Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

    Assalamalikum

    aap sab loog apnay apnay sheshar ki mashoor cheezoun or jaghoun ka batain , takay koi jab aap kay sheshar kay aas paas say guzrey to in jaghoun ko zaror visit karey ga :D:
    kahanay peenay ki koi mashoor cheezian, ya koi khas kisem ki cheez yaha banai jati hoo , ya mashoor jaghian :lpop:
    pak/india ki ya bahir kay kisi mulk main rehtay hain vohan ki bhi share kar saktay hian :phool:

    shopping centers ka batana na bhoulaye ga :lol
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

    Originally posted by Aanchal

    Hamaray sheher mein sub se ziada mash'hoor munda_sialkoty he :lpop: aur us ke baad Allah Bakshay Ilama Iqbal thay :lpop:

    Sialkot basically industrial area he...cottage industry aur large industries kafi ziada hein...Sports Goods, Leather wares aur Surgical Instruments ki export bohat ziada he...2 baray parks hein...shopping ke liye Tehsil Bazar, Railway Road, mash'hoor hein...her tarah ki cheezein mil sakti hein...Aalam chowk se dahi bhalay aap ko mil saktay hein...Rang pura aur Ada Pasrooriyan mein aap BBQ wagaira milein ge...Yahan pe sair kerne ke liye aap ko Tonga aur Chand-Gari bhi available he...ager aap gadhay pe beth ker sair kerna chahein to wo bhi hum arrange ker dein ge...Raat ko loog yahan per outing ke liye nikaltay hein...Cantt area mein Ice-cream, gool-gupay aur resturants ki taraf moun kerte hein...kuch larkay aap ko motor-bike ka agla tyre utha ke phirtay nazar aaein ge :tauba yahan pe tyre gisnay ka kafi der jo rehta he :khi: aap hade-marala chali jaein...wahan pe Derya-e-Tavi aur Derya-e-Chanab miltay hein...aur un se aagay 2 nehrein nikalti hein...aur germiyoon ke dinoon mein sunday ke rooz aap ko hum loog wahan per nahatay bhi nazar aaein ge...ager aap hamein wahan mil gaein to hum aap ko kulfiyaan zaroor khilaein ge :khi:
    :thmbup:

    Comment

    • #3
      Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

      Originally posted by munda_sialkoty
      aur us ke baad Allah Bakshay Ilama Iqbal thay :lpop:
      Allma Iqbal ka mazar bhi yehi hona chaye tha na :mm: ..Lahore main un ki wasehat the dafan karnay ki ya wesay kia gia ?

      Yahan pe sair kerne ke liye aap ko Tonga aur Chand-Gari bhi available he...ager aap gadhay pe beth ker sair kerna chahein to wo bhi hum arrange ker dein ge...Raat ko loog yahan per outing ke liye nikaltay hein...
      yeh chaand gari kia hai ?:lol

      gadha gari pay main aik baar beath chuki houn :shh: :lol

      ...2 baray parks hein..
      parks kay naam kia hain ?

      .shopping ke liye Tehsil Bazar, Railway Road, mash'hoor hein...her tarah ki cheezein mil sakti hein.
      ok theek :lpop:

      ..Aalam chowk se dahi bhalay aap ko mil saktay hein...Rang pura aur Ada Pasrooriyan mein aap BBQ wagaira milein ge...
      ahan :)

      kuch larkay aap ko motor-bike ka agla tyre utha ke phirtay nazar aaein ge :tauba yahan pe tyre gisnay ka kafi der jo rehta he :khi:
      pher to accidents bhi zaida hotay houn gay ....

      aap hade-marala chali jaein...wahan pe Derya-e-Tavi aur Derya-e-Chanab miltay hein...aur un se aagay 2 nehrein nikalti hein...aur germiyoon ke dinoon mein sunday ke rooz aap ko hum loog wahan per nahatay bhi nazar aaein ge...ager aap hamein wahan mil gaein to hum aap ko kulfiyaan zaroor khilaein ge :khi:
      loog darya pay machliyan pakar kay khatay hain or aap kulfiyan :p :kr:

      acha view bataya hai aap nay apnay shehar ka :thmbup:
      hamnay suna hai vohan universites ki tadad bhi zaida hai ?
      or vohan Airport bhi hona chaye tha :D:
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment

