Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shadi ki rasmain

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Shadi ki rasmain

    ha!! sab ki buht interesting rasmei hai...
    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

    :pr:

    Comment


    • #32
      Re: Shadi ki rasmain

      Originally posted by sarah gemini View Post
      yaar me shadiyan bohat km attend krti hun............even not in my family....wese koi khas ul khas rasmen tou nahin hotin hamaray haan...........hoti b hongi tou muje nae maloom.......ap share kijye taa k muje b pta chlay.
      ahan..shadiyan attend krni chahyeaa is lya nahi k rasmain enjoy krni hain bulk is lya k kisi ki khushi main shareek hona achi baat hai aaj app kisi ki khushi main jao kal ko koi app ki khushi ya gham main bhi ayega yehi humara culture hai or phr hum ney rehna inhi logo k darmian hai or families sey hat kr rahna koi achi baat nahi insani rishtoo ki bhi apni value hai dear:)....waisey hr family ki koi na koi khas rasm hoti hai ap ko nahi pata tu its ok main hoo na:salam:

      Comment


      • #33
        Re: Shadi ki rasmain

        Originally posted by *Hala* View Post
        ha!! sab ki buht interesting rasmei hai...
        app ney apni family ki nahi batai hala

        Comment


        • #34
          Re: Shadi ki rasmain

          Originally posted by SherAli View Post
          ap ka jawab padh kar meri andar ki sans bahar ayi men to dar raha tha k kahin ap ko meri bat buri na lage. ap ne sahi kaha k islam sab ke liye he to aesi rasmen agar gharib nahin kar payenge to unka dil tut jayega aur phir yeh fuzul kharchi ke zumur men ati hen.

          mere valdain ab is dunya men nahin rahe. Allah unko karvaty karvat jannat ata kare. amin
          ahan...nahi sahi baat mujhey tu kya kisi ko bhi buri nahi lagti..:)
          yehi tu baat hai k un ka koi nahi soochta jo nahi afford krsaktey baatain tu sub krtey hain pra in moqey pr sub hi thori bauht rasmainkr letey hain duniya dari ki khatir.main khud bhi bauht si cheezoo ko manti hn but honestly merey apney time pr taqreeban hr rasm hoi hai wohi baat k duniya main tu rehna hia yeh baatain yaktarfa nahi hosakti dono taraf k loog aisey ho phr hi baat agey barhti hai.
          Allah app k waldeen ko apney jawar-e-rehmat main jaga dey

          Comment


          • #35
            Re: Shadi ki rasmain

            Originally posted by munda_sialkoty View Post
            Its all about how we perceive it. Mein personally gair zaroori rasmon ke khilaaf hoon, hallagullah kerna alag baat he wo aap kisi tareekay se bhi ker saktay ho, per typical rasmein jese ser ke ouper dupata tana jana, sounds funny and senseless. Isn't it?
            jab app insani or kahndani rishtoo ko apney emotions express krney main senseless or funny keh rahey hain tu phr baat hi khatum hogai.

            Comment


            • #36
              Re: Shadi ki rasmain

              men to bas un rasmon ke sakht khilaf hon jo ghair islami hon or jin men shirk ki bu ati ho. pakistan ka tro mujeh ziyada ilm nai magar india men to ham ne beshumar mushrikana rasmen apna rakkhi hen jo qatai ghalat hen. hamko un se ijtinaab karna chahie.

              aur in sab se badh kar shadiyon par fuzul kharchi karna or ise status symbol banana na sirf mazhabi burai or gunah he bal k samaji burai bhi he. is maraz ki sarkubi karna nihayat zaruri he :)

              Fall view from inside my car
              near my work place :)

              Comment


              • #37
                Re: Shadi ki rasmain

                Originally posted by aquari View Post
                jab app insani or kahndani rishtoo ko apney emotions express krney main senseless or funny keh rahey hain tu phr baat hi khatum hogai.
                It is really not that and you are misinterpreting my notion. Rishton ke takadus ko mein khoob jaanta hoon aur nibhata bhi hoon. Mein senseless gair zaroori rasmon ko keh raha hoon. To me there is no harm cherishing the pleasant occasions like wedding, but rather we have to be sane at these moments. We can do many good things, but still its all about your personal choice. And I respect your choice :thmbup:
                :thmbup:

                Comment


                • #38
                  Re: Shadi ki rasmain

                  Originally posted by aquari View Post
                  app ney apni family ki nahi batai hala
                  Humari haa buht simple rasmi hoti hai....
                  mehandi ki rat larky wali larki ki ghar ati hai.. dulhan or dulha ko mehani lagye jati hai... khana khaya jata hai ... baqi songz/dance entertment ki baad wo log chali jati hai...
                  agali rooz shadi ki rasam hoti hai.... wo be simple sa :)
                  u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                  :pr:

                  Comment


                  • #39
                    Re: Shadi ki rasmain

                    Originally posted by *Hala* View Post
                    Humari haa buht simple rasmi hoti hai....
                    mehandi ki rat larky wali larki ki ghar ati hai.. dulhan or dulha ko mehani lagye jati hai... khana khaya jata hai ... baqi songz/dance entertment ki baad wo log chali jati hai...
                    agali rooz shadi ki rasam hoti hai.... wo be simple sa :)
                    Simple si kaha karo na Hala dearni
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #40
                      Re: Shadi ki rasmain

