Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )








    Teri Khamoshi Ko Tera Izhar Samjhta Hoon

    Teri Wafa Ko Tera Pyar Samajhta Hoon

    Nazron Main Tere Deedar Ki Umeed Rakhta Hoon

    Main Pyar Sirf Aur Sirf Tum Se Karta Hoon

    Naam Tera Subha_O_Sham Meri Zuban Par Ho

    Tu Chahe Jub Kabhi Bhulna Mujhe

    Yaadein Meri Tera Bahana Ho

    Jo Milay Tujhe Saza Teri Wafa Ki Sanam

    Yaadein Meri Bus Tera Thikaana Ho

    Aur Yehi Meri Wafa Ki Dua Ho

    Yaad Rahe Tumhein Ye Baat Sanam

    Mar Jaaoun Ga Mitt Jaaoun Ga Main Lekin

    Tumhein Dil Se Main Bhula Na Paaoun Ga

    Main Teri Naadaani Ko Saza De Jaaoun Ga

    Naam Tera Lahoo Se Main Likh Jaaoun Ga






    Comment


    • #47
      Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )








      Toota Huya Sheesha Phir Jora Nahin Jaata

      Aankh Se Nikla Huya Aansoo Phir Waapis Nahin Aata

      Tum To Keh Ke Bhool Chuki Ho Sub Kuch

      Lekin Mujh Se Wo Pal Bhulaaya Nahin Jaata

      Teri Mohobbat Ne Zanjeerein Daali Hain Aisi

      Ke Door Jaana Bhi Chahoon To Jaaya Nahin Jaata

      Mehfil Main Jo Bhi Tanhaayi Nazar Aati Hai

      Tere Bin Ye Dil Kahin Aur Lagaaya Nahin Jata

      Mere Dil Ki Deewaron Par Tera Hi Naam Likha Hai

      Mitaana Bhi Chahoon To Mitaaya Nahin Jaata

      Saans Rukne Se Pehle Ik Jhalak Dikha Dena

      Bewafa Zindagi Ka Aitabar Kiya Nahin Jaata







      Comment


      • #48
        Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )








        Tum Ko Dhoondti Aankhein

        Tum Se Ye Keh Rahi Hain

        Aaa Kar Gale Laga Lo

        Ab Hum Bikhar Rahe Hain

        Kab Se Aise Reh Kar

        Aansoo Bhi Jam Gaye Hain

        Aaa Kar To Ab Rula Do

        Ab Hum Pighal Rahe Hain

        Is Be Qaraar Dil Ko

        Sukoon Diya Tha Tum Ne

        Ik Baar Milne Ko To

        Ab Hum Tarap Rahe Hain

        Kaise Samjhaoun Apne

        Is Nadan Dil Ko

        Hum Apne Is Haal Par

        Kabhi Hans Rahe Hain

        To Kabhi Ro Rahe Hain







        Comment


        • #49
          Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )








          Tum Bohot Yaad Aaye Jub Chand Ne

          Chandni Se Sargoshiyaan Ki

          Jub Phoolon Ne Shabnam Ko Chooma

          Jub Samandar Ne Lehron Ko Baanhon Main Sameta

          Jub Suraj Ne Kirno Ko Chaha

          Jub Aankhon Ne Kuch Adhoore Khawab Sajaaye

          To Mujhe Tum Bohot Yaad Aaye







          Comment


          • #50
            Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )








            Baahaaron Main Ghataaon Main Tujhe Mehsoos Kiya

            Jeewan Ki Raahon Main Tujhe Mehsoos Kiya

            Meri Saanson Main Rahe Tere Khayaal Se Hulchal

            Dil Ki Panahon Main Tujhe Mehsoos Kiya

            Khushboo Hi Khushboo Bikhar Gayi Har Sooo

            Maine In Hawaaon Main Tujhe Mehsoos Kiya

            Din Ke Ujaalon Main Tujhe Mehsoos Kiya

            Neend Rooth Gayi Us Raat Mujh Se

            Jis Raat Maine Tujhe Mehsoos Kiya







            Comment


            • #51
              Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )








