Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shadi ki rasmain

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: Shadi ki rasmain

    Originally posted by saraah View Post
    hazrat Ali Ka Qoul Hai......hr Shakhs Apnay Tajurbay K Mutabiq Raaye Deta Hai":eye:
    Mashaallah Jazakallah
    Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

    Comment


    • #62
      Re: Shadi ki rasmain

      Originally posted by munda_sialkoty View Post
      Yeh baat kuch hazam nahi hui 372-shed
      hajmola apply karo 372-shed
      Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

      Comment


      • #63
        Re: Shadi ki rasmain

        Originally posted by munda_sialkoty View Post
        Aye shah'zamaan tu kahan reh gaya, mujay bachanay kyoon nahi aaya
        wo dosri razyaaon ko bachanay gia hoa hay
        Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

        Comment


        • #64
          Re: Shadi ki rasmain

          Originally posted by Dil_E_Veran View Post
          hajmola apply karo 372-shed
          Hajmoola skin pe mulll loon kia 372-haha
          :thmbup:

          Comment


          • #65
            Re: Shadi ki rasmain

            Originally posted by Dil_E_Veran View Post
            wo dosri razyaaon ko bachanay gia hoa hay
            Razia aisay kaam kerti he kyoon hein ke baad mein unhein..........aaho
            :thmbup:

            Comment


            • #66
              Re: Shadi ki rasmain

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              Razia aisay kaam kerti he kyoon hein ke baad mein unhein..........aaho
              sari razyaain hoti he tum jesi hain aisay wesay kam karti hain
              phir aaho
              Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

              Comment


              • #67
                Re: Shadi ki rasmain

                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                Hajmoola skin pe mulll loon kia 372-haha
                way mundiya thuwada tay hazmay da system v ookha aey thuwadi tara'n dinga
                Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                Comment


                • #68
                  Re: Shadi ki rasmain

                  Originally posted by Pakiza View Post
                  munda uncle ki baat bahut haad tak sahi hai
                  hamarey mashrey main jo rasmian shadi main hoti hain
                  kabhi kabhi bahut ajeeb bhi lagti hain
                  yahan arabs main aik rasam dekhi jo mujhey bahut achi lagi aur iss main koi burai bhi nazar nai aai
                  yahan shadi ka aik hi function hota hai jis main larki waley aur larkey waley mushtarka toor pe shareek hotey hain...ladies haal ke entrence pe aik bahut decorated table rakhi jati hai aur uss ko candles se sajaya jata hai aur uss pe aik diary rakhi jati hai yani guest book
                  iss book main har aaney wala mehman dulhan dulha ke lein wishes, duain likhta hai...aur ye koi zaruri nai ke app lazmi lekhin
                  phir jab dulha ladies main aata hai tu iss book main apney jazbat ka izhar karta hai aur book ko band kardiya jata hai dulha ke likhney ke baad koi aur uss book main kuch nai likhta
                  :)
                  Ahoo Interesting.

                  Hamaray yahan to zaidatar shadi k rasm o rivaj jo jitna poster nain post kiaay hain sub hinduana seekhay huway hain.

                  Ai poster mention karna bhool gaeen shayad. Quran k saay main rukhsati.
                  Subhan Allah

                  Comment


                  • #69
                    Re: Shadi ki rasmain

                    Originally posted by Dil_E_Veran View Post
                    way mundiya thuwada tay hazmay da system v ookha aey thuwadi tara'n dinga
                    Fair inna noon HAJMOLA day do.
                    Subhan Allah

                    Comment


                    • #70
                      Re: Shadi ki rasmain

                      Originally posted by saraah View Post
                      (chahay jitne mrzi brray pemaanay pe krain

                      ab me zra "ooper" nazr dorrati hun ja k ap logo ne kya kya rasms share kin phir aapko batoon gi wht i liked...prayers:)
                      W salam saraah
                      Ji app ney thek kaha humarey family waley bachpan sey humari nature sey waqif hotey hain or humara ek image ban jata hai isi lya koi khas masala nahi hotaa:)koi kuch bhi aiteraz nahi krtaa...haa after maried image or mizaj khud hi tabdeel hojatey hain don't worry waqt sub sey bada ustad haii :) or phr kuch families main shadi waqai bauht simple hoti hai.
                      NIkkah k lya bawazoo tu dear dulhan hoti hi hai ha shalwar qameez k barey kuch nahi kehti waisey aaj kal akser mehdi waley din ya shadi waley din morning main nikkah hojata hai (mera nikkah bhi shalwar qamez main Friday prayers k foran bad hi howa thaa..yeh or baat hai is ki waja kuch or thi )
                      app ney sahi kaha woh baraat ka istaqbal bhi humara ek tradition hai waisey bhi mehman ka isteqbal jitna purjoszh hoo is main mehman ki izzat hai or phr u know baraat tu baraat haii :wk

