:blush:
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Sahii Maqam ka tayuiin..!
Collapse
X
-
Re: Sahii Maqam ka tayuiin..!
Originally posted by Dil_E_Veran View Postwahhh
awesome dear
bas ab kia kahon main
maza aaya parh kar
aap k qalam main bohat pukhtagi hay
bohat manjha hoa likhti hain aap ..
khush rahiye
maryam fatima .
app ney kuch na kehtey kehtey bhi itna kuch tu keh dyaa:blush:
bus koshish krtii hoo k acha likh sakoo k parhney waley ko acha laga:)
Comment
-
Re: Sahii Maqam ka tayuiin..!
Assalaam-0-Alaikom:rose
buht hi achay tareeqay say buht hi khobsorat haqeeqat kay baray main bataya hai........:phool:
khush rehain hamesha aur yunhi acha acha likhti rehain......
Comment
-
Re: Sahii Maqam ka tayuiin..!
buhat khoob is kahani ke liye daad qabool kijye
Aquari saheba
aap ki tehreer paRh kar andaza hua keh "you are a mature person".
aur aap ka nazria bhee saamne aayaa jo is tehreer ke markazi kirdaar ki zabaan se ada hua
(maiN umeed karti hooN keh aap mere comment ko positively laiN gii)
aap ki kahani jin miyaaN beewi ke ke gird ghoomti hai vo donoN hi buhat strong personalities ke maalik heN
phir yeh bhee to mumkin hai na keh beewi ka apna koi outlook ho us ke apne koi plans hoN us ki soch "career oriented" bhee ho sakti hai
to kyaa us ke miyaaN ke paas yeh kuli ikhtiaar hai keh vo us ke maqaam ka tayiun kar sake
jab us ki family ko support ki zarorat thee to beewi ka kaam karna theek thaa
ab family settle ho gayyi hai to beewi to "mom ki bani" hai jis taraf chahe moR dijye
(mere in comments meN agar kuch talakhi nazar aaye to yeh kissi mushahide ka nateejah hai)
regards
zmufti
Comment
-
Re: Sahii Maqam ka tayuiin..!
Originally posted by *Rida* View PostAssalaam-0-Alaikom:rose
buht hi achay tareeqay say buht hi khobsorat haqeeqat kay baray main bataya hai........:phool:
khush rehain hamesha aur yunhi acha acha likhti rehain......
bauht shukriya rida pasand krney ka..
Comment
-
Re: Sahii Maqam ka tayuiin..!
Originally posted by zmufti View Postbuhat khoob is kahani ke liye daad qabool kijye
Aquari saheba
aap ki tehreer paRh kar andaza hua keh "you are a mature person".
aur aap ka nazria bhee saamne aayaa jo is tehreer ke markazi kirdaar ki zabaan se ada hua
(maiN umeed karti hooN keh aap mere comment ko positively laiN gii)
aap ki kahani jin miyaaN beewi ke ke gird ghoomti hai vo donoN hi buhat strong personalities ke maalik heN
phir yeh bhee to mumkin hai na keh beewi ka apna koi outlook ho us ke apne koi plans hoN us ki soch "career oriented" bhee ho sakti hai
to kyaa us ke miyaaN ke paas yeh kuli ikhtiaar hai keh vo us ke maqaam ka tayiun kar sake
jab us ki family ko support ki zarorat thee to beewi ka kaam karna theek thaa
ab family settle ho gayyi hai to beewi to "mom ki bani" hai jis taraf chahe moR dijye
(mere in comments meN agar kuch talakhi nazar aaye to yeh kissi mushahide ka nateejah hai)
regards
zmufti
or app k comments excellent ..
app ney meri sooch ko ek naya mor dey diyaa.khiar is sooch ko abb kub or kaisey lafzoo ka roop doo yeh tu or baat hai ..yahan baatkrtey hai "mom ki bani " kaa
ager app thora ghour karoo tu us larki ney kabhi raub nahi jhara ,woh mom ki bani na hotii tu kabhi adjust na krtii,ussey tu us ney bataya bhi nahi thaa k yeh rasmain kaisey nibhani hai phr bhi woh achey sey nibah rahi thi tu kahi na kahi yeh sara asr us ki trabiyat ka thaa jo us ko dii gai thi jabhi tu woh rishta nibhana janti thi ,apney sahi maqams ey waqif thimager saath hi zamney k saath chalney ka fan bhi janti thi mager us ka sahi maqam ,mansab ,or roop wohi thaa jo us waqt us k husbnad ney dekhaa, ek mashriqi aurat kaa..
App k cooments main talkhi bilkul nahi thi aisey comments tu barey aizaz ki baat hai jo app ney mujhey baakhshaaa k meri sooch ko naye zawiya mil gaye:)
hameshaa isi trhaa sey comment krti rahyea gaa
Comment
-
Re: Sahii Maqam ka tayuiin..!
Originally posted by zmufti View Postthankyou Aquari sahebarose:rose
aap ne meri baat ka bura nahiN manaya
mera jee chah raha hai keh maiN tasveer ka doosra rukh aap ki khidmat meN pesh karoN
muhabbat ke saath
zmufti
u r :welcome:
itni achi baat ka bura mana bhi nahi chahyeaa
or ha zaroor..yeh tasveer ka doosra rukh main bhi dekhna chahoongi specialy app k qalm sey
app ki mohabatoo k lya main tah-e-dil sey mashkoor hoo..
Comment
-
Re: Sahii Maqam ka tayuiin..!
Asalamoalikum aquari.....asusual bht hi acha likha ap ne maza aya parhne ka.......aur jo zmufti jee ne kaha tu wohi baat mere b zehan mein aye aur ap ne ans b kar diya.....any ways u r giving ur best day by day...........thanx 4 sharing..........khush raheinsigpic
Comment
-
Re: Sahii Maqam ka tayuiin..!
Originally posted by Raniya Asif View PostAsalamoalikum aquari.....asusual bht hi acha likha ap ne maza aya parhne ka.......aur jo zmufti jee ne kaha tu wohi baat mere b zehan mein aye aur ap ne ans b kar diya.....any ways u r giving ur best day by day...........thanx 4 sharing..........khush rahein
W salam..
pasand krney k lya shukriya..:phool:
haa mainey apna point of view dyaa is kirdar k barey main ,baqi un ka dekhaya howa tasveer ka doosra rukh bhi bauht acha laga ..:)
Comment
Comment