Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

    Zindagi ka logic kia hai ..???

    meri zindagi ka logic hai jio aur jenay do :)

    pepsi mein kabhi marinda daal k try kia???:khi:

    Piya to nahi hai lekin ab try karoonga:)

    Saber kab berdashat se bahir hota hai,..???

    jab koi cheez apnay inteha ko pahonch jati

    Insaan ki shakhsiyat ko kese pahchanty hein..???

    Insaan ki shkhsiyat us ki surat se nahi balkay us ki seerat se pehchan,nay ki koshihs karoonga

    Apki Dosti kabhi Muhabbat mein badli...???
    Mohabbat ki shuraat dosti se he hoti hai magar kabhi kabhar mohabbat
    ek nazar mein bhi ho jati hai meri filhal to kisi se is tarah nahi hui aagay
    hogi ya nahi is baare mein filhaal kuch keh nahi sakta:)

    subah ko na uthny ka mood ho tou kia bahana kerty hein...???
    subah uthnay ka mood na ho to raat ko he keh deta hoon k saubah mujhe koi
    na jagye

    Safaid shirt k sath kia matching honi chahiye:hhh:
    ab mein paint shurt nahi pehnta waisay blue paint ya black

    ager apko akeely rahna parey ..i know k ap rah lein gey but kisi aik
    insaan k sath rahna parey tou woh kon hoga.:hhh:
    Apnay kisi qareebi aur khas dost k ilawa koi nahi hoga

    aljebra asan hai ya falsafa???
    mere khiyal mein falsafa aljebra bahoot mushkil hai

    Red pen aur blue diary mein se kia lein gey..??

    mein blue diary he loonga

    kabhi candle jala ker usy dekhty rahny ko dill kia???

    ji bilkul karta hai kai baar dekhta bhi hoon :)

    barish mein rothy huye kabhi kisi ko dekha..:hhh:

    kuch samjha na...rotay huay ya roothay huya?
    donon soortoon mein nahi dekha
    sigpic

    Comment

    • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

      Originally posted by *Hala* View Post
      thanks for ur valuable answerz...... :clap:
      UR WELCOME
      sigpic

      Comment

      • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

        Originally posted by WASI ANJUM View Post

        meri zindagi ka logic hai jio aur jenay do :)

        Piya to nahi hai lekin ab try karoonga:)

        jab koi cheez apnay inteha ko pahonch jati

        Insaan ki shkhsiyat us ki surat se nahi balkay us ki seerat se pehchan,nay ki koshihs karoonga

        Mohabbat ki shuraat dosti se he hoti hai magar kabhi kabhar mohabbat
        ek nazar mein bhi ho jati hai meri filhal to kisi se is tarah nahi hui aagay
        hogi ya nahi is baare mein filhaal kuch keh nahi sakta:)

        subah uthnay ka mood na ho to raat ko he keh deta hoon k saubah mujhe koi
        na jagye

        ab mein paint shurt nahi pehnta waisay blue paint ya black

        Apnay kisi qareebi aur khas dost k ilawa koi nahi hoga

        mere khiyal mein falsafa aljebra bahoot mushkil hai

        mein blue diary he loonga

        ji bilkul karta hai kai baar dekhta bhi hoon :)

        kuch samjha na...rotay huay ya roothay huya?
        donon soortoon mein nahi dekha
        rota..

        okay very nice n cool answerz.. shukriya:)

        Comment

        • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

          zabardust!maza aagya.
          ISHQ HAQEEKI HO YA MAJAZI,
          NACHATA ZAROR HY.....!!:rose

          Comment

          • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

            yaar yee dasoo k zindagiii kaaa hasiiilll kiaaaa haaaa
            sigpic
            Dill Nasheen ho
            ...
            Dill kasheen ho ...

            Comment

            • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

              Originally posted by bakhtawer View Post
              zabardust!maza aagya.
              Shukriya sister:rose
              sigpic

              Comment

              • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

                Originally posted by Rameez View Post
                yaar yee dasoo k zindagiii kaaa hasiiilll kiaaaa haaaa
                is ka jawab bas ek shair hai

                Zindagi jabar musalsal ki tarah kati hai mene
                janay kis jurm ki saza paai hai yaad nahi
                sigpic

                Comment

                • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

                  Hum phir se aa gaye hein Ap k liye kuch asaan sawalat ly ker..:)

                  1)Muhabbat Nafrat mein kab badlti hai..??

