Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Salauddin Mengal Ka Intikhab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: Aik Nazam - Posted by Lexicon

    jee haan aap ko achi lagi na.
    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

    Comment


    • #77
      Re: Aik Nazam - Posted by Lexicon

      Umm Nice

      Comment


      • #78
        Usey Apni Farda Ki Fikar Thi, Woh Jo Mera Waqif-e-hal Tha,

        Usey Apni Farda Ki Fikar Thi, Woh Jo Mera Waqif-e-hal Tha,
        Woh Jo Us Ki Subh-e Urooj Thi, Woh Hi Mera Waqt-e-zawal Tha.
        Kahan Jao Gay Mujhay Chor Kay, Ye Mein Pooch Pooch Kay Thak Gaya,
        Woh Jawab Na Mujh ko Dey Saka, Woh To Khud Sarapa Sawal Tha.
        Meri Baat Kaisay Woh Manta, Meray Dard Ko Woh Kaisay Janta,
        Woh To Khud Fana Kay Safar Mein Tha, Usey Rokna Bhi Mahal Tha.
        Woh Jo Us Kay Samnay Aa Gaya, Woh Hi Roshni Mein Naha Gaya,
        Ajab Us Ki Hayat-e-ishq Thi, Aajab Us Ka Rang-e- Jamal Tha.
        Damay Wapsi Aray Kia Howa, Na Woh Roshni Na Woh Tazgi,
        Woh Sitara Kaisay Bikhar Gaya, Woh To Aap Apni Misal Tha.
        Woh Mila To Sadyoon Kay Baad Bhi, Meray Lub Pay Koi Gila Na Tha,
        Usay Meri Chup Nay Rula Diya, Jisay Guftago Mein Kamal Tha.
        Meray Saath Lag Kay Woh Ro Diya, Mujhay Bus woh Itna Hi Keh Saka,
        Jisay Janta Tha Mein Zindagi, Woh Mehaz Wahm-o-khiyal Tha.
        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

        Comment


        • #79
          A dil Rona nehi hai

          A dil Rona nehi hai
          kase samjhaoo k rona nehi hai
          Rona wale ko yeh duniya Aur rolati hai A dil-e-masoom tu na ro bohat ro liya hai
          Ab tu na roo kyon kai yeh duniya
          Rona wale per hasti hai
          ab to samajh ja A dil-e-masoom
          jo chala gaya hai wo lot kar ata nehi hai
          har taraf tanhai hai
          har taraf andahra hai du'a main bus maine us ko maanga hai
          wo bhi majhey na mila hai
          phir bhi tum majh se kahte ho rona nehi hai
          es waqt puri duniya majh per has rahe hai
          dil rona ko chah raha hai
          aur tum kahte ho rona nehi hai joutha khwab dhekatee rahe tum
          majhey ab kio khwab nehi dhekna hai yeh duniya dhoka se bhari hai
          majhey es duniya mein ab nehi rahna hai har kio jate jate lambi umar ki dua dai jata hai
          du'a dai kar majhey apna fiyda ka liye estamal kar ka chala jata hai
          majhey zindagi se kio shikyaat nehi hai
          majhey to es zindagi nai sab kuch deya hai shikyaat to bus apna naseeb se hai
          kyon ka sab kuch mil kar bhi koh gaya hai apni takqeer hi karab hai
          jo use hasil kar kai bhi kise aur ko dai deya hai
          hum nai to khod apna hatho se
          Apni khud kabar bana li hai
          hum nai to apna dil ka hatho majboor ho kar
          apna paoo per khud kolhari mari hai
          dil tuna ab rona nehi hai
          A RAJA bus ab rona nehi hai
          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

          Comment


          • #80
            Yaad aati hai to hum is.




