Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

    mere sathi
    meri yeh rooh
    mere jisam se perwaz ker jaye
    to loat aana
    meri be-khwaab raton
    k aazaboon per
    shikaste saher main tum bhi
    zara si dair ko rukna
    mere be-noor honton ki duaaoon per
    tum apni serd paishani ke pether
    rakh ke roo daina
    mujhe itni baat keh daina
    mujhe tum se muhabbat hai.
    Han mujhe tumse mohabbat hai...
    Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

    Comment


    • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

      Agar Ham Dost Hotey
      To Karam Ki Inteha Kartey
      Tumhen Palkon Pey Rakhtey Ham
      Tumhen Dil Men Basatey Ham
      Agar Tum Rooth Jaatey To
      Tumhen Kitna Manatey Ham
      Jo Milney Tum Nahi Aatey To
      Aa kar Khud Tumhen Miltey
      Tumhari Laghzishon Ko Bhi
      Hansi Main Ham Ura Detey
      Agar Apni Khata Hoti
      To Khud Ko Bhi Saza Detey
      Magar Ye Sab Jabhi Hota
      Agar Ham Dost Hotey To
      Magar Itna Hi Jana Hey
      K Tum Ney Aaj Tak Ham Ko
      Paraya Keh Kar Jana Hey
      Kabhi Hamdam Naa Mana Hey
      Agar Ham Dost Hotey To..
      Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

      Comment


      • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

        tumhain aesa kyon lagta hay
        kay ham khud dhondtay hain apnay rishton ko
        sunoo jana kabhi aesa nahi hota
        tumharay or meray chahnay say kuch nahi hota
        kay sab rishtay sabhi bandhan kahin pehlay say rakhain hain
        wo saray aanay walay pal jo aakhir beet jatay hain
        jo ham say jeet jatay hain
        wo sab pehlay say rakhain hain
        samajh kar ,soch kar rakhain hain saray pal
        sabhi rishtay sabhi mousam
        muhabbat bhi to lamha hay
        muhabbat bhi to mousam hay
        ye kis kay dil pay utray ga
        kahan par kab khilay ga kon si galyon main mehkay ga
        na'janay kon sa dil is kay rangoon main fana hoga
        na'janay kon is lamhay ko patay hi,
        ghani tareek galyon ki musafat say raha hoga
        wazahat ham nahi kartay
        muhabbat ham nahi kartay

        ye to har waqt hamaray sath chalti hay
        lahu ki dhop main chup chap jalti hay
        hina ki khushbo'on main jab utarti hay hamari jaan leti hay
        ye ham main bandh deti hay naey mousam ,naey soraj
        ye ham ko sunp deti hay koi aezaaz
        jis ka maan rakhna farz hota hay
        ye ham par bojh banti hay
        ye ham par qarz hota hay


        kahan kis par nichhawar karni hay
        ye chahat ham nahi kartay
        sunoo jana muhabbat ham nahi kartay
        Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

        Comment


        • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .


          ye raat ye tanhaa_ii
          ye dil ke dha.Dakane kii aavaaz
          ye sannaaTaa

          ye Duubate taaro.n kii
          Khaamosh Gazal_Khvaanii
          ye vaqt kii palko.n par
          sotii hu_ii viiraanii
          jazbaat-e-muhabbat kii
          ye aaKhirii anga.Daa_ii
          bajatii hu_ii har jaanib
          ye maut kii shahanaa_ii

          sab tum ko bulaate hai.n
          pal bhar ko tum aa jaao
          band hotii merii aa.Nkho.n me.n
          muhabbat kaa
          ik Khvaab sajaa jaao
          Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

          Comment


          • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

            Teri Ankhoon Si Ankhien
            aaj aik chehray pe dekhi hien
            Wuhi rungut ' banawat
            aur waisi beyrukhi un mien
            bichurtay waqt ju main ne
            Teri ankhoon mein dekhi thi

            Teri ankhoon si ankhoon ne
            mujeh aik PuL ko dekha tha
            wuh puL aik aam sa puL tha
            mager os aam se puL mien
            puraanay kitnay mausum' kitnay munzur main ne dekhay thay
            Meri jaa'n main samjha tha
            teri ankhoon si ankhien jub
            meri ankhoon ko dekheingi
            tao ik Lumhay ko soochaingi
            keh in ankhoon ko pehLay bhi
            kisi chehray pe dekha hai
            Mager in jheeL ankhoon mein
            shanasaayi nahi jaagi
            Meri Ankhien ~!!
            teri ankhoon si ankhoon ke Liey
            kaab khaas ankhien thien
            teri ankhoon ne shaayid yeh
            kaayi chehroon per dekhi hoon
            keh yeh tao AAM ankhien hien

            Main aisa sooch sakta tha
            mager main kya keroon diL ka
            ju ub yeh yaad rukheyga
            teri ankhoon si ankhien
            main ne aik chehray pe dekhi thien
            phir os k baad kitnay din
            meri ankhoon mein sawan tha
            Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

            Comment


            • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

              Iss tarha milay ho tum
              jaise tareek rahoon pe
              koi diya ho madham sa
              jis ki roshni mein khud ko
              dekh to sakta hon magar
              ye roshni ka safar
              shayad mera humsafar na ho
              shayad ke tera milna kabhi bhi
              meri zindagi ka muqadar na ho
              so, aaj inhein lamhoon mein
              louta doon jitni chahatien hain
              mere dil ke naha khanoon mien
              jitni unkahi baatein hain
              phir kal fursat milay ya nahi
              jis tarah saji hai aaj apni mahfil
              phir ye bazm kabhi sajay ya nahi
              kyun ke mein jaanta hon
              meri natamaam khahishoon mein aab
              tumhein bhi shamil hona hai
              aaj paya hai tumhien muqadar se
              kal ki tarah tumhein khoona hai
              Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

