Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~Yaaram ji~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

    Originally posted by ummid View Post
    chalo yar jaldi jaldi jawab do.... kitna time le rahe ho :a stick:
    Buray haal - ankhein kharab, logo ab to ilaaj karwa lon in ka..
    Allah

    Comment


    • #32
      Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

      Originally posted by Yaaram View Post
      Buray haal - ankhein kharab, logo ab to ilaaj karwa lon in ka..
      zyadah shokha na ban, abhi bauaht se jawab dene baaki hain.. jaldi jaldi do

      Comment


      • #33
        Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

        Originally posted by Yaaram View Post
        han mein ziddi hon thora sa....main jhoot bohat kam bolta hon, yahan main yeh nahi kahon ga ke bolta hi nahi bolta hon lekan koshish karta hon ke jahan bilkul choot na ho wahan bolon. yeh insaani fitrat hay. aur us se bhi ziada yahi koshish hoti hay ke sach bolon.
        merey bhai lagtey ho...:think:

        Originally posted by Yaaram View Post
        Mere khayal main agar meri yeh dua inshALLAH poori ho jaye to yahi meri zaat ke lye sab se bara hasool ho ga.
        Originally posted by Yaaram View Post
        Main ne yahi kuch seekha, aur dua kejye ga ke main kabhi in sab cheezon pe amal karon aur apni zindagi badal dalon. amin.
        :dua

        Originally posted by Yaaram View Post
        Agar khuwab ko aap Plan keh lein to ziada munasib rahy ga. Is ke sath sath mehnat aur azam holsa aur committment bohat zaroori hay. aur sath ALLAH tala ki raza. main ne hamesha ALLAH ki raza pehle mangi hay aur apni raza ko US ki raza ke baad manga hay, jo chaha hay woh mila hay, har qadam pe kamyab hon lekan insaan honay k naty khuwab hain ke khatam hi nahi hotay. Is lye mujhey khuwab dekhna, unhain amli jama pehnana bohat acha lagta hay aur main khyaal palao pakany se behter khuwab dekhne ko encourage bhi karta hon lekan woh khuwab jo haqeeqat se ziada kareeb hon. Baaz oqat aap ka pukhta azam baaq haqeeqat se door khuwabon ko bhi haqeeqat ke paas le aata hay.
        :thmbup:

        Originally posted by Yaaram View Post
        Main bohat se ziada calm rehnay ka aadi ho chuka hon lekan jahan meri limits jawab de jati hain wahan pe aggressive ho jata hon aur phirr samjh nahi aati ke ho kia raha hay aur main kar kia raha hon.
        372-scare
        .......................!!!!!

        Comment


        • #34
          Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

          come Yaaram....

          yeh thread kab start howa..... me ko pata hi nahin chalaaaa :(
          For New Designers
          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

          Comment


          • #35
            Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

            Originally posted by *Rida* View Post
            come Yaaram....

            yeh thread kab start howa..... me ko pata hi nahin chalaaaa :(

            Deir aayid darust aayid... :P
            Allah

            Comment


            • #36
              Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

              Q: Kisi ko razdan banany per yakeen hay?

              Bilkul yakeen hay, jab jab mera dil kia hay ke yeh baat is noyat ki hay ke yeh dost se share ki jaye to main kisi khas dost se hi share karta hon. lekan is base pe nahi ke woh yeh baat agy kary ya na kary, is base pe ke woh mere dil ki baat samjhy, aur mujhey behter mashwara de agar wahan zaroori ho. Mere khayal main us razdaan ka koi faida nahi hay, jo aap ki baat ko sunay, koi mashwara bhi na de, aur kisi aur se share bhi kar dey. Allah aisay nasoor se mehfoz rakhy. Amin

              Q: Mohabbat aur dosti main kia fark hay?
              Well issay define karna mere lye thora mushkil ho jaye ga. Mera apna view hay ke dosti paak jazbaat ka naam hay, lekan jahan ashkaal, faces, shakhsyat matter karny lag jaye, jahan physical appearance ka ziada chakkar ho, ussay hum muhabbat ka naam de dete hain lekan mohabbat woh hay nahi, mohabbat to aik pakiza khalos aur affection ka naam hay, jis main koi sila nahi chahye, yeh to uss zaat se dili lagao hay jo day by day, even second by second barhta hay. Haan Pofit/loss ke matters ki baat ki jaye to us lihaaz se insaan ki aqal pe parda zaroor par jata hay. Baaz oqat yeh bhi hota hay ke aap ka jo dost ho ussi se aap ko mohabbat hoti hay. aur baaz oqat aap jis se mohabbat kar rahy hoty hain us se aap ki dosti nahi hoti. Aisay main wahan time pass aur waqti physical relation ki baat aa jati hay. Mere khayal main her woh mohabbat adhori hay jis main dosti ka element shamil nahi. Agar aap jissay chahte ho woh aap ka dost nahi to aap ke darmian jo bhi rishta hay woh incomplete hay. Mera yahi conclusion hay.

