Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~~~ Working Women ~~~~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: ~~~~ Working Women ~~~~

    kya is doran jo log bari bari batain kertey hain wo oun ki kuch madad ker payeh ?????
    100% right
    aap nay sahi kaha saima loog keh to buhat kuch daytay hain lekan jab waqat parta haai koi sath nahi dayta !!!!

    job ka aik faida yeh bhi hai kay agar koi Ala taleem hasil karna chaye kisi institute main or us kay paas itnay paisay hi naa hoo or ghar walye na day saktay houn to kia us larki ko taleem hasil nahi karni chaye agay ???
    mere aik friend khud job karti hai woh apni fees khud hi dayti hai ...apnay baap or bahi pay depend nahi karti.....agar woh khud job kar kay apni fees kay paisay na daiti to ghar hi beathe reh jati.......

    job ka aik faida yeh bhi hota hai kay insaan active rehta hai , etamaad ata hai ...apnay paoun pay khara hoo sakta hai banda ..aik friend the school main usay bolna tak nahi ata thaa..shy person keh saktay hain ...school kay bad us nay aik saal job ki us main kafi baadlaoo ayaa koi keh nahi sakta hai yeh vohi larki hai chup chup si aik koonay main beathnay wali larki....us ki batoun main us ki dressing main har cheez main nikhaar aya ..ab woh pehlay say zaida pur-atamad nazar ati hai ....
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment

    • #32
      Re: ~~~~ Working Women ~~~~

      Aanchal bilkul sach kaha aap ne, mei en khudh Inter kerne k baad job start ki thi aur further studies bhi apni income se continue ki, casue taleem yahan Pakistan ki tara free nahi... its really costly... Mere bhai chotey hain mujh se, ounhein ne bhi Inter ke baad further courses mere sath kiyeh. Apne Ilam aur qabliyat ka sahi Istemal kerna hi sab se bari baat hoti hai.

      Aur yeh baat bhi sahi hai k insaanko her tara ka saleeqa bhi aa jata hai. :)
      sigpic

      Comment

      • #33
        Re: ~~~~ Working Women ~~~~

        [QUOTE=Saima Shaheen]Chaley maan laiti hoon aap ki yeh baat, k aurtein mardo ke shana-ba-shana kam kerna chahti hain, oun ke muqabley mei aana chahti hain... yeh baat sahi hai k aurton mei yeh rohjan barh raha hai, magar mei khudh is nazriyeh ko galta manti hoon.... there's no comparison between a man and a woman..... dono ka apna ek wajood hai, apni zimedarian hain, Aisi masayel aur aisi behas tabhi perwan cherti hai jab dono mei se koi ek apne track se hatey ga. yeh mehaz ek fazool si baat hai.
        Magar in sab baton ko ek taraf rakhtey huwey jaisa aap ne kaha fazool zarorton ko paney k liyeh kuch bhi ker rahey hain...yeh galat hai.... mei aap ko apni ek frd ki baat batati hoon, jo infact meri class-mate bhi thi .
        Ous ki shadi jis se huwi oun ka acha khasa personal business tha, shadi ke baad taqreeban 3 saal buhut khushaali se guzrey.... oun ka aik baita aur ek baiti hai, baiti abhi sirf 2 saal ki hai aur ouse diabatese hai... aur jis mulk mei hum hain yahan elaj kafi mehanga hai ...aur itna andaza aap sab ko ho ga k diabatese k patient ko daily injections aur strips ki kis hadth tak zaroorat hoti hai, aur is tarah si patient k daily expenditure ka andaz bhi ho ga. ous ke husband ko business mei buhut nuksan huwa ...aakhir business hai outar cherhao to chalt ahai...magar yeh silsila ek saal tak chalta raha aur kaam mei koi behtari nahi huwi...dosri taraf baiti bemar aur roz ki adwiyat... oun ke halat buhut tang they..... kya is doran jo log bari bari batain kertey hain wo oun ki kuch madad ker payeh ?????

        Nahi na..... yeh batain bas kerne ki hoti hain...at that time jahan mei job kerti thi ousi building mei ek office mei vacany thi to mei ne ous ki CV waha forward ker di and she got a job there... aakhir ous ki taleem aur qabliyat itni to phir hi woh yeh job ker payi ...... tab kam se kam woh roz ka kharch aur baiti ka ilaj to theikh se kerwa sakti thi.....

        Assalaam o alekum,

        saima aap humaari baat ko shaayad samajh nahin paayin humien kahaa hai ke bilaa zaroorat auratoon ko job nahin kerni chaahiye humnien yeh kabhi nahin kaha ke zaroorat hoonien per bhi aurat job naa karien aapki fr ko waaqaee zaroorat thi job ki issliye usske job kernien mien koee buraayi nahin

        aur haan ager aap chaahien to hum aapko ek address de sakte hain jahaan se uss bachchi ke liye dawa mil sakti hai daibeties ke liye humaari ek member najma baaji jinke husband ko daibeties hai woh wohi dawa use kerti hain aur Mashaah Allaah unke husband ko faayedaa bhi hai hum aapka adress is liye nahin maang rahe ke kyaa pataa aapko munaasib lage ya naa lage
        :tang: RISK IS MY BUSINESS

        DANGER IS MY GAME

        DONT PLAY WITH ME
        BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

        Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

        Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

        Comment

        • #34
          Re: ~~~~ Working Women ~~~~

          Originally posted by khurram_shaikh

          Assalaam o alekum,

          saima aap humaari baat ko shaayad samajh nahin paayin humien kahaa hai ke bilaa zaroorat auratoon ko job nahin kerni chaahiye humnien yeh kabhi nahin kaha ke zaroorat hoonien per bhi aurat job naa karien aapki fr ko waaqaee zaroorat thi job ki issliye usske job kernien mien koee buraayi nahin

          aur haan ager aap chaahien to hum aapko ek address de sakte hain jahaan se uss bachchi ke liye dawa mil sakti hai daibeties ke liye humaari ek member najma baaji jinke husband ko daibeties hai woh wohi dawa use kerti hain aur Mashaah Allaah unke husband ko faayedaa bhi hai hum aapka adress is liye nahin maang rahe ke kyaa pataa aapko munaasib lage ya naa lage

          Chalain theikh hai, baat wahi hai k zaroorat ke waqt apne ilam ka sahi istemal kerne mei koi burayi nahi, ab chahey woh job hi kiu na ho. Rahi baat ous bachi ki to let me speak to my frd, yeh baat bhi hai k jo medication adults use kertey hain bacho ko wo up to certain age nahi di jati.
          sigpic

          Comment

          Working...
          X