            Salauddien


            Yaad aati hai to hum is dil ko rok lete hain
            aanchal na mile to ashq haathon se ponch lete hain
            marham na mila to zakhmon ko bahne dete hain

            dard dil mein rakhkar dhadkan ko sahne dete hain

            Machle jazbaat to yeh dil ka dosh hi hoga
            bharam mein jeene ka yehi shayad sila hoga

            yaad karte hain tumhe har saans ke aane jaane pe
            sunte hain aapki hasi har kisi ke muskuraane pe
            aati hai aahat tumhari kisi ke bhi paas aane pe

            Aapke na milne pe bhi yeh zindgi ko jee lenge ,
            duniya ke har ik zaher ko hum magar pee lenge,
            saans aane saans jaate yaad bas tu aayegi ,


            Saanson se saanson ki yeh dhun saans mein gungunaayegi ,
            yaad karne yaad aane ka silsila chalta jayega ,
            saanson se saanson ka rishta saans ke sang jayega !!!!
            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

            Comment


            • #81
              Re: Yaad aati hai to hum is.

              bohat khoob - weldone :)
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #82
                Teray Firaq Kay Lamhay Shumaar Kartay Howay

                Teray Firaq Kay Lamhay Shumaar Kartay Howay
                Bikhar Gaey Hain Tera Intezar Kartay Howay
                To Main Bhi Khush Hooon Koi Ussay Ja Kay Keh Dena
                Agar Woh Khush Hai Mujhe Beqarar Kartay Howay
                Main Muskurata Howa Aaenay Main Ubhar Aon GA
                Woh Ro Paray Gi Achanak Singhar Kartay Howay
                Tumhin Khabar Hi Nahi Hai Koi Tooth Gaya Hai
                Mohabbaton Ko Bhout Paidar Kartay Howay
                Woh Keh Rahi Thi Samandar Nahi Hain Ankhain Hain
                Main In Main Doob Gaya Aitbar Kartay Howay
                Mujhe Kabhar Thi Kay Ab Laut Kar Na Aon GA
                Tujhko Yaad Kia Dard Par Kartay Howay
                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                Comment


                • #83
                  Tanhai (Loneliness)

                  Tanhai (Loneliness)

                  Khuda se poocha humne " parwardigar kyun hotha hai dil patthar sa kuch logon ka"

                  Tho malik ne tumhari taraf mudh kar kaha, "taki woh sheeshey walon ka dil tod dein"

                  baharon ki taraf mudh kar poocha kyun hansi nahi meri zindagi main
                  Usne tumharey labon ki taraf ishara kar kaha, uska tho katl kiya kisi ki bekhudi ne

                  Maine raat ke sannatey se prashna kiya kyun haseen nahi lagthi mujhe ye fiza

                  To usne tumhare ghaney baalon ko dikha kar samjhaya,laut aayegi jannat agar tu kar saka is haseen pari ko raza.

                  Gulab ko jab poocha bolo kyun mera gulshan veeran hai

                  To usne tumhari aankhon ko dikhakar samjhaya, tumhari jannat ye phoolon
                  ki kaliyan nahi kisi ke naino ka gulistan hai

                  Yun hi poochta gaya sabse aur sab tumhari taraf ishara kartey

                  Aaj tanhai se jab hum ghirey huey hain tab ehsaas hua ki doosron ki
                  tarah hum kyun nahi martey.
                  YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                  Comment


                  • #84
                    Re: Teray Firaq Kay Lamhay Shumaar Kartay Howay

                    bhot khub


                    Never trust blindly!!!!

                    _______________________________



                    _____________________________________________

                    Comment


                    • #85
                      Re: Usey Apni Farda Ki Fikar Thi, Woh Jo Mera Waqif-e-hal Tha,

                      one of my fav.
                      nice sharing :salam:

                      Comment


                      • #86
                        Re: Usey Apni Farda Ki Fikar Thi, Woh Jo Mera Waqif-e-hal Tha,

                        Assalaam-0-Alaikom:rose

                        buht khoob :)
                        For New Designers
                        وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                        Comment


                        • #87
                          Re: Teray Firaq Kay Lamhay Shumaar Kartay Howay

                          Assalaam-0-Alaikom:rose

                          buht khoob
                          For New Designers
                          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                          Comment


                          • #88
                            Re: Yaad aati hai to hum is.

                            Assalaam-0-Alaikom:rose

                            really niceeee
                            also presentation
                            For New Designers
                            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                            Comment


                            • #89
                              Re: Teray Firaq Kay Lamhay Shumaar Kartay Howay

                              Very Nice

                              Comment


                              • #90
                                Re: Yaad aati hai to hum is.

                                Bohat he zabardast sharing hai :rose

                                Comment

                                Working...
                                X