                      Comment


                      • #71
                        Re: Shadi ki rasmain

                        Originally posted by Dil_E_Veran View Post
                        awesome thread AQ

                        wesay taqreeban her rasam her family main hoti hee hay
                        thori thori changings k sath
                        hamaray haan .......
                        mayon walay din , mami chachi phupi khala , ye log aa k larki maayon bithati hain
                        larkay walay deegar saman k sath larki ki saheeliyoooooooonn k liye bhi mehndi choori latay hain

                        laazmi
                        nai to phadda ho jana hay :hehe:

                        mehndi laga k naig lenay ki rasam b hoti hay chahay ham larki walay hon ya larkay walay

                        and
                        barat main dulha ki gaari rook k dulhan k bhai naig letay hain phir dulha stage pa puhunchnay pata hay

                        lekin dulha bhi badla ley leta hay
                        khanay k time pay
                        khanay say inkar kar deta hay
                        phir dulhan k bhaai us ki minaten kartay hain hath dhulwatay hain
                        us ko naig detay hain
                        phir wo akro khana khata hay :hehe: kitnay mazay say wasoli kar li

                        dulhan ki sister ya ghar ki koi bari khaton dodh pilaai ki rasam karti hain
                        dulhay k dost dodh ka glass uchak letay hain amoman aisa he hota hay , ye b aik rasam he hay

                        nikah k baad , khobsurat say mirror main aarsi mushaf ki rasam hoti hay
                        wohi tariqa .. shesha samnay rakh k dulha dulhan pay dupata dal detay hain

                        us k bad dulha dulhan ki maang bharta hay

                        sandal or dhanak say [ disco ya afshan b kehtay hain dhanak ko ]

                        ghar lay ja k kheer khilaai ki rasam hoti hay
                        ghar k tamam afrad dulhan ko aik aik chamchi kheer khilatay hain apna intoduction b karwatay hain gifts b detay hain or dulhan k jhotay chamchay say dulhay ko kheer khilatay hain


                        sari rasmen mendi or barat tak h hoti hain walimay main kuch nahi hota

                        walimay k bad dulhan jab apnay meykay renay jati hay
                        to susral say jatay hoye , us ki goud bhri jati hay
                        baray say romal main kuc phal fruit cheni chawal dodh or pesay diye jatay hain
                        same yahi, meykay say susral wapsi pay hota hay
                        us k bad dulhan dulha jis jis ghar dawat main jatay hain wahan yahi karwaai hoti hay
                        yeh tamam rasmain merey lya new hai pr hain mazey ki
                        in main sey 2 merey ha hoti hain ek kheer khilaney ki or doosri godh bharai mager different andaz main:eye:

                        Comment


                        • #72
                          Re: Shadi ki rasmain

                          Originally posted by Dil_E_Veran View Post
                          hawwww
                          ye to yaad hona chahye tha 372-shock
                          kabhi kabhi bhoolna bhi chahyeaa:eye:

                          Comment


                          • #73
                            Re: Shadi ki rasmain

                            Originally posted by Adnans View Post
                            wow very interesting thread laiken mein aik baat bataon ke hamare haan shadion mein zayada rasmein nehi hotein, hamare khandan mein jitne bhi shaadiaan hoin hain sab buhat simple hoti hain :D: laiken kuch friends ke shaadiaan attend ke hain jahan pe kafi sari rasmain hote hain un mein se kuch tu achi hain laiken kuch bilkul fazool hain mere khayal se aur sara sar paise ka zayah hai aur kuch nehi :donno:
                            apna apna point of view haii
                            chalain kuch main tu maza aya,thori bauht enjoyment k lya hi tu rasmain hoti hain


                            Originally posted by Dil_E_Veran View Post
                            mehndi wali raat , sab jagtay bhi hain ra't jaga kartay hain koi bhi na sota hay na sonay deta hay
                            khoob ganay gatay hain
                            larka ya larki jis ki b shadi ho , us ko ubtan lagatay hain balon main tail lagatay hain or phir aik dosray ki b shamat aati hay ubtan k balls bana bana k martay hain


