Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~Yaaram ji~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

    janab super admin huty huy kam az kam ap ko to urde main likh ker jwab daina chayee.
    takey baki loag inspire ho jain

    Comment


    • #17
      Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

      Originally posted by Raniya View Post
      me ka almost same case hai..u eklotey bhai ho or me bhi eklotii behan..haan par me sub sey chotti hoon..or aksar sochtii hoon k kaash me aik bhai sey tu barri hoti..tu kya hi achi baat thii...
      waisey me ki aik baat sun lejiye..(yaqeenan ap is ka poora khayal rakhtey hoon gey magar phir bhi) apnii behnoo ka dil kabhi mat dukhaye ga behnein bhaiyoon k liye jaan hathelii par liye rakhti hain..or badley main sirf bhai ka pyaar or saath chahtii hain..phir agar kabhi bhai ghaltii sey bhi kuch keh dey tu un k dil ko hii nahii rooh ko takleef hoti hai.

      ALLAH Ta'ala ap donoo k pyaar ko hamesha qayim'o'dayim rakhey or har buri nazar sey bachaye..
      kabhi hamarey bhateejey ki tasweer bhi share karne ki zehmat kar hi lejiye..
      Zahir hay raniya jab aik hi bhai ho to woh behnon ka ladla bhai hota hay chahe woh chota ho ya bara ho ussay be panah pyar milta hay, aur ALHAMDOLILLAH main ne kabhi bhi unhain yeh ehsas nahi honay dia ke unhain meri taraf se pyar kam mil raha hay, :)

      aap ka bhateeja bohat pyara hay mashALLAH inshALLAH photo laga don ga bohat jald.
      Last edited by Yaaram; 4 April 2010, 11:11.
      Allah

      Comment


      • #18
        Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

        Respected Hala Jee!
        Bohat Shukariya Aap Ka. Ke Aap Nay
        Yaaram Bhai Ke Liey Sawalat Behad
        Khoodsoorat Design Kieey!

        Cordial Welcom Yaaram Bhai! :rose
        Bohat Umdah Aur Mufassal Jawabat!
        Thank You Very Much!
        May Allah Bless You Always!
        :oldie:
        S T I L L W A I T I N G
        sigpic

        Comment


        • #19
          Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

          Originally posted by Khalil View Post
          janab super admin huty huy kam az kam ap ko to urde main likh ker jwab daina chayee.
          takey baki loag inspire ho jain
          Mohtram khalil bhai, i am very very sorry for that, mera schedule bohat busy hay, aur ooper se pakistan main light ka masla hay, aap sabhi pareshanyon se aagaah hain.
          Allah

          Comment


          • #20
            Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

            Originally posted by ummid View Post
            tu me ka elheda se shukriya ada kar... hunh...

            waise "spotlight" mein hi sahi janab ki tashreef awari tu hoi GS mein... akre phir rehte the... hunh....

            is spotlight ko "fungama" mein move kiya jaaye... or isey wahein Qaid... :fight:
            Dekhein bhi, main pehle hi bohat dara hua hon aap ke GS se :bhago: abhi aur confuse mat karein. aur main aap ka shukrya elehda se keu ada karon . hunh. :p
            Allah

            Comment


            • #21
              Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

              Originally posted by BANJARAH View Post
              Respected Hala Jee!
              Bohat Shukariya Aap Ka. Ke Aap Nay
              Yaaram Bhai Ke Liey Sawalat Behad
              Khoodsoorat Design Kieey!

              Cordial Welcom Yaaram Bhai! :rose
              Bohat Umdah Aur Mufassal Jawabat!
              Thank You Very Much!
              May Allah Bless You Always!
              Bohat shukrya Banjaarah bro, ALLAH aap ko khush rakhy.
              Allah

              Comment


              • #22
                Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                mjko to aik he bat mazay ki lagi hy k u mjsy choty ho to ab men u py roob b jama sakti hn

                tafseli comments bad men don ge bhot mazay mazay ki baten hn or yaaram bhaiya ap bachny wali nai ab hamray sawalon sy :ys:
                میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

