Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

IN the Spotlight ~Dear Rida~!

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!

    Originally posted by Madiha kanwal View Post
    welcome Rida teddy



    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

    Comment


    • #47
      re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!

      Originally posted by miss sng View Post
      Asalam_O_Alikum,

      ahhaa...atlast Rida ki bari aahe gai....:teddy

      Welcome In the Spotlight Rida dearoo :ff:

      teddyteddy
      Walaikom Assalam

      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment


      • #48
        re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!

        Originally posted by *Hala* View Post
        apko kia lgta hai . :mm:
        mujhe nahien lagta
        sigpic

        Comment


        • #49
          re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!

          Originally posted by *Rida* View Post
          11. mujhay toloo-e Aaaftab pasand hai....... subah ka jagmagata sitara buht buht khobsorat lagta hai........ ubhartay hoye suraj say aik hope ka khayal dil main aata hai..... determination kay saath naye din ka aaghaz hota hai.....


          haa!! nice...... :thmbup:

          Originally posted by *Rida* View Post
          12. chand chahay aadha ho ya poora mujhay buht haseen lagta hai..... agar ham yeh sochain keh her shay ALLAH TALA nay banai hay tu hamain her shay mein ALLAH TALA ka noor nazar aaye gaa......reallly...me ka experience hai......

          be shak!! or akeli betna chand ki samni ...mujhy be achi lagti hai.. :wk

          Originally posted by *Rida* View Post
          13.
          Originally posted by *Rida* View Post
          khwab hotay hain dekhnay kay liye
          in mein ja kar magar raha na karo

          mairay nazdeek khwaboon ki buht ehmiyat hai....... khwaab dekhnay chahiyeN ......magar haqeeqat ko bhi nahin bholna chahiye......
          main itni gehri neend soti hoon... tu neened mein tu mujhay khwab nazar nahin aatay... is liye main jagti aankhooN say buht khwaab dekhti hooon...... aur phir un ki tabeer panay kii koshish mein masroof ho jati hoon..... aur ALLAH ka shukar kai martaba kamyab ho chuki hoon....
          zindgi main aisay kai mawaqay aatay hain jab insaan ko haqeeqat pasand hona parta hai....aur aisay main haqqeqat pasandaana faisla hi behter rehta hai.....aik balance hona chhaiye.....:)
          main sochti hoon...keh buht zyada haqeeqat pasandi bhi achi baat nahin.......aisay main soch talkh bhi ho jati hai....aur banda na sirf khud ko takleef ponhchata hai balkay khud say munsalik loagon kay liye bhi takleef ka baais banta hai......


          :clap:
          Originally posted by *Rida* View Post
          14. designing, internet aur book reading..... yeh aisi hobbies hain jin mein, main bilkul gum ho jati hoon..... lakin mujhay is ka saleeqa aa gaya hai.... aisay gum nahin hoti keh koi problem ho jai....

          meing to ab tak gum hojati ho..or app keh sakti hai har waqat gum hoti ... agar apni designing pansand ajyee to share karti ho ...warna delete or so jati ho .... 372-haha


          Originally posted by *Rida* View Post
          15. Family main Ammi Abbu ,, main aur 2 bhai... total five family members.......:D:
          MASHALLAH!! ... to app ladli or payari guria ho sab ki ... teddy


          Originally posted by *Rida* View Post
          16. 17. her woh rishta piyara lagta hai.....jis mein khuloos ho muhabbat ho aitbaar ho... aik dosray ki izzat aur lihaaz ho,, ...aur aisay hi rishtay durable hotay hain.........kabhi kabhi hota hai...kuch aisay loag jin say hamara koi rishta nahin hota woh bhi apnay rawiyoon say hamaray dil mein jaga bana laitay hain.......:)
          Originally posted by *Rida* View Post
          aisay rishtay jo takleef dain tu un kay saath say behter tanhaai hai.....
          mairi problems zyada tar me ki professional life main hi hoti hain ....jab koi uljhan hoti hai tu zyada tar ammi say hi share karti hoon..... agar net per hoon. tu...Aanchal aur Zinia hain naa.....:wk


          :thmbup:....

