Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Salauddin Mengal Ka Intikhab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Dard

    Thank you so much khalil bhaiee jaan...
    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

    Comment


    • Re: Dard

      Aap ne bohot hi achi nazm likhi hai................nice sharing.....:)
      sigpic


      Comment


      • Re: Aankhain Khuab Dekhti Hain

        nice choice of poetry...........:)
        sigpic


        Comment


        • Re: Jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay

          bohut khoob

          Comment


          • Re: ***Bana Gulaab To Kaante Chubha Gaya Ek Shakhs***

            great

            Comment


            • Re: ***Bana Gulaab To Kaante Chubha Gaya Ek Shakhs***

              Assalaam-0-Alaikom:rose

              buht zbaradast
              Unbaid-u-llah Aleem ka buht acha kalaam share kia hai ap nay :clap:
              For New Designers
              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

              Comment


              • Re: ***Bana Gulaab To Kaante Chubha Gaya Ek Shakhs***

                Tanks To both of u for repling.
                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                Comment


                • Re: Jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay

                  thanks so much ffor repling..
                  YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                  Comment


                  • Re: Aankhain Khuab Dekhti Hain

                    thanks wafa for repling..
                    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                    Comment


                    • Re: Dard

                      thanks wafa for repling....
                      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                      Comment


                      • mager us din bohot daer ho jai gee ,

                        mager us din bohot daer ho jai gee ,

                        tum milna chaho gee mager mujh ko daekh na pawo gee,
                        tum dhoondo gee mujhe mager daekh na pawo gee,
                        tum tarpo gee meri yaad me or aansoo bahawo gee.
                        mujhe daekhe bina ik pal bhe na reh pawo gee.
                        meri yaad me tum gum sum ho jawo gee,
                        khud apni gali ka pata bhe bhool jawo gee,
                        mere tasauwur me tum aise kho jawo gee ,
                        koi pukare ga tum meri hi bataen dohrawo gee,
                        or me door khra teri bechen ko daekhta rahoon ga,
                        or tum kuch pal ke liye mujh se khafa ho jawo gee,
                        or me teri bikhri zulfoon ko sunwaroon ga,
                        or tum sharma kar mere gale se lag jawo gee,,
                        or phir jab tum rooth kar kaheen door chali jawo gee,
                        us din me phir tum se yahee baat kahoon ga,
                        kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee ,
                        me tum hare bot kareeb hoon ,
                        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                        Comment


                        • Khawab

                          KHAWAB
                          MEIN NE ESSA KHWAB DEKHA
                          JISS KI KOI TAHBEER NHEIN
                          TUM MERA NSEEB BAN SAKO
                          HATHON MEIN ESSI LAKEER NAHEIN
                          PIYAR HO GIYA HEY TUM SE MUJH KO
                          ISS MEIN TU MERI KOI TAKSEER NAHEIN
                          QAUSE E QAZZH KE KHUBOSRAT RNGON JESSI
                          DOOR KAHEIN KEHKASHAN MEIN REHNEY WALI MOORAT
                          ESSA KHIYAL HO TUM ESSA KHAWAB HO TUM
                          JISS KI KOI BHI TASWEER NAHEIN
                          MERA JISM RISHTON KE JAAL MEIN
                          JAKRA HOA AIK QAIDI SAHI
                          MERE KHAWAB WA KHIYAL MERA DIL
                          TU UNKE ASEER NAHEIN
                          MERI MAJBOORI KO SAMJHO MERI RANI
                          SADIUN SE DHURAI JA RAHI HEY APNI KAHNI
                          JAGTI ANKHON SE DEKHA HEY
                          WOH KHAWAB HO TU M
                          JISS KI KOI TAHBEER NAHEIN.
                          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                          Comment


                          • Guzra Huwa Zamana

                            Guzra Huwa Zamana

                            Yaad ata hai bohut woh guzra hoa zamana
                            Woh School ki life woh bachpan ka yarana


                            Left rite kehtay hoey hathon ko uthana
                            woh Iqbal ki dua woh asambli ka taranaa


                            Woh ghanti bajtay he classes say nikalna
                            woh lunch mai ja kar cholay chaat kahana


                            woh gurmiyon ki chUTion mai ghumnay ko jana
                            woh mastian karna aur mouj manana


                            woh tapti hoi dhoop mai cricket khailna
                            woh ratoon ko der tuk jagna


                            her khuff say azad zindagi guzarna
                            woh baat baat par Ammi say zid karna


                            woh ghaltioon pay maasomiat say sorry karna
                            woh ghusay mai Ammi ka dantna
                            aur raat mai Abbu say shikayetain karna


                            woh har shaam ko apnay time pat ghar say nikalna
                            aur mahallay mai cricket khailna


                            maghrib hotay he ghar ko loutnaa
                            werna dadi ji say jhaar sunnna


                            woh dadi ko baat baat par satana
                            aur dadi ka shafqat say samjhana


                            woh raat ko homework k waqt bahanay karna
                            aur class mai miss ka murgha banana


                            woh subha mai Ammi ka humko UThana
                            aur hamara Ammi ko kahaniya Sunanaa


                            Late school pohchnay par Madam ka jhaar pilana
                            aur kehna Madam ka kal Ammi ko bulana


                            woh Ammi Abbu ka be ghurz pyar
                            woh chacha phopho ka dular


                            woh sharatain woh kahaniyan
                            lougoon ka jin ko kehna shetaniyan


                            mour kar dekhta hoo tu sochta hoo k
                            kiya zamana tha woh jo guzar gaya


                            woh zamana kitna suhana tha
                            waqai kia zamana tha waqai kia zamana tha
                            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                            Comment


                            • Ji chahta hai tere naam aik kitab likhon

                              Ji chahta hai tere naam aik kitab likhon
                              Is kitab ka tere naam intisab likhon


                              Tujhe sharminda karne ke liye main is main
                              Tera aur mera bay baak hisab likhon


                              Main soch soch kar pagal see ho gayi hoon
                              Jhele hain jo tere gham main ne kaise woh azaab likhon


                              De gia meri zindagi ko andhere wohi
                              Khuwahish thi jise main aaftab likhon


                              Jo diye hain tu ne kanton ke bistar mujhe
                              Bohat mushkil hai in kanton ko gulab likhon


                              Mujh se munafqat na ho sake gi dil ki baat main
                              Dukhon ke samandar ko main kaise sarab likhon


                              Ajab karb main mubtila kar diya tu ne mujhe
                              Samajh nahi aata tere khat ka kya jawab likhon


                              Lafz to sab hi mita diye hain mere aansowon ne
                              Apni kahani ab main kaise teh-e-aab likhon


                              Aik aik lafz yaad hai mujhe teri guftagu ka
                              Khuwahish hai teri har baat ko khitab likhon


                              Jis ki tabeer bhi na mil saki mujh ko aye jana
                              Main apni kitab main kaise woh khuwab likhon


                              Lakhon chehron se haseen banaya tujhe khuda ne magar
                              Jo mera nahi us chehre ko kaise mahtab likhon


                              Yak tarfa faisla sunaya adalat-e-uzma ne
                              Main is jajj ko kaise izzat-e-mab likhon


                              Har baat to dil ki keh dali hai
                              Is se ziyada aur kya main janab likhon

                              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                              Comment

                              Working...
                              X