Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~Yaaram ji~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • In The Spotlight ~Yaaram ji~

    Asalam o Alikum WR WB

    kaisy app sab? dua hai khairat sy hogye.

    Iss month hum apni nye mehman ki sath apki taruf karwa lety hai...
    phely to yeh janab bari mushkil sy mila..:garmi:
    ji Hamari mehman hai Yaaram bro
    jo pg ki khas, talented or har dil aziz Smod mein shumar hota hai... :dance5:

    Ayee janty hai aur samjhty hai Mr.Yaaram ki bari mein... :hii:

    RULES:- :laptop:

    1-Hamara Interview 50 sawal per mushtamil hai jo aap sab sey darkhuast hai key in key khatam honey ka inteyzaar karein aur phir aap apney sawal pooch saktey hien:tasali:
    2-hamarey interview key darmyaan albata aap apney ra'ye (comments) zaroor dey saktey hein.:thmbup:
    3-bey maqsad sawalaat aur jawabat sey ijteynaab karein .
    4. Agar member koi sawal ka jawab dena munsab na samjhi ... so she/he can skip the answer. :eye:
    5. Plz interview ki dawraan koi be extra chit chat memberz ki btw nahi hona chahyee.. or interview mukamal hony ki baad saaf karki lock kardia jayga.
    thanko from ur cooperation:guitar:
    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

    :pr:

  • #2
    Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

    :hii:



    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

    :pr:

    Comment


    • #3
      Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

      teddy

      :okq:
      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

      :pr:

      Comment


      • #4
        Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

        wow... welcome daanu :hug:

        Comment


        • #5
          Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

          Welcome to the spotlight Mr .Yaaram.

          Umeed he aap ka yahan qayam acha guzre ga aur aap ache ache jawab dein geteddy


          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~


            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

            :pr:

            Comment


            • #7
              Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~



              Yaaram bro...

              Last edited by crystal_thinking; 3 April 2010, 23:37.
              میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

              Comment


              • #8
                Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                walikum salam WRT WBT Hala or pegham :)

                Hala sab se pehle to behadh shukrya ke aap ne mujhey garma garm seat pe bithaya, yakeenan is ke lye main aap ko kabhi bhi muaaf nahi karon ga :hehe:

                Mazak Bartarf :)
                Main inshALLAH koshish karon ga ke apny answers aik do din main mukamal post kar don, ya shayd aaj sunday hay to aaj hi inhain mukamal kar don, main baqi members ki tarah is interview ko tool nahi don ga, aur koshish karon ga ke hala ke questions wala portion jald az jald mukamal ho aur baqi members bhi apny questions kye bagair na reh jain :hehe:

                Doosri baat yeh, main yahan answers inpage ki bajaye roman urdu main post karon ga. jis ki aik main wajah time ki aur bijli ki kami hay, time to bass bohat hi kam hay, kaash mere pass din raat ke 30 ghenty hote to woh bhi kam hi lagty :D: is lye sunday ko ganeemat jaan ker aaj interview ko kaafi hadh tak likhny ki koshish karon ga, phirr shayd moqa milay ya na. meri bhi yahi koshish ho gi ke aap log mere interview se faiiz yaab honay se mehroom na reh jain 372-haha


                Baqi members ka bhi behadh shukrya :)
                Last edited by Yaaram; 4 April 2010, 04:51.
                Allah

                Comment


                • #9
                  Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                  Q: Aap ka asli naam aur gher main aap ko kia keh kar bulaty hain?
                  Gher main mujhey daani keh ker bulaya jata, wese dani sary hi istemal kar lete hain. han amma ji ne kabhi dani nahi kaha, woh mujhey Mohammad Adnan kehti hain, jahan tak sisters ki baat hay unho ne mera naam kabhi nahi lia, ya kabhi lia ho main ne suna na ho aisa bhi ho sakta hay, yani woh sirf bhai jaan kehti hain. wese mera poora naam Adnan Mushtaq hay.
                  Q: Family members/ Aap ka number?
                  Family main number ki ahmyat se koi inkaar nahi kar sakta, jis se us bandy ki zaati zindagi per bohat asar parta hay, jese pehle number walo k lye family ki major responsibilities hoti hain, aur chotey ki mojein hoti hain. hum 4 behn bhai hain, aik bhai yani main, aur 3 behnein hain, jo mujh se choti hain aur main bara hon, hamesha ki tarah har bandy ki tarah meri bhi yahi khuwhish hay ke main sb se chota hota to kia hota main sab ka ladla hota aur yakeenan abhi tak mojein lagi honi thin.:D

                  Q: Tareekh pedaish/sheher.
                  Meri tareekh pedaish 8 april 1987 ki hay aur place of birth district khushab hay.

