Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~~~ Working Women ~~~~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ~~~~ Working Women ~~~~

    Assalaam o alekum,

    Haan to dostoon yehaan baat ho rahi hai ke kyaa khawaateen ko job kerni chaahiye yaa nahin??? Main iss baat se inqaar nahin kertaa ke auratoon /larkiyoon ko job nahin kerni chaahiye wo job karien zaroor karien lekin tab jab unhien koee majboori ho wernaa naa hi karien to behter hai,

    Main aisa isliye keh rahaa ke aaj ke daur mien larkiyoon ke job kernien se larkoon ko job milnien mien bahoot mushkilaat kaa samnaa kernaa per rahaa hai , ek larki ager job karegi jisse job ki zaroorat nahin to who sirf apnien akhraajaat poore kernien ke liye yaa phir waqt guzaari ke liye job karegi lekin wahin ek mard/larka job kare ga to apnien poore ghar ke akhraajaat sambhaale gaa ,

    Aam taur aapnien dekhaa hoogaa miyaan biwi donoon job kerte hain ab aap hi bataayien ke miyaan bivi aakhir kyoon job ker rahe hain?? Kya unki koee majboori hai ?? jab miyaan job ker rahaa hai to mere khayaal se bivi ko job nahin kerni chaahiye balke usse ghar ki dekh bhaal kerni chaahiye ,lekin aisa nahin hai ab aap bataayien ager uss bivi ki jageh koee doosra mard wohi job karega to ek khaandan kaa kharch uthaayegaa lekin ek bivi ager wohi job ker rahi to who kyaa karegi BANK BALANCE yaa phir MAKE UP kaa samaan yaa phir ZEVARAAT khareede gi mera maannaa hai ke ager zaroorat ho to khwaateen job zaroor karien lekin bilaa zaroorat kernaa munaasib nahin ho saktaa hai , ab jaise humaari azeez saathi (naaani) nien kahaa ke phir larkiyaa/khwaateen Doctor nahin hoongi to yehaan main yeh kahoongaa ke ager koee larki Doctor hai to issmien koee buraayi nahin ,meri baatien aap logoon ko pasand na aayien yaa phir mujhe daqyaanoosi khayaalaat kaa maliq bhi samjhaa jaaye lekin mujhe isse koee farq nahin pertaa, mera soochnaa sirf yeh hai ke jab main apni maan apni bahen apni biwi ke akhraajaat poorey ker saktaa hun to phir unhien job kernien ki kyaa zaroorat??

    :tang: RISK IS MY BUSINESS

    DANGER IS MY GAME

    DONT PLAY WITH ME
    BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

    Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

    Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

    Comment

    • #17
      Re: ~~~~ Working Women ~~~~

      ager to larki samjhe ke wo job n ghar me balance rakh sakti he to zarur kare warna nai kare.wese baat sari he himat or hosle ki ager ho to ki ja sakti he.wese mujhe khud kabhi bhi job karne ka shok nahi raha kiun ke mujhe subo der tak sona acha lagta he :lol abhi aik dost ke kehne par interview dia tha unhon ne bulaya hi nahi me ne shuker kia ke meri neend bach gaei :wk :lol

      Comment

      • #18
        Re: ~~~~ Working Women ~~~~

        Originally posted by handsome
        aha nice topic i will be write soon InshaAllah :rose
        Thankx Handsome bachy
        okay hum intazar keray gay :)

        Comment

        • #19
          Re: ~~~~ Working Women ~~~~

          Originally posted by barg.e.gul
          it depends larki key "job" sey exactly aap ka kya matlab hai

          Jadeediyat aik taraf ... leykin hamien apni values kabhi nahi bhoolni chahiyein ...Islam kehta hai key "koi larki baghair kisi zaroorat key bghair bahar nahi ja sakti"
          hamray Pak. Mu'ashra mey jis tarhan key halaat hien to mey to her giz is haq mey nahi key aik larki office mey ja ker kaam kaarey mehaz time paas key liye

          Aik min
          mujhey pata hai aap sab abhi kya soch rahey hon gey but let me explain first

          ghar sey bahar na jana doesnt mean key aap ghar mey beyth ker time zaya karein kyoon key normally ghar ko manage kertey huye bhi bohot saara time hamara free hota hai ...
          aur Islam hamein waqt ko zaya kerney ki to hergiz ijazat nahi deyta
          independently aisey bohot saarey kaam kiye ja saktey hein jin sey ham khud bhi satisfy hon...masroof bhi rahein aur logon key kaam bhi aa sakein.
          umm Right Gul:rose bohat achi example de aap nay & Thankx aap ny apny khayal share keray hum say :)

