Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .
Collapse
X
-
Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .
Chal rahi hain sard hawaein ..
Mausam badal gaye hain ..
Hum toh shayad wahin hain lekin ..
Kuch loug badal gaye hain ..
Girte thay kal tak har maur par hum ..
Lekin aaj sambhal gaye hain ..
Jo dete thay humein khushiyan ..
Wo halaat badal gaye hain ..
Jo bane thay mere humsafar ..
Aaj wohi bichar gaye hain ..
Munzalein toh aab bhi wohi hain ..
Lekin kuch raste badal gaye hain ..
Tum kya gaye is dil se ..
Saare aarman bichar gaye hain ..
Dekhe thay kabhi humne woh saare ..
Khawab badal gaye hain ..
Nah badla toh AaDi nah badla ..
Nah badla AaDi ka dil ..
Baaki toh es tute dil ke saare ..
Jazbaat badal gaye hain ..Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!
Comment
-
Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .
Tumhari Yaad Ki Shama Hamarey Dil Main Roshan Hai
Issey Khud Hi Bhuja Jana Kabhi Aana Hawa Ban Kar
Tumhari Aarzo Ki Hai Kabhi Manga Hai Jo Rab Se
Merey Hontoon Pe Rahti Ho Meri Jaan Tum Dua Ban Kar
Tumharey Khuwab Main Dhaikhoon Tumhein Main RaatDin Soochoon
Ager Yeh Juram Hai Jana! To Aa Jana Saza Ban Kar
Kaho To Aaj Batla Doon Tumhein Kiun Dhaikhta Hoon Main
Jo Aati Ho Aadaon Se To Jati Ho Qaza Ban Kar
Faseel-e-jaan Ager Sir Ho To Pohnchein Terey Koochey Main
Teri Chokhtat Pe Ja Bhaithoon Muhbbat Ka Gadha Ban Kar
Yeh Chara Ger Bhala Kaisey Merey Is Marz Ko Samjhein
Main Bemar-e-muhabbat Hoon Tum Aa Jao Shafa Ban Kar
Mujhe Kamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Aik Din
Tumharey Dil Main Utroon Ga Muhabbat Ki Sada Ban Kar
Merey Josh-e-janoon Per Sari Khalqat Muj Ko Takti Hai
Zara Tum Bhi Nazer Dalo Na Bhaitho Yun Khuda Ban Kar
Tumhein Yeh Raaz Batla Doon K Akser Chaand Ratoon Main
Terey Aangan Main Aata Hoon Sitaroon Kia Zaya Ban Kar
Jiger Ka Khoon Laya Hoon Terey Singhar Ki Khatir
Hathaili Per Racha Laina Yeh Mahkey Ga Hina Ban Kar
Tumhein Jab Yaad Karta Hoon To Kaisey Jaan Sulagti Hai
Tumhein Bhi Tars Aaye Ga Kabhi Socho Raza Ban KarAao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!
Comment
-
Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .
Hokar zameen ka asman ki chaah kyun karoon
Main tujhko paane ki tamanna kyun karoon
mujhko khabar hai judaai tadapagi tujhe har pal
isi liye batade main tujhse wafa kyun karoon
Eman ko mere chot lagegi agar tu na mila mujhe
tujhe apna banane ki phir dua kyun karoon
teri masomiyat ko rab ne banaya hai mohabbat ke liye
Tujhe na chaahne ki phir main khata kyun karoon
farishtey bhi tadap jaate hain jub tere aankh se ashk chalakte hain
Yeh dard tujhe dekar main koi gunaah kyun karoon
Teri meri qismat ki raahein hain judaa judaa
Main phir tera ban jane ki aarzoo kyun karoon
Meri haathon ki lakeeron mein nahi hai naam tera
Main tera naam apne naam se milane ki justajoo kyun karoon
Meri baatein tere dil mein hameshaa bas jaati hain
Is baat ki khabar rakh kar main koi guftagoo kyun karoon
Baaton Baaton mein benaam fasaane ban jaate hain
Aur aisi adhoori kahaani ko main shuro kyun karoon
Jo bhi jazbaat hai dil mein dil tak mehfooz hai
Yeh bataoo ke main unka zekhir rubaru kyun karoo
Maana ke mohabbat bhari nazar dil par gehraa asar karta hai
Usse pyaar se dekh kar us par koi jaadoo kyun karoon
Mere liye yeh mumkin nahi ke main tera banjaaon kabhi
Lekin main tujhse mohabbat ka subse izhaar kyun karoon
Itna dukhaya dil ko tune mere, itna rulaya hai mujhe
sub kuch sahoon phir bhi tujhse be inteha pyaar kyun karoonAao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!
Comment
-
Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .
Apni ankhon se kia khumar sa bhar jati hay,
Har lahaz chand men to CHAND nazar ati hay,
Teri khushboo meri har sans men ghul kar janam,
Meri dharkan ko meri roh ko tarpati hay,
Teri muskan meri nenden chura kar jana,
Jagte khuwab meri aghosh men bhar jati hay,
Kuch to ab reham kar kamzoor dil pay aey sangdil,
Teri narazgi ab jan liay jati hay.Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!