                  Q: Taleemi Degrees aur aaj kal ki masroofyat?
                  Main ne computer science main masters kia hua hay, aur computer science main hi MS kar raha hon. NADRA main IO hon, job main kaafi busy rehta hon, han part time study bhi ho rahi hay, inhain aap meri professional masroofyat keh sakty hain, jin se main rat 9 tak farigh hota hon aur phir ja ke family members ke lye time bachta hay.
                  Allah

                  Comment


                  • #10
                    Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                    Q: Aap ki shadi kab hoi ? Arrange hoi ya love?

                    Well Well Well Sawal ka pehla portion to theek hay lekan doosra portion bohat ghambeer hay, meri shadi october 2008 main hoi, aur issay aap arrange marriage bhi keh sakty ho love marriage bhi keh sakty ho, arrange keh lein to munasib rahy ga lekan shadi se pehle hum aik doosry ko pasand karty thy. aur ALLAH tala ne mujhey aik phool jesa beta bhi ata kia hay, jo ke us ki neemat hay, yakeenan main sari zindagi US ZAAT ka shukar ada nahi kar sakon ga. ALHAMDOLILLAH.

                    Q: Pehli Kamayi? Kahan kharch ki?

                    Mard apni pehli kamayi aur orat apna pehla pyar kabhi nahi bhoolti meri pehli kamayi mujhey aaj bhi yaad hay 9,000 rupay thi aur main ne amma ko de dye thay, lekan pese de ke niyyat main phirr bhi khot tha, amma ko bar bar kahi bhi jaa raha tha ke amma ji dekhein aap ke bety ki kitni majbooryan hain hahahaha, then us man se kuch rupay mujhey doston ke sath party urhany ke lye mil gaye thay baqi amma ne sadqa wagaira de dia aur masjid main de dye thay shayd.

                    Q: Aap ka pasandeeda rang, khushboo, mosam, khana, aur pasandeeda khel jo aap bhi khelty hon?
                    Mujhey sabz(green) behadh pasand hay, chahe woh kisi bhi format main keu na ho,
                    Khushboo mujhey koi khas nahi pasand, wese mujhey kalyon ki khushboo bhati hay. tez khushboo main se dimagh pareshan ho jata hay aur sath main nazla bhi
                    Khany main mujhey amma ke hath ki bani hoi sabhi cheezain bohat pasand hain, jese gajar ka halwa, alo waly parathy, gajar ki kheer, etc. in cheezon se aap andaza laga sakty hain ke mujhey meetha pasand hay :D
                    Mera pasandeeda khel kabaddi hay jo ke punjab ke deehat ki aik maqbool game bhi hay, aaj se 2 saal pehle tak main apny gao ki kabaddi ki team main tha aur ALLAH ka shukar hay theek khelta tha :ap
                    Allah

                    Comment


                    • #11
                      Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                      Q: Gher ka khana pasand karty hain ya gher se bahir khana kha ker lutf andoz hote hain?
                      Main amma se aksar kehta hota hon ke amma ji ALLAH ka shukar hay ke main roz aap ke paass aa jata hon, aur aap ke hath ki bani hoi koi na koi cheez kha leta hon, woh kehti rehti hain ke beta ab bv ki jaan khaya ker ke woh tujhey acha acha bana ke khilaye, mujhey ab choolhe ki jaan chorny de, lekan main kehta hon amma aap kuch mamooli sa hi bana do, aap ke hath ki koi cheez na khaon to halak se neechay utarna mushkil ho jata hay.

