Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Salauddin Mengal Ka Intikhab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #91
    Re: Usey Apni Farda Ki Fikar Thi, Woh Jo Mera Waqif-e-hal Tha,

    Umm Nice sharing :rose

    Comment


    • #92
      Re: A dil Rona nehi hai

      Nice :rose

      Comment


      • #93
        Re: Usey Apni Farda Ki Fikar Thi, Woh Jo Mera Waqif-e-hal Tha,

        App sab ka bohth shukrya.
        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

        Comment


        • #94
          Re: A dil Rona nehi hai

          thanks sister u are well come.
          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

          Comment


          • #95
            Re: A dil Rona nehi hai

            Assalaa-0-Alaikom:rose

            niceeeeee one :)
            For New Designers
            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

            Comment


            • #96
              Tu Kahin Bhi Rahay

              Tu Kahin Bhi Rahay Sar Per Tere Ilzam To Hai
              Tere Hathon Ki Lakiron mein Mera Naam To Hai


              Mujh Ko Tu Apna Bana Ya na Bana Teri Khushi
              Tu Zamanay Mein mere Naam Se Badnaam To hai


              Mere Hissay Mein Koi Jaam na Aaya Na sahi
              Teri mehfil mein Mere Naam Koi Shaam To Hai


              Dekh Ker Log Mujhe Tera Naam Letay Hain
              Is Pey Main Khush Hoon Mohabbat ka yeh anjam to hai


              Woh Sitamghar he sahi Dekh kay Us ko
              Shuker Is Dil -e-Bimaar ko Aaram to hai


              Tu Kahin bhi Rahay Sar Per Tere Ilzam To hai
              Tere Hathon Ki lakiron Mein Mera Naam To Hai


              AlwaYs Remember Me In Ur Prays</EM>
              Prince_Kharan@yahoo.com
              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

              Comment


              • #97
                Re: A dil Rona nehi hai

                Thanks Behn App Ka Bohth shukriya.
                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                Comment


                • #98
                  Re: Tu Kahin Bhi Rahay

                  Assslam-0-Alaikom:rose

                  hmm..buht khoob :)
                  For New Designers
                  وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                  Comment


                  • #99
                    Re: Tu Kahin Bhi Rahay

                    bohth shukrya.
                    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                    Comment


                    • Re: Yaad aati hai to hum is.

                      Bohth Shukriya App sab Ka,
                      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                      Comment


                      • Re: Yaad aati hai to hum is.

                        ----------------------Ishq------------------------

                        door ho ke bhi, tu hai mere paas kitani,
                        tere khwabon mein raatein gujaarin kitani.

                        jahaan mein bayaan-e-naqsh-e-yaar(1) karne,
                        humne yakta(2) yaar ki misaalein(3) deen kitani.

                        ahad-e-vasl-e-yaar(4) nibhane roj humne,
                        deed-e-chaand(5) kar nazarein milayein kitani.

                        uske haath ke siaah(6) til pe pucha humne,
                        tumhaare haath mein daulatein aayein kitani.

                        to mera chehra haath mein le kahaa usne,
                        dekho mere haath mein daulatein aayein kitani.

                        khud bayaan(7) na kar saka us shayar ne,
                        jahaan ko zabaan-e-bayaan-e-ishq(8) deen kitani.

                        tulasi(9), majnu na jane deewane kitane,
                        ishq mein humne bhi to "khaaq" chhani kitani.
                        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                        Comment


                        • Pyar nahiee.




                          Salauddien



                          Makhmal ki chaadar par saath sona PYAAR nahi,
                          Kaanton se bhari raah tak saat dena PYAAR hai.


                          Duniya ko bhula dena PYAAR nahi,
                          Duniya jab bhool jaye tab yaad rakhna PYAAR hai.


                          Saath marna PYAAR nahi,
                          Mar kar fir milne ki aas rakhna PYAAR hai.
                          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                          Comment


                          • Re: Teray Firaq Kay Lamhay Shumaar Kartay Howay

                            Thanks to all of y ...

                            --------------------------Fanaa-----------------------------

                            tum mujhe na mili mana yeh kismat thi humaari,
                            par ik deed(1) bhi na di yeh berukhi thi tumhaari.

                            mujhko bhi logon ne chadar se dhaank diya hai,
                            to surkh reshami libas zeenat(2) badha raha hai tumhaari.

