Bhoolne walay se koi ye keh day zara
is tarah yaad anay se kia faida,
Jab mere dil ki duniya basani nhy
phir khayalon mai anay se kya faida
Kya kahoon apse kitni umeedein thi
Aap kya badle duniya badal si gayi
Aasra de ker dil tod te hein mera
Is tarah sataane se kya faida
Chaar tinke jala k kya mil gaya
Mit saka na zamane se mera nishan
Muj per bijli girao toh janoon sahi
Ashiaan per gurane se kya faida.....!!!!
Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar tha
Woh laut kar na aaya magar intezaar tha
Jo humsafar tha chorr gaya raah main mujhe
Main phans gayi bhanwar main woh darya ke paar tha
Manzil qareeb aayi to tum door hogaye
Itna to tum batao ke yeh kaisa Pyaar tha
Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan
Na woh sakoon se betha na mujh ko qaraar tha
Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka
Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha
Yeh baat umer bhar samjh na paayi main
Kyun Dil mera us ka talabgaar tha
Baat krni mujhe mushkil kabhi aisi toh na thi
Jaise ab hai teri mehfil kabhi aisi toh na thi
Le gaya koun aaj tera sab-o-qarar
be-qarari tujhe aey dil kabhi asi toh na thi

Comment