                      Q: Bachpan aik khoobsurat yad ban ker yaddasht ka hissa rehta hay, Aap ka yeh dor kesa guzra?

                      Bachpan main suna karty thy ke jab hum barey hon gay to bachpan humain bohat yaad aaye ga, tab yeh baat humarey ooper ooper se guzar jaya karti thi, lekan ab woh waqt bepanah yaad aata hay, jab garmio ki sakht dopeher main logon ke gher ki bels baja ke bhag jaya karty thy, mere bohat sary dost hua karty thy, jo ab kabhi kabhar milty hain aur aisay miltay hian jese ehsaan kar rahy hon sabhi bachon wale hain, kher un ki apni bhi zindagi hay jissay unhain time dena hay, us ke baad mera bachpana mere college tak raha hay, college main bohat pangy kye, shetanyon ka dor tha. bohat kuch seekha jo aaj ki paracticle zindagi main implement hota dekh rahy hain. Tab na koi fikar hota tha na kuch aur, buss college chaly jana, parhna hua to parh lena, warna koi achi si film dekh ke gher aa jana aur study tenure ke last 2 month to buss aisay hi hota tha ke janab gher main aitkaaf pe beth gaye hain, buss ji jaan se mehnat karni aur baat ban hi jati hoti thi result any per yeh sochty ke kaash sara saal itna parha hota to aur achay number aa jaty, lekan kabhi is soch per amal nahi kia barhaal bohat khoobsurat tha mera bachpan.

                      Q: Aik aisa rishta jissay aap sab se ziada admire karty hain?

                      Waldein to sabhi ke un ke lye keemti hote hain, aur mere lye bhi hain, aur main unhain hi admire karta hon aur beshak main un se itni muhabbat karta hon ke shayd main apni olaad se bhi utni nahi karta. aur shayd yahi wajah se ke main aaj apni zindagi ke urooj pe hon, yeh sab un ki duaon ka nateeja hay, main yakeenan is qabil nahi tha ke main aaj yahan hota, ALHAMDOLILLAH main unhi ki wjaah se aaj kamyab insaan hon.

                      lekan yahan main aik aur rishty ka zikar karta chalon jissay main admire karta hon aur woh rishta ustaad ka hota hay, aap ki taleemi zindagi main bohat se ustaad aaty hain jin k ilam se aap faiz paty hain aur kisi na kisi muqaam pe puhanch jate hain, sellybus to sabhi parhaty hain lekan ustadon ki woh key punch batein nahi bhooltin jinahin aaj ke waqt main hum poora hota dekhty hain, aisy main woh yaad aa jaty hain, aur ankhon main anso bhi. ALLAH mere teachers pe apni rehmat farmaye aur woh jahan jahan hain unhain khushi o kamrani milay Amin :)


                      Baqi miltay hain break ke baad
                      Allah

                      Comment


                      • #12
                        Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                        و عليكم السلام و رحمة الله و بركاته

                        Shukar hai bhaijaan u khud hi agaye...warna me ne tu soch rakha tha u ko kaan se pakarr k lana parrey ga...:fight:

                        nywayz..welcome shelcome to the hot seat...

                        ap k jawabaat par meri gehrii nazar rahey gii...is liye b careful...:hehe:
                        Last edited by BhaTaktii RooH; 4 April 2010, 06:51.
                        .......................!!!!!

                        Comment


                        • #13
                          Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                          Originally posted by Yaaram View Post
                          hum 4 behn bhai hain, aik bhai yani main, aur 3 behnein hain, jo mujh se choti hain aur main bara hon, hamesha ki tarah har bandy ki tarah meri bhi yahi khuwhish hay ke main sb se chota hota to kia hota main sab ka ladla hota aur yakeenan abhi tak mojein lagi honi thin.
                          me ka almost same case hai..u eklotey bhai ho or me bhi eklotii behan..haan par me sub sey chotti hoon..or aksar sochtii hoon k kaash me aik bhai sey tu barri hoti..tu kya hi achi baat thii...
                          waisey me ki aik baat sun lejiye..(yaqeenan ap is ka poora khayal rakhtey hoon gey magar phir bhi) apnii behnoo ka dil kabhi mat dukhaye ga behnein bhaiyoon k liye jaan hathelii par liye rakhti hain..or badley main sirf bhai ka pyaar or saath chahtii hain..phir agar kabhi bhai ghaltii sey bhi kuch keh dey tu un k dil ko hii nahii rooh ko takleef hoti hai..

