Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
IN the Spotlight ~Dear Rida~!
Collapse
This topic is closed.
X
X
-
-
re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!
Originally posted by *Rida* View PostWalaikom Assalam WR WB Hala
aur
Assalma-0-Alaikom... PG members
sab say pehlay sorry Hala.... keh itnay din bad continue kar rahi hoon......aur bundle of thanks for a beautifully designed questionnaire, a very beautiful way to start interview.......
tum nay jitni muhabbat say isay shro kia aur design kia,
apna time dia is ko.....sab kay comments liye...:)
jitni bhi mehnat ki hai us kay liye.........buht buht buht buht buht shukriyaa :hug:
app to next ...... ani wali thi.. na :mm:
buht khushi hoi appko dekha kar ..... app ayee to yahi sab kuch hai humari lyee... teddy and thanks apko pasand ayee.. :D:
be happyu can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."
:pr:
Comment
-
re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!
Originally posted by J.KHAN View PostAsslam O Alikum RIDA JIII
Welcome to Spotlight.......
RIDA jii hamare sawal kuch Alag se hoonge....Mujhe ummid hai k aap jawab zaroor daeengi
bus thora Hala kay mentioned rullz ka khayal rakhiyee ga..........
Comment
-
re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!
Originally posted by *Hala* View PostW.Salam dearo
app to next ...... ani wali thi.. na :mm:
buht khushi hoi appko dekha kar ..... app ayee to yahi sab kuch hai humari lyee... teddy and thanks apko pasand ayee.. :D:
be happy
tumhain surprise dianay ka dil chah raha tha.....
kiun na pasand aata dearoo....itna diffrent andaaz hai...aur khobsorat bhi buht....kai bataiin buht hi achi lageiN...:phool:
Comment
-
re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!
agar inpage mein reply kia tu dair lagay gi....aur load shading ki waja say aur dair lagay gi......is liye main roman mein reply kar rahi hoon.....
1. Maira naam" Nida " hai ... Quran Paak say lia gaya hai.... aur is ka matlab hai..... "Awaaz ya pukar""....... ghar main mairay Abbo mujhay Gurya pukartay hain....
2. 5th February, Karachi, Aquarius
3. Sitaroun per yaqeen nahin hai ....i think Islam mein is ki koi gunjaaish nahin hai... ham is hawalay say kai ahadees perhtay rehtay hain... is liye in batoon per yaqeen nahin rakhti.....
4. main yeh column shouq say tu kia ...perhti hi nahin....hamesha aik jaisi hi batain lagti hain... ghar main ham sab hanstay hain in batoon per... agar ham mein say koi bhi perhay tu dosrooN kay sath mil ker mazaq zuroor urata hai......
5. M.Sc Geography kia hai... Karachi University say..... mazeed perhnay ka irada hai ....INSHALLAH
6. main job karti hoon.. aur mairi job Computer aur internet say hi related hai.....aur isi waja say Pegham per nazar aati hoon...... :D
7. mujhay pure colors pasand hain... kisi shed ki milawat kay baghair..... aur tehwaar mujhay donooN EidieN hi pasand hain.....
8. Qameez Shalwaar aur bara sa dopatta..... aur body covered ho tu sarhi bhi achi lagti hai....
khushbo: mujhay motiye kay phol ki aur raaat ki raani ki khushbo buht hi mashoor kun lagti hai....
9. buht miskeen bachi hoon is mamlay mein... jo milay kha laiti hoon....kisi bhi dish kay mamlay mein crazy nahin hooon.....ALLAH ka shukar main khud bhi khana paka laiti hoon.......balkay rooz hi pakati hoon.......
10. jab holay holay thandi hawa chalti hai tu mujhay acha lagta hai...... mmm aisa tu kabhi nahin socha keh yeh mausam zayada rehay..........
baqi answers bad mein......
Last edited by *Rida*; 15 January 2009, 09:12.
Comment
-
re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!
ha!! akhir kaar hamara intizar be hogye pori.. apki jawabt ani pe
hmmm .!! nice buht achi lagi apki jawabat per kar..
waiting for more :-)u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."
:pr:
Comment
-
re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!
11. mujhay toloo-e Aaaftab pasand hai....... subah ka jagmagata sitara buht buht khobsorat lagta hai........ ubhartay hoye suraj say aik hope ka khayal dil main aata hai..... determination kay saath naye din ka aaghaz hota hai.....