                      Originally posted by aquari View Post
                      ahan..shadiyan attend krni chahyeaa is lya nahi k rasmain enjoy krni hain bulk is lya k kisi ki khushi main shareek hona achi baat hai aaj app kisi ki khushi main jao kal ko koi app ki khushi ya gham main bhi ayega yehi humara culture hai or phr hum ney rehna inhi logo k darmian hai or families sey hat kr rahna koi achi baat nahi insani rishtoo ki bhi apni value hai dear:)....waisey hr family ki koi na koi khas rasm hoti hai ap ko nahi pata tu its ok main hoo na:salam:

                      (chahay jitne mrzi brray pemaanay pe krain

                      ab me zra "ooper" nazr dorrati hun ja k ap logo ne kya kya rasms share kin phir aapko batoon gi wht i liked...prayers:)
                      Last edited by saraah; 20 September 2008, 09:45.
                      شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                      Comment


                      • #41
                        Re: Shadi ki rasmain

                        Jo bhi he aap ki baatein perh ke maza aaya
                        :thmbup:

                        Comment


                        • #42
                          Re: Shadi ki rasmain

                          Originally posted by munda_sialkoty View Post
                          Jo bhi he aap ki baatein perh ke maza aaya
                          mzay ki kya baat hai iss me???
                          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                          Comment


                          • #43
                            Re: Shadi ki rasmain

                            Originally posted by sarah gemini View Post
                            mzay ki kya baat hai iss me???
                            :lahoul yeh baat ker ke aap ne sara maza kharab ker dia
                            :thmbup:

                            Comment


                            • #44
                              Re: Shadi ki rasmain

                              awesome thread AQ

                              wesay taqreeban her rasam her family main hoti hee hay
                              thori thori changings k sath
                              hamaray haan .......
                              mayon walay din , mami chachi phupi khala , ye log aa k larki maayon bithati hain
                              larkay walay deegar saman k sath larki ki saheeliyoooooooonn k liye bhi mehndi choori latay hain

                              laazmi
                              nai to phadda ho jana hay :hehe:

                              mehndi laga k naig lenay ki rasam b hoti hay chahay ham larki walay hon ya larkay walay

                              and
                              barat main dulha ki gaari rook k dulhan k bhai naig letay hain phir dulha stage pa puhunchnay pata hay

                              lekin dulha bhi badla ley leta hay
                              khanay k time pay
                              khanay say inkar kar deta hay
                              phir dulhan k bhaai us ki minaten kartay hain hath dhulwatay hain
                              us ko naig detay hain
                              phir wo akro khana khata hay :hehe: kitnay mazay say wasoli kar li

                              dulhan ki sister ya ghar ki koi bari khaton dodh pilaai ki rasam karti hain
                              dulhay k dost dodh ka glass uchak letay hain amoman aisa he hota hay , ye b aik rasam he hay

                              nikah k baad , khobsurat say mirror main aarsi mushaf ki rasam hoti hay
                              wohi tariqa .. shesha samnay rakh k dulha dulhan pay dupata dal detay hain

                              us k bad dulha dulhan ki maang bharta hay

                              sandal or dhanak say [ disco ya afshan b kehtay hain dhanak ko ]

                              ghar lay ja k kheer khilaai ki rasam hoti hay
                              ghar k tamam afrad dulhan ko aik aik chamchi kheer khilatay hain apna intoduction b karwatay hain gifts b detay hain or dulhan k jhotay chamchay say dulhay ko kheer khilatay hain


                              sari rasmen mendi or barat tak h hoti hain walimay main kuch nahi hota

                              walimay k bad dulhan jab apnay meykay renay jati hay
                              to susral say jatay hoye , us ki goud bhri jati hay
                              baray say romal main kuc phal fruit cheni chawal dodh or pesay diye jatay hain
                              same yahi, meykay say susral wapsi pay hota hay
                              us k bad dulhan dulha jis jis ghar dawat main jatay hain wahan yahi karwaai hoti hay
                              Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                              Comment


                              • #45
                                Re: Shadi ki rasmain

                                Originally posted by aquari View Post
                                Mazeed kuch rasmain share krti hn mayo tak tu agai thi
                                mehdi main rasm hoti hai k Larki ki sisters dulhey ko mehdi lagati hain or un ko naig milta hai,kuch families main isi din larki ki larkey waley goodh bharai bhi krtey hain jis main saath suhaganain 7 trha k mewoo sey dulhan ki goud bhrti hain sometimes yeh rasm shadi wlaey din after rukhsati dulhey k gher jaker bhi hoti hai.
                                Ek rasm hoti hai meri family main jub barat ati hain tu dulhan k bhai cousins etc dulkhey ki gari rooktey hian or us sey naig letey hain phr hi ussey stage pr janey dya jata haii bauht maza ata hai is rasm main becharey bhaiyoo ko bhi kuch mil jata hai wrna sari rasmain as u know larkiyoo ki hi hoti hain :khi:
                                doodh pilai or joota chupai bhi hoti hain,merey susral main tu sheesha dikhaney ki bhi rasm hoti hai k shesha rakh kr dono dulha dulhan pr dupata dal dya jata hai ..(shukar merey saath yeh rasm nahi hoi:dance2: kisi ko yaaad hi nahi rahi )
                                hawwww
                                ye to yaad hona chahye tha 372-shock
                                Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                                Comment

                                Working...
                                X