                Comment


                • #23
                  Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                  Originally posted by crystal_thinking View Post
                  mjko to aik he bat mazay ki lagi hy k u mjsy choty ho to ab men u py roob b jama sakti hn

                  tafseli comments bad men don ge bhot mazay mazay ki baten hn or yaaram bhaiya ap bachny wali nai ab hamray sawalon sy :ys:
                  Yahan aur bhi bohat sary log hain jinhain mujh se bara honay pe fakhr hasil hay, aur yahan to 2, 2 saal barey log mujh pe roab nahi jama saky, u kahan aur kis bag ki moli ho? :hehe:

                  Mujhey nahi chahye u ke tafseeli comments :bhago:
                  Allah

                  Comment


                  • #24
                    Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                    Originally posted by Yaaram View Post
                    Yahan aur bhi bohat sary log hain jinhain mujh se bara honay pe fakhr hasil hay, aur yahan to 2, 2 saal barey log mujh pe roab nahi jama saky, u kahan aur kis bag ki moli ho? :hehe:

                    Mujhey nahi chahye u ke tafseeli comments :bhago:
                    men 2, 2 nai poray 2 sal bari hn isliya mera to jamay ga he na :admin:

                    bhag kahan ry ho bachay :fight:
                    میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

                    Comment


                    • #25
                      Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                      Originally posted by Yaaram View Post
                      Allah kher karey, tumhari gehri nazar se mujhey mehfooz rakhy amin :bhago:
                      :hehe:
                      .......................!!!!!

                      Comment


                      • #26
                        Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                        Originally posted by Yaaram View Post
                        Zahir hay raniya jab aik hi bhai ho to woh behnon ka ladla bhai hota hay chahe woh chota ho ya bara ho ussay be panah pyar milta hay, aur ALHAMDOLILLAH main ne kabhi bhi unhain yeh ehsas nahi honay dia ke unhain meri taraf se pyar kam mil raha hay, :)
                        ap sey yahii umeed thii...agey bhi aisey hi rehney ki Allah ap ko taufeeq dey..

                        Originally posted by Yaaram View Post
                        aap ka bhateeja bohat pyara hay mashALLAH inshALLAH photo laga don ga bohat jald.
                        acha me waiting..
                        .......................!!!!!

                        Comment


                        • #27
                          Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                          Originally posted by Yaaram View Post
                          Dekhein bhi, main pehle hi bohat dara hua hon aap ke GS se :bhago: abhi aur confuse mat karein. aur main aap ka shukrya elehda se keu ada karon . hunh. :p
                          chalo yar jaldi jaldi jawab do.... kitna time le rahe ho :a stick:

                          Comment


                          • #28
                            Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                            Q: Routine se hat kar aik aisa kaam jissay roz karty hoe khushi ho?

                            Routine to bohat busy hay, bohat masroof. Humarey gher ke pass hi aik nehr guzarti hay, han jab kabhi moqa milta hay to main wahan chala jata hon aur lambi walk karta hon wahan, chahe woh din ka koi bhi hissa ho, khas ker garmio ko jab wahan thandi thandi hawa chalti hay aur jism ke andar se ho ke guzarti hay to behadh acha lagta hay. aur sary din ki thakan khatam ho jati hay. Wese aam tor pe agar aap routine se hat ke koi bhi kaam karo to woh aap ko refresh kar dy ga aur aap ke zehn ko reset. Mera bhi yahi haal hay, han lekan agar main wahan akela jaon tab hi aisa ahsas hota hay warna agar koi sath ho to baton main hi waqt guzar jata hay :)

                            Q: Aap ki aik aadat jiss se gher wale pareshan rehty hon aur aik adat jo un ko bohat pasand ho?

                            Meri bohat se adtein aisi hain jo gher walon ko achi lagti hain aur bohat si aisi hain jo buri lagti hain. Aik aisi adat jo buri lagti ho... han mein ziddi hon thora sa main ne apni is adat ko badalna chaha he lekan aaj tak nahi badal saka, bohat se initial steps bhi lye lekan koi afaqa nahi hua. is adat se gher wale pareshan rehte hain. Han aur jo adat achi lagti hay woh yeh hay ke main jhoot bohat kam bolta hon, yahan main yeh nahi kahon ga ke bolta hi nahi bolta hon lekan koshish karta hon ke jahan bilkul choot na ho wahan bolon. yeh insaani fitrat hay. aur us se bhi ziada yahi koshish hoti hay ke sach bolon. aur yeh adat khas ker amma ko bohat achi lagti hay. woh kehti hoti hain ke main 4 logon main bhi yeh baat dawy se kh sakti hon ke yeh baat adnan ne kahi hay to such hay. ALLAH ka bara shukar hay.

