Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

PinkRoseJust4U ka Intikhaab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

    Originally posted by pinkrosejust4u View Post
    Thnx lekin kuch baton ka jawab ankhon se toh dia ja sakta hai na

    ha bilkul ..pr koi ankhoo ki zuban samjheyy bhi tuu

    Comment


    • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

      Originally posted by aquari View Post
      zaberdast.....:clap:
      Thnx mem waise hum dono per bht ziada suit kerti hai ye poem

      Comment


      • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

        Originally posted by pinkrosejust4u View Post
        Thnx mem waise hum dono per bht ziada suit kerti hai ye poem

        u r absolutly right :thmbup:

        Comment


        • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

          Taraash ke mere baazoo uraan chorh gaya
          Hawa ke pass berahna kaman chorh gaya

          Rafaqaton ka meri usko dhyan kitna tha
          Zameen leli mager aasman chorh gaya

          Ajeeb shakhs tha barish ka rung dekh ke bhi
          Khule dareeche pe ik phool daan chorh gaya

          Jo baadlon se bhi mujhko chupaye rakhta tha
          Barhi hai dhoop tou be-sayeban chorh gaya

          Nikal gaya kahien andekhe panion ki taraf
          Zameen ke naam khula baadban chorh gaya

          Uqaab ko thi garz faakhta pakarne se
          Jo girr gayi tou yunhi neem jaan chorh gaya

          Najane konsa aaseb dil mein basta hai Ke
          jo bhi thehra woh makan chorh gaya

          Aqab mein gehra samnder rahe saamne jungle
          Kiss inteha pe mera meherban chorh gaya

          Comment


          • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

            Dil main phir dard howa dair talak

            Na mili iss ko dawa dair talak

            Mein nay khoshboo ki haqeqat poochi

            Phool khamosh raha dair talak

            Tum nay to sirf suna hee ho ga

            Mein nay jo dard saha dair talak

            Shab ko phir mein nay sulgata paya

            Mun ka khamosh diya dair talak

            Uss nay kuch aur kaha tha shayed

            Mein nay kuch aor suna dair talak

            Uss nay poocha k mujhe yaad kiya?

            Mein nay tab hans k kaha dair talak

            Janay wala nahi ek pal bhi ruka

            Aks aankhoon main raha dair talak

            Maslahat reh gaee hontoon pay Asim

            Rooh main shor macha dair talak

            Comment


            • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

              Tum ne Poocha ha ke
              Dukh kia hota hai
              To Suno! ...........
              Aisa Karna
              Kabhi kisi ko chahna
              or Chahate hi rehna
              Din bher us ko sochte hi rehna
              Apne haath ki lakeeron main us ka naam tarashte hi rehna
              or jab kabhi woh
              in Riyazaton ka hisaab mangne ke liey
              samne aaey to ........


              Tum "ANAA" ka hath thaam lena
              Ager woh kuch kahey to
              Muskura ker Anjaan ban jana
              Or jab woh Mayoos Ho ker lout jaey to
              Apne ander Jhankna,,, or
              Khud se pooch na ......
              Tab tumhara dil tumhain bataeyga ,,, Ke
              Dukh kiss ko kehtey hain
              or
              Dukh kia hota hia!!!!!!!!...........

              Comment


              • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                Azal say hai mohabbat mavara lafzoon ki mala say

                Mager yeh bhi haqeeqat hai

                Mohabbat soch k akash per badel ki sorat main ,

                Sada parwaz kerti hai

                Kabhi barish ki bondoon main simatt ker dil ki dharti per,

                Utarti hai............Bikharti hai

                Ada lay ker saba say yeh , gulaboon say mehak lay ker

                Dhanak say rang lay ker aor sitaroon say chamak lay ker

                Haseen aanchal banatee hai

                Issi anchal say phir khawaboon kay kachay ghar sajatii hai

                Mohabbat aazmati hai

                Kabhi yeh shair ban ker lafzoon ki hurmat badhati hai

                Kabhi yeh saz ban ker dheeray dheeray gungunati hai

                Sarapa aankh ban jati hai yeh mehboob ko pa ker

                Anokha lams ban jati hai koay yar main ja ker

                Na janay kon sa manter yeh padh ker holay holay say

                Kisi ki band palkoon main bina dastak diyey yaqdam

                Uttar ker ghar banati hai...............Mohabbat muskurati hai,

                Yeh khushboo hai hamesha phool ki sansoon main hoti hai

                Bana day chand, teera shab ko jo yeh aisa motii hai

                Kasak hai daiieme iss main bohat baynaam lazat hai

                Mohabbat ki yahi tareef hai k yeh Mohabbat hai

                Comment


                • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                  :rose ASSALAM U ALIKUM:rose
                  BOHAT HI ACHI HAY AP KI YE SHARING.
                  HAMESHA kHUSH RAHAIN AMIN
                  :rose :alhamd: :rose
                  Yeh Dunya hay yehan ik doosray kay kaam Ajao
                  yehan kay baad to bas apna apna bojh uthana hay
                  :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose

                  Comment


                  • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                    [quote=pinkrosejust4u;409250]
                    VERI NICE.
                    :rose :alhamd: :rose
                    Yeh Dunya hay yehan ik doosray kay kaam Ajao
                    yehan kay baad to bas apna apna bojh uthana hay
                    :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose

                    Comment


                    • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                      [quote=Shiza422;409258]
                      Originally posted by pinkrosejust4u View Post
                      VERI NICE.
                      Thnx for you comments:)

                      Comment


                      • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                        MOHABBAT hai.......

