Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

    Originally posted by ummid
    Aap ke sorry ki koi zarorat nahi...
    hum ummid hain...
    aap hi ke dil mein rehte hain aur jo dil mein rehte hain unse dosti ki jaati hai...
    Ummid ghair larkoon se aisi baatein nahi kerte :lpop:
    :thmbup:

    Comment


    • Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

      Originally posted by munda_sialkoty
      Ummid ghair larkoon se aisi baatein nahi kerte :lpop:
      kyun Ummid dil mein nahi rehti kya??:cc:

      Comment


      • Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

        Originally posted by ummid
        kyun Ummid dil mein nahi rehti kya??:cc:
        Wo nadan he...pagloota he...ghalat matlab nikaal le ga :tauba
        :thmbup:

        Comment


        • Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

          Originally posted by munda_sialkoty
          Wo nadan he...pagloota he...ghalat matlab nikaal le ga :tauba
          koi nahi...:na:
          baat aisi waisi thodi hai jo koi galat matlab nikalega...:lpop:

          Comment


          • Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

            Originally posted by munda_sialkoty
            you are welcome :wk :salam:
            :phool:

            Comment


            • Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

              Originally posted by ummid
              koi nahi...:na:
              baat aisi waisi thodi hai jo koi galat matlab nikalega...:lpop:
              Theek he, tumhein cheetawni dena mera ferz tha, so de di :lol
              :thmbup:

              Comment


              • Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

                logoo subaha kia kha kay aye they jo aik din main itni post kar dein? :tauba :kr:
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

                  Originally posted by Eshaa_wellwisher
                  filhal to aapko apnay present city ka bataty hoon...
                  ye hai to bojat khoobsoorat city lekin sirf summer mein ..otherwise -30...-40 mein to ghoom phir bhi nahin saktay .....:na:

                  yahan dekhnay k lieey CN tower hai Jo kisi waqton mein diniya k sab se buland-o-baala imaarat thi ....
                  Aur Sky domb hai .. jo bohat khoobsoorat aur bohat baree building hai . jis ki roof electronic system se open aur close hoty hai ...yahan WWF aur indian film actors k shows hotay hain........concerts waghera ...:lpop:

                  Aur yahan bohat khoobsoorat shopping malls hain:lpop: .sab se mashhoor mall "Eaton Centre " hai jahan her week taqreeban 1 million log visit kertay hain ........jis mein hum bhi shaamil hain :lpop:

                  yahan parks bhi bohat khoobsoorat parks hain lekin ek park Edward park" hai jo apni khasosiyat ki waja se mash-hoor hai wahan duniya ki her kisam k phool hain..aur un ko bohat khoobsoorty se cutting ker k design bana k sajaya hai ....laakhon log summer mein is park mein aatay hain ....:lpop:

                  Aur bhi bohat khoobsoorat jaghein hain ...like Ontario place, central island , island jaanay k lieey fair use ki jaaty hai , island mein enjoy kernay k liey bohat c places hain ....mostly log wahan bar b q kertay hain ......
                  lake ontario beech area mein summer mein dekhnay ka saman hota hai...
                  lekin canada haina is lieey kuch saman dekhnay ka nahin bhi hota(summer mein):embarasseyahan ki qaum ka dimagh kharab ho jata hai :tauba summer mein ...:tauba
                  aap aaiey hum ye sab jaghein ghumaen gay aapko ... :lpop:


                  ahan to aap Canada main rehti hain :D:

                  theek hai garmeoun main aye gay sardeoun main kisi or place ko visit kar laian gay :D
                  :lpop:
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment


                  • Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

                    Originally posted by baykamal


                    Islamabad bass Islamabad ay yahaan sarkaari daftar aur sarkaari mulazim mashoor haiN aur aik aur baat yai pakistan ka waahid sheher hay jahaaN heavey traffic din dehaRay ghuss k baddmaashi kar saktay haiN..
                    heehehehehee
                    khush rahaiN
                    gujar khan chashmay ka number barh gia hai kia jo itnaaaa bara font size reakha howa hai?

                    Islamabad main ghoom chuki houn :lpop:
                    ghoumnay ki jagian achi hain , greenery zaida hai .....Fasial Masjid bhi deekhi hai.... aik baar july main gai the buhat garmi the habas tha us waqat zaida nahi ghoom sakye they ....pher sardeoun main gai to acha raha mousam :)
                    kahanay peenay ki cheezian kahan kahan mashoor hain tumharay han ki ???main to bhooki wapas ai the
                    hamaray driver ko bhi nahi pata tha kahan hain resturants
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment


                    • Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

                      Originally posted by Aik Lamha
                      Karachi...

                      Mashoor Cheez.. .. Mein....
                      Mashoor jaga... ... dekh k bataooNga...
                      to aap nay abhi tak deekhi nahi jaghian ?
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment


                      • Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

                        Originally posted by munda_sialkoty
                        Lagta he Islamabad se ziada aap ko sialkot ki khabar he :khi: waise good information...now for ur kind info...Sialkot ke androon-e-sheher ub koi road kharaab nahi...Sialkot to Gujrat Road within days complete ho jaye gi...aur Sialkot se Lahore tak Motorway bhi paas ho gai he:)
                        yeh gujar khan har jaga ghoom chuka hai :p

                        paas to hoo jati hain cheezian lekan bantay bantay saal beet jatay hain..........
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment


                        • Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

                          Originally posted by munda_sialkoty
                          Allma Iqbal ka mazar bhi yehi hona chaye tha na :mm: ..Lahore main un ki wasehat the dafan karnay ki ya wesay kia gia ?