          Comment

          • #20
            Re: ~~~~ Working Women ~~~~

            Originally posted by SaPpHiRe
            woooooooow anchal excatly my words.........

            i think its cool that women works..............mere kheyal se aaj kul ke zamane mei aurtei aur mard aggar eik doosre ka saath de to woh dono kaam bhi kar sagte hai aur saath mei bachoun ki tarbiyat bhi achi kar sagte hai............jo loog aaj kul ke zamane mei yeh sochte hai ke larkioun ko job nahi karna cahiye....woh mere nazar mei burani kheyalaat ke loog hote hia.........aggar dono mei compromise aur samajh ho to aisi bhi koi problem nahi hai.........balke aurtoun ko apni taleem aur job dono ko hamesha bana cahiye,,,aur dikhana cahiye ke woh mardoun se kum nahi........balke taleem aur job hasil karne ke ilawa woh apne family ko bhi sambhaal sgati hai,,,,,,,,,,
            Umm Right sapphire :)
            Acha laga aap ky khayalat perh ker..
            ager koi problem na ho to phir job kerny mai koi burae nahe hai :)

            Comment

            • #21
              Re: ~~~~ Working Women ~~~~

              Originally posted by khurram_shaikh
              Assalaam o alekum,

              Haan to dostoon yehaan baat ho rahi hai ke kyaa khawaateen ko job kerni chaahiye yaa nahin??? Main iss baat se inqaar nahin kertaa ke auratoon /larkiyoon ko job nahin kerni chaahiye wo job karien zaroor karien lekin tab jab unhien koee majboori ho wernaa naa hi karien to behter hai,

              Main aisa isliye keh rahaa ke aaj ke daur mien larkiyoon ke job kernien se larkoon ko job milnien mien bahoot mushkilaat kaa samnaa kernaa per rahaa hai , ek larki ager job karegi jisse job ki zaroorat nahin to who sirf apnien akhraajaat poore kernien ke liye yaa phir waqt guzaari ke liye job karegi lekin wahin ek mard/larka job kare ga to apnien poore ghar ke akhraajaat sambhaale gaa ,

              Aam taur aapnien dekhaa hoogaa miyaan biwi donoon job kerte hain ab aap hi bataayien ke miyaan bivi aakhir kyoon job ker rahe hain?? Kya unki koee majboori hai ?? jab miyaan job ker rahaa hai to mere khayaal se bivi ko job nahin kerni chaahiye balke usse ghar ki dekh bhaal kerni chaahiye ,lekin aisa nahin hai ab aap bataayien ager uss bivi ki jageh koee doosra mard wohi job karega to ek khaandan kaa kharch uthaayegaa lekin ek bivi ager wohi job ker rahi to who kyaa karegi BANK BALANCE yaa phir MAKE UP kaa samaan yaa phir ZEVARAAT khareede gi mera maannaa hai ke ager zaroorat ho to khwaateen job zaroor karien lekin bilaa zaroorat kernaa munaasib nahin ho saktaa hai , ab jaise humaari azeez saathi (naaani) nien kahaa ke phir larkiyaa/khwaateen Doctor nahin hoongi to yehaan main yeh kahoongaa ke ager koee larki Doctor hai to issmien koee buraayi nahin ,meri baatien aap logoon ko pasand na aayien yaa phir mujhe daqyaanoosi khayaalaat kaa maliq bhi samjhaa jaaye lekin mujhe isse koee farq nahin pertaa, mera soochnaa sirf yeh hai ke jab main apni maan apni bahen apni biwi ke akhraajaat poorey ker saktaa hun to phir unhien job kernien ki kyaa zaroorat??

