Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

A tribute to Umera Ahmed

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: A tribute to Umera Ahmed

    Originally posted by raheela_rasheed2006 View Post
    :) helloo,
    Acha,,,khair abhi tu publish horaha hay khawateen digest main,,I think 3 episodes a chuki hain,,,,but what about Drama Husna and husnara? you know what ,, I think,, Tv walon nay Umera ko just for granted hi liya hay,,,,khaas kar acting tu intahaii third class hoti hay,,,app ka kia khayal hay is baray main? Wojood-e-laraib kay illawa I don't think so kay kise drama main high class acting ki gayee hay.sach main main tu intahi depress hojatiii hoon aysay dramas ko daikh kar:(:(
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #32
      Re: A tribute to Umera Ahmed

      main ny aik para tha Peer e kamal shaid eni ka hee tha..
      its really great.............

      Last edited by ; 16 January 2007, 08:25.

      Comment


      • #33
        Re: A tribute to Umera Ahmed

        Hello:)
        @nd para is from Shar-e-zaat

        Comment


        • #34
          Re: A tribute to Umera Ahmed

          Sorry ghalt type kardiya,,,,,2nd para is from Shar-e-Zaaat

          Comment


          • #35
            Re: A tribute to Umera Ahmed

            Originally posted by raheela_rasheed2006 View Post
            :) helloo,
            Acha,,,khair abhi tu publish horaha hay khawateen digest main,,I think 3 episodes a chuki hain,,,,but what about Drama Husna and husnara? you know what ,, I think,, Tv walon nay Umera ko just for granted hi liya hay,,,,khaas kar acting tu intahaii third class hoti hay,,,app ka kia khayal hay is baray main? Wojood-e-laraib kay illawa I don't think so kay kise drama main high class acting ki gayee hay.sach main main tu intahi depress hojatiii hoon aysay dramas ko daikh kar:(:(
            main nay sirf aik drma dekha hai......PTV say anay wala....Darbar-e-Dil....
            that was ssoooooooooo nice......
            For New Designers
            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

            Comment


            • #36
              Re: A tribute to Umera Ahmed

              :roseJums
              :roseKhalil
              thanks for sharing
              For New Designers
              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

              Comment


              • #37
                Re: A tribute to Umera Ahmed

                hmm , kassh aap nay La-hasil aur Amar bail bhi daikha hota,,, Darbar-e-dil aur Wojod-e-laraib dono hi pahlay publish nahin hoy thay,,,:):)

                Comment


                • #38
                  Re: A tribute to Umera Ahmed

                  aur ab I wish kay Peer-e-kamil ka darama na bana dalain,,,kyon kay main kisee aur ko Salar kay roop main nahin daikh saktii:)

                  Comment


                  • #39
                    Re: A tribute to Umera Ahmed

                    boht umda yellowsky........
                    Umera Ahmed kya likhti hein.....hamaray paas alfaaz ka khazana nhi k un k liy kuch kahen.
                    Allah unko lambi umar day aur woh yeh silsila yun hi jari-o-sari rakhein..amin...
                    mein nay HAASIL
                    LAHASIL
                    EMAAN,UMEED AUR MOHABBAT
                    THORA SA AASMAAN
                    PEER_E_KAAMIL
                    aur
                    AMAR BAIL
                    parhay hein......
                    aur har novel doosray say barh kar khooobsoorat hy....

                    Comment


                    • #40
                      Re: A tribute to Umera Ahmed

                      Originally posted by raheela_rasheed2006 View Post
                      aur ab I wish kay Peer-e-kamil ka darama na bana dalain,,,kyon kay main kisee aur ko Salar kay roop main nahin daikh saktii:)
                      Novel parhnay say jo imagination hoti hay har kirdaar k liy......
                      drama daykhnay say sab kuch tabah ho jata hy:embarasse

                      Comment


                      • #41
                        Re: A tribute to Umera Ahmed

                        nice shairing:rose

                        Comment


                        • #42
                          Re: A tribute to Umera Ahmed

                          thora sa aasmaan

                          "mujhay to ibadat mein bara sakoon milta hy.sara din aur sari raat mein hoti hoon aur tasbeeh......shabana!raziya ki tankhah kaat layna,yaad hay na pichhla poora hafta nhi aai.beemari ka dhoong kr k ghar pari rahi ab pehli tareekh aai hy to sari beemari rafu chakkar ho gai hy.in nokroon ka bas chalay to loot kr kha jaien maalikoon ko."
                          tasbeeh k daanay ab bhi musalsal gir rahay thay magar amma ji ki zubaan ab kuchh aur qaseeday parhnay mein masroof thi.
                          amma ji oortoon ki us qisam mein say thein jin k nazdeek deen sirf haqooq Allah tak mehdood hota hay.woh masjid say buland hoti hui paanch wqt ki aazaan mein Muhammad(PBUH)ka naam aanay par aangoothoon aur ungliyoon ko choomna aur aankhoon say lagaana farz samajhti thin magar teen wqt kissi bhookay ko khaana khilaanay k khayaal pr unka dil kaanpnay lagta tha.
                          apni oolaad ko diay jaanay waalay asbaaq mein say sab say pehla sabaq unhoon ny status pr diya tha.
                          baaz maien olaad pr aaayaat bhi phoonkti hein aur un k liay wazeefay bhi karti hein magar zindagi mein kabhi unhein seedha rasta dikhaati hein nah seedhay raastay pr chalnay dayti hein.woh unki aankhoon pr patti charha kr aur un k galay mein apni farman bardari ka patta daal kr unhein dooozakh k darwaazay pr lay jaati heinphir jab aankhoon say yeh patti utarti hay to ooolaad aankhein rakhtay huay bhi andhi ho chuki hoti hy nah woh aagay jaa sakti hy nah peechhay mur paati hay.
                          Last edited by *Duaa*; 7 March 2007, 02:26.