              Comment


              • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                nazar bujhi tu karishmey bhi roz o shab ke gaye

                ke ab talak nahi aye wo log jab ke gaye

                suney ga kon teri bewafaion ka gila

                yehi hey rasm e zamana tu ham bhi ab ke gaye

                ab aaye ho tu yahan kia hai dekhney ke liye

                ye shehr kab sey hain viran wo log kab ke gaye

                garifta dil thy magar hosla na hara tha

                garifa dil hain magar hosley bhi ab ke gaye

                tum apni sham e tamanna ko ro rahe ho faraz

                in aandhion mein tu peyary charagh sab ke gaye
                Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                Comment


                • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                  Aarzoo hay wafa karay koye
                  Ji na chahay to kya karay koye


                  Gar marz ho dawa karay koye
                  Marnay walay ka kya karay koye
                  Kostay hain jalay hoye kya kya
                  Apnay haq main dua karay koye

                  Un say sab apni apni kahtay hain
                  Mera matlab ada karay koye

                  Tum sarapa ho surat-e-tasveer
                  Tum say phir baat kya karay koye

                  Jis main laakhon baras ki hooren hon
                  Aaisi jannat ka kya karay koye
                  Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                  Comment


                  • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                    har ek chehare ko zaKhmo.n kaa aa_iinaa na kaho
                    ye zindagii to hai rahamat ise sazaa na kaho

                    na jaane kaun sii majaburiyo.n kaa qaidii ho
                    vo saath chho.D gayaa hai to bevafaa na kaho

                    tamaam shahar ne nezo.n pe kyuu.N uchhaalaa mujhe
                    ye ittefaaq thaa tum is ko haadasaa na kaho

                    ye aur baat ke dushman huaa hai aaj magar
                    vo meraa dost thaa kal tak use buraa na kaho

                    hamaare aib hame.n ungaliyo.n pe ginvaao
                    hamaarii piiTh ke piichhe hame.n buraa na kaho

                    mai.n vaqiyaat kii zanjiir kaa nahii.n qaayal
                    mujhe bhii apane gunaaho.n kaa silsilaa na kaho

                    ye shahar vo hai jahaa.N raakshas bhii hai "Rahat"
                    har ek taraashe huye but ko devataa na kaho
                    Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                    Comment


                    • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                      kabhii to khul ke baras abr-e-meharabaa.N kii tarah
                      meraa vajuud hai jalate hue makaa.N kii tarah

                      bharii bahaar kaa siinaa hai zaKhm zaKhm magar
                      sabaa ne gaaye hai.n lorii shafiiq man kii tarah

                      vo kaun thaa jo barahanaa badan chaTTaano.n se
                      lipaT gayaa thaa kabhii bahr-e-bekaraa.N kii tarah

                      sakuut-e-dil to jaziiraa hai barf kaa lekin
                      teraa Khuluus hai suuraj ke saayebaa.N kii tarah

                      mai.n ik Khvaab sahii aap kii amaanat huu.N
                      mujhe sambhaal ke rakhiyegaa jism-o-jaa.N kii tarah

                      kabhii to soch ke vo shaKhs kis qadar thaa bula.nd
                      jo bichh gayaa tere qadmo.n me.n aasmaa.N kii tarah

                      bulaa rahaa hai mujhe phir kisii badan kaa basa.nt
                      guzar na jaaye ye rut bhii kahii.n Khizaa.N kii tarah

                      lahuu hai nisf sadii kaa jis ke aabagiine me.n
                      na dekh "Prem" use chashm-e-arGavaa.N kii tarah
                      Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                      Comment


                      • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                        paa-ba-gil sab hain rihaaii ki kare tadabeer kaun
                        dast-basta shahar mein khole meri zanjeer kaun

                        mera sar haazir hai lekin mera munsif dekh le
                        kar rahaa hai mere fard-e-jurm ko tahareer kaun

                        meri chaadar to chhinee thi shaam kee tanhaaii ne
                        be-ridaaii ko meri phir de gayaa tashaheer kaun

                        neend jab khvaabon se pyaari ho to aise ahad mein
                        khvaab dekhe kaun aur khvaabon ko de taabeer kaun

                        ret abhi pichhle makaanon kii na vaapas aaii thii
                        phir lab-e-saahil gharaundaa kar gayaa taamir kaun

                        saare rishte hijraton mein saath dete hain to phir
                        shehar se jaate hue hotaa hai daaman-geer kaun

                        dushmanon ke saath mere dost bhi aazaad hain
                        dekhnaa hai kheenchataa hai mujh pe pehlaa teer kaun

                        Parveen Shakir
                        Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                        Comment


                        • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                          main ne dekhaa diivaanoun ko shaam ke baad
                          Dhundh rahe the viiraanoun ko shaam ke baad

                          tariiki phir saare aib chhupa legi
                          le aana ghar mahmaanon ko shaam ke baad

                          main ne us ka sog manaya kuch aisa
                          Khali rakha paimanon ko shaam ke baad

                          yaad kare jab mujh ko teri tanhai
                          dekha karnaa guldaanon ko shaam ke baad

                          chaand ke khouf se kar leta hun band
                          kamre ke raushandaanun ko shaam ke baad !!
                          Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                          Comment


                          • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                            Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                            Comment


                            • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                              woh charagar mere zakhmon ko cherrney wala
                              dawa ko chhorr key deney laga duaein mujhye
                              Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                              Comment


                              • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .


                                Wo jab se gaya, shahar mein hai qahat-e-raqIIbaa'n
                                Iss shahar kee raunaq thee usee shakhs key dam se
                                Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                                Comment

                                Working...
                                X