                  2)Zindagi k nasheib-O-faraz ko samjhny k liye kis cheez ka mataleya zaroori hai..??

                  3)Aj k door mein sab se sasti cheez Apki k nazdeek kon si hai..??

                  4)Ager insaan ko Saal mein aik baar " par" (wings) mil jaty tou woh kia kerta..??

                  5)Ap k khyal mein hamarey muashrey ki sab se jahilana Rasam konsi hai..??

                  6)Zindagi k canvas per ubherny wala her rang itna bad-soorat kion hota ja raha hai..??

                  7)kahty hein k kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta,,Kion??

                  8)Yadain dill k ander zakham kion bana deti hein..??

                  9)Insaan Khud-gherz kab banta hai..??

                  10)koi aisa sawal jo ap k mind mein ho ..aur ap chahty hun k koi poochy ..woh abhi tak kisi ny poocha?? ager han tou kis ney??

                  okay Wasi abhi k liye itny hi ..clear n fair answers ka intizaar rahy ga:blush:,..

                  khush rahiye..:rose
                  Last edited by ahsaas; 23 February 2008, 13:16.

                  Comment

                  • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

                    1)Muhabbat Nafrat mein kab badlti hai..??
                    jab mohabbat karnay wala aap k aitmaad ko thees pahonchai tab

                    2)Zindagi k nasheib-O-faraz ko samjhny k liye kis cheez ka mataleya zaroori hai..??
                    zindagi khud he sab kuch sikha deti hai...hum zindagi se khai hui thookroon se he sab seekhtay hain

                    3)Aj k door mein sab se sasti cheez Apki k nazdeek kon si hai..??
                    aaj k daor mein log sasti shahorat k matlashi hain woh chahtay hain k karen kuch bhi nahi bas shahorat milay.........mere khiyal mein isi ko sasti cheez samjha hua hai :)

                    4)Ager insaan ko Saal mein aik baar " par" (wings) mil jaty tou woh kia kerta..??
                    her kisi ki nature mukhtlif hoti hai her koi apnay hisab se kuch na kuch karega mein to ghoomonga door door jakar:)

                    5)Ap k khyal mein hamarey muashrey ki sab se jahilana Rasam konsi hai..??
                    Yahan sindh mein kuch ilaiqoon mein Karo kari ki risam hai jo jahilana hai aur her jagah per he aurtoon k haqooq gazab kiye ja rahe hain un se education ka haq chhena gaya hai hatakay kuch ilaiqoon mein aurtoon ko vote cast karnay ka bhi haq nahi ye sab jahalat hai

                    6)Zindagi k canvas per ubherny wala her rang itna bad-soorat kion hota ja raha hai..??
                    is k zimedaar hum sab hain hum lena chahtay hain lekin dena kuch nahi chahtay hain jo fasal boyen gay wahi payengay

                    7)kahty hein k kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta,,Kion??
                    Agar insaan jo chahy woh milay to phir woh na shukra ho jata hai
                    kuch cheezoon ki kami hamein ehsaas dilati hai hamien mehnat karnay per aamada karti hai......Allah Pak ne her cheez k saath us ka jora banaya hai khushi k saath gam dukh k saath sukh din k saath raat ye dono cheezen mil kar he mukamil jahan banti hain
                    sirf khushiyan hoti aur gam na hotay to hamien khushiyon ka ehsaas kaisay hota?

                    8)Yadain dill k ander zakham kion bana deti hein..??
                    Dard meetha ho to ruk ruk k kasak hoti hai
                    yaad ghehri ho to tham tham k qarar aata hai :)

                    bicharne waloon ki agar yaaden bhi saath na hoon to baqi hamaray paas reh he kiya jaiga? yaaden zakhm ban kar zaroor rehti hain magar woh dil mein kisi k honay ka bhi ehsaas dilati hain

                    9)Insaan Khud-gherz kab banta hai..??
                    Insaan khud garz tab ban jata hai jab woh apni koi khawaish poori karnay k liye kisi ki bhi parwah nahi karta

                    10)koi aisa sawal jo ap k mind mein ho ..aur ap chahty hun k koi poochy ..woh abhi tak kisi ny poocha?? ager han tou kis ney??
                    mein sawal yahan kaisay likh sakta hoon kahin aap he na poochh len is liye nahi likh raha :)

                    okay Wasi abhi k liye itny hi ..clear n fair answers ka intizaar rahy ga:blush:,..

