Jin dosto ney issey pehley parha huwa hai un sey ma'zrat key saath :)
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Muhabbat
Collapse
X
-
-
Re: Muhabbat
Assalaam o alekum,
Masood sahib ek aur umdeh aur laajawaab tehreer aapnien share ki humse , aapnien jin jin baatoon kaa zikr kiyaa hai woh 100% suchchaayi per mabni hain , kaash hum insaan yeh samajh paate , shukriyaa bahoot bahoot aayindaa bhi aapki tehreeroon kaa besabri se intezaar rahega khush rahien:tang: RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:
Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe
Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe
Comment
-
Re: Muhabbat
Originally posted by MasoodJin dosto ney issey pehley parha huwa hai un sey ma'zrat key saath :)
bohat khoobmasood sahib
aap ne mohabbat ke mazuu aur uski azmat par bohat khoobsoorat tabsira farmaya hay.
yuuN to ek nazm meri amii jaan ne isi m,azuu par likhi hay, lekin uska ek she,r is waqt aap se share kar rahii hooN.
mohabbat ek jaba hay, mobbat dil meiN hotii hay
mohabbat jisko kehte haiN, wo ik anmol motii hay
rabia siddiqui :sham,a:
bohat khoob
daad hjazir hay
:)
Comment
-
Re: Muhabbat
Bohat khoob MAsood bhai :)
Mei is baray sirf itna kehna chaho gha ke
Souchta hoon Mohabbat hey Bashar ki fitrat
Iska mit jana mita dayna bohat mushkil hay!
Muhabbat Is dunya-e-faani ki intayhayee khoobsoorat cheez.Yeh aik
aisa aafaqi aur lafani jazba hay jo poori zindagi per hawi hey
Mohabbat kay liay itna hi kafi hay kay wo mohabbat hay.
Mohabbat ki itni iqsaam hein kay in per bahas la hasil hay.
Insaan ki pehli mohabbat tou khuda parasti hay jo insaan ki
Fitrat mein daakhil hay.Iss munazim aur tarbiyat yaafta nizaam
-e-kayainaat kay khaliq say mohaabat bandagi ki soorat hay aur
Allah say mohabbat kernay wala insaan say mohabbat kerta hay.
Mohabbat behtay pani ki manind hay jiski koyee rah nahi.
Mohabbat kisi ki yaad may akylay jinay ka naam hai.
Mohabbat mukammal zindagi hai is ka nasha tamam umr insan ko madhose rakhta hai.
Mohabbat bay ikhtiyaar hoti hai or bay ikhtiyaar kar deti hai.
har dil may koi na koi jali ka aesa darwaza zaroor hota hai jis say jhanken tu aesa chehra samnay aa jata hai jis say begair kisi waja k mohabbat ho jati hai.
Mohabbat dil k sehra may aik sar sabz o shadab qila hai jahan fikr k qaflay nahi pohanch saktay-(khalil jibra)
pehli mohabbat pehla khawab pehli kasak hoti hai or ye pehli kasak sari zindagi yaad rehti hai,.
"kesi mohabbat kesi chahat hum par sab kuch roshan tha
yun hi zaraa sa shoq howa tha aao dil barbad karen"
Comment
-
Re: Muhabbat
Originally posted by ScorpioN_RulzZmain yeh tehreer pehlay parh choka hoon, laikin mo'aaf nahee karongatumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
Comment