:rose
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
~~~~ Working Women ~~~~
Collapse
X
-
Re: ~~~~ Working Women ~~~~
Ab aap apni ra'ay sy agaah keryay kay khawateen ko job kerne chahiyay kay nahe..ap ky khayal mai khawateen ka job kerna sahe hai ya galat .Aaap is ko bura samajhty hain ky nahe..aya is main koi burae hai ky nahe ....!!
Comment
-
Re: ~~~~ Working Women ~~~~
Assalaam o alekum,
ek_larki bahooot hi achchaa topic choose kiyaa hai aapnien Inshaah Allaah bahooot jald hum apni rai yehaan likhien ge khush rahein:tang: RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:
Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe
Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe
Comment
-
Re: ~~~~ Working Women ~~~~
Originally posted by aik_lerkiAb aap apni ra'ay sy agaah keryay kay khawateen ko job kerne chahiyay kay nahe..ap ky khayal mai khawateen ka job kerna sahe hai ya galat .Aaap is ko bura samajhty hain ky nahe..aya is main koi burae hai ky nahe ....!!
larkeeeeeeeee!!!
ham to samjhe thayk tum sirf choti choti c posts me hi haaN, hooN karne wali larkii ho , tum ne to bohat ehem topic nikala hay:eye: waaaaah:D:
larki agar job apne fariGh waqt me kare to theek.lekin usko waqaee ghar k tamaam rakh rakhao se waqfiyyat k saath saath tajruba bhi hona chahiye.aur, wo ghar k kamoN meiN shareek bhi rahay.
ham ne esii larkiyaaN dekhii haiN jo job to apni khaahish ya zid se kartii haiN, lekin is k ba,d ghar ki zimmadariyaaN janna hi naheeN chahteeN.goya wo ghar k kamoN se faraar k liye job kartii hoN.
is meiN bhi koee shak naheeN k job se un k muizaaj bohat khud-sirbhi ho jate haiN.ham ne akcar dekha hay k ghar k nizam darham barham hone k sabab nachaaqiyaaN hueeN.
miyaaN ko gilah, k
ghar ka nizamkharab hogaya.
to bv ka uzr, k
woh job bhi karti hay.
miyaaN ka kehna, k
job zaroori naheeN, tum ghar sambhalo, maiN kamane ka zimma daar hooN.tum ghar aur bachoN ki parwarish meiN dhiyaan do.
bv q-k ek social life ki aadii ho chukii hay, wo apnii job choRne pe tayyar naheeN.
bache child-minder k paas pal rahay haiN.wo job kar rahi hay.bache khud-etimadii se mehroom rahay.baRe ho k apne apne raaste ikhtiyar kar liye.
aur yuuN ek shauq, ek zid =====ek ghar aur ek khaandaan ki tabahii ka sabab ban jata hay.
zaroorat k tehet job karna bura naheeN.-----lekin social life k liye--------ham haq meuiN naheeN.
haaN agar larkii doctor, wakeel ya ese hi kisii mansab par hay to baat deegar hay.unko bhi bachon aur ghar k nizaampar bohat active rehna hoga.
samajh daar khawateen, bachon k ba,d esee jobs bhi full time naheeN karteeN.
Comment
-
Re: ~~~~ Working Women ~~~~
Originally posted by khurram_shaikhAssalaam o alekum,
ek_larki bahooot hi achchaa topic choose kiyaa hai aapnien Inshaah Allaah bahooot jald hum apni rai yehaan likhien ge khush rahein
aap ki ra'ay ka intazar ker rahy hain humsab :)
Comment
-
Re: ~~~~ Working Women ~~~~
Originally posted by najmalarkeeeeeeeee!!!
ham to samjhe thayk tum sirf choti choti c posts me hi haaN, hooN karne wali larkii ho , tum ne to bohat ehem topic nikala hay:eye: waaaaah:D:
larki agar job apne fariGh waqt me kare to theek.lekin usko waqaee ghar k tamaam rakh rakhao se waqfiyyat k saath saath tajruba bhi hona chahiye.aur, wo ghar k kamoN meiN shareek bhi rahay.
ham ne esii larkiyaaN dekhii haiN jo job to apni khaahish ya zid se kartii haiN, lekin is k ba,d ghar ki zimmadariyaaN janna hi naheeN chahteeN.goya wo ghar k kamoN se faraar k liye job kartii hoN.
is meiN bhi koee shak naheeN k job se un k muizaaj bohat khud-sirbhi ho jate haiN.ham ne akcar dekha hay k ghar k nizam darham barham hone k sabab nachaaqiyaaN hueeN.
