Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

    Ishq ko define kar dein to mamnoon rahoN ga
    Allah

    Comment


    • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

      Originally posted by WASI ANJUM View Post
      is ka jawab bas ek shair hai

      Zindagi jabar musalsal ki tarah kati hai mene
      janay kis jurm ki saza paai hai yaad nahi

      pyaaaarr naaa millyy toou zindaagiii kessii lugtti haaaaa:cc:
      sigpic
      Dill Nasheen ho
      ...
      Dill kasheen ho ...

      Comment


      • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

        Originally posted by Afroze View Post
        Bhot hi Zaberdast jawab.....chalo0 jo color rah gain ha wo bhi bata day .
        .khaki color passand kerny walo ka kia qaso0r .........:donno:(its my fav one)
        ap ny kaha k ap k star k mutabiq ap ka fav color white ha..so ap star pa belive kerty hain ?

        baqi sawalat k liy bhi ready rahy ga
        Shukriya Afroze :rose

        Qaos qazah (dhank) k rangoo aur doobtay suraj k rangoon ka
        zikar shair bhi karte hain
        Rang shairi hai aur shairi rang hai rangoo ko pehchan na sakne
        waloon k liye ye duniya ek ukta denay walay aur be kaif sehra ki
        manind hai jahan zindagi ruk jati hai...........
        hamaray haan aur duniya bhar mein bahoot se taqreebat k liye
        rang muqarar kiye gai hain jaisay Dulahan k liye laal jora
        mayo mein peela jora
        kisi dukh ya gam k moqay per kalay ya halkay colour k kapre
        isi tarah mukhtlif logon ka profession bhi un k kaproon ki
        waja se pehchana jata hai jaisay wakeel kalay libas mein
        soldoier khaki libas mein
        hamari zindagi ka koi bhi aisa pehloo nahi jis per rangoon ka
        asar na ho surkh rang k phool ka tohfa phoolon ki zaban mein
        ye tohfa deta hai k "mujhe tum se mohabbat hai " jab k sufeed
        phool sachai ki alamat hai apni rozana ki zindagi mein rangoon k
        sehar ko dekhte huay mein yahi kahoonga k rang aisa jadoo hai jo
        hamari zindagi per hakoomat karta hai........baat bahoot taweel ho gai
        Aap ne kahan mujhe rangoon mein uljha diya?
        Khaki, neela aur Khaki colour star Tauras k colour hain
        sabz aur khaki fitrat k rang hain aur aap bhi fitrat k qareeb reh
        kar apnay aap ko pursakoon mehsoos karte hain khaki sabz rang
        se jo tawanai milti hai woh us sada bahar darkht ki manind hai jo mousam
        ki tabdiliyon se beniyaz apni jawani per fakhar karta hai
        Agar aap apna Star batati to mujhe ziada aasni hoti aap k fav colour k
        baare mein batanay mein.....
        mein Stars per 50/50 yaqeen rakhta hoon.....kuch baaten jo mere star mein
        hain woh mujh mein hain kuch mein ikhtilaf hai
        ji aap k baqi questions k liye bhi ready hoon :)
        sigpic

        Comment


        • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

          Originally posted by Yaaram View Post
          Ishq ko define kar dein to mamnoon rahoN ga
          Ishq suntay thay jisay hum woh yahi hai shayed
          khudbakhud dil mein ik shaks sama jata hai

          Ishq woh hai jis ki khatir farhaad ne doodh ki nadi bahai
          ishq woh hai jis mein majnoo ne poora sehra chhan liya
          Ishaq woh hai jis ki khatir raanjhay ne takhat hazara chhor
          diya aur maahiwal bana
          Ishq woh hai jis mein na apna hosh rehta hai na zamany ka
          Haqiqi ishq wahi hai jo amal k jazbe ko barha de, ishq he insaaniyet
          ka doosra naam hai
          sigpic

          Comment


          • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

            Originally posted by Rameez View Post
            pyaaaarr naaa millyy toou zindaagiii kessii lugtti haaaaa:cc:
            Der pa nahi hota kaanch ka koi bartan
            toot toot jata hai piyar ka her ik bandhan

            Bina Piyar k zindagi adhoori hai.........agar piyar na milay
            to zindagi be ronq aur bojh ban jati hai
            sigpic

            Comment


            • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

              :).:em:

              Comment


              • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

                Ferozi aur gulabi ye color na sirf aankhon ko achhay lagtay hai
                balkay roohani khushi aur mohabbat ki nishani hai

                Yeh dono tu meray Fav color hain.:)

