Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

PinkRoseJust4U ka Intikhaab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • PinkRoseJust4U ka Intikhaab

    Bhoolne walay se koi ye keh day zara
    is tarah yaad anay se kia faida,

    Jab mere dil ki duniya basani nhy
    phir khayalon mai anay se kya faida

    Kya kahoon apse kitni umeedein thi
    Aap kya badle duniya badal si gayi

    Aasra de ker dil tod te hein mera
    Is tarah sataane se kya faida

    Chaar tinke jala k kya mil gaya
    Mit saka na zamane se mera nishan

    Muj per bijli girao toh janoon sahi
    Ashiaan per gurane se kya faida.....!!!!


    Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar tha
    Woh laut kar na aaya magar intezaar tha
    Jo humsafar tha chorr gaya raah main mujhe
    Main phans gayi bhanwar main woh darya ke paar tha
    Manzil qareeb aayi to tum door hogaye
    Itna to tum batao ke yeh kaisa Pyaar tha
    Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan
    Na woh sakoon se betha na mujh ko qaraar tha
    Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka
    Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha
    Yeh baat umer bhar samjh na paayi main
    Kyun Dil mera us ka talabgaar tha



    Baat krni mujhe mushkil kabhi aisi toh na thi
    Jaise ab hai teri mehfil kabhi aisi toh na thi

    Le gaya koun aaj tera sab-o-qarar
    be-qarari tujhe aey dil kabhi asi toh na thi
    Last edited by Aania; 7 February 2007, 08:53.


  • #2
    Shararat na hoti Shikayat na hoti

    Shararat na hoti Shikayat na hoti
    Nainon mai kisi k nazakat na hoti

    Na hoti beqarari Na hotay hum tanha
    Ager jahan mai khambakht ye mOhabbat na hoti

    NA hote ye Sapne Ye khwabon ki duniya
    Kisi ko chahat ki tamana na hoti

    Na zulfon ki chaoon na Pholon ki khushboo
    Yaadon mai unki ye raatein na kat ti

    Jo na hoti Mohabbat YE ansu na hote
    Dil bhi na khota Aaj tanha na rota

    Deewano si apni ye halat na hoti
    Ager jahan mai Kambakht
    KAASH YE MOHABBAT NA HOTI

    Comment


    • #3
      Re: Shararat na hoti Shikayat na hoti

      very nice sharing :)

      kash ke bohat kuch na hota:tasali:
      :rose Refreshing_breeze :rose

      Comment


      • #4
        Re: Shararat na hoti Shikayat na hoti

        Thnx Yaar

        Well Yarr ager bht kuch nhy hota toh phr
        na mein hota aur na app hoti aur aur ........

        Well simple k Insan k pas yarr Dil na hota bas







        Comment


        • #5
          Re: Shararat na hoti Shikayat na hoti


          Hum ne Kitabon mai Phool Rakhay Sirf Tere Liye
          Hum ne Dil k derwazay Kholay hain Sirf Tere Liye

          HUm ne sara Jahan chore dya Sirf Tere Liye
          Hum ne Chahaton k bandhan torr diay sirf Tere Liye


          HUm toh teri Yaad mai khoay rehtay hein
          Hum khud ko bhool gaey hein Sirf Tere Liye


          Comment


          • #6
            Re: Shararat na hoti Shikayat na hoti

            buhut hi khoob ......... kalam to buhut hi pyara likha hai ........... buhut acha laga parh ker .......... :)

            mazeed ka intezar rahey ga ........ :rose
            sigpic

            Comment


            • #7
              Re: Shararat na hoti Shikayat na hoti

              Originally posted by pinkrosejust4u View Post
              Thnx Yaar

              Well Yarr ager bht kuch nhy hota toh phr
              na mein hota aur na app hoti aur aur ........

              Well simple k Insan k pas yarr Dil na hota bas





              insan hay to dil bhi ho ga
              dil hay to dharkn bhi ho ge
              dharknain hay to mohabbat to ho ge
              mohabbat na ho ge to kia pta chaly ga
              k isi ka naam mohabbat hay jo app ko ho ge:na: :rose :salam:

              Comment


              • #8
                Re: Shararat na hoti Shikayat na hoti

                bohth khoob.,
                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                Comment


                • #9
                  Re: Shararat na hoti Shikayat na hoti

                  bohth khoob.,
                  YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                  Comment


                  • #10
                    Kadmon mai tere Akhri

                    Kadmon mai tere Akhri
                    dhadkan bicha chalay
                    mathe per tere jo ek shikan
                    thi, mitta chale

                    waqt-e-nizza itni tasali toh
                    thi dil ko
                    tum bewafa hue toh hue
                    Hum nibha chale

                    araam tha kuch aag ki
                    germi se zakhm ko
                    aey woh meri Qaber per
                    shama bhujaa chale

                    kaise banaun uss jagah
                    khawbon ka Aashiyaan
                    har simt farebon ki jahan
                    per hawa chale

                    usne hamari khawaishen
                    pairon tale roun dii
                    har ek raaza per hum jiski
                    gerdan jhuka, chale

                    hathon ki lakiron ko
                    buja jaan ker chup hun
                    kismat mai hai likha jo
                    usper zorr kya chale

                    nakaam hasratoon ko
                    bhulaane kahn jate!!
                    nikle teri galli se
                    suu-e-maikada chale

                    "Asim" yun gham-e-yaar
                    tu seene mai chupa le
                    chehra bhi ger koi pardhe
                    kuch na pata chale



                    Comment


                    • #11
                      Re: Kadmon mai tere Akhri

                      U r like ????????

                      Comment


                      • #12
                        Re: Kadmon mai tere Akhri

                        Plz aap apni poetry yehan share kia karian........yeh aania ka thread hay yehan siraf wo hi ker sakti hain....

                        all the best.

                        Comment


                        • #13
                          Re: Kadmon mai tere Akhri

                          Sorry miss Aania maine app k form mai apni poetry likh dii.
                          bcz mujhe nhy pata k kahn kertay hein poetry share toh isliye maine yahan kerdi.
                          well ager apko burra na lagay toh kia mai yahan apni poetry
                          share ker sakta hun???
                          if u dont mind?

                          Comment


                          • #14
                            Re: Kadmon mai tere Akhri

                            nice sharing

                            Comment


                            • #15
                              Re: Kadmon mai tere Akhri

                              very nice
                              keep sharing
                              :rose Refreshing_breeze :rose

                              Comment

                              Working...
                              X