Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shadi ki rasmain

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Shadi ki rasmain

    Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
    Konsay kaam 372-shock
    Hamaray yahan shadi mein Nikah perhanay ki rasam bohat aam he
    :thmbup:

    Comment

    • #17
      Re: Shadi ki rasmain

      Originally posted by aquari View Post
      simple shadi bhi yaqeenan achi hoti hogi pr rasmoo sey un main jaan ajati hai
      Its all about how we perceive it. Mein personally gair zaroori rasmon ke khilaaf hoon, hallagullah kerna alag baat he wo aap kisi tareekay se bhi ker saktay ho, per typical rasmein jese ser ke ouper dupata tana jana, sounds funny and senseless. Isn't it?
      :thmbup:

      Comment

      • #18
        Re: Shadi ki rasmain

        Originally posted by aquari View Post
        Mazeed kuch rasmain share krti hn mayo tak tu agai thi
        mehdi main rasm hoti hai k Larki ki sisters dulhey ko mehdi lagati hain or un ko naig milta hai,kuch families main isi din larki ki larkey waley goodh bharai bhi krtey hain jis main saath suhaganain 7 trha k mewoo sey dulhan ki goud bhrti hain sometimes yeh rasm shadi wlaey din after rukhsati dulhey k gher jaker bhi hoti hai.
        Ek rasm hoti hai meri family main jub barat ati hain tu dulhan k bhai cousins etc dulkhey ki gari rooktey hian or us sey naig letey hain phr hi ussey stage pr janey dya jata haii bauht maza ata hai is rasm main becharey bhaiyoo ko bhi kuch mil jata hai wrna sari rasmain as u know larkiyoo ki hi hoti hain :khi:
        doodh pilai or joota chupai bhi hoti hain,merey susral main tu sheesha dikhaney ki bhi rasm hoti hai k shesha rakh kr dono dulha dulhan pr dupata dal dya jata hai ..(shukar merey saath yeh rasm nahi hoi:dance2: kisi ko yaaad hi nahi rahi )
        Chalo tum baal baal buch gai :hehe:

        Lagta he saari rasmein aap ke haan se start hoti hein aur phir puray Pakistan mein pheel jati hein :khi:
        :thmbup:

        Comment

        • #19
          Re: Shadi ki rasmain

          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          Chalo tum baal baal buch gai :hehe:

          Lagta he saari rasmein aap ke haan se start hoti hein aur phir puray Pakistan mein pheel jati hein :khi:
          AMIR BAHI'' wase u yahan kia kar rahay ho ur to yaar age b ab kaafi hai .. ase baton ki tarf mat jaya karo..372-haha

          Comment

          • #20
            Re: Shadi ki rasmain

            Assalam alikum kool thread
            shadi ho aur rasmain na hoon tu dulhan aur dulha ke elawa sab thora bore hojatey hian:D

            i'll share soon

            Comment

            • #21
              Re: Shadi ki rasmain

              Originally posted by aquari View Post
              ha zaroor share krna
              ice cream wala idea acha haii
              tum merey mayoo pr atii tutumhain ice cream khila deti:tasali:
              Yani mai ny miss ker de icecream :embarasse
              waisey ek baat batao merey mayoo pr jalebiya bhi nahi thi
              :tasali:to dykho na kitna unique se rasm hoe tum ki .jalybi sy rasm to sab ki hoti hai .. mager maccroni se kise ki nahe hoi hoge:D:
              itefaq sey jinhoo ney lani thi un ko mil na sakii or woh pehley sey order dena bhol gaye yeh sooch kr k itni common mithai hai aram sey mil jaye gii ..................tu phr hum ney gher main maccroni bana kr yeh rasm poori krli thi:khi:
              Hain wakii .. wow maccroni say :hehe:
              zabardast :em:

              Comment

              • #22
                Re: Shadi ki rasmain

                Originally posted by aquari View Post
                Mazeed kuch rasmain share krti hn mayo tak tu agai thi
                mehdi main rasm hoti hai k Larki ki sisters dulhey ko mehdi lagati hain or un ko naig milta hai,
                pata ha yay hamary ha b hoti hai:D:

                kuch families main isi din larki ki larkey waley goodh bharai bhi krtey hain jis main saath suhaganain 7 trha k mewoo sey dulhan ki goud bhrti hain sometimes yeh rasm shadi wlaey din after rukhsati dulhey k gher jaker bhi hoti hai.
                wow.. mai ny sirf aisa movies ma dekha hai real ma kbi nahe dekhi yay rasm .. :embarasse
                Ek rasm hoti hai meri family main jub barat ati hain tu dulhan k bhai cousins etc dulkhey ki gari rooktey hian or us sey naig letey hain phr hi ussey stage pr janey dya jata haii bauht maza ata hai is rasm main
                yay b humary han b hoti hai ..:eye:
                becharey bhaiyoo ko bhi kuch mil jata hai wrna sari rasmain as u know larkiyoo ki hi hoti hain :khi:
                :hehe: Exactly ..
                doodh pilai or joota chupai bhi hoti hain,merey susral main tu sheesha dikhaney ki bhi rasm hoti hai k shesha rakh kr dono dulha dulhan pr dupata dal dya jata hai ..(shukar merey saath yeh rasm nahi hoi:dance2: kisi ko yaaad hi nahi rahi )
                shesha dekhany wali rams kise hoti hia .. ?? sheeshy ma kion dekhay dulha dulhan ek dosry ko?direct kio nahe?
                Last edited by aik_lerki; 11 September 2008, 04:21.

