Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shadi ki rasmain

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Shadi ki rasmain

    Aslamalikum
    Is section main jaisa k shadi sey related cheezain share horahi hai
    tu hr culture main shadi ki apni rasomat hoti hai,Pakistan main bai'k waqt mukhtalif cultures hain or saath hi hr family ki bhi apni rasmain hain
    App sub batayea k app ki Family main shadi pr kon kon si rasmain hoti hain
    Yaqeenan kuch aisi hongi jo k larki sey related hongi or kuch aisi Jo larkey sey..!Kuch rasmain hr family main common hai jaisey k Doodh pilai,sehra bandhai,jooti chupana,goodh bharai,mu'h dikhai(:khi:..itni bar mun'h dekhney k bad bhi jo di jati hai dulhan ko) ,etc etc
    Abb app sub apni apni family ki khaas khas rasmain share karain...

  • #2
    Re: Shadi ki rasmain

    Pehley main apni family ki share krti h'n
    phr susral ki karoongi..:eye:
    Meri family main larki sey related ek rasm hoti hai jis main jis din larki ko mayoo'n bithatey hain us din us k chahcha,mamoo ya cousin waghaira doodh jaleebi latey hain khas kr shadi waley gher main mojoud larkiyooo k lya.
    Baqiii waqtan fawaqtan share karoongi ...

    Comment

    • #3
      Re: Shadi ki rasmain

      Originally posted by aquari View Post

      good thread :thmbup::D: is say kafi cheezian pata chalian gee :eye:
      jaleebeiannnnnnnnnnn cool :D:

      main nay A to Z to koi shadi attend nahi ki khandan ki kabhi bas mehman ban kay hi jatay hain 2,3 jo attend ki hain :D .unhi ka bata doun gee ...:D:

      khandan main aik shadi hovi ..jab date fix hoo jati hai to dua-i- khair kay leye sab baray larki ki ghar jatay hain ..yani ab bilkul final hai date :D ..or meeway, meethai bhi sath lay jatay hain or dulhan kay dresses or sab kuch chooriyan jootay waghera sab ...

      continue....
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment

      • #4
        Re: Shadi ki rasmain

        waah ji waah, interesting thread he...but hamaray haan ziada rasmein nahi hotein, simple simple se he kaam hotay hein
        :thmbup:

        Comment

        • #5
          Re: Shadi ki rasmain

          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          waah ji waah, interesting thread he...but hamaray haan ziada rasmein nahi hotein, simple simple se he kaam hotay hein
          Konsay kaam 372-shock
          Last edited by Eshaa Chaudhry; 9 September 2008, 21:14.
          sigpic

          Comment

          • #6
            Re: Shadi ki rasmain

            Originally posted by aquari View Post
            Aslamalikum
            Is section main jaisa k shadi sey related cheezain share horahi hai
            tu hr culture main shadi ki apni rasomat hoti hai,Pakistan main bai'k waqt mukhtalif cultures hain or saath hi hr family ki bhi apni rasmain hain
            App sub batayea k app ki Family main shadi pr kon kon si rasmain hoti hain
            Yaqeenan kuch aisi hongi jo k larki sey related hongi or kuch aisi Jo larkey sey..!Kuch rasmain hr family main common hai jaisey k Doodh pilai,sehra bandhai,jooti chupana,goodh bharai,mu'h dikhai(:khi:..itni bar mun'h dekhney k bad bhi jo di jati hai dulhan ko) ,etc etc
            Abb app sub apni apni family ki khaas khas rasmain share karain...
            WalikomAssalam
            :em: bohat mazy ka thread hai .. humary han to aise koe special rasm nahe hotii .. mager doodh pilai , aur jota chupai to hoti hai ... :D:
            meri friend k haan bary mazy ki rasmain hoti hain .. wo share kero ge ma zaroor

            Comment

            • #7
              Re: Shadi ki rasmain

              Originally posted by aquari View Post
              Pehley main apni family ki share krti h'n
              phr susral ki karoongi..:eye:
              Meri family main larki sey related ek rasm hoti hai jis main jis din larki ko mayoo'n bithatey hain us din us k chahcha,mamoo ya cousin waghaira doodh jaleebi latey hain khas kr shadi waley gher main mojoud larkiyooo k lya.
              Baqiii waqtan fawaqtan share karoongi ...
              wow .. :D:
              Exactly same yayhi rasm meri friend k haa b hoe the oski sis ki mayo py .. to ma apni friend se kehri thi k is rasm ma thori changes ker k jaleebiyo k bajay icecream kheelaty sab ko to kitna zada maza aata :hehe:

              Comment

              • #8
                Re: Shadi ki rasmain

                shadi men to bahut si baten hoti hen jo sahi bhi hen or ghalat bhi, kuch islami hen to kuch gher islami, kuch showbazi to kuch tafri ke liye hoti hen.
                mere father bahot religious the to vo koi rasam nehin hone dete the. par or gharon men hoti hen . bad men share karun ga insha Allah :)

                Fall view from inside my car
                near my work place :)

                Comment

                • #9
                  Re: Shadi ki rasmain

                  Originally posted by Aanchal View Post
                  good thread :thmbup::D: is say kafi cheezian pata chalian gee :eye:
                  jaleebeiannnnnnnnnnn cool :D:

                  main nay A to Z to koi shadi attend nahi ki khandan ki kabhi bas mehman ban kay hi jatay hain 2,3 jo attend ki hain :D .unhi ka bata doun gee ...:D:

                  khandan main aik shadi hovi ..jab date fix hoo jati hai to dua-i- khair kay leye sab baray larki ki ghar jatay hain ..yani ab bilkul final hai date :D ..or meeway, meethai bhi sath lay jatay hain or dulhan kay dresses or sab kuch chooriyan jootay waghera sab ...