miyaaN ko gilah, k
ghar ka nizamkharab hogaya.
to bv ka uzr, k
woh job bhi karti hay.
miyaaN ka kehna, k
job zaroori naheeN, tum ghar sambhalo, maiN kamane ka zimma daar hooN.tum ghar aur bachoN ki parwarish meiN dhiyaan do.
bv q-k ek social life ki aadii ho chukii hay, wo apnii job choRne pe tayyar naheeN.
bache child-minder k paas pal rahay haiN.wo job kar rahi hay.bache khud-etimadii se mehroom rahay.baRe ho k apne apne raaste ikhtiyar kar liye.
aur yuuN ek shauq, ek zid =====ek ghar aur ek khaandaan ki tabahii ka sabab ban jata hay.
zaroorat k tehet job karna bura naheeN.-----lekin social life k liye--------ham haq meuiN naheeN.
haaN agar larkii doctor, wakeel ya ese hi kisii mansab par hay to baat deegar hay.unko bhi bachon aur ghar k nizaampar bohat active rehna hoga.
samajh daar khawateen, bachon k ba,d esee jobs bhi full time naheeN karteeN.
najma je aaur kia kia khayalaat hain aap k mery baary main..zara wo bhe bata dijay..:p taky un ki bhe main correction ker doon..:wk
umm likhaa to aap ny boohat achaa aur bilkul sahe hai..
ky lerkioo ko apny gher ko prefer kerna chahiayay..aur ager gharailo life disturb ho rahe hai job ki waja sy to phir nahe kerne chahiayay us ko job..
mager is ma koi buraaee to nahe hai na..phir moslty loog lerkio k job kerny ko bura kio samjhty hain ..?
Comment
-
Re: ~~~~ Working Women ~~~~
jo loog female ki job key kheelaf hain zara yeh bataye kay jab kabhi app kisi ki biwi/beeti ya ghar ki kisi bhi larki ko koi problem hoo jaye or unhaye lady doctor kay paas lay jananay ki zarorat parey to kia karain gay ??? kisi male doctor say us ka elaj karaian gay ? yakenan female doctor ko dhoundian gay ...jab female job hi nahi karain gee to woh aap ki help kaisay kar sakti hain ???????
aik maa ghar main bachoun ki tarbeyat karti hai ...lekan woh teacher ban kay hazaroun maoun kay bachoun ki tarbeyat kar sakti hai !!!!
apni sooch ko mehdood na karain .....beshak aik aurat ki pehli zimmadari apna ghar hai ....us kay paas time hai or woh karna chahti hai to job karnay main koi haraj nahi hai ....!!!!
Comment
-
Re: ~~~~ Working Women ~~~~
woooooooow anchal excatly my words.........
i think its cool that women works..............mere kheyal se aaj kul ke zamane mei aurtei aur mard aggar eik doosre ka saath de to woh dono kaam bhi kar sagte hai aur saath mei bachoun ki tarbiyat bhi achi kar sagte hai............jo loog aaj kul ke zamane mei yeh sochte hai ke larkioun ko job nahi karna cahiye....woh mere nazar mei burani kheyalaat ke loog hote hia.........aggar dono mei compromise aur samajh ho to aisi bhi koi problem nahi hai.........balke aurtoun ko apni taleem aur job dono ko hamesha bana cahiye,,,aur dikhana cahiye ke woh mardoun se kum nahi........balke taleem aur job hasil karne ke ilawa woh apne family ko bhi sambhaal sgati hai,,,,,,,,,,
Comment
-
Re: ~~~~ Working Women ~~~~
aha nice topic i will be write soon InshaAllah :rose
Comment
-
Re: ~~~~ Working Women ~~~~
Originally posted by Aanchaljo loog female ki job key kheelaf hain zara yeh bataye kay jab kabhi app kisi ki biwi/beeti ya ghar ki kisi bhi larki ko koi problem hoo jaye or unhaye lady doctor kay paas lay jananay ki zarorat parey to kia karain gay ??? kisi male doctor say us ka elaj karaian gay ? yakenan female doctor ko dhoundian gay ...jab female job hi nahi karain gee to woh aap ki help kaisay kar sakti hain ???????
aik maa ghar main bachoun ki tarbeyat karti hai ...lekan woh teacher ban kay hazaroun maoun kay bachoun ki tarbeyat kar sakti hai !!!!
