Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

A tribute to Umera Ahmed

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • A tribute to Umera Ahmed

    Asalam alaikum

    iss thread mey aap Umera Ahmed ki writings share kijiye :rose



    Ishq La hasil


    "Ishq insaan ko kaisnaat key kisi doosrey hissey mey ley jata hai. Insaan Ishq Majaazi sey Ishq Haqeeqi ka safar tab kerta hai jab Ishq La Hasil rehta hai . jab insaan jholi bhar bhar ker muhabbat karey aur khali dil aur hath ley ker phirrey..."
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: A tribute to Umera Ahmed

    Mey aik Aurat hun




    ....


    ......


    .....



    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #3
      Re: A tribute to Umera Ahmed

      Amar Bail


      kaun kahta hai k kisi se ek bar mohabbat ho janey k bad us se nafrat ho sakti hai? jo kahta hai wo duniya ka sab sey bara jhoota hai...cycle of replacement mein mohabbat ki replacement nahi hoti...khud ko dhoka deney k bawajood ham jantey hain k hamarey wajood mein khoon ki gardish ki tarah daurhney wala naam kis ka hai...hum us per ek k bad ek mohabbaton k dher lagaey jatey hain, kahtey jate hain, ab hum is se mohabbat kartey hain, ab hum us sey mohabbat kartey hain....leykin jo zyada door hota jata hai wo zyada pass ata jata hai...aur phir wo hamarey dil aur dimagh k us koney mein ja puhanchta hai k agar kabhi usey wahan sey nikalna parh jae to phir us k bad hum ek normal zindagi guzarne k qabil nahi rahtey...."
      Last edited by Z.; 5 December 2006, 00:09.
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #4
        Re: A tribute to Umera Ahmed

        Assalam-0-Alaikom:rose
        acha thread start kia hai GUl.....
        detail comments bad mein don gi:)


        For New Designers
        وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

        Comment


        • #5
          Re: A tribute to Umera Ahmed

          Sure Rida
          mujhey inteyzaar rahey ga : )
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #6
            Re: A tribute to Umera Ahmed

            nice

            Comment


            • #7
              Re: A tribute to Umera Ahmed

              Thora Sa Aasmaa'n


              Allah Ta'la har insaan ko zameen par bheej deytay hain aor kehtay hain... Ye tumhari azmaish hai, aur ye tumhari umer ki had... Tum ko itney saal zameen par iss tarhan kay halaat kay ssath rehna hai... ye ye masail hain jo tumhen zindagi mai pesh aaingey, ab ro kar inka samna karo ya hans kar inka hal sochney ki koshish karo... Ya in par zindagi bhar matam kartey raho, ye sab tumharey haath mai hai... Bah'r haal, tumko in sab ka samna karna hi hai... Hum zindagi kay imtahani kamrey mai beth kar, pedaish sey moat tak mukhtalif qisam kay test dayney kay ilawa kuch nahi kar rahey hotey... Har test ka doraniya alag hota hai, uski type alag hoti hai, baaz ka sawal nama zara asan hota hai, baaz ka khasa mushkil,baaz ka sawal nama Syllabus pay pheyla huwa hota hai, baaz ka mukhtasir jawabaat mangta hai... Baaz paper khubsoorat writing mai kartey hain, baaz gandi writing mai, Magar aik baat tou tay hai kay hum sab dey paper hi rahey hain aur ye papers kesey bhi hon, inka Checker aik hi hota hai... Vo merit par puri diyanatdaari kay saath hamen marks dey deyta hai, aur vo checker Allah hain !!

              Kamra-e-imtehan mai aney kay baad shor machaney kay bajaey kay falan ko paper asaan diya gaya hai, falan ko naqal karaey ja rahi hai, falan ko kam sawal hal karney hain, falan ko ziyada waqt diya gaya hai, falan ko diya janey vala qalam aor sheet mujhsey behtar hai, falan ko paani aor dusri sahuliat di jarahi hain, falan ko calculator istamal karney ki ijazat hai ya falan ney kitaab kholi huey hai....


              Kiya ye behtar nahi hai kay hum sirf aur sirf apney question paper par tawwaja den, usko hal karney ki koshish karen, ye dekhen kay iss mai sey kitney sawal hamen aatey hain aor kitney nahi, aor jo sawal hamen atey hain unka jawab hum kitni achi tarha dey saktey hain.... aur jo nahi aatey unko hal karney kay liye hamen kiya karna chaheye... Kiyonkay hamen khaali paper nahi chhorna khali paper dekh kar hamen marks nahi milengey aur nahi hamara koi uzar mana jaey ga...