      • #4
        Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

        filhal to aapko apnay present city ka bataty hoon...
        ye hai to bojat khoobsoorat city lekin sirf summer mein ..otherwise -30...-40 mein to ghoom phir bhi nahin saktay .....:na:

        yahan dekhnay k lieey CN tower hai Jo kisi waqton mein diniya k sab se buland-o-baala imaarat thi ....
        Aur Sky domb hai .. jo bohat khoobsoorat aur bohat baree building hai . jis ki roof electronic system se open aur close hoty hai ...yahan WWF aur indian film actors k shows hotay hain........concerts waghera ...:lpop:

        Aur yahan bohat khoobsoorat shopping malls hain:lpop: .sab se mashhoor mall "Eaton Centre " hai jahan her week taqreeban 1 million log visit kertay hain ........jis mein hum bhi shaamil hain :lpop:

        yahan parks bhi bohat khoobsoorat parks hain lekin ek park Edward park" hai jo apni khasosiyat ki waja se mash-hoor hai wahan duniya ki her kisam k phool hain..aur un ko bohat khoobsoorty se cutting ker k design bana k sajaya hai ....laakhon log summer mein is park mein aatay hain ....:lpop:

        Aur bhi bohat khoobsoorat jaghein hain ...like Ontario place, central island , island jaanay k lieey fair use ki jaaty hai , island mein enjoy kernay k liey bohat c places hain ....mostly log wahan bar b q kertay hain ......
        lake ontario beech area mein summer mein dekhnay ka saman hota hai...
        lekin canada haina is lieey kuch saman dekhnay ka nahin bhi hota(summer mein):embarasseyahan ki qaum ka dimagh kharab ho jata hai :tauba summer mein ...:tauba
        aap aaiey hum ye sab jaghein ghumaen gay aapko ... :lpop:

        sigpic

        Comment

        • #5
          Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

          Hehehehe
          ehsa g aap ka sheher summer maiN khulta hay ????
          munda sialkoTi g silakoT ka to harr mausam summer hi hay??? ALLAH janta hay k sialkoT teen dafa gya hooN laikin harr baar yai hi sher munh pay ataa thaa sheher itself bohat khoob hay magar uss k liay raasta sirf aik hi sahi hay laikin uss raastay k theek honay main kis ki ghalti hay shaayed iss ka ta'ayyun nahi hua..
          mazaq bartaraf.. sial koT k msh'hoor honay ki wajah yahaan k aik aur shaheer e islam mard e momin ALLAMA MAULANA ZIA UD MADNI REHMATULLAH ALAIH haiN jo k QUTB E MADINA k naam say halqa e tassawwuf maiN bohat naam rakhtay haiN..maulana ka taaluq b SIALKOT say hay aur iss ka zyada logoN ko nahi pata.. agar kisi ko bird flu say khatra nahi to SIALKOT maiN CHICKEN DUBAO urf DAABU b milta hay yai DUBAO pay pakistan k logoN nuqta andaazi nay DAABU bana dia... bahar haal wahaaN chicken sajji aur chikcen dubao bohat acha milta hay..
          hun maiN apnay sheher wall aawaaN ...
          Islamabad bass Islamabad ay yahaan sarkaari daftar aur sarkaari mulazim mashoor haiN aur aik aur baat yai pakistan ka waahid sheher hay jahaaN heavey traffic din dehaRay ghuss k baddmaashi kar saktay haiN..
          heehehehehee
          khush rahaiN
          Last edited by baykamal; 8 April 2006, 04:53.

          kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

          Comment

          • #6
            Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

            jahaaN heavey traffic din dehaRay ghuss k baddmaashi kar saktay haiN..
            heehehehehee

            means??? :cc:
            Visit My Early PS Work
            You Are Welcome To Comment

            Comment

            • #7
              Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

              means pooray pakistan maiN sheher maiN heavey traffic k daakhlay pay paabandi hay day time maiN.. laikin islamabad maiN nahi hay...

              kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

              Comment

              • #8
                Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

                Karachi...

                Mashoor Cheez.. .. Mein....
                Mashoor jaga... ... dekh k bataooNga...

