Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
PinkRoseJust4U ka Intikhaab
Collapse
X
-
-
Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab
Terii Khushbuu kaa pataa kerti hai
Mujh pe ehasaan havaa kerti hai
Shab kii tanhaii main ab toh aksar
Guftaguu tujh se rahaa kertii hai
Dil ko us raah pe chalanaa hii nahy
Jo mujhe tujh se judaa kerti hai
Zindagii merii thii lekin ab toh
Tere kehne mein rahaa kerti hai
Us ne dekhaa hii nahy varnaa ye aaNkh
Dil kaa ehavaal kahaa kerti hai
Beniyaaz-e-kaaf-e-dariyaa angusht
Ret par naam likhaa kerti hai
Shaam pardte hii kisii shaKhs kii yaad
Kuuchaa-e-jaaN main sadaa kerti hai
Mujh se bhii us kaa hai vaisaa hii suluuk
Haal jo teraa ana??? kerti hai
Dukh huaa kerta hai kuchh aur bayaaN
Baat kuchh aur huaa kerti hai
Abr barase to inaayat us kii
ShaaKh to sirf duaa kerti hai
Maslaa jab bhii uThaa chiraaGon kaa
Faisalaa sirf havaa kerti hai
Comment
-
Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab
Originally posted by Rida View Postbeautifuuuuuul
yeh main nay jab bhi perhi ...samajh nahin aaai...:donno:
First of all thnx 4 ur comments
Well is ka matlab ye hai k Jab insan kisi se pyar kerta hai aur phr hamein aisa lagta hai k kabhi woh shaks hamar nhy ho sakta aur hum thak haar ker beth jatay hein aur apni activities khatam ker k sirf ussi k baray mai sochtay rehtay hein sab se la-taluq ho jatay hein lekin ye koshish nhy kertay k kisi tarah usko apni mohabt ka yaqeen dilaein. MEans k sanki ho jatay hein simply.................
Mein yehi kahun ga k hamein kabhi mayoos nhy hona chahiye kyun k mayoosi kufar hai hamein koshish kertay rehna chahiye
Comment
-
Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab
Kisi bhi lamhay,koi bhi dhayan main aa sakta hai
Kisi ki batein , kisi ka chehra
Kisi ka dheema lehja
Koi bhi apna ya baygana
Sochay bina , bas baydhayani main ,
Na danista ......................................
Idher udher ki batein kertay , yakdam dil ko bha sakta hai
Hoon kitnay mazboot iraday ,
Chahat say bach ker chalnay k
Lakh yeh khahish mun main jagay ,
Lakh yeh khahish mun main jagay ,
Dil k der per jo dastak dain, unn khathoon ko,
Mayoosi ki deemak chatay
Phir bhi aaisa ho sakta hai
Bheead main bhaithay bhaithay koi ,
Khod ko yak dam kho sakta hai
Lekin jana !
Phoolon jaisay tum lagtay ho
Kantoon say bauopar na kerna
Dekho mujh say payar na kerna
Comment
-
Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab
Yaqeen kar lo sar se pa tak Zameen se neelay aasman tak
teri tamana mein jee rahe hain judai ka zehar pee rahe hain
na tairgi ka mizaj dhaikha na roshni ka khiraj dhaikha
chalay hain teri nagar k janib rukay hain teri nazar ki janib
yaqeen kar lo k aasman bhi tumharay dil ka ye aashyaa'n bhi
meri wafa ka ameen hoga esay bhi muj per yaqeen hoga
haan dooriyoon ka sabab batao ye kaesa khud per ghazab batao
batao wo dil ki piyari baatain na kah sakay jo wo piyari baatain
batao khuf o hiras kiyun hai tumhare andar ye piyas kiyun hai
kiyun meray nazdeek aatay aatay jhijhak k kiyun ho palat jatay
tum aao muj per yaqeen kar loo muje bhi dil ka makeen kar loo
humein tumhari hi aarzo hai humein tumhari hi justuju hai....