                    khush rahiye..:rose
                    mere khiyal mein sab clear hain koi golmol jawab nahi diya hai:)

                      apko sawal nahin batana balkey ye batana tha k apki pasand ka sawal abhi tak kisi ny kia hai ya nahin...ager ker liya hai kisi ny tou kis mem ny kia..:)

                      baqi jawabat buhat achhy diye hein..aur clear bhi:rose

                      Comment

                      • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

                        Originally posted by ahsaas View Post
                        apko sawal nahin batana balkey ye batana tha k apki pasand ka sawal abhi tak kisi ny kia hai ya nahin...ager ker liya hai kisi ny tou kis mem ny kia..:)

                        baqi jawabat buhat achhy diye hein..aur clear bhi:rose
                        sab k sawal achhay thay aisa koi sawal jo mere zehan mein ho aur kisi ne
                        poochha ho mere zehan mein aisa koi sawal nahi tha :)
                        Shukriya Ahsaas :rose
                        sigpic

                        Comment

                        • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

                          okay Shukriya ....:)

                          Comment

                          • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

                            Asalam u Alikum
                            .ab tak jetna jana or perha ap k bary main ..Acha laga ..kafi serious person lagy hain mujhy to ap..Rang hamri shakseyat pa asar karty hain ya nai..........ketni ahmeayt dyty hain ap rango ko apni life main........after all ap poest hain..koi to mayni rakhty hon gy ap ki life mian rang

                            Comment

                            • Re: ~*In the Spotlight*~WASI ANJUM*~

                              Originally posted by Afroze View Post
                              Asalam u Alikum
                              .ab tak jetna jana or perha ap k bary main ..Acha laga ..kafi serious person lagy hain mujhy to ap..Rang hamri shakseyat pa asar karty hain ya nai..........ketni ahmeayt dyty hain ap rango ko apni life main........after all ap poest hain..koi to mayni rakhty hon gy ap ki life mian rang
                              Walekum Asslam
                              shukriya Afroza :rose
                              Aap ne bahoot he achha sawal poochha hai
                              colours se khelnay ka fun koi artist he janay hum to lafzoon k
                              fun se waqif hain waisay mein ye zaroor manta hoon k rang hamari
                              zindagi per zaroor asar karte hain mere star k lehaz se mujhe
                              white colour suit karta hai aur mein ziada tar white colour k kapre
                              he pehnta hoon colours hamari zindagi mein kiya ehmiyet rakhte hai?
                              mein apnay hisab se jo mere dil mein hai jawab dene
                              ki koshish krta hoon
                              Colours k asar insaani zindgi par parta hai
                              un ki hamari zindagi mein bari ehmiyet hai

                              Blue colour k baare mein kaha jata hai k ye
                              sakoon bakhsh asrat rakhta hai

                              Red color jismani chusti ki nishani hai

                              yellow colour zehani chusti ki nishani samjha jata hai

                              Ferozi aur gulabi ye color na sirf aankhon ko achhay lagtay hai
                              balkay roohani khushi aur mohabbat ki nishani hain

                              Jamni colour maali khushbakhti ki alamat hai aur fazool kharchi
                              ki bhi nishani hai

                              Black colour mohtat rehnay ki nishani hai

                              Kathai color "kuch nahi koi baat nahi koi farq nahi parta " jaisi laparwahi
                              ka rujhan paida karta hai ye khushi kam deta hai lekin is colour k kapre
                              pehn,nay walay jo bhi kaam karte hain ummooman durst hota hai

                              Sabz colour ko pasand karne walay gair maamooli kirdaar k malik hotay hain

                              White colour ye colour pasand karne wala bahoot jald doosroon se mutasir ho
                              jata hai doosroon ka asar qabool kar leta hai kion k ye color sab colours se mil kar bana hai
                              Mere khiyal mein ans bahoot taweel ho gaya hai aur kuch colours reh gai hain

                                Bhot hi Zaberdast jawab.....chalo0 jo color rah gain ha wo bhi bata day .
                                .khaki color passand kerny walo ka kia qaso0r .........:donno:(its my fav one)
                                ap ny kaha k ap k star k mutabiq ap ka fav color white ha..so ap star pa belive kerty hain ?

                                baqi sawalat k liy bhi ready rahy ga

                                Comment

                                Working...
                                X