                            Q: Apni zaat ke lye sab se bara Hasoool?

                            Dekhein jab bhi main ne ALLAH tala se kuch manga hay to us main yahi baat shamil hoti hay ke mujhey jab bhi is dunya se jana pary to ISLAM pe hi mot aaye aur meri zubaan pe KALMA TAYYBA jari ho, yeh meri dua ka hissa hota hay. ALLAH izzat ki mot de de to us se behter kia ho sakta hay. Mere khayal main agar meri yeh dua inshALLAH poori ho jaye to yahi meri zaat ke lye sab se bara hasool ho ga.

                            Aur agar aap yeh poochna chah rahi hian ke main ne apni zaat ke lye kia hasil kia jis ki ahmyat mere lye sab se ziada hay to woh mere lye mere ird gird mojood mere insaani rishty hain, aaj tak to ALLAH ka bara shukar hay un ki taraf se koi dukh nahi mila, aur yahi dua karta hon ke milay bhi na. Specially main apne parents ke lye behadh touchy hon. Aur unhi ki wajah se ALLAH ne mujhey sab kuch dia hay. Mere waldein ka saya mere sir pe hay. Is se barh ke kuch nahi ho sakta. ALHAMDOLILLAH.
                            Allah

                            Comment


                            • #29
                              Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                              Q: Kin Kin logon ki suhbat se faiz uthaya?

                              Teachers, main aaj jo bhi hon jis muqaam pe bhi hon is main mere waldein aur teachers ka kirdaar bohat maani rakhta hay. Zindagi ke har mushkil marhaly pe mere waldein aur teachers ne rehnumayi farmayi aur main ne un se hi apni problems aur mushkilaat share kin, bila shuba aik acha ustaad aap ki sari zindagi badal deta hay, is main koi shak nahi hay. Fortunately, main apne sabhi teachers ka ladla shagird hua karta tha, aur un ki khas shafqat main pala bhara hon, kher ker main ne jin se islami taleem hasil ki un ki taleemat se main kabhi kirdaar ka ghazi to nahi ban saka shayd lekan dil main hasrat zaroor rahti hay ke jo jo unhon ne sikhaya kaash main kuch wesa ban jata. Unho ne sikhaya beta kabhi bhi dil na dukhana, kabhi burayi ke kareeb na phatkna, achai ki targeeb dena, bohat si mortal values unhon ne mere andar zam karny ki koshish ki lekan shayd main kabhi inshALLAH un pe poora utar sakon. Main ne yahi kuch seekha, aur dua kejye ga ke main kabhi in sab cheezon pe amal karon aur apni zindagi badal dalon. amin.

                              Q: Khuwab dekhte hain?
                              Sab se pehley to aap hi mujhey batain ke khuwab kon nahi dekhta? Har banda khuwab dekhta hay, chahe woh kisi bhi aspect main hon. Aik family ke sarbrah ka yahi khuwab hota hay ke us ke bachy parh likh jain, aur achi aur mayari taleem hasil kar ke achay rozgaron pe lag jain. Aik professional ka yahi khuwab hota hay ke aj agar woh Supervisor hay to kal AM ho, AM se phir DM aur DM se phir GM ho. Last chair pe bethny ki sabhi ki khuwahish hoti hay, yeh insaani fitrat hay, aur main bhi aik normal insaan hon aur mere bhi bohat se khuwab hain. Agar khuwab ko aap Plan keh lein to ziada munasib rahy ga. Is ke sath sath mehnat aur azam holsa aur committment bohat zaroori hay. aur sath ALLAH tala ki raza. main ne hamesha ALLAH ki raza pehle mangi hay aur apni raza ko US ki raza ke baad manga hay, jo chaha hay woh mila hay, har qadam pe kamyab hon lekan insaan honay k naty khuwab hain ke khatam hi nahi hotay. Is lye mujhey khuwab dekhna, unhain amli jama pehnana bohat acha lagta hay aur main khyaal palao pakany se behter khuwab dekhne ko encourage bhi karta hon lekan woh khuwab jo haqeeqat se ziada kareeb hon. Baaz oqat aap ka pukhta azam baaq haqeeqat se door khuwabon ko bhi haqeeqat ke paas le aata hay.