                Comment


                • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

                  Originally posted by WASI ANJUM View Post
                  Shukriya Afroze :rose

                  Qaos qazah (dhank) k rangoo aur doobtay suraj k rangoon ka
                  zikar shair bhi karte hain
                  Rang shairi hai aur shairi rang hai rangoo ko pehchan na sakne
                  waloon k liye ye duniya ek ukta denay walay aur be kaif sehra ki
                  manind hai jahan zindagi ruk jati hai...........
                  hamaray haan aur duniya bhar mein bahoot se taqreebat k liye
                  rang muqarar kiye gai hain jaisay Dulahan k liye laal jora
                  mayo mein peela jora
                  kisi dukh ya gam k moqay per kalay ya halkay colour k kapre
                  isi tarah mukhtlif logon ka profession bhi un k kaproon ki
                  waja se pehchana jata hai jaisay wakeel kalay libas mein
                  soldoier khaki libas mein
                  hamari zindagi ka koi bhi aisa pehloo nahi jis per rangoon ka
                  asar na ho surkh rang k phool ka tohfa phoolon ki zaban mein
                  ye tohfa deta hai k "mujhe tum se mohabbat hai " jab k sufeed
                  phool sachai ki alamat hai apni rozana ki zindagi mein rangoon k
                  sehar ko dekhte huay mein yahi kahoonga k rang aisa jadoo hai jo
                  hamari zindagi per hakoomat karta hai........baat bahoot taweel ho gai
                  Aap ne kahan mujhe rangoon mein uljha diya?
                  Khaki, neela aur Khaki colour star Tauras k colour hain
                  sabz aur khaki fitrat k rang hain aur aap bhi fitrat k qareeb reh
                  kar apnay aap ko pursakoon mehsoos karte hain khaki sabz rang
                  se jo tawanai milti hai woh us sada bahar darkht ki manind hai jo mousam
                  ki tabdiliyon se beniyaz apni jawani per fakhar karta hai
                  Agar aap apna Star batati to mujhe ziada aasni hoti aap k fav colour k
                  baare mein batanay mein.....
                  mein Stars per 50/50 yaqeen rakhta hoon.....kuch baaten jo mere star mein
                  hain woh mujh mein hain kuch mein ikhtilaf hai
                  ji aap k baqi questions k liye bhi ready hoon :)

                  Rang hain hi asi cheez k har koi en main phans jata ha ...
                  kafi acha jawab dia ha ..
                  Ap teacher hain right........to ap etna time dayty hain students ko ..un pa etni mahnat kerty hain ..per jab resulat ata ha un ka to bhot hi ajeeb ho ghareeb hota ha ...asy main ap ko guessa ni ata ..k ap ny etni mahnat ki un pa or wo ap ko asya result day rahy hain.ap ko feel ni hota k bas ap chor dain ya profession.......

                  -ager ap teacher na hoty to kia hoty

                  -Rishto pa kena yaqeen ha ap ko ..khas to0ur pa khuni reshty jo hoty hain......kes had tak manty hain ap es ridhto ko

                  -Wo KEHTA Hai Ke Mein Us Ki ZARORAT Ban Chuki Hoon
                  To Goya Wo Mujy Hasb-e-Zaroorat Chahta Hai


                  es share k bary main kia kain gy ap

                  -ap ka font color pink ha......WHY

                  jaldi jaldi en ka answer dain. ..phir or sawalt k sath hazer hon gi

                  Comment


                  • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

                    Originally posted by WASI ANJUM View Post
                    Ishq suntay thay jisay hum woh yahi hai shayed
                    khudbakhud dil mein ik shaks sama jata hai

                    Ishq woh hai jis ki khatir farhaad ne doodh ki nadi bahai
                    ishq woh hai jis mein majnoo ne poora sehra chhan liya
                    Ishaq woh hai jis ki khatir raanjhay ne takhat hazara chhor
                    diya aur maahiwal bana
                    Ishq woh hai jis mein na apna hosh rehta hai na zamany ka
                    Haqiqi ishq wahi hai jo amal k jazbe ko barha de, ishq he insaaniyet
                    ka doosra naam hai
                    aap ki yeh baat dil ko lagti hay :) shukrya jawab dene ka :rose
                    Allah

                    Comment


                    • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

                      Q.1. kisi larki se phone number mangna ho to maang lo ge ya intazar karoge k woh khud de de?
                      Q.2.kisi se mohabbat ho jai to izhar karoge ya us ki taraf se intazar karoge?
                      Q.3.Ek tarfa mohabbat k bare mein kiya khiyal hai?
                      Q.4.Kon se cheez khone se dar lagta hai?