apni sooch ko mehdood na karain .....beshak aik aurat ki pehli zimmadari apna ghar hai ....us kay paas time hai or woh karna chahti hai to job karnay main koi haraj nahi hai ....!!!!
yahee baat ager sab ko samajh aa ja'ay to phir to koi prb he nahe hai:)
Comment
-
Re: ~~~~ Working Women ~~~~
Originally posted by aik_lerki:eek: :eek:
najma je aaur kia kia khayalaat hain aap k mery baary main..zara wo bhe bata dijay..:p taky un ki bhe main correction ker doon..:wk
umm likhaa to aap ny boohat achaa aur bilkul sahe hai..
ky lerkioo ko apny gher ko prefer kerna chahiayay..aur ager gharailo life disturb ho rahe hai job ki waja sy to phir nahe kerne chahiayay us ko job..
mager is ma koi buraaee to nahe hai na..phir moslty loog lerkio k job kerny ko bura kio samjhty hain ..?
baat ye hay k har koee apne tajrube se hii seekhna chahta hay.ham yahaaN laakh behc kar leN, logon ne apni hi man-maanii karnii hay.
choT khane k ba,d hi aql aatii hay k kaash ham baRoN ki baat maan lete.
naya zamana, naee fikr, naeyfashion, naey dastoor, sirf yehii zindagii naheeN hay.
aql ka taqaza to ye hay k baroN ki baat , baroN k tajruboN se seeklhiye
lekin dil ka kya jaey.kam-bakht maanta hi naheen.aankheN band kar k zamane k saath dauR rahaa hay.
kabhi is baat ko yaad karna k job aurat k liye aakhiri umr meiN museebat ban jati hay.akcar aulad apni man-mani karti hay.wajha wohii (bachpan meiN ayaaoN k hathon parwarish pane ke sabab ma baap se doorii)doori hoti hay jo bachpan se unka muqaddar thii.
bare ho kar ma baap aur aulad me gap ajata hay daraaR aajati hay.
ab ye apki marzi hay k bachonki umdah tarbiyat ya job kar k pesa?
Comment
-
Re: ~~~~ Working Women ~~~~
Originally posted by Aanchaljo loog female ki job key kheelaf hain zara yeh bataye kay jab kabhi app kisi ki biwi/beeti ya ghar ki kisi bhi larki ko koi problem hoo jaye or unhaye lady doctor kay paas lay jananay ki zarorat parey to kia karain gay ??? kisi male doctor say us ka elaj karaian gay ? yakenan female doctor ko dhoundian gay ...jab female job hi nahi karain gee to woh aap ki help kaisay kar sakti hain ???????
aik maa ghar main bachoun ki tarbeyat karti hai ...lekan woh teacher ban kay hazaroun maoun kay bachoun ki tarbeyat kar sakti hai !!!!
apni sooch ko mehdood na karain .....beshak aik aurat ki pehli zimmadari apna ghar hai ....us kay paas time hai or woh karna chahti hai to job karnay main koi haraj nahi hai ....!!!!
Comment
-
Re: ~~~~ Working Women ~~~~
it depends larki key "job" sey exactly aap ka kya matlab hai
Jadeediyat aik taraf ... leykin hamien apni values kabhi nahi bhoolni chahiyein ...Islam kehta hai key "koi larki baghair kisi zaroorat key bghair bahar nahi ja sakti"
hamray Pak. Mu'ashra mey jis tarhan key halaat hien to mey to her giz is haq mey nahi key aik larki office mey ja ker kaam kaarey mehaz time paas key liye
Aik min
mujhey pata hai aap sab abhi kya soch rahey hon gey but let me explain first
ghar sey bahar na jana doesnt mean key aap ghar mey beyth ker time zaya karein kyoon key normally ghar ko manage kertey huye bhi bohot saara time hamara free hota hai ...
aur Islam hamein waqt ko zaya kerney ki to hergiz ijazat nahi deyta
independently aisey bohot saarey kaam kiye ja saktey hein jin sey ham khud bhi satisfy hon...masroof bhi rahein aur logon key kaam bhi aa sakein." Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: ~~~~ Working Women ~~~~
Originally posted by najmatum hamara pehla reply ghaur se parho
main yeh nahi kehna cha rahi kay aurat ko har haal main job karni hi karni hai ..pehli tarjeeh to aurata ko ghar ko deeni chaye bachoun ko deeni chaye.......is kay bad doori cheezian....... :roseLast edited by .; 4 June 2005, 10:16.
Comment
Comment