                Comment

                • #9
                  Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

                  Originally posted by baykamal
                  Hehehehe
                  ehsa g aap ka sheher summer maiN khulta hay ????
                  munda sialkoTi g silakoT ka to harr mausam summer hi hay??? ALLAH janta hay k sialkoT teen dafa gya hooN laikin harr baar yai hi sher munh pay ataa thaa sheher itself bohat khoob hay magar uss k liay raasta sirf aik hi sahi hay laikin uss raastay k theek honay main kis ki ghalti hay shaayed iss ka ta'ayyun nahi hua..
                  mazaq bartaraf.. sial koT k msh'hoor honay ki wajah yahaan k aik aur shaheer e islam mard e momin ALLAMA MAULANA ZIA UD MADNI REHMATULLAH ALAIH haiN jo k QUTB E MADINA k naam say halqa e tassawwuf maiN bohat naam rakhtay haiN..maulana ka taaluq b SIALKOT say hay aur iss ka zyada logoN ko nahi pata.. agar kisi ko bird flu say khatra nahi to SIALKOT maiN CHICKEN DUBAO urf DAABU b milta hay yai DUBAO pay pakistan k logoN nuqta andaazi nay DAABU bana dia... bahar haal wahaaN chicken sajji aur chikcen dubao bohat acha milta hay..
                  hun maiN apnay sheher wall aawaaN ...
                  Islamabad bass Islamabad ay yahaan sarkaari daftar aur sarkaari mulazim mashoor haiN aur aik aur baat yai pakistan ka waahid sheher hay jahaaN heavey traffic din dehaRay ghuss k baddmaashi kar saktay haiN..
                  heehehehehee
                  khush rahaiN
                  Lagta he Islamabad se ziada aap ko sialkot ki khabar he :khi: waise good information...now for ur kind info...Sialkot ke androon-e-sheher ub koi road kharaab nahi...Sialkot to Gujrat Road within days complete ho jaye gi...aur Sialkot se Lahore tak Motorway bhi paas ho gai he:)
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #10
                    Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

                    Originally posted by Eshaa_wellwisher
                    filhal to aapko apnay present city ka bataty hoon...
                    ye hai to bojat khoobsoorat city lekin sirf summer mein ..otherwise -30...-40 mein to ghoom phir bhi nahin saktay .....:na:

                    yahan dekhnay k lieey CN tower hai Jo kisi waqton mein diniya k sab se buland-o-baala imaarat thi ....
                    Aur Sky domb hai .. jo bohat khoobsoorat aur bohat baree building hai . jis ki roof electronic system se open aur close hoty hai ...yahan WWF aur indian film actors k shows hotay hain........concerts waghera ...:lpop:

                    Aur yahan bohat khoobsoorat shopping malls hain:lpop: .sab se mashhoor mall "Eaton Centre " hai jahan her week taqreeban 1 million log visit kertay hain ........jis mein hum bhi shaamil hain :lpop:

                    yahan parks bhi bohat khoobsoorat parks hain lekin ek park Edward park" hai jo apni khasosiyat ki waja se mash-hoor hai wahan duniya ki her kisam k phool hain..aur un ko bohat khoobsoorty se cutting ker k design bana k sajaya hai ....laakhon log summer mein is park mein aatay hain ....:lpop:

                    Aur bhi bohat khoobsoorat jaghein hain ...like Ontario place, central island , island jaanay k lieey fair use ki jaaty hai , island mein enjoy kernay k liey bohat c places hain ....mostly log wahan bar b q kertay hain ......
                    lake ontario beech area mein summer mein dekhnay ka saman hota hai...
                    lekin canada haina is lieey kuch saman dekhnay ka nahin bhi hota(summer mein):embarasseyahan ki qaum ka dimagh kharab ho jata hai :tauba summer mein ...:tauba
                    aap aaiey hum ye sab jaghein ghumaen gay aapko ... :lpop:

                    Wow... sounds goood.. Canada.... Last summer I was visiting Bahamas Islands and had met a lot of canadians there..

                    WEll... dimagh kharab honay se kia muraad hay aap ki? wo haathouN k bal chalnay phirnay lagtay hein? naak se khana khatay hein?

                    yah.. whenever i will visit Canada... i willl contact u... :lpop:

                    Comment

                    • #11
                      Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

                      Allma Iqbal ka mazar bhi yehi hona chaye tha na :mm: ..Lahore main un ki wasehat the dafan karnay ki ya wesay kia gia ?