              Uumm Khurram bhai bohat acha laga aap ky khayalat perh ker..

              but ek baat per kuch kehna chaho ge main..

              jab kise lerki ko job milte hai to us ky degree,taleeme qablyat aur is bat ko dekhty hoay k wo is seat ky laiy perfect hai k nahe..aur sab sy zada us ki luck..to ager kise lerky main us sy zada qaablyat hoge to definatley us ko mil ja'ay ge job..aur meray khayal main to ye qismat ki baat hote hai..jo jis ki qismat main likha ja chuka wohi hoga..to aise to nahe kehna chahiyay ky lerkia job keray ge to lerko ko job milny main mushkil hoge is waja say :embarasse

              kabhe kabhe lerkio ko bahar walon ka behavious aise batain sekha deta hai jo gher walon ka behavoour nahe sekha pata..

              umm ye mere thinking hai..ho sakta hai galat ho ..kioky zarori to nahe jo mai socho sahe ho

              Comment

              • #22
                Re: ~~~~ Working Women ~~~~

                Originally posted by shy
                ager to larki samjhe ke wo job n ghar me balance rakh sakti he to zarur kare warna nai kare.wese baat sari he himat or hosle ki ager ho to ki ja sakti he.wese mujhe khud kabhi bhi job karne ka shok nahi raha kiun ke mujhe subo der tak sona acha lagta he :lol abhi aik dost ke kehne par interview dia tha unhon ne bulaya hi nahi me ne shuker kia ke meri neend bach gaei :wk :lol
                :lol :D
                Exactly mujhy bhe bohat bura lagta ha subha ko uthnaa.. :(
                but pehly school ky liay then phir college k liay phir uni k liay ..
                uff :(

                Comment

                • #23
                  Re: ~~~~ Working Women ~~~~

                  Originally posted by aik_lerki
                  Uumm Khurram bhai bohat acha laga aap ky khayalat perh ker..

                  but ek baat per kuch kehna chaho ge main..

                  jab kise lerki ko job milte hai to us ky degree,taleeme qablyat aur is bat ko dekhty hoay k wo is seat ky laiy perfect hai k nahe..aur sab sy zada us ki luck..to ager kise lerky main us sy zada qaablyat hoge to definatley us ko mil ja'ay ge job..aur meray khayal main to ye qismat ki baat hote hai..jo jis ki qismat main likha ja chuka wohi hoga..to aise to nahe kehna chahiyay ky lerkia job keray ge to lerko ko job milny main mushkil hoge is waja say :embarasse

                  kabhe kabhe lerkio ko bahar walon ka behavious aise batain sekha deta hai jo gher walon ka behavoour nahe sekha pata..

                  umm ye mere thinking hai..ho sakta hai galat ho ..kioky zarori to nahe jo mai socho sahe ho
                  Assalaam o alekum,

                  muaf kernaa komal aap kehti hain ke larki ki qabliyat dekh ker hi use job milti hai to main aapki iss baat se sirf 30% muttafiq hun ke larki ki qabliyat per use job milti hai haan main sirf itnaa hi kahoongaa ke ager kisi larki ko job ki zaroorat ho to woh zarooor kere wernaa to gurez hi kare
                  :tang: RISK IS MY BUSINESS

                  DANGER IS MY GAME

                  DONT PLAY WITH ME
                  BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                  Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                  Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                  Comment

                  • #24
                    Re: ~~~~ Working Women ~~~~

                    Originally posted by aik_lerki
                    Uumm Khurram bhai bohat acha laga aap ky khayalat perh ker..

                    but ek baat per kuch kehna chaho ge main..

                    jab kise lerki ko job milte hai to us ky degree,taleeme qablyat aur is bat ko dekhty hoay k wo is seat ky laiy perfect hai k nahe..aur sab sy zada us ki luck..to ager kise lerky main us sy zada qaablyat hoge to definatley us ko mil ja'ay ge job..aur meray khayal main to ye qismat ki baat hote hai..jo jis ki qismat main likha ja chuka wohi hoga..to aise to nahe kehna chahiyay ky lerkia job keray ge to lerko ko job milny main mushkil hoge is waja say :embarasse

                    kabhe kabhe lerkio ko bahar walon ka behavious aise batain sekha deta hai jo gher walon ka behavoour nahe sekha pata..

                    umm ye mere thinking hai..ho sakta hai galat ho ..kioky zarori to nahe jo mai socho sahe ho
                    Assalaam o alekum,

                    muaf kerna komal main aapki iss baat se muttafiq nahin hun sirf larki ki qaabliyat per hi job nahin milti aaj ke daur mien to main yeh baat bahoot kam dekhtaa hun aap samajh rahi hoongi ke main kyaa kehnaa chaah rahaa ho saktaa hai main ghalat bhi hoo saktaa hun lekin main to yehi dekh rahaa aaj kal haan 30% larkiyoon ko qaabliyat ki binaa per job milti hai kahien to main aapki baat se muttafiq ho sakta hun sorry dont mind it
                    :tang: RISK IS MY BUSINESS

