:alhamd::dua
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
*Gham*
Collapse
X
-
Re: *Gham*
Assalaam-O-alaikum
Kia baat hay Mani sahab, kia professionalism aagaya hay aap kay kaam main, khoobsurat design, background, bohat hi haseen border aur bohat hi khoobsurat intikhaab font ka.
Shayeri ka jahan tak sawaal hay tou mujhay tou yeh bohat acha laga, shararti saa andaz bilkul Qateel shafayii ki likhi hoyee nazm ka:
Suna Hai Log Us Ko Ankh Bher Ker Dekhtay Hain
So Uskey Shehar Main Kuch Din Thehr Ker dekhtay Hain
Suna Hai Is Ko Bhi Hai Shair-o-Shaire Se Shaghaf
So Hum Bhi Moajzey Apney Huner K Dekhtay Hain
Suna Hai Boley To Batoon se Phool Jhertey Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar K Dekhtey Hain
Suna Hai Raat Usey Chand Takta Rehta Hai
Sitarey Bam-o-Falak Se Uter Ker Dekhtay Hain
Suna Hai Din Ko Titliyan Usey Satati Hain
Suna Hai Raat Ko Jugnu Thehr K Dekhtey Hain
Suna Hai Is K Labon Se Gulaab Jaltey Hain
Mousam-e-Bahar Per Ilzam Dher K Dekhtey Hain
Suna Hai Is K Badan Ki Tarash Aesi Hai
K Phool Apni Qabaen Kutter Ker Dekhtey Hain
Rukey To Gardishen Is Ka Tawaf Karti Hain
Chaley To Is ko Zamaney Thehr K Dekhtey Hain
Kahaniyan Hi Sahih Sab Mubalghey Hi Sahih
Ager Woh Khaab Hai To Tabeer Kar K Dekhtey Hain
Ab Is Sheher Main Thehren K Kooch Ker Jain
Faraz Aao Sitarey Safer K Dekhtey Hain
Khush rahyeh aur apnay khoobsurat kaam say humain nawaztay rahyeh, shukriya :)sigpic
Comment
Comment