Re: A tribute to Umera Ahmed
Thora sa aasmaa'n
"Allah Rasool(PBUH) ka hukm hay k baytiyaan payda karnay waali oorat ko chhoor diya jaay kiun k woh manhoos hoti hay. is liay to chaar shaadiyoon ka hukm diya gya hay."hafeeza baano nay islaam k baaray mein apni"mufassal" maloomaat ka istemaal kiya.
woh aksar aysa hi kiya karti thien agarcheh woh khud unparh thein aur unhoon nay Quraan paak tarjumay say nhi parha tha.woh nimaaz ki bhi aysi shooqeen aur paaband nah theen magar unhein har ehm maamlay mein Allah aur rasool (pbuh) zaroor yaad aa jaatay thay.phir woh apni marzi k sunay sunaay Quraani ehkaamaat ko apni marzi ka mafhoom pehna kar doosroon k munh band kar daytein.
aysa karnay mein woh akayli nhi thein.hum sab yeh hi kartay hein, apni jayboon mein apni marzi ka islam liay phirtay hein.
apni marzi ki ahaadees aur aayaat ratay hotay hein.

Comment