Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aania's Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Aania's Choice

    Tauba karo dil se dua mango ai majaz
    be khauf o qatr guzrey ilahi ye NAYA SAAL
    Visit My Early PS Work
    You Are Welcome To Comment

    Comment


    • Re: Aania's Choice

      AB KAY BARAS........



      Pichlee raat ki nurm chandni shabnam ki khunki se racha hai
      yun kehne ko us ka tabassum, barq sifat hai shula numa hai

      waqt ko mah-o-saal ki zanjeeroon mein jakarr ker kia paya hai
      waqt to mah-o-saal ki zanjeeroon mein aur bhi taiz barha hai

      ik masoom sey piyar ka tuhfa, ghar key aangan mein paya hai
      us ko gham key pagalpan mein kothey kothey baant dia hai

      nazam, ghazal, afsana, geet,aik tera hee ghum tha jis ko hum ne
      kaisa kaisa naam dia hai, kaisay kaisay baant lia hai

      aahoo(n) kay badal kyun dil mein bin barsey he loat gaey
      ab key baras sawan ka maheena kaisa piyassa piyassa gaya hai
      Visit My Early PS Work
      You Are Welcome To Comment

      Comment


      • Re: Aania's Choice

        Ab ke saal kuch aisa karna
        apney pichlay 12 mah ke
        dukh sukh ka andaza karna
        bisri yaadein taza karna

        saadah sa ik kagaz le kar
        bhooley bisrey pal likh lena
        apney saarey kal likh lena

        sarey dost ikhattey karna
        sari subhain hazir rakhna
        sari shaamain paas bulana

        aur ellawah in ke dekho
        sarey mousam dehaan mein rakhna
        ik ik yaad gumaan mein rakhna


        phir mohtaat qayaas lagana
        gar to khushian barh jati hain
        to phir tum ko meri taraf se
        aney wala ~SAAL MUBARAK~


        aur agar ghum barh jain to
        mut bekaar takalluf karna
        dekho phir tum aisa karna


        "meri khushian tum le lena
        mujh ko apney ghum de dena "
        Visit My Early PS Work
        You Are Welcome To Comment

        Comment


        • Re: Aania's Choice

          Her shakhs apney chand sey mehv-e-guftagoo tha Eid ki sham
          Mein ChaanD Dhondhta raha aur Eid ho gai
          Visit My Early PS Work
          You Are Welcome To Comment

          Comment


          • Re: Aania's Choice

            yeah Eid tery wastay khusioon ka nagar hoo
            kia khoob hoo, her rooz teri Eid! agar hoo
            her raat husrat kay naay geet sunaaay
            lamhaat kay peroon pay bhee shubnam ka sumar hooo
            Visit My Early PS Work
            You Are Welcome To Comment

            Comment


            • Re: Aania's Choice

              Log kehtey hein Eid Card is ko
              Yeh risam hai aik zumaney ki
              un key zehnoon per dastak hai
              jin ko adat hai bhol janey ki
              Visit My Early PS Work
              You Are Welcome To Comment

              Comment


              • Re: Aania's Choice

                Udaasiyon ki shaam aur yaadon ka saman
                Apni palkon pe sitare hargizz na laayein ge
                Rakhna sanbhaal ke tum chand khushiyan mere liye
                Main laut kar aaun ga, phir Eid manayein ge
                Visit My Early PS Work
                You Are Welcome To Comment

                Comment


                • Re: Aania's Choice


                  dil main hai teri yaad ka khanjar laga hua
                  phir kis tarah kerain hum bhala ahtamaam-e-Eid
                  Visit My Early PS Work
                  You Are Welcome To Comment

                  Comment


                  • Re: Aania's Choice

                    Dekha jab Hilal-i-Eid tu mangi yeh duha
                    Ya Rab merey chand ko na karna mujh sey juda
                    Visit My Early PS Work
                    You Are Welcome To Comment

                    Comment


                    • Re: Aania's Choice

                      raas aa jaatin hamain bhi 'Eid' ki Khushyan tamaam
                      kaash tu bhi pass hota 'Eid' ke lamhaat mein

                      :rose
                      main ne chaha tujhe 'Eid' pe kuch paish karon
                      jis mein ehsas ke sab rang hon roshan roshan
                      jis mein aanhon kay tarashey huay motii laakho.n
                      jis mein shaamil ho mere qalb ke dhadkan dhadkan

                      :rose

                      mujhe mil gaya bahana teri deed ka
                      kaisi Khushi le ke aya chand 'Eid' ka
                      :rose

                      roze ke Khushi se the jo zard zard gaal
                      Khush ho ** dekhtey hi 'Eid' ka hilaal
                      :rose

                      kaaa lutf-e-'Eid' hai jo agar tum se dour hun
                      guzray ga roz-e-'Eid' tasavur mein aap ke
                      Visit My Early PS Work
                      You Are Welcome To Comment

                      Comment


                      • Re: Aania's Choice

                        teray khoshboo se basay khat mein jalata keisay
                        Piyar mein doobay howay khat mein jalata keisay
                        Visit My Early PS Work
                        You Are Welcome To Comment

                        Comment


                        • Re: Aania's Choice

                          Khat mila dil ko tasalli bhi hui kuchh lekin
                          Dil tadapne laga jab yaad tumhari aayii
                          Visit My Early PS Work
                          You Are Welcome To Comment

                          Comment


                          • Re: Aania's Choice

                            تُمہارا خط تھا کہ صورت تھی اِک سُہانی سی
                            مُحبت آشنا سا ، مُحبت بھرا اِک پیرایا
                            Visit My Early PS Work
                            You Are Welcome To Comment

                            Comment


                            • Re: Aania's Choice

                              Na tum aaye, na Khat bhejaa, uThhe jhuule, gayaa saavan!
                              Koii jhuula kiye kab tak, tumhaare ehad-o-paimaaN meiN?!
                              Visit My Early PS Work
                              You Are Welcome To Comment

                              Comment


                              • Re: Aania's Choice

                                DhoOp Charrhay Say Dhoop Dhalay Tak Maa'on Ko
                                Aangun kee Khamoshi Sunn Ker Rona Hai
                                Saat Samandar Paar Say Aa'aiy Khat Perh Ker
                                Raat Ga'ay Phir Aahain Bher Ker Sona Hai

                                Visit My Early PS Work
                                You Are Welcome To Comment

                                Comment

                                Working...
                                X