Re: ~~~~ Working Women ~~~~
Assalaam o alekum,
Haan to dostoon yehaan baat ho rahi hai ke kyaa khawaateen ko job kerni chaahiye yaa nahin??? Main iss baat se inqaar nahin kertaa ke auratoon /larkiyoon ko job nahin kerni chaahiye wo job karien zaroor karien lekin tab jab unhien koee majboori ho wernaa naa hi karien to behter hai,
Main aisa isliye keh rahaa ke aaj ke daur mien larkiyoon ke job kernien se larkoon ko job milnien mien bahoot mushkilaat kaa samnaa kernaa per rahaa hai , ek larki ager job karegi jisse job ki zaroorat nahin to who sirf apnien akhraajaat poore kernien ke liye yaa phir waqt guzaari ke liye job karegi lekin wahin ek mard/larka job kare ga to apnien poore ghar ke akhraajaat sambhaale gaa ,
Aam taur aapnien dekhaa hoogaa miyaan biwi donoon job kerte hain ab aap hi bataayien ke miyaan bivi aakhir kyoon job ker rahe hain?? Kya unki koee majboori hai ?? jab miyaan job ker rahaa hai to mere khayaal se bivi ko job nahin kerni chaahiye balke usse ghar ki dekh bhaal kerni chaahiye ,lekin aisa nahin hai ab aap bataayien ager uss bivi ki jageh koee doosra mard wohi job karega to ek khaandan kaa kharch uthaayegaa lekin ek bivi ager wohi job ker rahi to who kyaa karegi BANK BALANCE yaa phir MAKE UP kaa samaan yaa phir ZEVARAAT khareede gi mera maannaa hai ke ager zaroorat ho to khwaateen job zaroor karien lekin bilaa zaroorat kernaa munaasib nahin ho saktaa hai , ab jaise humaari azeez saathi (naaani) nien kahaa ke phir larkiyaa/khwaateen Doctor nahin hoongi to yehaan main yeh kahoongaa ke ager koee larki Doctor hai to issmien koee buraayi nahin ,meri baatien aap logoon ko pasand na aayien yaa phir mujhe daqyaanoosi khayaalaat kaa maliq bhi samjhaa jaaye lekin mujhe isse koee farq nahin pertaa, mera soochnaa sirf yeh hai ke jab main apni maan apni bahen apni biwi ke akhraajaat poorey ker saktaa hun to phir unhien job kernien ki kyaa zaroorat??

Comment