          Originally posted by *Rida* View Post
          18. 19. Idealism per zuroor yaqeen rakhti hooon.....lakin koi bhi shakhs na hi 100 % idealist ho sakta hai aur na hi 100 % practical ......jitna kuch ham loag apnay liye sochtay hain us say kahin zyada aur behter ALLAH TALA nay socha howa hai......ham apni zindgi ko bhi mukammal tour per apni sharaait kay mutabiq nahin guzar saktay...phir zindgi ki her filed main ham say dosray kai loag munsalik hotay hain.... waqt aur halaat hamesha hamari soch kay mutabiq nahin ho saktay...... ideal environment , ideal, personality, ideal life style, zindgi ki her filed mein ideal hona.....sirf idealism ki hi had tak ho sakta hai.......haqeeqat mein nahin...ham utopia mein nahin rehtay ....perfection ki koshish ki ja sakti hai...aur koshish KARNI chahiye......lakin koi kami koi khami zuroor reh jati hai.....aur mairay khayal say aisa ALLAH TALA hi karta hai....buht kuch nawazta hai aur kahim koi kami rakh daita hai.......Perfect tu bus ALLAH TALA ki zaat hai........
          Originally posted by *Rida* View Post
          ham deen o dunya saath lay kar chalain tu kafi had tak kamyaab ho saktay hain.....dunya main bhi aur akhrat mein bhi...... bus koshish, mehnat, apnay aap say sincerity chahiye hoti hai.....


          Originally posted by *Rida* View Post
          20.koi faisla karnay ky liye..mujhay dil aur dimaagh donooN ko sath lai kar chalna acha lagta hai......


          buht hai achi ............. maja ayaa apki khayalat or jawabat pher kar.... teddy
          u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

          :pr:

          Comment


          • #50
            re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!

            Originally posted by *Rida* View Post
            :)

            waisay aik problem hai Hala....sab say 40 questions....me say 50 questions......:embarasse
            ab appko jab itni deer baad arahi thi intverview ki lyee per 40 ques karna be teek na hota na :khi:.
            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

            :pr:

            Comment


            • #51
              re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!

              Originally posted by sccorpion81 View Post
              mujhe nahien lagta
              hmmm.. its ok :tasali:
              u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

              :pr:

              Comment


              • #52
                re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!

                21. Ishq aur Muhabbat mein yeh farq hai keh Ishq....Ein say shro hota hai aur Muhabbat Meem say....:D
                mmmmm...........donoooN ehsasaat hain...... jo kuch mehsooh kia jata hai usay Alfaaz main as it is bayaan karna buht mushkil hota hai.......


                22. Muhabbat aur dosti mairay khayal main lazim-o-malzoom hain....dosti main muhabbat ho tabhi woh aik long term relationship sabit ho sakti hai.....aur Muhabbat mein dosti sonay per suhaga hai.....dosti.. mizaaj aur tarjeehat aik jaisi honay ki bina per buht taizi say ho bhi sakti hai aur qaaim bhi reh sakti hain... aisa zuroori nahin hai keh pasnd na pasand bilkul same ho....but mindset should be alike...mm ...muhabbat main aisi koi pabandi nahin hoti......bus ho jati hai.....

                23. zindgi guzarnay kay kai formulae hotay hain..... aisa kaha ja sakta hai...... zindgi mein ham rishtoon say pyar kartay hain.....apnay kaam say pyaar kartay hain....apni hobbies say pyaar kartay hain...tu keh saktay hain ....