                        Thatharti aabsharoon main bichi thandi hawa sehna

                        Shaboon k gunbadoon main goonjati baychainyoon k darmayan rehna

                        Her ek mosam ko apnay androoni mosamoon ki zad main lay aana

                        Kabhi mil k kisi say

                        Bay khabir , aadhay samunder tak safer kerna

                        Kabhi tanha kisi sahil pay aa k dair tak lehroon ko ginana

                        Aor khala main dekhtay rehna Muhabbat hai

                        Kisi khoay howay ko ghair iradi toor per

                        Her aajnabi chehray main akser dhoondatay rehna.

                        Hamesha bay khayali main

                        Kitaboon , chand taroon , badloon per.

                        Uss k barey jhilmilati baat likh daina.

                        Ya phir likh k mita daina

                        Kabhi rangoon ki lehroon per

                        Ussay bay soot hontoon say sada daina

                        Sada ko bazgasht aor gonj main dhal ker

                        Khalaoon say tahi damin paltay dekhna

                        Aor phir sada daina

                        MOHABBAT hai.......

                        Mein kia likhoon

                        Kabhi aisa bhi hota hai

                        Bohat hee rooth ker

                        Naraz ho ker

                        Napasandeeda khayaloon

                        Nafratoon ki aoot say

                        Ya mukhtalif heeloon bahanoon say

                        Kisi ko jhankatay rehna

                        Kisi ko sochatay rehna

                        Woh manay ya na manay bas ussay likhna ussay kehna

                        MOHABBAT hai.......

                        Comment


                        • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                          Woh bohat door say aaya tha ,

                          Kisi anjan nager say...........

                          Uss k pass kuch sunahray alfaz thay uss ki kul kayinat , kul assasa

                          Rang barangay,badloon jaisay, titli k paroon jaisay alfaz

                          Her lafz apnay ander maani ka jahan liyey howay tha,

                          Mafaheem ki lughat seenay main chupaey

                          Lekin , uss k lafzoon main lahoo ki mehak sab say namaya thi

                          Mager yeh laho uss ka apna nahi kisi aor ka tha

                          Woh mujh say mila to chonk uttha

                          Lagta hai tum say pehlay bhi mulaqat kahin ho chuki hai

                          Uss ki aankhein goya thein

                          Meri aankhoon ki zuban khushk patay jaisi ho gaee

                          Tab uss nay apnay lafzoon k khazanay main say aik lafz bahir nikala

                          Aor mujh ko sonap diya

                          Mein nay jaldee say palkoon ki jhalar main uss lafz ka sitara atka liya

                          Woh lafz khoob soorat, chup chap bolta howa tha

                          Jantay ho, woh lafz kia tha ?

                          Woh lafz tha Mohabbat

                          Mujhay woh lafz day ker apni dunya main loat gaya,

                          Palat ker dekha bhi nahi

                          Aor mein rastay main thak ker so gaya

                          Suno , .............

                          Log rastay main thak har ker so janay waloon ko pagel kion kehtay hain

                          Comment


                          • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                            dharkan k zero bum ko sunwara tha aur bus
                            kaghaz pay dil ka bojh utaraa tha aur bus

                            Bus itna janta hoon kay aawaz uss ki thi !
                            Itna pata hai , uss nay pukara tha , aur bus

                            Dunya ki fiqar kia thi , zamanay ka khoaf kia ?
                            Hum ko faqat khayal tumhara tha , aur bus

                            Logoon nay ussko meri mohabbat samajh liya
                            Woh mujh ko jaan say payara tha , aur bus

                            Comment


                            • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                              Hamara dil saveray ka sunehra jaam ho jaye
                              chiraghoon ki tarah aankhain jalain jab shaam ho jaye

                              kabhi tou aasman se chand utray jaam ho jaye
                              tumharay naam ki aik khobsurat shaam ho jaye

                              ajab halaat the youn dil ka sauda ho gaya aakhir
                              mohabbat ki hawaili jis tarah nelaam ho jaye

                              samandar k safar main es tarah aawaz de humko
                              hawayain taez hun aur kishtiyoon main shaam ho jaye

                              muje maloom hai ous ka thikana phir kahan ho ga
                              parinda aasman choone main jab nakaam ho jaye

                              ujalay aapni yaadon k hamaray saath rehne do
                              na jaane kis gali main zindagi ki shaam ho jaye

                              Comment


                              • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                                Originally posted by pinkrosejust4u View Post
                                Tum ne Poocha ha ke
                                Dukh kia hota hai
                                To Suno! ...........
                                Aisa Karna
                                Kabhi kisi ko chahna
                                or Chahate hi rehna
                                Din bher us ko sochte hi rehna
                                Apne haath ki lakeeron main us ka naam tarashte hi rehna
                                or jab kabhi woh
                                in Riyazaton ka hisaab mangne ke liey
                                samne aaey to ........


                                Tum "ANAA" ka hath thaam lena
                                Ager woh kuch kahey to
                                Muskura ker Anjaan ban jana
                                Or jab woh Mayoos Ho ker lout jaey to
                                Apne ander Jhankna,,, or
                                Khud se pooch na ......
                                Tab tumhara dil tumhain bataeyga ,,, Ke
                                Dukh kiss ko kehtey hain
                                or
                                Dukh kia hota hia!!!!!!!!...........

                                kia baat hai
                                For New Designers
                                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                                Comment

                                Working...
                                X