              Saari Umar Ik Sawal Main Kaati Koyi Jawab Na Likha

              Sub Ki Kahani Likhi Bus Apna Koyi Haal Na Likha

              Naye Safar Main Kaise Kaise Sundar Chehre Dekhe

              Lekin Is Deewane Dil Ne Kisi Ko Teri Misaal Na Likha

              In Haathon Se Ek Din Us Ke Haseen Haath Chuye Thay

              Sajid Wo Din Hai Aur Aaj Kal Phir Harf_E_Malaal Na Likha







              Comment


              • #52
                Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )

                Beautifull Ghazal Collection Part 3 ( Silent Tears ) Sajid

                Comment


                • #53
                  Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )








                  Bina Jurm_O_Khata Khud Ko Koyi Aisi Saza Dena

                  Bohot Mushkil Hai Meri Jaan Tumhein Bhula Dena

                  Mere KHUDA Agar Tu Ne Doobara Zindagi Bakhshi

                  To Bus Itni Guzaarish Hai Mujhe Patthar Bana Dena

                  Main Zehni Tor Pe Khud Ko Zara Tayaar Kar Loon Ga

                  Bichar Jaane Se Kuch Pehle Mujhe Humdum Bata Dena

                  Tumhari Ye Shararat Aaj Tak Hai Naqsh Dharkan Pe

                  Dabe Paaoun Chale Aana Meri Aankhon Pe Haath Rakh Dena

                  Phir Is Ke Baad Jis Ke Paas Bhi Tum Jaao Ijaazat Hai

                  Tum Sirf Ek Baar Mere Naam Ki Mehandi Apne Haath Pe Laga Lena

                  Faqat Itna Kaha Tha Na Mujhe Kuch Roshni De Dena

                  Tumhein Ye Kis Ne Bola Tha Meri Basti Jala Dena

                  Jisay Baarish Ke Paani Main Baha Kar Muskurata Tha Main

                  Mujhe Kaagaz Ki Wo Kashti Zara Phir Se Bana Dena

                  Umar Bhar Phir Tumhara Raasta Takne Se Acha Hai

                  Ke Tum Jaane Se Kuch Dair Pehle Meri Aankhein Bujha Dena







                  Comment


                  • #54
                    Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )








                    Wafa Se Khaali Laug Yahan

                    Wafa Ke Naam Pe Dete Hain Dhoka

                    Apna Daaman Saaf Bacha Ke

                    Hum Pe Sub ILzaam Laga Ke

                    Door Kahin Chale Jaate Hain Laug

                    Dard Hamare Hisse Main De Kar

                    Khud Khushiyaan Hamari Bhi Le Kar

                    Aankhein Bachaate Hain Laug

                    Pehle Haath Barhaate Hain Dosti Ka

                    Phir Is Main Rang Bharte Hain Mohobbat Ka

                    Phir Jalne Ke Liye Tanha Chor Jaate Hain Laug

                    Dikhaate Hain Khawab Suhaane

                    Phir Nazron Se Gira Jaate Hain Laug







                    Comment


                    • #55
                      Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )

                      nice sharing

                      Comment


                      • #56
                        Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )

                        Shukriya Dost

                        Comment


                        • #57
                          Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )








                          Aaj Kyun Us Ki Yaad Aaa Rahi Hai

                          Kyun Mere Dil Ko Jala Rahi Hai

                          Hum Ne Kab Us Se Kiya Bewafayi Ka Gila

                          Phir Bhi Na Jaane Wo Kyun Mujh Se Door Jaa Rahi Hai

                          Wo Nahin Bewafa Hum Maante Hain Phir Bhi

                          Phir Kismat Main Kyun Judaayi Aaa Rahi Hai

                          Us Ki Yaadon Ko Dil Se Nikaal Diya Hai

                          Phir Kyun Har Waqt Us Ki Yaad Sata Rahi Hai

                          Bohot Din Huye Nahin Dekha Wo Chand Sa Chehra

                          Shayad Wo Hamare Sabar Ka Imtehan Le Rahi Hai

                          Ab To Aaa Jaao Hamare Paas KHUDA Ke Liye

                          Kyun Ke Ab Hamari Jaan Jaa Rahi Hai







                          Comment


                          • #58
                            Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )

                            lovely collection :rose
                            :rose Refreshing_breeze :rose

                            Comment


                            • #59
                              Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )

                              nice janab

                              Comment


                              • #60
                                Re: Beautifull Ghazals Collection ( Gift To Pegham ) Silent Tears ( Sajid )

                                Shukriya

                                Comment

                                Working...
                                X