                24. Aazmaaish aur zindgi bhi aik dosray say mashroot hain....zindgi is tarah apnay honay ka ehsaas dilati hai......agar aazmaish khatam ho gai....tu Zindgi bhi khatam ho jai gi.....moat ka sukoot cha jaiga....ALLAH TALA nay hamain yeh zindgi ata ki hai.....zindgi ko guzarnay ka tareeqa , saleeqa sikhanay kay liye woh hamain mkhtalif aazmaishooN say guzarta hai....
                ham apnay +ve experiences say itna nahin seekh patay jitna -ve experiences say seekhtay hain..... main nay dekha hai keh shro shro main jo kuch hamain -ve lagta hai... woh hamaray beleives ko aur strong kar daita hai ......aur hamaray future kay liye aur bhi zyada behter sabit hota hai........chahain tu ham isay lightly lai saktay hain aur chahain tu rootay rootay sari zindgi guzar saktay hain.....
                remember " The more the Diamond cuts , the more it shins""

                25. sab ko apnay bachpan kay hi din achay lagtay hain... jab sab hi apnay taien shahana zindgi guzartay hain... with no worries, no problems......:D:


                26. hmmm...jitna kuch aap nay mention kia hai...... main compromising hoon..... aur mairay khayal main aisa hona chahiye..... waqt aur halaat kay lihaaz say khud ko baray aaraam say change kar laiti hoon......friends bhi mairay baray main aisa hai sochtay hain......watery nature hai.......jis bartan main dallo wohi shape ban jai.....jazbaati nahin hassas hoon bus.......kafi had tak thehraao aa gaya hai tabeeat mein.....aur main koshish karti hoon keh main buht hi cool minded ho jaon..........1st koi mujhay naraaz nahin karta .... 2nd main naraz hoti hi nahin.......agar kuch problem ho bhi tu main margin of error dainay ki qaaail hoon....

                27. main buht slow slow khana khati hooon.....buht dair lagti hai.....mairay sath khanay walay bar bar kehtay hain...jaldi khao na....:hehe:
                main nay ghar main pocha tu mujhay kaha gaya....mairi sari hi aadatain pasand hain mairay ghar waloon ko.....

                28. Insaan honay kay natay main apna haq samajhti hoon ghalti karna...:hehe:
                aur kia nahin tu...ghaltiyaan insaanooN say hi tu hoti hain naaaa.....main buht flexible hoon ghalti mannnay kay mamlay mein .....buht aram say sorry bhi kar laiti hoon... ghalti na mannay say aik bay chaini si rehti hai...... aur ghalti mannay kay bad kafi sukoon mehsoos hota hai.....koi bojh nahin rehta.....main foran correction ki bhi koshish karti hoon... aur koshish karti hoon...ainda kabhi woh ghalti nahin dohraaON....

                29.hmmm....
                ghalat fehmi nay batoon ko barha dala yunhi warna

                kaha kuch tha, woh kuch samjha , mujhay kuch aur kehna tha

                ghalat fehmiyaan wahan paida hoti hain jahan communication gap ho.....sahih tarah say baat ko explain nahin kia jai.......
                mairay say koi naraz nahin hota ...mairay ird gird buht pyaar karnay walay loag mojoud hain....:D:...

                30. koi apna bhi ho aur buht piyara bhi ho tu bhala woh kiun hamain dukh dai ga....... yeh tu question hi sahih nahin hai....:D
                Last edited by *Rida*; 17 January 2009, 10:45.
                For New Designers
                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                Comment


                • #53
                  re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!

                  Originally posted by *Hala* View Post
                  [/color][/font][/size]


                  meing to ab tak gum hojati ho..or app keh sakti hai har waqat gum hoti ... agar apni designing pansand ajyee to share karti ho ...warna delete or so jati ho .... 372-haha

                  [size=3][font=Georgia][color=blue]
                  [i]
                  MASHALLAH!! ... to app ladli or payari guria ho sab ki ... teddy


                  teddy
                  gum tu main bhi ho jati hoon..... lakin jaisay pehlay hota tha...... kabhi TEA stove per rakh kar bhol gaye... kabhi salan kay jalnay ki smell aa rahi hai... ...aur sab say barh kar ammii ki daant.. OMG ....yeh nuqsaan aisay nahin keh bar bar bardasht kiye ja sakain.....is liye main sharafat say pehlay aisay saraay kaam khatam karti hoon....phir kisi kaam main gum hoti hoon....:)

                  yuppps ....bus Gurya zara bari ho gai hai....:D
                  For New Designers
                  وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                  Comment


                  • #54
                    re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!