                            agr koi shamat ka maara so jaaye to subah us ka face dekhnay k like nai hota
                            tawa ki kalak u k fac pay hoti hay :hehe:
                            yes yeh tumerey haa b hota haii
                            is ubtan khelney main kapry bauht kharab hojate hain

                            Comment


                            • #74
                              Re: Shadi ki rasmain

                              Mazeed kuch rasmain batati hn
                              ek rasm hoti hai kheer khileny k yeh larki ki rukhsati k bad larkey k gher jaker hoti hain
                              meri apni family main yeh rasm khasii badtameezi sey ki jati hai:khi: means dulhan ko tu phr bhi sharafat sey dulha spoon sey 7times kheer khila deta hai mager kunk as u all know dulhan nath pehni hoti hai is lya spoon bhi bari mushkil sey us tak poohnchta haii or saath main huting alag hoti haii...or jab larkey ki bari ati hai tu larki k haath yani hatheli pr kheer dali jati hai jo ussey khani parti haii is main kheny waley ka tu pata nahi pr dekhney waloo ko bauht maza ata haii
                              goodh bharai usualy mehdi waley din ya rukhsati sey pehely ki jati hai sometimes ager time short hoo tu after rukhsati bhi krdi jati hai.
                              dulha k gher main jab dulha k room main janey ka time ata hai tu tamam behnain,cosuins waghaia room k darwazey pr rasta rookti hai or naig wasool krk ussey ander janey dya jata haii .
                              Rukhsati k bad nexty day morning dulhan tayar hokr sub sey pehley apni saas or gher k tamam baroo ko salam krti hai jis k lya nanad lekr jati haii,phr sari family sey taruf hota hai hr koi mithai khilata hai or saath hi mun'h dikhai k tur pr koi gift bhi deta hai.
                              is k bad larki k gher sey us ki sisters nashta lekr ati hai yeh nashta usualy itna hota hai k gher main mojoud tamam gher waley kr lain specialy dulha dulhan tu isi sey nashta krtey hian waisey koi khas rule nahi ager koi kum bhi nashta bhejey tu sirf dulha dulhan ko krwa dya jata hai baqi hr gher main zahir ahi nashta tu banta hi hia is lya yeh baat larki walo pr choor di jati hai k woh jo aford kr sakain waisey bhi rukhsati k waqt khaney k daig b saath bheji jati haii trak jin gher waloo ya kisi barati ney khana na khaya hoo tu woh aram sey gher jaker kha ley.
                              Nashta k bad dulhan apni behnoo k saaath (dulha ko choor kr:tasali:) apney gher chali jati haii,sham ko dulha ata hai dulhan ko leney ,us waqt dulhan ki ammi dulha k haath pr kuch na kuch paisey rakhti hai or dulan k saath koi na koi chootey choey gifts krk usey dulha k saath bhej deti hai,baqi sometimes usi din valima hota haii ya next day wohj valima ki date pr hai.
                              Valima waley din dulha khud reception pr khara hota hai apney in laws k istaqbal pr phr sara VIP treatment larki waloo ko milta hai.

                              Comment


                              • #75
                                Re: Shadi ki rasmain

                                Originally posted by Pakiza View Post
                                munda uncle ki baat bahut haad tak sahi hai
                                hamarey mashrey main jo rasmian shadi main hoti hain
                                kabhi kabhi bahut ajeeb bhi lagti hain
                                yahan arabs main aik rasam dekhi jo mujhey bahut achi lagi aur iss main koi burai bhi nazar nai aai
                                yahan shadi ka aik hi function hota hai jis main larki waley aur larkey waley mushtarka toor pe shareek hotey hain...ladies haal ke entrence pe aik bahut decorated table rakhi jati hai aur uss ko candles se sajaya jata hai aur uss pe aik diary rakhi jati hai yani guest book
                                iss book main har aaney wala mehman dulhan dulha ke lein wishes, duain likhta hai...aur ye koi zaruri nai ke app lazmi lekhin
                                phir jab dulha ladies main aata hai tu iss book main apney jazbat ka izhar karta hai aur book ko band kardiya jata hai dulha ke likhney ke baad koi aur uss book main kuch nai likhta
                                :)

                                ye sifarat kaaron walay aadab shadi main kidher say aa gaye :D:
                                Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                                Comment

                                Working...
                                X