              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • #8
                Re: A tribute to Umera Ahmed

                Originally posted by wareesha View Post
                nice
                thanks to be here

                Umera Ahmed ki approach bohot realistic hai aur yahi cheez mujhey us ki achi lagti hai
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #9
                  Re: A tribute to Umera Ahmed

                  Originally posted by Xenya View Post
                  Asalam alaikum

                  iss thread mey aap Umera Ahmed ki writings share kijiye :rose



                  Ishq La hasil


                  "Ishq insaan ko kaisnaat key kisi doosrey hissey mey ley jata hai. Insaan Ishq Majaazi sey Ishq Haqeeqi ka safar tab kerta hai jab Ishq La Hasil rehta hai . jab insaan jholi bhar bhar ker muhabbat karey aur khali dil aur hath ley ker phirrey..."


                  buht acha mushahida hai......yeh na sirf afsanoon mein dekha hai balkay haqeeqi zindi kay bhi kuch waqiaat aisay hi hain......
                  chahay bad mein muhabbat mil bhi jai lakin us waqt tak Ishq-e-Haqeeqi hi Zindgi ka maqsad ban chuka hota hai....



                  For New Designers
                  وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                  Comment


                  • #10
                    Re: A tribute to Umera Ahmed

                    Originally posted by Xenya View Post
                    Mey aik Aurat hun




                    ....


                    ......


                    .....

                    yeh humaray muashray ka almiya hi tu hai......
                    aik hadees perhi thi jis ka mafhom hai.... "Aurat ki ahanat karnay wala shakhs bad-Khaslat hai"..........
                    andaza kijiye humaray muashray ka aik bara hissa aisay hi loagon per mushtamil hai......
                    afsanwi baatoon ko choriye .....nazaryati bunyadooN per hasil honay walay Islami mulk mein.......kam-0-baish 60 saal bad "women protection bill" pass kar kay khwateen ko tahafuuz ka ehsaas dilaya ja rahay hai.....
                    For New Designers
                    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                    Comment


                    • #11
                      Re: A tribute to Umera Ahmed

                      Originally posted by Xenya View Post
                      thanks to be here

                      Umera Ahmed ki approach bohot realistic hai aur yahi cheez mujhey us ki achi lagti hai
                      baqi bad mein :D
                      In ki saoch yaqeenan humain bhi sochnay per majboor karti hai......
                      lakin mujhay phir bhi aap ki baat say thora sa ikhtilaaf hai.......in kay novels kay kuch kiraadr haqeeqat say doar mehsoos hotay hain...:)
                      For New Designers
                      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                      Comment


                      • #12
                        Re: A tribute to Umera Ahmed

                        Originally posted by Rida View Post
                        yeh humaray muashray ka almiya hi tu hai......
                        aik hadees perhi thi jis ka mafhom hai.... "Aurat ki ahanat karnay wala shakhs bad-Khaslat hai"..........
                        andaza kijiye humaray muashray ka aik bara hissa aisay hi loagon per mushtamil hai......
                        afsanwi baatoon ko choriye .....nazaryati bunyadooN per hasil honay walay Islami mulk mein.......kam-0-baish 60 saal bad "women protection bill" pass kar kay khwateen ko tahafuuz ka ehsaas dilaya ja rahay hai.....
                        yep Rida
                        aap is hadees ka assan lafzon mey mafoom batao gey?

                        aur ye protection bill ......sab sirf drama hai ...

                        Allah heydayat dey sab ko Ameen...
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment


                        • #13
                          Re: A tribute to Umera Ahmed

                          Originally posted by Rida View Post
                          baqi bad mein :D
                          In ki saoch yaqeenan humain bhi sochnay per majboor karti hai......
                          lakin mujhay phir bhi aap ki baat say thora sa ikhtilaaf hai.......in kay novels kay kuch kiraadr haqeeqat say doar mehsoos hotay hain...:)
                          I agree Rida ...kuch kirdaar yaqeenan haqeeqat sey door hon gey......jab novel ikhey jaatey hein to us mey aeysa zaroor hot hai leykin phir bhi aap deykho baaz novel sirf aap ko aik fantasy world mey ley jatey hein aur Umera Ahmed ko perh ker ye ehsaas hota hai key ye haqeeqat key agar bilkul nahi to kafi had tak kareeb hein



                          baqi ka inteyzaar rahey ga inshAllah

                          khush raho :rose
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment


                          • #14
                            Re: A tribute to Umera Ahmed

                            Originally posted by Xenya View Post
                            yep Rida
                            aap is hadees ka assan lafzon mey mafoom batao gey?

                            aur ye protection bill ......sab sirf drama hai ...

                            Allah heydayat dey sab ko Ameen...
                            itna aasan tu hai ...kia samajh nahin aaya.....:)
                            infact word tha kameena= bad khaslat
                            aur ahanat ka matlab hai....bayizati karna......ya zaliil karna......
                            main dekhti hoon agar kahin say mujhay yeh hadees mil jai.....
                            Last edited by *Rida*; 9 December 2006, 09:07.
                            For New Designers
                            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                            Comment


                            • #15
                              Re: A tribute to Umera Ahmed


                              ahanat...izzat kay opposite word hai.......
                              it is taken from loveurdu


                              For New Designers
                              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                              Comment

                              Working...
                              X