                    Originally posted by *Hala* View Post
                    ab appko jab itni deer baad arahi thi intverview ki lyee per 40 ques karna be teek na hota na :khi:.
                    ufff... shukar hai is say zyada dair nahin lagai main nay.....warna tu khuda janay kitnay saray questions hotay.....:pagal:
                    For New Designers
                    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                    Comment


                    • #55
                      re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!

                      Originally posted by *Rida*;948439[I
                      [/I].

                      ghalat fehmi nay batoon ko barha dala yunhi warna


                      kaha kuch tha, woh kuch samjha , mujhay kuch aur kehna tha

                      ghalat fehmiyaan wahan paida hoti hain jahan communication gap ho.....sahih tarah say baat ko explain nahin kia jai.......
                      mairay say koi naraz nahin hota ...mairay ird gird buht pyaar karnay walay loag mojoud hain....:D:...
                      buhat gud jawab he

                      Comment


                      • #56
                        re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!

                        For New Designers
                        وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                        Comment


                        • #57
                          re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!




                          41.mujhay Nayyara Noor, Sheraz Uppal , Sajjad Ali, Fakhir , Haroon, Nazia Hasan aur Zohaib Hasan kay buht saray geet pasand hain....jo geet zada pasand hain
                          teray bina zindgi say koi shikwa tu nahin,
                          sajjad Ali ka is gham kay siwa is dunya mein ab aur hamara koi nahin,
                          Haroon ka tera maira aisa ho milan..
                          Jal ka "Payal"...tum kahan chal diye
                          aur Old Pakistani Movie songs bhi buht pasand hain...specially Naheed Akhtar , Mehdi Hasan aur Mehnaz ki awaaz mein ...

                          42. main kuch search kar rahi thi...aur yoon pegham tak pohnchi.....tab mujhay samajh hi nahin aya tha keh..yeh kia jaga hai...sab kaisay yahan baat kar rahay hain aik dosray say......jab kuch samajh hi nahin aya tu main nay webpage close kar diya.....phir kuch din bad dobara dil chaha wohi post dobara dekhna ka...jo pehlay bhi dekhi thi.... phir register ka option nazar aaya tu registration karwa kar bhol gai... Examination kay bad fursat mili tu pegham per ana shro kia.... us waqt main samajhti thi keh shayed sirf games ka hi section hai is site per.... Hala , Haya-N aur main game section kay (jo keh ab fungama hai) active member they.... shaairi say dilchaspi honay ki waja say dosra tawaju ka markaz bannay wala section Bazm-e-Shaairi tha.....
                          bilkul bhol bhulyaaN sa lagta tha pegham.....khair aahista aahista kuch mazzed section dekhay.....phir designing section tak bhi pohanch hi gai...aur aaj tak wahin hoon...:D:
                          me kay liye pegham kia hai.... mmm ....main keh sakti hoon keh pegham mairay liye Rooh ki ghiza hai....yahan per aana itnay piyaaray Loagoon say milnaa...main aksar ALLAH TALA ka shukar ada karti hoon keh us nay mujhay itnay achay logoon ka saath ata fermaya....buht achi achi batain perhna / seekhna aur unhain apni zindgi mein implement karna....main nay buht kuch seekha hai pegham say....mairi zindgi mein behteri lanay mein Pegham ka bhi role hai...aur ab Pegham mairi zindgi ka naguziir hissa ban chuka hai.....

                          43. pegham per buht saray loagoon ki posting pasand hai...jis mein bhi kuch naya ho....kuch interesting ho...woh sari postings achi lagti Hian.... apni apni field mein sab buht zabardast posting kar rahay hain....

                          44. pegham per Aanchal, Aquari, Hala, Madiha , Sumera, Sadaf, Wafa, Zinia say zyada gup shup rehi hai.....
                          pegham per mairay pasandeeda members buht buht buht saray hain........naam likhay kay liye kai din chahiye hongay :hehe:
                          mm...main bata daiti hoon keh main kin members say mutasir hoon...aur un ki achi batoon ko khud bhi apnana chahti hoon....

