Re: In The Spot Light ~Dear Ahsaas~
Assalaam-O-alaikum
Aap kay baaray main jaan kar bohat acha laga, aap kay jawaabaat paRh kar aap ki sachayi, khush ikhlaaqi aur achi tarbiyat ki mehak mehsoos hoti hay.... sach kaha aap nay kay rishtoon ko liye ahsaas ka hona bohat zaroori hota hay warna woh rishtay hi kia jinn main ahsaas ki khusboo shaamil na ho!
Meray chand sawaalaat hain, iss umeed say paish-e-khidmat kar raha hoo kay inn kay jawaabaat zaroor muyassir hongain!
1. Kia hum insaan apnay alfaz kay ghulaam hota hain?
2. Aksar sunna hay kay bichRay huway lout kar waapis nahin aatay magar unki yaadain zindagi bhar saath rehti hain, tou Kia yeh zaroori hay kay jissay hum chahay aur woh humain naa milay tou hum usski yaad ko apni zindagi main humesha humesha shamil rakhain?
3. Zindagi har dinn koi na koi naya sabaq humain zaroor deti hain, kehti hain kay bhaRti umar insaan kay jism main kamzoori paida karti hain magar usski soch ko tawaana aur pukhta karti hay, aap nay zindagi say kia sabaq lia yaa aap ko zindagi nay aisa kia sikhaaya jo aap hum sab say share karna pasand karain giin, taakay hum bhi uss sabaq say kuch sabaq lay sakain?!
Shukriya.
Fi amaan ALLAH

Comment