Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Khushi ka Intekhab..!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Tuu ne Dekha hai Kabhi........

    Originally posted by Khushi View Post
    Tuu hai suuraj tujhey maalum kahaan raat kaa dukh
    Tuu kisi rooz mere ghar mein utar shaam key baad

    Laut aaye na kisi rooz wo aawaraa mizaaj
    Khoul rakhtey hain isi aas pey dar shaam key baad
    Bohat khoob Dear :phool:
    sigpic

    Comment


    • Re: Tuu ne Dekha hai Kabhi........

      Super yar..........bohat ala shairing..........
      Har-Fun-Moula

      Comment


      • Re: Ye Diya Kainaat Meri!!!

        Only say grea.........t................
        Har-Fun-Moula

        Comment


        • Re: Ye Diya Kainaat Meri!!!

          boohat khoob

          Comment


          • Re: Pegham tera le kay.....

            Buhat koohb Khushi jee Jo khusiya bantnay walay hotay :) onn ko kabhi kami nahi hoti phir bhi dua hay keh khush rahiyay sadaa:)

            Comment


            • Re: Tuu ne Dekha hai Kabhi........

              Originally posted by Khushi View Post
              Tuney dekhaa hai kabhi ek nazar shaam key baad
              Kitaney chup-chaap sey lagtey hain shajar shaam key baad

              Itane chup-chaap key raastey bhi raheinge laa-ilm
              Chorr jaayeinge kisi rooz nagar shaam key baad

              Main ney aisee hi gunaah teri judaai mey kiye
              Jaisey tufaan mein koi choor dey ghar shaam key baad

              Shaam sey pahley wo mast apani uoraanoo mein rahaa
              Jis key haathoon mein they tuotey huway par shaam key baad

              Raat biti to giney aabley aur phir sochaa
              Kaun tha baais-e-aagaaz- e-safar shaam key baad

              Tuu hai suuraj tujhey maalum kahaan raat kaa dukh
              Tuu kisi rooz mere ghar mein utar shaam key baad

              Laut aaye na kisi rooz wo aawaraa mizaaj
              Khoul rakhtey hain isi aas pey dar shaam key baad
              Hum nay daykhay thay kai manzar uljhi sham kay baad
              tabhi say tehar gai shafq ki lali in aankhoun mein ...................!:)

              Comment


              • Re: chalo aaj youn kertay hain

                Originally posted by Khushi View Post
                chalo aaj youn kertay hain
                koi ahad kertay hain
                na pemaan laitay hain
                youhi haatoon may day kay haath
                kisi benaam rustay per
                kisi unjaan munzil ki
                chalo talaash kertay hain
                chalo aaj youn kertay hain
                kahi say phool cuntay hain
                kahi sau rung laitay hain
                chalo aabaad kertay hain
                chalo aaj youn kertay hain
                kabhi jugnoo pukurtay hain
                kabhi bana ker kashti kagaz ki
                kisi darya ki god bhurtay hain
                kahi sahil pur bath ker
                chota sa ghar banatay hain
                sajaatay hain sanwartay hain
                phir khud hi tor daitay hain
                chalo yeh khail khailtay hain
                chalo aaj youn kertay hain
                kisi bemaani si baat per
                bohat hi khilkhilaatay hain
                koi jo chair day hum ko
                bohat hi zor say rotay hain
                chalo buchpun ko apnay hum
                zara phir say bulatay hain
                chalo aaj youn kertay hain
                SO nice Khishi jee :)

                Chalo aaj yun hee kartay hein
                tumhara naam lay kar hum
                khuda say dua yeh kartay hein
                mil jaein wo sabhi khushiyan
                keh jin ki tum ko khahish hay
                Tum Yyunhi khil-khilao
                khe jaisy dil ki khahish hay
                chalo aaj yun hee kartay hein :)

                Comment


                • Re: Ye Diya Kainaat Meri!!!

                  Just A Bif WOW khushi ..Buhat hee zabrdast ...:) khush rahiyay

                  Comment


                  • Re: ham kiya hain

                    Beautiful:)

                    Comment


                    • Kia Khuda bhi uss ka tha!!!




                      manzilein bhe uss ke theen, rasta bhe uss ka tha

                      ik main akela tha, kafla bhe uss ka tha

                      saath sath chalne ke, soch bhe uss ke thee

                      phir rasta badalne ka, faisla bhe uss ka thaa

                      aaj kion akela hoon, dil sawal karta hay

                      loog tou uss ke thaay, kia khuda bhe uss ka tha ?



                      Never trust blindly!!!!

                      _______________________________



                      _____________________________________________

                      Comment


                      • dil dukha gaya

                        Kis kis tarah se mujhko na ruswa kiya gaya ...
                        Ghairon ka naam mere lahoo se likha gaya ...
                        Kyun aaj uska zikr mujhe khush na kar saka ...
                        Kyun aaj uska naam mera dil dukhagaya


                        Never trust blindly!!!!

                        _______________________________



                        _____________________________________________

                        Comment


                        • Re: dil dukha gaya

                          bohat khoon:)






                          Waqt guzarta raha par saanse thami si thi,
                          muskura rahe the hum, par ankhoN meiN nami si thi,
                          sath hamare ye jahaaN tha sara
                          par na jane kio kisi ki kami si thi....


                          Comment


                          • Re: Kia Khuda bhi uss ka tha!!!

                            nice choice

                            Comment


                            • Re: Kia Khuda bhi uss ka tha!!!

                              v nice

                              Comment


                              • Re: dil dukha gaya

                                lovely

                                Comment

                                Working...
                                X