                          Aanchal aur Zinia.....donooN buht suljhi hoi, porkhuloos dil rakhnay wali , ehsaas karnay wali larkiyaan hain.....in say buht kuch seekha hai main nay....
                          Hala.....aisa lagta hai is larki ko ALLAH TALA nay shahed say banaya hai....sirf mithaas hi mithaaas hai.... TaneySon nay kaha hai keh ...khush mizaaj shakhs woh hota hai jo dosrooN ko bhi khush mizaaji ata karay...... tu Hala aisi hi hai..jo dosroon ko bhi khushmizaji ata karti hai......

                          main aik martaba phir kahon gi keh mairi aur bhi buht piyari sisters hain jo mujhay buht pasand hain.... lakin main nay yahan un kay baray mein bataya hai ...jin say main zyada mutasir hoon...:)

                          45. Pegham Academy ki family say agar mujhay kisi say milnay ka moqa milay tu main Aanchal say milna chahon gi.......

                          46. Graphics designing ki ibtida 4 saal pehlay hoi hai....jab photoshop aur dosray kai softwares seekhay tu main nay cards design karna shro kiye ...apnay frnds kay liye...kabhi Birthday card , kabhi Eid card....us waqt tu aik card bhi kai kai dinooN mein banati thi.... pegham per Aanchal ki postings dekh kar poetry designing ka aghaaz kia tha....us waqt zyada members designing nahin kartay thay.... ginay chunay designers thay....Aanchal hi us waqt Designing section ko lookafter karti thieN.......

                          47.Pegham academy main mazeed abhi kuch sections bannay baqi hain.....
                          mm...main yeh kahon gi keh jo bhi kaam shro ho...usay poora bhi hona chahiye....aksar tu kaam shro hi nahin ho patay.....is kay ilawa kafi bayqaaidgi hai sections mein.... sahi tarah say manage karna chahiye ......

                          48. pegham members ko kehna chahon gi keh rishtooN ki qadar karain.....rishtooN ko ya kisi insaan ko forgranted nahin lia karain....aur Dua hai keh ALLAH TALA sab kay Waldain ko apni aafiyat mein rakhay...salamat rakhay...umr-e-daraaz ata fermaaye... AMEEN

                          49. pegham kay Admin sahib say yehi kehna hai keh woh regular ho jaien pegham per....aur is baat ka ehsaas bhi dilaaen members ko....

                          50. yeh questionnaire dekh kar zehen mein pehla khayal aya tha keh Hala nay buht khobsorat designing ki hai...colors bhi buht piyaaray hain......:)

                          51. mairay jo dil mein aya main nay likh diya hai....:)......bus yeh jo question number 44 hai naa.... is ka jwab daitay waqt me ko dar lag raha tha.....kahin yeh answer mairi buht sweetheart sisters ko naraz na karday.... main nay is ka jawab dainay mein kafi ikhtisaar say kam lia hai......

                          For New Designers
                          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                          Comment


                          • #58
                            re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!

                            V3ry nic3 int3rvi3w...:thmbup:

                            m3in3 to y3 sayings sav3 kar li hain...:)


                            Comment


                            • #59
                              re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!

                              Hala.....aisa lagta hai is larki ko ALLAH TALA nay shahed say banaya hai....sirf mithaas hi mithaaas hai.... TaneySon nay kaha hai keh ...khush mizaaj shakhs woh hota hai jo dosrooN ko bhi khush mizaaji ata karay...... tu Hala aisi hi hai..jo dosroon ko bhi khushmizaji ata karti hai......


                              Agr333:)
                              Hala d3 ab m3 ki choclat3sss bhi d3 d3in..teddy

                              Comment


                              • #60
                                re: IN the Spotlight ~Dear Rida~!

                                Originally posted by MSA View Post
                                buhat gud jawab he

                                hmm...thanks :)
                                For New Designers
                                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                                Comment

                                Working...
                                X