Comment
-
Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab
ChaaNd se phool se yaa merii zubaaN se suniye
Har taraf aap kaa qisaa jahaaN se suniye
Sab ko aataa hai duniyaa ko sataa kar jiinaa
Zindagii kyaa muhabbat kii Dua se suniye
Merii aavaaz pardaa mere chehare kaa
Mein huN Khaamosh jahaaN mujhako vahaaN se suniye
Kyaa zaruurii hai ki har pardaa uThaayaa jaaye
Mere haalaat apne apne makaaN se suniye
Comment
-
Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab
Humein kaash tumse mohabat na hoti
Kahani humari haqeeqat na hoti
Na dil tumko dete na majboor hote
Na dunya, na dunya kay dastoor hote
Qayamat se pehle..qayamat na hoti
Humein kaash tumse mohabat na hoti
Humhi bher gaye ishq mein hadh se aagey
Zamane ne thooker lagai tu jaagey
Ager mer bhi jate tu hairat na hoti
Humein kaash tumse mohabat na hoti
Tumhi phoonk dete nasheman humara
Mohabat pe ehsaan hota tumhara
Zamane se koi shikayaat na hoti
Humein kash tumse mohabat na hoti
Comment
-
Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab
Originally posted by pinkrosejust4u View Post
First of all thnx 4 ur comments
Well is ka matlab ye hai k Jab insan kisi se pyar kerta hai aur phr hamein aisa lagta hai k kabhi woh shaks hamar nhy ho sakta aur hum thak haar ker beth jatay hein aur apni activities khatam ker k sirf ussi k baray mai sochtay rehtay hein sab se la-taluq ho jatay hein lekin ye koshish nhy kertay k kisi tarah usko apni mohabt ka yaqeen dilaein. MEans k sanki ho jatay hein simply.................
Mein yehi kahun ga k hamein kabhi mayoos nhy hona chahiye kyun k mayoosi kufar hai hamein koshish kertay rehna chahiye
Comment
-
Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab
Tumhari zindagi mein mainkahan per hun...
hawa-e-sabah mein...
ya shaam k pahlay sitaray mein...
jhijhakti bunda bandi mein...
k behad taez barish mein...
ro pahli chandni mein...
ya k phir tapti dopahrun mein...
bohat gehray khayaloon mein...
k behad sirsari dhun mein...
TUMHARI ZINDAGI MEA MAIN KAHAN PER HUN.....???
Comment
-
Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab
Teri tasweer meri Aankhon main basi kyun hai?
Jidhar dekhoon bus udhar Tu hi kyun hai?
Teri Yadon se Wabasta Meri Takdeer hai lekin..
Tujhe na paa ker Meri Takdeer Roothi kyun hai?
Mujh ko hai khabar asaan nahin Tujhe Haasil karna
Phir bhi yeh Intizaar, yeh Bekarari kyun hai?
Barson guzar gaye Mere Tanhai mai lekin..
Meri Baanhon ko aaj bhi Tera Intizaar kyun hai?
Teri Chahat ki Qasam Khoon ke Aansoo roya hoon
Ab nahi hai kuch baki phir yeh Jaan baki kyun hai?
Khatam huwa Mera yeh Afsana ek Baat batadoo lekin..
