Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?
Okay ji I think it's my turn to tell a bit about Copenhagen :p
Copenhagen Denmark ka dar'al'hakoomat hai. Yeh aik bohat qadeemi shehar hai jissey last 10 years sey bohat hi modernise kiya geya hai. Is shehar ka bus and train system duniya key behtreen transport systems mein shumar kiya jata hai. Samundar key kinarey aabad yeh shehar qudrati husn sey mala maal hai. Issey Europe key haseen tareen shehron mein shumar kiya jata hai.
The 10 Most visited Places in Copenhagen:
Den Lille Havfrue (Mermaid).
Denmark key sab sey badey afsana'nigar H. C. Andersen ney aik kahani likhi thi jis mein aik samundri makhlooq jiska aadha jisam aurat ka aur aadha fish ka hota hai aur kisi prince ki muhabbat mein griftar ho ker sahil-e-samunder per aa ker uska wait karti hai - us mermaid ka majasma jo taambey sey banaya geya hai, sab sey ziyada visit kiya jata hai. Bechari mermaid key saath bohat ziyadatiyan hui hain - yun 3 baar iska sar qalam kiya jaa chuka hai - 1 baar iska bazu kata jaa chuka hai, kaee baar issey rang kiya jaa chuka hai aur aik baar issey dobara samundar mein phainka jaa chuka hai - auraton peh itney zulm :p

Comment