                      Comment


                      • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

                        Rang hain hi asi cheez k har koi en main phans jata ha ...
                        kafi acha jawab dia ha ..

                        Shukriya Afroze:rose

                        Ap teacher hain right........to ap etna time dayty hain students ko ..un pa etni mahnat kerty hain ..per jab resulat ata ha un ka to bhot hi ajeeb ho ghareeb hota ha ...asy main ap ko guessa ni ata ..k ap ny etni mahnat ki un pa or wo ap ko asya result day rahy hain.ap ko feel ni hota k bas ap chor dain ya profession.......

                        Teaching mera fav profession raha hai kabhi chhorne ka khiyal nahi aaya lekin jab koi student kam no, leta hai to dil ko zaroor thees pahonchti hai k itni mehnat ki aur No, kam milay


                        -ager ap teacher na hoty to kia hoty

                        Mere father chahtay thay k mein Army join karon mujhe bhi shuroo mein Army mein janay ka shoq tha lekin baad mein teaching ka shoq hua aur mene ye profession apna liya agar mein teacher na hota to Army mein kisi achhi post per hota


                        -Rishto pa kena yaqeen ha ap ko ..khas to0ur pa khuni reshty jo hoty hain......kes had tak manty hain ap es ridhto ko

                        Khoonay rishtoon mein aksar ikhtilaf hotay rehtay hain woh kisi khushi k moqay per roothay rehtay hain lekin museebat k waqat zaroor saath dete hain apnay khoon ko musibat mein tanha dekh kar un ka khoon josh mein aa jata hai aur saath dene chalay aatay hain mera khooni rishtoon per bahoot aitbaar hai kuch ikhtalafat bhi hain lekin woh apni jagah.


                        -Wo KEHTA Hai Ke Mein Us Ki ZARORAT Ban Chuki Hoon
                        To Goya Wo Mujy Hasb-e-Zaroorat Chahta Hai

                        es share k bary main kia kain gy ap

                        Aaj ka Daor aisa hai k sab kuch hasb zaroort he hota hai log baat bhi us se karte hain jis se koi matlab hota hai lekin sab aisay nahi hain duniya mein achhay insaan bhi hain jin ki chahat belos hai chahat bhi insaan ki zaroorat
                        jis k bina woh reh nahi sakta

                        -ap ka font color pink ha......WHY
                        Pink is my fav colour isi liye mene yahan yahi colour use karta hoon Ye colour Gulab mein hota hai jo khushi aur gam donon mein saath deta hai, aur mein bhi aisa he hoon khushi aur gam mein apnay piyaroon ko saath dene wala :)


                        jaldi jaldi en ka answer dain. ..phir or sawalt k sath hazer hon gi
                        ji zaroor aaye baqi sawalat ka bhi intazar rahega :rose
                        sigpic

                        Comment


                        • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

                          Originally posted by ahsaas View Post
                          :).:em:
                          Shukriya Ahsaas :rose
                          sigpic

                          Comment


                          • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

                            Originally posted by Yaaram View Post
                            aap ki yeh baat dil ko lagti hay :) shukrya jawab dene ka :rose
                            Ur welcome Brother :)
                            sigpic

                            Comment


                            • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

                              Shukriya J.Khan sahib :rose

                              Q.1. kisi larki se phone number mangna ho to maang lo ge ya intazar
                              karoge k woh khud de de?


                              Mein nahi maang sakoonga mein intazzar karonga k woh khud de de

                              Q.2.kisi se mohabbat ho jai to izhar karoge ya us ki taraf se intazar karoge?


                              Mein Apni mohabbat ka izhaar tab tak nahi karoonga jab tak mujhe yaqeen na ho jai k usay bhi mujh se mohabbat hai........kiyon k apni taraf se izahar kar k mein us shakhs ko khona nahi chahta jo mere qareeb hai agar us k dil mein mohabbat na hui to koi ummid dil mein baqi nahi rahegi

                              Q.3.Ek tarfa mohabbat k bare mein kiya khiyal hai?


                              Ekhi Tarfa mohabbat woh aag hai jisay jalanay wala khud he jalta rehta hai aur samnay walay ko us ki tapish ka koi ehsaas nahi hota hai

                              Q.4.Kon se cheez khone se dar lagta hai?


                              Apni sab piyari cheezen jo dil ko achhi lagti hain un ko khonay se bahoot darrta hoon


                              Shukriya J.khan aap k question achhay lagay :rose :)
                              sigpic

                              Comment


                              • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

                                ahaan ...buhat achy Qz n replies ...

                                Comment

                                Working...
                                X