                    DANGER IS MY GAME

                    DONT PLAY WITH ME
                    BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                    Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                    Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                    Comment

                    • #25
                      Re: ~~~~ Working Women ~~~~

                      umm ho sakta hai khurram bhai aap sahe keh rahy hon :)
                      but her aik ki thinking thore different hote hai na..may be mai us point of view sy nahe dekh rahe hon jis sy aap dekh rahy hain
                      but pancho ulgalya baraber nahe hote aise he sab jaga ek jese situation nahe hote..

                      Comment

                      • #26
                        Re: ~~~~ Working Women ~~~~

                        Originally posted by khurram_shaikh
                        Assalaam o alekum,

                        muaf kerna komal main aapki iss baat se muttafiq nahin hun sirf larki ki qaabliyat per hi job nahin milti aaj ke daur mien to main yeh baat bahoot kam dekhtaa hun aap samajh rahi hoongi ke main kyaa kehnaa chaah rahaa ho saktaa hai main ghalat bhi hoo saktaa hun lekin main to yehi dekh rahaa aaj kal haan 30% larkiyoon ko qaabliyat ki binaa per job milti hai kahien to main aapki baat se muttafiq ho sakta hun sorry dont mind it

                        deekhian yeh kehna to bilkul bhi ghalat hai kay us ki qabeleyat ki waja say usay job nahi milti....
                        aik larka or larki jin marahail say guzar kar us job tak pounchtay hain woh different hotay hain ....
                        kisi firm main job ki offer hove,...aik larki nay B.A kia hoo jabkay aik larkay nay M.A+ ... kia hoo to...or woh job larki ko mill jaye to yehi soocha jaye ga kay larkay ki qualification zaida the usi milni chaye they job......
                        baat yeh hai kay donoo ki qabelayat kay mayaar ko aik hi paimanay say janchna ghalat hai...\
                        aik larki taleem hasil kar rahi hoti hai to hazaar tarahaa kay masayil usay face karnay partay hain ..ghar waloun ka dabaoo, ristdaraoun ki batain , school/college anay janay kay masayal waghera waghera...in sab chezoun ko face kar kay hi woh us job tak pounchti hai......
                        jabkay aik larkay itnay masayal itnay nahi hotay jitnay larki kay hotay hain ...larkoo ko to kafi azaadi jati hai parhaai kay mamalaye main .......
                        larkeoun ko isi leye zaida prefer kia jat ahai jin masayal say guzar kay woh vohan pounchti hain....qabil kayoun hov azaida?

                        qabeleyat na deekhtay firm walye to kisi ko apni firm ka DEWALEYA thori niklna hota hai ab :lol

                        jo job female ko suite karti hain woh female hi ko di jati hain :-)
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment

                        • #27
                          Re: ~~~~ Working Women ~~~~

                          Buhut zaabrdast topis hai, aur sab se achi baat aap ne apne article ke end mei kahi,

                          Insan apney kirdar mei mazboot ho, ouse khudh per aitemad ho to koi ouse nuksaan nahi pohancha sakta. :)

                          Mei bas itna kahoo gi, ke pehley zamaney ke halat aur zaroriyat ko hum zamanay-e-haal se compare nahi ker saktey, woh dorr kuch aur tha, halat kuch aur they, zarortain aur thi aur log bhi wese they, lerkion ko taleem bhi kam dilayi jati thi.

                          Magar aaj ke dorr mei sab badal chuka hai, ab insan ki zaroriyat bhi badal chuki hain, ab lerkian taleem ke maidan mei lerko ke barabar hain, aur phir ek lerki itna perh likh ker gher kiu baithey, apni kabliyat ko zaya kerne ke liyeh ?? Apna yahi ilam yahi qabliyat woh apni qoam ki khidmat mei waqf ker sakti hai, apni family ko behtar mayar-e-zindagi faraham ker sakti hai, to is mei manfi pehlo rehta hi nahi. :)
                          sigpic