              Q: Woh sher jo aap ki shaksyat ka akkas ho?

              Meri shakhsyat ka yeh wahid khasa hay ke meri zaat main waqt ke sath sath tabdeelian aati rehti hain. Main khud ko waqt ke lihaaz se change karta rehta hon. aur main kar bhi leta hon. Baaz log khud ko change nahi kar sakty. jis ka nuksaan yeh hota hay ke waqt kuch demand kar raha hota hay aur un ki zaat kuch aur hi respond kar rahi hoti hay. Is lye mere nazdeek aap ko khud ko badalna hi parta hay. Jese shadi ke baad main kuch aur hon aur shadi se pehle main kuch aur tha. Mera rehn sehn, uthna bethna, work routine, nature, mind set kuch aur tha, aur shadi ke baad halaaat ke mutabiq change hona para. Keunke har dafa aap ko halaat aap ki marzi ke mutabiq hi nahi miltay. Is lye Koi bhi Sher meri shakhsyat ka behter akkas nahi ho sakta.

              Q: Aik Mohabbat jo kabhi bhool nahi sakty?

              Mere khayal main koi bhi insaan apni pehli mohabbat nahi bhoolta JI bilkul main ne bhi mohabbat ki, aur bv ki soorat main ussay hasil bhi kia. Yeh Allah ka khas karam tha.

              Q: Zindagi main kis cheez ki kami mehsoos karty hain?

              Allah ne sab dia hay, aur US ka shukar ada karta hon ke kisi cheez ki kami mehsoos to nahi hoti. Lekan han, mera aik dost zaroor tha jo deceased hay, ALLAH ussay jannat main dakhil farmaye Amin. main uss ki kami ko aaj tak poora nahi kar saka. Mere khayal main meri zindgai main us ka naim-ul-badal nahi aa paye ga. Us ki kami her step her mor pe mehsoos hoti hay..
              Allah

              Comment


              • #37
                Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                Originally posted by Yaaram View Post
                Mere khayal main us razdaan ka koi faida nahi hay, jo aap ki baat ko sunay, koi mashwara bhi na de, aur kisi aur se share bhi kar dey. Allah aisay nasoor se mehfoz rakhy. Amin
                :thmbup:
                Ameen...

                Originally posted by Yaaram View Post
                Mere khayal main her woh mohabbat adhori hay jis main dosti ka element shamil nahi. Agar aap jissay chahte ho woh aap ka dost nahi to aap ke darmian jo bhi rishta hay woh incomplete hay. Mera yahi conclusion hay.


                Originally posted by Yaaram View Post
                Mere khayal main koi bhi insaan apni pehli mohabbat nahi bhoolta JI bilkul main ne bhi mohabbat ki, aur bv ki soorat main ussay hasil bhi kia. Yeh Allah ka khas karam tha.
                :rose

                Originally posted by Yaaram View Post
                Lekan han, mera aik dost zaroor tha jo deceased hay, ALLAH ussay jannat main dakhil farmaye Amin. main uss ki kami ko aaj tak poora nahi kar saka. Mere khayal main meri zindgai main us ka naim-ul-badal nahi aa paye ga. Us ki kami her step her mor pe mehsoos hoti hay..
                :dua
                Last edited by BhaTaktii RooH; 6 April 2010, 12:13.
                .......................!!!!!

                Comment


                • #38
                  Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                  Walailkum salam Hala

                  and

                  KhushAmdeed Yaaram, bohot mazzey ka interview hai ..baqi jawabaat ka intezaar rahey ga :)
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #39
                    Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                    Haa!!
                    buht khoob jawabat janab...
                    I m sure apko be maza araha hoga iss hot seat pe bet ki :comfort:
                    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                    :pr:

                    Comment


                    • #40
                      Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                      Most Welcoem Yaarramm Bhai ......



                      Bohhatt achhay andazz main aap kaa interview jarrii haiii........
                      "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                      Comment


                      • #41
                        Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                        Q: Tareekh pedaish/sheher.
                        Meri tareekh pedaish 8 april 1987 ki hay aur place of birth district khushab hay.

                        اووووو آج تو یارم صاحب کی سالگر ہ ہے ۔teddy۔اچھا باقی باتیں بعد میں ۔
                        :star1:

                        Comment


                        • #42
                          Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                          Aaap tamam ahbaab ka behadh shukrya, main inshALLAH bohat jald apny jawabat post karon ga, wese bhi itni jaldi nahi hay, bohat waqt para hay :p
                          Allah

                          Comment


                          • #43
                            Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                            Originally posted by Yaaram View Post
                            Aaap tamam ahbaab ka behadh shukrya, main inshALLAH bohat jald apny jawabat post karon ga, wese bhi itni jaldi nahi hay, bohat waqt para hay :p
                            tum jaan bojh ker late reply kar rahe ho :a stcik:

                            Comment


                            • #44
                              Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                              welcome :rose
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment


                              • #45
                                Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                                Welcome

                                Adnan Bhai

                                In The Spotlight

                                Comment

                                Working...
                                X