                            yun to kuch baasi gul afshaanee(3) bhi hue hain mujh par,
                            to tere kuche(4) ki saba(5) gul-e-tar(6) naqsh(7) bana rahi hai tumhari.

                            yaar-o-azeez(8) ro rahe hain waqt-e-rukhsat-e-yaar(9) mein,
                            tere bhi zaar zaar(10) ho rahe hain judaai mein tumhaari.

                            main bhi to aaj char kandhon pe jaa raha hoon,
                            lo kandhon par hi doli bhi uth rahi hai tumhaari.

                            wafaa ka naam liye rah-e-ishq(11) mein fanaa(12)(mortality) hua hun main,
                            teri jafaaon(13) se muhabbat bhi fanaa(dead) hui hai aaj humaari.

                            tu bhi sitaron ki apni ik nayi duniya mein jaa rahi hai,
                            main bhi sitaron ke paar, jaa raha hun duniya se tumhaari.

                            jeete ji woh shakl dikhaane na aayi "khaaq", to na sahi,
                            jab ji chaahe ruk jana, tere raste mein hi hai mazaar(14) humari.
                            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                            Comment


                            • Bheegi Hui Aankhon Ka

                              Bheegi Hui Aankhon Ka

                              Bheegi Hui Aankhon Ka Yeh Manzar Na Mille Ga
                              Ghar Chor Ke Mat Jao Kaheen Ghar Na Mille Ga

                              Phir Yaad Bohot Aaye Gi Zulfon Ki Ghani Sham
                              Jab Dhoop Mein Saaya Koi Sar Per Na Mille Ga

                              Aansoo Ko Kabhi Oss Ka Qatra Na Samajhna
                              Aisa Tumhein Chahat Ka Samandar Na Mille Ga

                              Is Khowaab Ke Mahool Mein Be-Khowaab Hain Aankhein
                              Jab Neend Bohot Aaye Gi To Bistar Na Mille Ga

                              Yeh Sooch Lo Ab Akhri Saaya Hai Mohabbat
                              Is Dar Se Utho Ge To Koi Dar Na Mille Ga
                              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                              Comment


                              • Yahan Tho log Pal ke Sath nahiee bolte.




                                Yaha log to pal ka sath nahi bhoolte



                                Yaha log to pal ka sath nahi bhoolte,tumne sab kuch bhula dala hei
                                Apnon se ziada tumhe jo chahta tha, ussi ka sath ganwa dala hei


                                Jo tumhare dil mein hi raha, aur jiske dil mein tum tab se thi
                                Jisne pyar kya to sirf tumse kya, uski zindagi mein jab se thi



                                Koi wajah bhi to hoti, ye kya kiya ke tab hath hi chod diya
                                Jab uss shahs ne tumhare liye,apni zindagi ka rukh mod diya



                                Bhala ye sab kuch hone ke baad, dil ko kaise samjha tum paati ho
                                Itna pyar bhara naata tod kar, kya dil se muskura tum paati ho



                                Ke tumne jo bhi kya acha kya, ke ussi shahs ka dil tod dala hei
                                Jisne zindagi ke andhere kunwe se,tumhe hath tham kar nikala hei



                                Jiski ankhon se tumne, apne ansoon nikalte dekhe hein
                                Apne hi sapne uski ankhon mein, tumne palte dekhe hein



                                Jisko tumne apni zindagi ka har raaz bata dala tha
                                Apna hath uske hathon mein, bilajijak thama dala tha



                                Chalo kya hua jo tum bewafa nikli, ab dekh liya rang zamane ka
                                Shaid yehi sila milna tha, sab chod ke tumhe apna banane ka



                                Mujhe kya thi khabar iss baat ki, ke kisi aur ki yun ho jaogi
                                Ke apne humdum ka naam mera nahi, kisi aur ka tum yun bataogi



                                Jiske har ik khat mein, pyar kuch aise andaaz se chalakta tha
                                Kabhi bhi hatam hone wala nahi ye, humko aisa hi lagta tha



                                Mujhe na gham hei, na shikayat hei, na koi hei ab dil mein baat
                                Beech raste mein himat chod de jo, Wo kya dega kisi ka saath


                                Jo bhi tumne kya hei sath mere, tumhara dil ye tumko bata dega
                                Baddwa de kar kya paonga, iss ka jawab tumhe mera khuda dega



                                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                                Comment

                                Working...
                                X