                              Q: Agar aap zindagi main kuch badalna chahein to woh kia ho ga?

                              Changes, achi hoti hain lekan aisi changes main bilkul nahi chhata jis se meri personal life pe asar pary, main ne hamesha changes ko encourage kia hay. Lekan postitive way main. Main waqt ke sath sath, waqt ki demands ke sath sath apni zindagi main necessary changes lany ka aadi hon, jese mood main changes, kapro main, mizaaj aur rehn sehn main tabdeelian sab meri zindagi ka hissa hain.
                              Allah

                              Comment


                              • #30
                                Re: In The Spotlight ~Yaaram ji~

                                Q: Mizaajan kese hain? Aur agar ghussa aa jaye to kia radd-e-amal hota hay?

                                Main bohat khmosh aur thandi tabyat ka malik insan hon. Han kuch waqt pehle even pegham per bhi yahi samjha jata tha ke yaaram jazbaati insaan hay, aur kaafi hadh tak main ne issay theek bhi kar lia hay, Main bohat se ziada calm rehnay ka aadi ho chuka hon lekan jahan meri limits jawab de jati hain wahan pe aggressive ho jata hon aur phirr samjh nahi aati ke ho kia raha hay aur main kar kia raha hon. Isi garm mizaaji ne ki wajah se main tang hon, jo ke tabiat main rachi basi hay. Jo ke aik limit guzar janay ke baad mujh main aa jati hay.

                                Q: Apnay faisly khud karty hain ya aap ke barey?

                                vary karta hay ke faisla hay kis noyat ka, lekan main koshish karta hon ke jo meri apni zaat se related koi bhi faisla ho ussay main khud karon, han main apny se munsilik logon se mashwara zaroor leta hon. khas ker apni shareek-e-hayat se. aur agar zaroori samjhon to ussay modifty bhi kar leta hon. Lekan amooman mere faislo main raye ka bara amal dakhl rehta hay aur achi raye ko main tasleem bhi karta hon aur implement bhi karta hon.

                                Q: Amooman depress kab hote hain?

                                Yeh bhi halat pe munhasir hay, han jab noyat aisi ho ke bohat sangeeni ka alam ho tab mere andar khud ba khud udaasi ki kefyat cha jati hay aur pareshani phir 2, 2 din nahi jati. Aisa tab hota hay jab kabhi kisi gareeb ko dekh lon. public dealing main rozana aisay logon se samna hota hay jin ki halat bohat gair hoti hay, bohat gareeb log. jism pe aik kapra latkaye pata nahi kese jee rahy hain, han aisi hi jab kabhi koi kefyat aati hay to pareshani aa jati hay, warna main pareshan kam hota hon.

                                Q: Mutalia ka shoq hay? Agar han to kis kisam ka mutalia?

                                Han talib ilmi ke dor main mere pass aik khazana hota tha shairii ki books ka, main ne Noon meem rashid, mustansir hussain tarar k chutkaly, aur bohat se writers ke khoobsurat iqtibaas ki aik khoobsurat file banayi hoi hay jis main sab woh woh kuch save hay jo mery dil ko laga hay, jissay main kabhi faramosh nahi kar sakta, har woh lafz jo jo khoobsurti se likha gaya. Ab poety ki books pe gard to jam gayi hay aur sath main shoq bhi badal gaye hain. Poetry se abhi bhi lagao hay lekan us tarz ka nahi raha jis ka aik waqt main hota tha, janoonyat ki hadh tak main poetry ka deewana tha. Lekan ab thora waqt ne itna badla hay ke buss, poetry ki jagah IT ki books ne le li hay aur mere pass IT books ki aik mini library hay. jo sab ki sab english authors ki hain. Jo mere profession, study aur shoq ka blend hain. Buss mutalia ka shoq yahin tak hay.
                                Allah

                                Comment

                                Working...
                                X