                          Comment


                          • #43
                            Re: A tribute to Umera Ahmed

                            Thora sa aasmaan

                            Hum sab loog zindagi k raastay par gaariyoon par safar karnay waalay loog hein.is raastay par safar kartay boht dafa aysa hota hay k kabhi kissi gari ka tire punkchur ho jata hay aur kabhi koi gaari sarak say utar jaati hay.baaz dafa aysa bhi hota hay k gaari sarak par moojood kissi gar'hay mein phanas jaati hay.us wqt us sarak par safar karnay wali doosri gariyoon mein say kissi nah kissi ko us gaari k paas ruk jana chahiay aur daykhna chahiay k doosray ki gari ko kis tarah sarak par wapas laaya ja sakta hay ya gar'hay mein say nikaala ja sakta hay.us wqt chand lamhoon k liay hamara apna safar rook kar wahan ruk jana doosray ko track par lay aata hay aur aysa nah karnay ki soorat mein doosray ki gaari hamaysha us gar'hay mein phansi rehti hay.

                            "Tum aur mein bhi aysi hi do gaariyooon k musaafir hein.mujhay laga k tumhari gari ka tire kissi gar'hay mein phanas gya hay aur mein chahti hoon k tum mayri madad say is mein say nikal aao.ayn mumkin hay.zindagi k is raastay par kahin aagay chal kar meri gari ka tire bhi kissi gar'hay mein phanas jaay aur ho sakta hay.us wqt mayray liay ruknay wali Fatima mukhtaar ho,ho sakta hay na?"

                            Comment


                            • #44
                              Re: A tribute to Umera Ahmed

                              Thora sa aasmaa'n

                              har insaan ki zindagi mein 3 phase hotay hein.jinhein hum kehtay hein maazi,haal,mustaqbil.hamaara maazi hamaaray khaandaan say wabasta hota hy.hamaaray maan baap say.unki kaamyaabiooon say,unki nakaamiyoon say,unki samaaaji haysiyat say,unki maali istitaa'at say,unki khamiyoon say,unki khoobiyoon say,hum un k name say jaanay aur pehchaanay jaaatay hein.

                              phir hamaara haal shuru hota hy.hamaari apni shakhsiyat,hamaari khoobiyaan,hamaari khaamiyaan,hamaari khobsoorti ya badsoorti,hamaari taleem,hamara career,phir woh shakhs jo hamaari zindagi mein aata hay agar aata hay to.

                              us shakhs ki khoobiyaan khaamiyaan,shakhsiyat, kaamyaabiyaan,samaaji haysiyat,status,us say munsilik hr cheez hum say wabasta ho jaati hay.yeh hamra haal hota hy

                              aakhri phase hamara mustaqbil hy yaani hamaari olaad aur un say waabasta har cheez,unki shakhsiyat,unka career aur zindagi mein sab say ehm yeh teesra phase hota hay.kiyoon k yeh sab say lamba hota hy.jab hum loogoon mein mawaazna kartay hein to in hi teenoon phases ki buniyaad par kar rahay hotay hein

                              muqaabla is baat ka nhi hay k mein maali lihaaz say apnay bachhooon ko kitna mustehkum kar dayti hoon,kitni degrees dilwa dayti hoon,ya afsar banaa dayti hoon,muqaabla to is cheez ka hay k kya mein unhein ik achha insaan bana paati hoon aur yeh chhota sa lafz achha insaan...apnay ander ik poori dictionary ka mafhoom rakhta hay..........

                              Comment


                              • #45
                                Re: A tribute to Umera Ahmed

                                Thora sa aasmaaa'n

                                "Duniya ap say ap ki worth maangti hay,woh aap say poochhti hay k aap ussay kya day saktay hein,us k baad woh apki jagah aur muqaam ka ta'ayyun karti hay.yeh tay karti hay k ussay apko kitni izzat dayni hay.agar duniya ko yeh ehsaas ho jaay k aap us k liay kuchh nhi kar saktay to woh apko apki saari khoobiyoon samayt utha kar baahar phaynk dayti hay."

                                "aur mayri koi....worth nhi hay,duniya ko daynay k liay mayray paas kuchh bhi nhi hay."

                                "abhi tum yeh baat nhi keh sakti abhi tumhein apni poori zindagi guzaarni hay.abhi to tumko yeh tay karna hay k tumhein aur kitna arsa worthless rehna hay."

                                "kaamyaab honay k liay kuchh to hona chahiay,kuchh to hona chahiay,kuchh to paas hona chahiay.khali haath koi kitni dayr larr sakta hay aur mayray paas kuchh bhi nhi hay.maazi haal mustaqbil kuchh bhi nhi.ba'az dafa mujhay lagta hay ,mein dhund mein khari hoon woh raasta nazar nhi aata jahan mujhay jaana hay."


                                "dhhund mein raasta kabhi nazar nahi aata laykin aap qadam barhaatay rahein to apki aankhein nah sahi magar payr apnay neechay zameen zaroor pa laytay hein."

                                Comment

                                Working...
                                X