Re: ~~~~ Working Women ~~~~
100% right
aap nay sahi kaha saima loog keh to buhat kuch daytay hain lekan jab waqat parta haai koi sath nahi dayta !!!!
job ka aik faida yeh bhi hai kay agar koi Ala taleem hasil karna chaye kisi institute main or us kay paas itnay paisay hi naa hoo or ghar walye na day saktay houn to kia us larki ko taleem hasil nahi karni chaye agay ???
mere aik friend khud job karti hai woh apni fees khud hi dayti hai ...apnay baap or bahi pay depend nahi karti.....agar woh khud job kar kay apni fees kay paisay na daiti to ghar hi beathe reh jati.......
job ka aik faida yeh bhi hota hai kay insaan active rehta hai , etamaad ata hai ...apnay paoun pay khara hoo sakta hai banda ..aik friend the school main usay bolna tak nahi ata thaa..shy person keh saktay hain ...school kay bad us nay aik saal job ki us main kafi baadlaoo ayaa koi keh nahi sakta hai yeh vohi larki hai chup chup si aik koonay main beathnay wali larki....us ki batoun main us ki dressing main har cheez main nikhaar aya ..ab woh pehlay say zaida pur-atamad nazar ati hai ....
kya is doran jo log bari bari batain kertey hain wo oun ki kuch madad ker payeh ?????

Comment