12. chand chahay aadha ho ya poora mujhay buht haseen lagta hai..... agar ham yeh sochain keh her shay ALLAH TALA nay banai hay tu hamain her shay mein ALLAH TALA ka noor nazar aaye gaa......reallly...me ka experience hai......
13.
khwab hotay hain dekhnay kay liyemairay nazdeek khwaboon ki buht ehmiyat hai....... khwaab dekhnay chahiyeN ......magar haqeeqat ko bhi nahin bholna chahiye......
in mein ja kar magar raha na karo
main itni gehri neend soti hoon... tu neened mein tu mujhay khwab nazar nahin aatay... is liye main jagti aankhooN say buht khwaab dekhti hooon...... aur phir un ki tabeer panay kii koshish mein masroof ho jati hoon..... aur ALLAH ka shukar kai martaba kamyab ho chuki hoon....
zindgi main aisay kai mawaqay aatay hain jab insaan ko haqeeqat pasand hona parta hai....aur aisay main haqqeqat pasandaana faisla hi behter rehta hai.....aik balance hona chhaiye.....:)
main sochti hoon...keh buht zyada haqeeqat pasandi bhi achi baat nahin.......aisay main soch talkh bhi ho jati hai....aur banda na sirf khud ko takleef ponhchata hai balkay khud say munsalik loagon kay liye bhi takleef ka baais banta hai......
14. designing, internet aur book reading..... yeh aisi hobbies hain jin mein, main bilkul gum ho jati hoon..... lakin mujhay is ka saleeqa aa gaya hai.... aisay gum nahin hoti keh koi problem ho jai....
15. Family main Ammi Abbu ,, main aur 2 bhai... total five family members.......:D:
16. 17. her woh rishta piyara lagta hai.....jis mein khuloos ho muhabbat ho aitbaar ho... aik dosray ki izzat aur lihaaz ho,, ...aur aisay hi rishtay durable hotay hain.........kabhi kabhi hota hai...kuch aisay loag jin say hamara koi rishta nahin hota woh bhi apnay rawiyoon say hamaray dil mein jaga bana laitay hain.......:)
aisay rishtay jo takleef dain tu un kay saath say behter tanhaai hai.....
mairi problems zyada tar me ki professional life main hi hoti hain ....jab koi uljhan hoti hai tu zyada tar ammi say hi share karti hoon..... agar net per hoon. tu...Aanchal aur Zinia hain naa.....:wk
18. 19. Idealism per zuroor yaqeen rakhti hooon.....lakin koi bhi shakhs na hi 100 % idealist ho sakta hai aur na hi 100 % practical ......jitna kuch ham loag apnay liye sochtay hain us say kahin zyada aur behter ALLAH TALA nay socha howa hai......ham apni zindgi ko bhi mukammal tour per apni sharaait kay mutabiq nahin guzar saktay...phir zindgi ki her filed main ham say dosray kai loag munsalik hotay hain.... waqt aur halaat hamesha hamari soch kay mutabiq nahin ho saktay...... ideal environment , ideal, personality, ideal life style, zindgi ki her filed mein ideal hona.....sirf idealism ki hi had tak ho sakta hai.......haqeeqat mein nahin...ham utopia mein nahin rehtay ....perfection ki koshish ki ja sakti hai...aur koshish KARNI chahiye......lakin koi kami koi khami zuroor reh jati hai.....aur mairay khayal say aisa ALLAH TALA hi karta hai....buht kuch nawazta hai aur kahim koi kami rakh daita hai.......Perfect tu bus ALLAH TALA ki zaat hai........
ham deen o dunya saath lay kar chalain tu kafi had tak kamyaab ho saktay hain.....dunya main bhi aur akhrat mein bhi...... bus koshish, mehnat, apnay aap say sincerity chahiye hoti hai.....
20.koi faisla karnay ky liye..mujhay dil aur dimaagh donooN ko sath lai kar chalna acha lagta hai......
Last edited by *Rida*; 15 January 2009, 10:42.
Comment
-
re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!
Originally posted by *Hala* View Postha!! akhir kaar hamara intizar be hogye pori.. apki jawabt ani pe
hmmm .!! nice buht achi lagi apki jawabat per kar..
waiting for more :-)
waisay aik problem hai Hala....sab say 40 questions....me say 50 questions......:embarasseLast edited by *Rida*; 15 January 2009, 10:38.
Comment
Comment