Afsana: Written by Masood on 16. June 2005
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Main To Faqat Ik Shaair Hoon
Collapse
X
-
Re: Main To Faqat Ik Shaair Hoon
Originally posted by shybohat acha likha he aap ne masood welldone
Originally posted by Saima ShaheenWah...... Mashallah buhut zabardast likha aap ne
Originally posted by SiyaH BakhTWah Sahib kafi arsey baat itni haqeeqat ameez kahani parh raha hoon.... warna tu logo mein ab suger coded stories hi reh gayi hein....
anyways Masha Allah Bohat Khoob likha hey
Originally posted by Mehakbohat achha afsana likha hai aap ney Masood..
and nice shairi
Originally posted by Saima ShaheenWese ek baat to batain, is lerki Hafsa ne Sarmad ko chor ker sahi kiya yaan galat ??tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Main To Faqat Ik Shaair Hoon
Originally posted by Masood
Hafsa ney jo kuchh kiya hai woh us soch ki ghammazi karta hai jo afsanvi duniya mein rehney waley kartey hain. Is mein koi shak nahin keh haqeeqi zindagi mein aisey bohat sey log hain jo zaahir ki bjaey batin ko dekhtey hain, magar inki taadad kam hai. Haqeeqat talkh hai!
Haqeeqat talkh sahi humarey samney to hai, talkh hi sahi. Magar afsaney to bas hawa k jhonkey ki tara hai , aatey hain, aap ko mehsoos hotey hain aur chaley jatey hain, bas pal do pal ke liyeh.sigpic
Comment
-
Re: Main To Faqat Ik Shaair Hoon
buhat acha likha hai aap nay masood :thmbup:
waisay sarmad ko sab kuch pehlay hi say sahi sahi bata deena chaye tha na .. or youn us larki hafsa ko aik dam saay dhacka na lagta..... hmmm net hai us main such bolta koon hai :)
aap likhtay rehaye mazedd thereroun ka intazaar rehaye ga :roseاللھم صلی علٰی Ù…Øمد وعلٰی آل Ù…Øمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک Øمید مجید۔
اللھم بارک علٰی Ù…Øمد وعلٰی آل Ù…Øمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک Øمید مجید۔
Comment
-
Re: Main To Faqat Ik Shaair Hoon
Originally posted by Aanchalwaisay sarmad ko sab kuch pehlay hi say sahi sahi bata deena chaye tha na .. or youn us larki hafsa ko aik dam saay dhacka na lagta..... hmmm net hai us main such bolta koon haitumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Main To Faqat Ik Shaair Hoon
Originally posted by Aanchal..... hmmm net hai us main such bolta koon hai :)
Originally posted by Masood.... haan yeh saheeh kaha keh net ki duniya mein andhera hi andhera hai" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: Main To Faqat Ik Shaair Hoon
Baradaram Masood ,
lutf a gaya janab aap ki yeh kahani parh ker .Aap nay jis tareeqay say insan ki fitrat ka zikar kia hay keh baaz auqat insan bina sochay samjhay , apnay say kahin door bethay kisi shakhs kay baray mein sirf us ki tehareer, andaz e guftagoo, us kay lehjay, us ki batoon aur lafzi jazboon say mar^oob ho jata hay ...aur haqeeqat mein agar zara sa bhi nuqas nazar ayee to foran girgat ki terah rang badal leta hay..woh qayem o dayem rehnay walay jazbay , hamesha rehnay wali mohabbat , woh insaan ko her roop mein qubool kernay wala sahar , sab ka sab khatm ho jata hay .
shayed mein ghalat tabsara na ker bethoon lekin mein nay perfect aap ki kahani k osamnay rakh ker usi per 4 lafz kehna chahay hein.
kahani ki khubsoorti sab say akhri ghazal per mabni hay ...agar is ghazal ko nikal deya jayee to kahani adhoori adhoori si lagnay lagtee hay .
daad to mein day nahi sakta keh daad denay kay leye aap kay ham asr hona paray ga , mubarak zuroor doon ga keh aisee umdah , hassaas aur haqeeqat ka aeena dikhanay wali kahani likhnay per buhut mubarak ho.
waqar masoodRabb e Zidni Elmaa"
Comment
-
Re: Main To Faqat Ik Shaair Hoon
Umm bohaat he acha likha hai aap nay Masood:rose
mery khayal main ager kise se sache mohabbat hote hai to usko uski khoobyon & khamiyo ky sath he accept kera jata hai..so ager hafsa ko sermad sy mohaabat hote so vo us ko her haal main accpet kertee..:)
Comment
Comment