Anjaam tha Malooom Mujh ko phir yeh Muhabbat kyun hai
Comment
-
Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab
Zindaghi ki her haqeeqat ko lafzon mai mein kahonga
Jo tumhre dil main hoga samne mein rakh donga
hun main her dil ki kitaab jab chaoon padh longa
jo kisi ne na likha ho wo main likh ke hi rahonga
kitne shamil hai en lafzon main karwan zindaghi ke
kitne tofaan hai en maojon main jo dobe bebasi se
kitna sahema hai hasrat ka chaira es nami se
kitne gham hai jo ham lete hai eak khoshi se
her haqeet ko ek nayi tabeer main donga
Aaina zindaghi ka laake samne main rakh donga
khavab se bhi dar gayi thi jo ye hasratein
jin se cheeni thi bewaja dunya ne mohbbatein
jinke pyaar ka dushman tha yaar bhi kabhi kabhi
jinko apna ke lota tha aapno ne bhi kabhi kabhi
main her raaz ka ahsaas khamoshi se likhonga
Aaina zindaghi ka laake samne main rakh donga
jeet ke bhi harna zindaghi hai
haar ke bhi jeetne main khoshi hai
kaise muskoratein hai haste hoye zakham
kaise pite hai aanso apna hi gham
leke aati hai kaya ye zindaghi
hamko rolati hai kitna aarzo ki ye kami
apni es ghazal mai bayan main sab kerdonga
Zindaghi ki her haqeeqat ko lafzon mai main khonga
Jo tumhre dil main hoga samne main rakh donga
hun main her dil ki kitaab jab chaoo padh longa
jo kisi ne na likha ho wo main likh ke hi rahonga
Comment
-
Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab
Kaise khushiyo ka koi izhaar kare,
jisse zamaane mai na koi pyar kare;
ho jaati hai kabhi dua bhi puri,
marne ki khwaahis jo sau bar kare;
sunsaan viraane dil ke aksar udaas se lagte hain,
hounto pe angaro se aankho ke aanso jalte hain;
chubhta hai dharkano ka banjarapan,
jab har saans palpal intezaar kare;
Kaise khushiyo ka koi izhaar kare,
jisse zamaane mai na koi pyar kare;
ab mit gyi lakire haathon se,
kyu takdeero se baatain koi do char kare;
sapno ke sheeshe bikhre chand sitaro mai,
ab tufaan bhi jeene ka saaman kare;
muskil kerti hai jeena teri har yaadain,
ab kaise tum bin subah shaam kare;
Kaise khushiyo ka koi izhaar kare,
jisse zamaane mai na koi pyar kare*
Comment
-
Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab
Tod k dil mera tu muskura le
dil kare toh phr se gale lgale
main toh ek khail ho jo chaye kerke dikha de
mujhko dil se na tu kabhi pyaar ker
apne eraadon pe hi nisaar ker
thokrein maar ke phr se utha le
main toh ek khail ho jo chaye kerke dikha de
mere dil ki tu aarzo banke
lootta jaa mujhe kamzori samjhke
mujhko diwana tu kerke anjana ban gaya
apna mujhko banake begana ban gaya
jitna ji chaye aa mujhe aur sata le
main toh ek khail ho jo chae kerke dikha de
be sabab mujhko tu ne kya kya na kah diya
naam elzaam sare mujh pe na haq tu ne ker diya
teri fitrat hai tu jo chaye kerke bata de
main toh ek khail ho jo chae kerke dikha de
gham ki diwaar main kerde dafan
loot ke leja tu mera kafan
kerle hasrat teri pori o mere sanam
kitne gham de sakta hai aa de de sanam
lipte sholon ki aag ho ab raakh bana de
main toh ek khail ho jo chaye kerke dikha de
teri had ka sitam dekhe ge ham bhi ji bher ke
jo tu ker sakta hai dekhle woh tu ker ke
tujhko sharm ayegi her bat ki kabhi na kabhi
apni taqat ko tu aaj mujh pe hi aazma le
main toh ek khail ho jo chae kerke dikha de
dost mil jaige tujhe aaj bhi bhut
ankhon se dikhaige woh naye khaab bhut
teri shaan ke piche toh wo chlege
tere gham main tera saath per wo na dege
husan ki bewafayi ka tu le ke sitam
aana milne mere pass phr se sanam
saamne hoge tere tu aake bas gale se laga le
ham fida hai tujh pe esi baat ka faida utha le
Tod k dil mera tu bas muskura le
Comment
Comment