                      Ager mein us waqt hota to Ilama Iqbal ka mazar zaroor sialkot mein hota...waise i don't know the reason

                      yeh chaand gari kia hai ?:lol

                      Yeh wo gaari he, jis per bethay bethay akser chand pe pohanchnay ka gumaan hota he...thoori se ghalat driving se yeh aap ko chand se bhi ouper le ke jaa sakti he...is gari ke aagay aik adad Dhowein daar Motor Bike Lagi hoti he...aur peechay seats hoti hein, jahan aap jesi ba-zook khawateen bethti hein :lpop:

                      gadha gari pay main aik baar beath chuki houn :shh: :lol

                      Mujay umeed he Gadha aap ke Gunahoon ke booj talay aa ke kuchla gaya ho ga :lol

                      parks kay naam kia hain ?

                      Garison Park & Gulshan-e-Iqbal Park

                      pher to accidents bhi zaida hotay houn gay ....

                      No, accident kum hi hotay hein...yahan khilaari rehtay hein anari nahi :khi:

                      loog darya pay machliyan pakar kay khatay hain or aap kulfiyan :p :kr:

                      :lol :lol :lol o kuriye aisi baat nahi...wo to mein ne by the way kaha tha :wk

                      acha view bataya hai aap nay apnay shehar ka :thmbup:
                      hamnay suna hai vohan universites ki tadad bhi zaida hai ?
                      or vohan Airport bhi hona chaye tha :D:

                      Well yahan colleges hein, jinhein universities ka derja mila hua he...jis mein Murray College, Islamia College, Allama Iqbal College, Larkiyoon ke baray colleges mein Degree College (Govt. College), Allama Iqbal College (for women), Nisa College, Apwa College, is ke ilawa APTECH, computer aur commerce institutes to bohat ziada hein...waise hum Murray College ki paidawaar hein, jahan Allam Iqbal bhi perh chukay hein :wk Airport almost bun chuka he ub wahan hawai jahazon ka intzaaar kia ja raha he :lol :lol :lol
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #12
                        Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

                        Originally posted by Aik Lamha
                        Wow... sounds goood.. Canada.... Last summer I was visiting Bahamas Islands and had met a lot of canadians there..

                        WEll... dimagh kharab honay se kia muraad hay aap ki? wo haathouN k bal chalnay phirnay lagtay hein? naak se khana khatay hein?

                        yah.. whenever i will visit Canada... i willl contact u... :lpop:
                        Ub tu bhi contact karay ga larkiyoon se :slap:
                        :thmbup:

                        Comment

                        • #13

                          Dimagh kharab honay se mere muraad ye thi k jahan Summer enjoy kernay ka time hota hai to doosree taraf ye log kuch hadd se ziayada hee garmi garmi kertay hain k being a muslim hamein nazrein jhuka k chalna perta hai

                          more than welcome ..jab aaiey ga to contact ker ljieey ga hum ghuma phira dein gay aapo(phirkee ki terha ):lol :lol
                          sigpic

                          Comment

                          • #14
                            Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

                            Originally posted by munda_sialkoty
                            Ub tu bhi contact karay ga larkiyoon se :slap:
                            kia Esha larki hay

                            Comment

                            • #15
                              Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

                              Originally posted by Eshaa_wellwisher
                              Dimagh kharab honay se mere muraad ye thi k jahan Summer enjoy kernay ka time hota hai to doosree taraf ye log kuch hadd se ziayada hee garmi garmi kertay hain k being a muslim hamein nazrein jhuka k chalna perta hai

                              more than welcome ..jab aaiey ga to contact ker ljieey ga hum ghuma phira dein gay aapo(phirkee ki terha ):lol :lol
                              oh acha acha.. koi baat nai.. waisay hi nazrain jhuka k chalna chahiye,. bara faida hota hay... ye angrez/canadian/american jab sharab k nashay mein tun hotay hein.. tou kabhi koi dollar/pound waghaira in ki jaib se gir bhi jata hay tou pata nai chalta... being a muslim nazar jhuka k chalnay ka itna fiada tou hay hi na kay hum wo utha saktay hein :khi:

                              Okie... mein agar Canada aya.... waisay tou me k deep freezer mein bhi khasi jaga hay... jab Canada janay ka dil kerta hay.. mein uss mein beith jata hooN.. laikin agar kabhi Canada ana huwa tou aap se zaroor contact karoonga... chahay aap koi larki hi kioN na houN... :khi:

                              Comment

                              Working...
                              X