                Comment

                • #23
                  Re: Shadi ki rasmain

                  Originally posted by aik_lerki View Post
                  shesha dekhany wali rams kise hoti hia .. ?? sheeshy ma kion dekhay dulha dulhan ek dosry ko?direct kio nahe?
                  mere khaial se pahle ke zamane men sharmo haya ki vaja se amne samne nahin ate the or shadi se pehle dekhe bhi nahin hote the ek dusre ko to is lie shayad chori chupe bina ek dusre ko amne samne dekhe sheshe men dekh lete the.
                  am i right?

                  Fall view from inside my car
                  near my work place :)

                  Comment

                  • #24
                    Re: Shadi ki rasmain

                    Wow!!!sub k haan bohat interesting rasmain hen khaas tor per juleebi wali, yeh hamary haan nai hoti, wesy hamary haan jo rasmain hoti hain wo bhe mujhe to bohat achi lagti hain , ye bhe theek hai k esi rasmain nai honi chaiey but ye na hon to shaadi pheeki pheeki si lagti hai wesy ye mera zati khayal hai aap logon ka mutafiq hona zaroori nai hai, :D

                    Kaha jata hai k is se saas aur bahoo k dermayan payar barhta hai
                    is k illava bhe bohat si rasmain hoti hain jo ham log bohat enjoy karty hain
                    :D:

                    Comment

                    • #25
                      Re: Shadi ki rasmain

                      Asalam_O_Alikum,

                      nice thread Aquari :thmbup:

                      well hamary haan kuch ziyada rasmein nhi hotein....hum khud bhe gar-zarori aur fazool rasmoon say ijtinaab karty hain.....:)
                      bus chand aik rasmeen hain ...jesay
                      mehndi ki rasm (sirf larki ki.).....larky ko mehndi nhi lagaty.....sirf dhoolak bajti hy....:)
                      aur dhood pilai.....:D
                      aur jab dulha dulhan ko ly kr ghar ata hy to...driver(jo k koi cousin he hota hy) apna kiraya liay bagar nikalny nhi dyta:D:

                      i think itni he hain.....shyd 1,2 aur bhe hoon but yaad nhi..:D:

                      Comment

                      • #26
                        Re: Shadi ki rasmain

                        Originally posted by wajid hanif View Post
                        AMIR BAHI'' wase u yahan kia kar rahay ho ur to yaar age b ab kaafi hai .. ase baton ki tarf mat jaya karo..372-haha
                        Yaar tum mere jazbaat ko majrooh kerne ki kooshish mut karo
                        :thmbup:

                        Comment

                        • #27
                          Re: Shadi ki rasmain

                          Originally posted by savera shah View Post
                          Wow!!!sub k haan bohat interesting rasmain hen khaas tor per juleebi wali, yeh hamary haan nai hoti, wesy hamary haan jo rasmain hoti hain wo bhe mujhe to bohat achi lagti hain , ye bhe theek hai k esi rasmain nai honi chaiey but ye na hon to shaadi pheeki pheeki si lagti hai wesy ye mera zati khayal hai aap logon ka mutafiq hona zaroori nai hai, :D

                          Kaha jata hai k is se saas aur bahoo k dermayan payar barhta hai
                          is k illava bhe bohat si rasmain hoti hain jo ham log bohat enjoy karty hain
                          :D:
                          Aap loog kis area se hein? Aisi rasmein mein ne dekhi hein Hafizabad mein. I think you should be somewhere round this area
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #28
                            Re: Shadi ki rasmain

                            Originally posted by miss sng View Post
                            Asalam_O_Alikum,

                            nice thread Aquari :thmbup:

                            well hamary haan kuch ziyada rasmein nhi hotein....hum khud bhe gar-zarori aur fazool rasmoon say ijtinaab karty hain.....:)
                            bus chand aik rasmeen hain ...jesay
                            mehndi ki rasm (sirf larki ki.).....larky ko mehndi nhi lagaty.....sirf dhoolak bajti hy....:)
                            aur dhood pilai.....:D
                            aur jab dulha dulhan ko ly kr ghar ata hy to...driver(jo k koi cousin he hota hy) apna kiraya liay bagar nikalny nhi dyta:D:

                            i think itni he hain.....shyd 1,2 aur bhe hoon but yaad nhi..:D:
                            Hamaray haan bhi bus yahi he, bulke driver ki rasam bhi nahi he :bwink:
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #29
                              Re: Shadi ki rasmain

                              munda uncle ki baat bahut haad tak sahi hai
                              hamarey mashrey main jo rasmian shadi main hoti hain
                              kabhi kabhi bahut ajeeb bhi lagti hain
                              yahan arabs main aik rasam dekhi jo mujhey bahut achi lagi aur iss main koi burai bhi nazar nai aai
                              yahan shadi ka aik hi function hota hai jis main larki waley aur larkey waley mushtarka toor pe shareek hotey hain...ladies haal ke entrence pe aik bahut decorated table rakhi jati hai aur uss ko candles se sajaya jata hai aur uss pe aik diary rakhi jati hai yani guest book
                              iss book main har aaney wala mehman dulhan dulha ke lein wishes, duain likhta hai...aur ye koi zaruri nai ke app lazmi lekhin
                              phir jab dulha ladies main aata hai tu iss book main apney jazbat ka izhar karta hai aur book ko band kardiya jata hai dulha ke likhney ke baad koi aur uss book main kuch nai likhta
                              :)

                              Comment

                              • #30
                                Re: Shadi ki rasmain

                                Originally posted by Pakiza View Post

                                Sounds interesting :thmbup:
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X