                  continue....
                  thx Anchal
                  kaisi hoo tum k aaj kal koi bhi shadi dhang sey atend nahi ki
                  mujhey tu un tamam shadiyooo ka afsoos hai jo main ney bachpan main attend krli bina kisi enjoyment k sochti yeh sub recent hoi hoti tu kitnaaaaaaaaa maza ata:dance:,basicaly main khud halagulla kum krti hn pr enjoy khoob krti hn:eye:.
                  ahan rasm tu bauht achi hain mazeed zaroor share krna

                  Comment

                  • #10
                    Re: Shadi ki rasmain

                    Originally posted by munda_sialkoty View Post
                    waah ji waah, interesting thread he...but hamaray haan ziada rasmein nahi hotein, simple simple se he kaam hotay hein
                    simple shadi bhi yaqeenan achi hoti hogi pr rasmoo sey un main jaan ajati hai

                    Comment

                    • #11
                      Re: Shadi ki rasmain

                      Originally posted by aik_lerki View Post
                      WalikomAssalam
                      :em: bohat mazy ka thread hai .. humary han to aise koe special rasm nahe hotii .. mager doodh pilai , aur jota chupai to hoti hai ... :D:
                      meri friend k haan bary mazy ki rasmain hoti hain .. wo share kero ge ma zaroor
                      ha zaroor share krna
                      ice cream wala idea acha haii
                      tum merey mayoo pr atii tutumhain ice cream khila deti:tasali:
                      waisey ek baat batao merey mayoo pr jalebiya bhi nahi thi
                      itefaq sey jinhoo ney lani thi un ko mil na sakii or woh pehley sey order dena bhol gaye yeh sooch kr k itni common mithai hai aram sey mil jaye gii ..................tu phr hum ney gher main maccroni bana kr yeh rasm poori krli thi:khi:

                      Comment

                      • #12
                        Re: Shadi ki rasmain

                        Originally posted by SherAli View Post
                        shadi men to bahut si baten hoti hen jo sahi bhi hen or ghalat bhi, kuch islami hen to kuch gher islami, kuch showbazi to kuch tafri ke liye hoti hen.
                        mere father bahot religious the to vo koi rasam nehin hone dete the. par or gharon men hoti hen . bad men share karun ga insha Allah :)
                        App ney bilkul thek kaha humarey mazhab main in cheezoo k lya koi jaga nahi yaqeenan kuch rasmain boojh hain k jaisey ager date fix honi hai tu larkley waley 7 trha k phal or 7 trha k mewey(dry fruits) lain gey 7 hi kg mithai honi chahyeaa yaqeenan is main $ ka zaya hai kai loog hongey jo is ko afford nahi kr saktey pr ba'az auqat huma isey band gaye hain in cheezoo main k chah kr bhi nikal nahi patey or ager koshish karain tu bauht kuch bardasht krna prta hai..its good k app k father is pr aml krtey hain Allah unhain mazeed himmat dey

                        Comment

                        • #13

                          ap ka jawab padh kar meri andar ki sans bahar ayi men to dar raha tha k kahin ap ko meri bat buri na lage. ap ne sahi kaha k islam sab ke liye he to aesi rasmen agar gharib nahin kar payenge to unka dil tut jayega aur phir yeh fuzul kharchi ke zumur men ati hen.

                          mere valdain ab is dunya men nahin rahe. Allah unko karvaty karvat jannat ata kare. amin

                          Fall view from inside my car
                          near my work place :)

                          Comment

                          • #14
                            Re: Shadi ki rasmain

                            Mazeed kuch rasmain share krti hn mayo tak tu agai thi
                            mehdi main rasm hoti hai k Larki ki sisters dulhey ko mehdi lagati hain or un ko naig milta hai,kuch families main isi din larki ki larkey waley goodh bharai bhi krtey hain jis main saath suhaganain 7 trha k mewoo sey dulhan ki goud bhrti hain sometimes yeh rasm shadi wlaey din after rukhsati dulhey k gher jaker bhi hoti hai.
                            Ek rasm hoti hai meri family main jub barat ati hain tu dulhan k bhai cousins etc dulkhey ki gari rooktey hian or us sey naig letey hain phr hi ussey stage pr janey dya jata haii bauht maza ata hai is rasm main becharey bhaiyoo ko bhi kuch mil jata hai wrna sari rasmain as u know larkiyoo ki hi hoti hain :khi:
                            doodh pilai or joota chupai bhi hoti hain,merey susral main tu sheesha dikhaney ki bhi rasm hoti hai k shesha rakh kr dono dulha dulhan pr dupata dal dya jata hai ..(shukar merey saath yeh rasm nahi hoi:dance2: kisi ko yaaad hi nahi rahi )

                            Comment

                            • #15
                              Re: Shadi ki rasmain

                              yaar me shadiyan bohat km attend krti hun............even not in my family....wese koi khas ul khas rasmen tou nahin hotin hamaray haan...........hoti b hongi tou muje nae maloom.......ap share kijye taa k muje b pta chlay.
                              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                              Comment

                              Working...
                              X