deti Hain Aankhein

                            Wo Hum Se Baat Nahin Karti To Na Karein

                            Haal Saara Un Ke Dil Ka Suna Deti Hain Aankhein

                            Gham Sada Rehta Nahin Aadmi Ke Saath

                            Ashk Ban Kar Bata Deti Hain Aankhein

                            Aata Hai Jub Dor Jawani Ka

                            Tu Sunder Sapne Zehan Main Basa Deti Hain Aankhein

                            Mohobbat Main Neend Aati Hai Aankhon Hi Ke Raste

                            Magar Kabhi Kabhi Neend Uraa Deti Hain Aankhein

                            Shukar Hai KHUDA Ne Ataa Ki Aankhon Ki Naimat

                            Humain Dard_O_Gham Saare Dil Ka Raaz Bata Deti Hain Aankhein






                            Comment


                            • #15
                              Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )








                              Do Ashk Baha Doon Ke Aaj Main Udaas Hoon

                              Chahat_E_Dil Aaj Phir Se Main Saja Loon

                              Yaadon Ko Teri Main Seene Se Laga Loon

                              Tanhayi Main Aaj Do Askh Baha Doon

                              Ke Teri Tasveer Ko Main Seene Se Laga Loon

                              Haathon Ki Lakeeron Ko Khoon Se Main Saja Loon

                              Kiya Teri Bewafayi Ko Zindagi Se Mila Doon

                              Do Ashk Baha Doon Ke Aaj Main Udaas Hoon

                              Chiraagh Roshan Karo Ya Main Bhuja Doon

                              Tere Naam Pe Zindagi Apni Main Mita Loon

                              Ek Dua Aaj Main Mang Loon KHUDA Se

                              Ke Tere Bin Zindagi Main Ye Gawa Doon







                              Comment

                              Working...
                              X