Comment
-
Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .
zikr-e-shab-e-firaaq se vahashat use bhii thii
merii tarah kisii se muhabbat use bhii thii
mujh ko bhii shauq thaa naye cheharo.n kii diid kaa
rastaa badal ke chalane kii aadat use bhii thii
us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftaguu
masruuf mai.n bhii kam thaa faraaGat use bhii thii
sunataa thaa vo bhii sab se puraanii kahaaniyaa.N
taazaa rafaaqato.n kii zaruurat use bhii thii
mujh se bichha.D ke shahar me.n ghul mil gayaa vo shaKhs
haalaa.Nke shahar bhar se raqabat use bhii thii
vo mujh se ba.Dh ke zabt kaa aadii thaa jii gayaa
varnaa har ek saa.Ns qayaamat use bhii thiiAao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!
Comment
-
Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .
" Dil Ki Batain , Bata Deti Hain , Aankhen ,
Dharkanon Ko Jaga Deti Hain, Aankhen ,
Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Cheroon Ka Kabhi ,
Dil Ko Tu , Deewana Bana Deti Hain ,Aankhen,
Woh Hum Se Baat Nahi Karte , Tu Na Kare ,
Haal Sara Unke Dil Ka , Suna Deti Hain Aankhen,
Gham Sada Rehta Nahi , Aadmi Ke Saath,
Ashk Bana Kar , Chalka Deti Hain Aankhen,
Aata Hai Jab Dor - E - Jawani , Tu Ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan Mein ,Basa Deti Hain Aankhen,
Ma Na Ke Neend Aati Hai , Aankhon Hi Ke Raste ,
Magar Kabhi Kabar ,Neend ,Ura Deti Hain Aankhen,
Eesha Shukar Hai , Khuda Ne Ata Ki , Aankhon Ki Neamat Humain,
Dard -O-Gham ,Sare Dil Ke , Chupa Deti Hain Aankhen.Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!
Comment
-
Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .
Tere Naam ki thi jo Roshni usey khud tu ne bujha diya
Jissko jala saki thi na Dhoop usey chandni ne jala diya
May ho gardisho ka maara howa mujhey ab apni khabar nahi
Wo jo shakhs tha mera rehnuma usey Rastoo main ganwaa diya
Jiss ko samjha tha to ne raqeeb,woh tera naseeb tha
Tere haath ki lakeer tha,usey to ne haath se hi mita diya
Mujhey ishq hai ke junoon, yeh faisla kabhi na ho saka
Mera naam zeenat-e-dasht tha,isey aandhiyo ne mita diya
Yeh udasiyoo ka jamal hai ke omara ivj-e-kamal hai
Ke kabhi zaat se bi chupa liya to kabhi shehar bhar ko suna diya
Mere omar ka gulistan abhi khula howa hai zaroor par
Wo jo phool thay tere chah ke unko mosamoo ne gira diyaLast edited by _Dard_Aashna_; 6 April 2007, 18:50.Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!
Comment
-
Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .
aap ki yeh hansi jaise khankati payal
aur qyamat hai kia yeh bata dijye
ho sakay to hamko yeh saza dejye
apni zulfon ka qaidi bana lijye
ham sharabi nahi to ban jayen gain
aap honton se apne pila dijye
aap kitnee haseen hain yeh batlayen kia
aainay ko yeh chehra dikha dijyeAao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!
Comment
-
Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .
Dil kay deewar-o-dar pay kya dekha,
Bas tera naam hi likha dekha !
Teri aankho mein humnay kya dekha,
Kabhi qaatil kabhi khuda dekha !
Apni soorat lagi parayee see,
Jab kabhi humnay aaiana dekha !
Hai andaaz teray ruknay ka,
Waqt ko bhi ruka ruka dekha !
Teray jaanay mein aur aanay mein
Humnay sadiyon ka faasla dekha !
Phir na aaya khayaal jannat ka,
Jab teray ghar ka raasta dekha !
Dil kay deewar-o-dar pay kya dekha,
Bas tera naam hi likha dekha !
Teri aankho mein humnay kya dekha,
Kabhi qaatil kabhi khuda dekha !Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!
Comment
-
Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .
baat chalii terii aa.Nkho.n se jaa pahu.Nchii paimaane tak
khii.nch rahii hai terii ulfat aaj mujhe maiKhaane tak
ishq kii baate.n Gam kii baate.n duniyaa vaale karate hai.n
kis ne shammaa kaa dukh dekhaa kaun gayaa paravaane tak
ishq nahii.n hai tum ko mujh se sirf bahaane karatii ho
yuu.N hii bahaane qaayam rakhanaa tum mere mar jaane tak
itanaa hii kahanaa hai tum se mumkin ho to aa jaanaa
aa hii gaye to rukanaa hogaa aa.Nkho.n ke patharaane takAao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!
Comment
-
Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .
Abhi Zidd Nah Kar, Dil-E-Bekhabar
K Paas-E-Hajoom Sitamgaraa.N
Abhi Kaun Tujh Se Wafa Karai
Abhi Kis Ko Fursatein Is Qadar
K Sameit Kar Teri Kirchiyaan
Tere Haq Mein Khud Se Dua Kare
Abhi Zidd Nah Kar, Dil-E-Bekhabar
K Tah-E-Ghubaar-E-Ghum-E-jahan
Kahaan Kho Gaye Tere Chiraagh
K Rah-E-Hayaat Mein Raygaa.n
Kahan So Gaye Tere HumSafar
Abhi Ghum-Gusaaro.n Ki Chot Seh
Abhi Kuch Nah Sun, Abhi Kuch Nah Keh
Abhi Kuch Nah Sun, Abhi Kuch Nah Keh..Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!
Comment
Comment