                          Originally posted by Yaaram View Post
                          Main ne computer science main masters kia hua hay, aur computer science main hi MS kar raha hon. NADRA main IO hon, job main kaafi busy rehta hon, han part time study bhi ho rahi hay, inhain aap meri professional masroofyat keh sakty hain, jin se main rat 9 tak farigh hota hon aur phir ja ke family members ke lye time bachta hay.
                          buzy schedule...u taraqii karo kamyaab'o'kamraan rahoo..duain ap k saath hain..:rose

                          Originally posted by Yaaram View Post
                          aur issay aap arrange marriage bhi keh sakty ho love marriage bhi keh sakty ho, arrange keh lein to munasib rahy ga lekan shadi se pehle hum aik doosry ko pasand karty thy. aur ALLAH tala ne mujhey aik phool jesa beta bhi ata kia hay, jo ke us ki neemat hay
                          ALLAH Ta'ala ap donoo k pyaar ko hamesha qayim'o'dayim rakhey or har buri nazar sey bachaye..
                          kabhi hamarey bhateejey ki tasweer bhi share karne ki zehmat kar hi lejiye..

                          Originally posted by Yaaram View Post
                          amma ko bar bar kahi bhi jaa raha tha ke amma ji dekhein aap ke bety ki kitni majbooryan hain hahahaha, then us man se kuch rupay mujhey doston ke sath party urhany ke lye mil gaye thay
                          :hehe:

                          Originally posted by Yaaram View Post
                          Mera pasandeeda khel kabaddi hay jo ke punjab ke deehat ki aik maqbool game bhi hay, aaj se 2 saal pehle tak main apny gao ki kabaddi ki team main tha aur ALLAH ka shukar hay theek khelta tha
                          masha'Allah..372-scare

                          Originally posted by Yaaram View Post
                          Main amma se aksar kehta hota hon ke amma ji ALLAH ka shukar hay ke main roz aap ke paass aa jata hon, aur aap ke hath ki bani hoi koi na koi cheez kha leta hon, woh kehti rehti hain ke beta ab bv ki jaan khaya ker ke woh tujhey acha acha bana ke khilaye, mujhey ab choolhe ki jaan chorny de, lekan main kehta hon amma aap kuch mamooli sa hi bana do, aap ke hath ki koi cheez na khaon to halak se neechay utarna mushkil ho jata hay.
                          lucky bro...:dua

                          ap ka buch'pun bhut acha laga..or rishtoon ko itnii ehmiyat dena ...dil ko bhut acha laga...

                          Be blessed...

                          Baqi jawabaat ka intezaar rahey ga..
                          Last edited by BhaTaktii RooH; 4 April 2010, 07:03.
                          .......................!!!!!

                          Comment


                          • #14
                            Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                            Originally posted by Yaaram View Post
                            Baqi members ka bhi behadh shukrya
                            tu me ka elheda se shukriya ada kar... hunh...

                            waise "spotlight" mein hi sahi janab ki tashreef awari tu hoi GS mein... akre phir rehte the... hunh....

                            is spotlight ko "fungama" mein move kiya jaaye... or isey wahein Qaid... :fight:

                            Comment


                            • #15
                              Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                              Originally posted by Raniya View Post
                              و عليكم السلام و رحمة الله و بركاته

                              Shukar hai bhaijaan u khud hi agaye...warna me ne tu soch rakha tha u ko kaan se pakarr k lana parrey ga...:fight:

                              nywayz..welcome shelcome to the hot seat...

                              ap k jawabaat par meri gehrii nazar rahey gii...is liye b careful...:hehe:
                              Allah kher karey, tumhari gehri nazar se mujhey mehfooz rakhy amin :bhago:
                              Allah

                              Comment

                              Working...
                              X