Re: Aankhen bheeg jati hain,,,,,,,, (My Own)
Maani sab sey pehli baat to yeh hai keh jab bhi baat karein, adab-o-lehaz ko malhooz-e-khatir rakha karein - agar yeh shairi sach mein aap ki hai, to phir yeh baat karney ka andaz aap ka nahin - kam sey kam Wasi Shah is andaaz mein guftgoo nahin karta - aur jahan tak uski shairi ki baat hai to uska aik apna muqaam hai Urdu Adab mein jissey mana jata hai. Woh aik writer bhi hai aur TV key liyey dramas bhi likh chuka hai aur musalsal likh raha hai. Aap abhi is field mein naey utrey hain. Puraney zamaney mein aik moseeqar ka shagird agar oonchi aawaz mein baat bhi kar deta to ussey kharij kar diya jata tha - ham log chaar jumatein parh ker khud ko sab sey afzal-o-aala samajh bethtey hain. Mujhey aap ki shairi ka aur aap ki designing per pehley bhi kisi ney warning di thi keh aap ki apni nahin hoti. Per tasdeeq karwani mushkil hoti hai.
Pegham key members aur khaas ker female members sey "jaan" jaisey alfaaz use karney sey pehley soch liya kijiye!
Hope you understand it.
Originally posted by Mani16
View Post
Pegham key members aur khaas ker female members sey "jaan" jaisey alfaaz use karney sey pehley soch liya kijiye!
Hope you understand it.
Comment