                          Comment

                          • #28
                            Re: ~~~~ Working Women ~~~~

                            Originally posted by Saima Shaheen

                            nahin saima kuch bhi nahin badlaa siwaay hum insaanoon ke hum hi in fazool zarooratoon ko paanien ke liye kuch bhi ker rahey hain yehan masla sirf aur sirf yeh aagayaa hai ke auratien mardoon se kyoon ker kamter rahien bass , sorry yeh mera apna opinion hai
                            :tang: RISK IS MY BUSINESS

                            DANGER IS MY GAME

                            DONT PLAY WITH ME
                            BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                            Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                            Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                            Comment

                            • #29
                              Re: ~~~~ Working Women ~~~~

                              mey ney pehley bhi yahi kaha tha is daur ki jadidiat (jissey shayad hum ney zarooriyat ka lafz dey diya hai ) aik taraf leykin hamien apni values nahi bhoolni chahiyein :)
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment

                              • #30
                                Re: ~~~~ Working Women ~~~~

                                Originally posted by khurram_shaikh
                                Assalaam o alekum,

                                nahin saima kuch bhi nahin badlaa siwaay hum insaanoon ke hum hi in fazool zarooratoon ko paanien ke liye kuch bhi ker rahey hain yehan masla sirf aur sirf yeh aagayaa hai ke auratien mardoon se kyoon ker kamter rahien bass , sorry yeh mera apna opinion hai
                                Chaley maan laiti hoon aap ki yeh baat, k aurtein mardo ke shana-ba-shana kam kerna chahti hain, oun ke muqabley mei aana chahti hain... yeh baat sahi hai k aurton mei yeh rohjan barh raha hai, magar mei khudh is nazriyeh ko galta manti hoon.... there's no comparison between a man and a woman..... dono ka apna ek wajood hai, apni zimedarian hain, Aisi masayel aur aisi behas tabhi perwan cherti hai jab dono mei se koi ek apne track se hatey ga. yeh mehaz ek fazool si baat hai.
                                Magar in sab baton ko ek taraf rakhtey huwey jaisa aap ne kaha fazool zarorton ko paney k liyeh kuch bhi ker rahey hain...yeh galat hai.... mei aap ko apni ek frd ki baat batati hoon, jo infact meri class-mate bhi thi .
                                Ous ki shadi jis se huwi oun ka acha khasa personal business tha, shadi ke baad taqreeban 3 saal buhut khushaali se guzrey.... oun ka aik baita aur ek baiti hai, baiti abhi sirf 2 saal ki hai aur ouse diabatese hai... aur jis mulk mei hum hain yahan elaj kafi mehanga hai ...aur itna andaza aap sab ko ho ga k diabatese k patient ko daily injections aur strips ki kis hadth tak zaroorat hoti hai, aur is tarah si patient k daily expenditure ka andaz bhi ho ga. ous ke husband ko business mei buhut nuksan huwa ...aakhir business hai outar cherhao to chalt ahai...magar yeh silsila ek saal tak chalta raha aur kaam mei koi behtari nahi huwi...dosri taraf baiti bemar aur roz ki adwiyat... oun ke halat buhut tang they..... kya is doran jo log bari bari batain kertey hain wo oun ki kuch madad ker payeh ?????
                                Nahi na..... yeh batain bas kerne ki hoti hain...at that time jahan mei job kerti thi ousi building mei ek office mei vacany thi to mei ne ous ki CV waha forward ker di and she got a job there... aakhir ous ki taleem aur qabliyat itni to phir hi woh yeh job ker payi ...... tab kam se kam woh roz ka kharch aur baiti ka ilaj to theikh se kerwa sakti thi.....
                                Kya ab bhi aap aur Baq.e.gul issey fazool zarorat aur daur ki jadidiya ka naam dain gai.

                                Chalein bahir ki baat chorein ..... Aaj kal walidain chahtey hain k bacho ko achey se achey school mei admit kerwayein ta ke woh qabil insan ban sakain.... magar kya sirf ounhein top level school mei admit kerwa dene se oun ki zimedari poori ho jati hai, aur kya is se 100% guarantee hai k oun ke bachey zaheen ho jayein gai.... nahi aisa nahi hai, jab tak wo gher mei khudh bhi apne bacho per tawaja na dein tab tak ounhein yeh maqsad hasil nahi ho ga, aur aisa kerne k liyeh walidein mei maa aur baap dono ka ous level tak perha likha hona zaroori hai.
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X