                          Ager mein us waqt hota to Ilama Iqbal ka mazar zaroor sialkot mein hota...waise i don't know the reason

                          yeh chaand gari kia hai ?:lol

                          Yeh wo gaari he, jis per bethay bethay akser chand pe pohanchnay ka gumaan hota he...thoori se ghalat driving se yeh aap ko chand se bhi ouper le ke jaa sakti he...is gari ke aagay aik adad Dhowein daar Motor Bike Lagi hoti he...aur peechay seats hoti hein, jahan aap jesi ba-zook khawateen bethti hein :lpop:

                          gadha gari pay main aik baar beath chuki houn :shh: :lol

                          Mujay umeed he Gadha aap ke Gunahoon ke booj talay aa ke kuchla gaya ho ga :lol

                          parks kay naam kia hain ?

                          Garison Park & Gulshan-e-Iqbal Park


                          pher to accidents bhi zaida hotay houn gay ....

                          No, accident kum hi hotay hein...yahan khilaari rehtay hein anari nahi :khi:

                          loog darya pay machliyan pakar kay khatay hain or aap kulfiyan :p :kr:

                          :lol :lol :lol o kuriye aisi baat nahi...wo to mein ne by the way kaha tha :wk

                          acha view bataya hai aap nay apnay shehar ka :thmbup:
                          hamnay suna hai vohan universites ki tadad bhi zaida hai ?
                          or vohan Airport bhi hona chaye tha :D:

                          Well yahan colleges hein, jinhein universities ka derja mila hua he...jis mein Murray College, Islamia College, Allama Iqbal College, Larkiyoon ke baray colleges mein Degree College (Govt. College), Allama Iqbal College (for women), Nisa College, Apwa College, is ke ilawa APTECH, computer aur commerce institutes to bohat ziada hein...waise hum Murray College ki paidawaar hein, jahan Allam Iqbal bhi perh chukay hein :wk Airport almost bun chuka he ub wahan hawai jahazon ka intzaaar kia ja raha he :lol :lol :lol
                          Chaand gari me ko pasand nahi ai...
                          or gadha gari pay kurri beathe the munda nahi beatha tha jo gadha gari pichak jati :lol
                          changge gal hay ji kay Airport bhi ban raha hai , tourist ko asani hoo gee or vohan kay logoo ko bhi :rose
                          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                          Comment


                          • Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

                            Originally posted by Jhumroo
                            hamaare shahr kaa naam Kitchener hai...is shahr kaa naam Lord Kitchener ke naam par paraa jo india meN kabhi Birtish Raj meN general huaa karte the magar yeh naam abhii koii 50 saal pahle rakkhaa gayaa hai. usse pahle iskaa naam BERLIN thaa jo mashriqi Germany ka Capital huaa kartaa thaa [ab to Khair mashriqi aur naGhribi Germany muttaHid ho chuke haiN] kiuNki haamare shahr kii aabaadii kisii zamaane meN 80 Germans kii hua kartii thii. maujooda daur meN 50% hai. yahaN Germay kii har cheez stores emN miltii hai. yahaN German saqaafat bahot numaayaaN hai. yahaN German tewhaar OCTOBERFEST manaayaa jaataa hai jis emN sharaab ke Khum ke Khum lunDhaaye jaate haiN.

                            yahaN ke qurb o jawaar meN German nasl ke logoN kaa ek aisa firqa paayaa jaataa hai jinkaa rahen sahen qadeem zamaane jaise hai. in logoN ko MENNONITE kahaa jaataa hai. nihaayat hii shareef aur amn-pasand log hote haiN...insaanii falaaH aur bahbood kaa kaam baRh chaRh kar karte ahiN. Thanksgiving [october 11] aur Christmas par har saal yeh shahr ek Ghorabaa ko ek abRii sii Turkii, khaane-peene kii ashyaa~ aur naqdii dete ahiN taaki har koii tewhaar achchhe tareeqe se manaa sakeN...har saal in donoN mavaaqoN par yeh ek bahot baRii ta'daad ko Dinner kaa langaR Daalte haiN. inkaa pahnaao puraane zamaanoN jaisa hai [kaalaa libaadah] aur inkii aurteN musalmaanoN jaisa Burq'a saa pahente haiN...inkii aurtoN ke baal Dhakle hote haiN. yeh cars ke bajaaye baggiyoN aur taangoN men safar karte haiN. inke gharoN meN mez kursii vaGhaira nahiiN hotii aur na hii elecricity hoti hai...laalteN jalaate haiN. kheti baaRii ke saath saath murGhi, gaaye aur maple syrup bhi paida karte haiN. Simple Living is their moTTo...inke bachche ghar par paRhte haiN...school nahiiN jaate. hai na ajeeb baat ke aajke zamaane meN ek taraqqi yaafta mulk meN rahte huye bhii Timbuktoo ke rahne waalon jaisoN se bhi bad-tar. yeh log yahaN har sunday aur Thursday ko ek Farmar's Market lagaate haiN jo kahte haiN ki dunyaa kaa sab se baRaa Germany se baahar german baazaar hai. is baazaar emN har taraH kii sabziyaaN, phal aur gosht vaGhaira bahot hii kam daamoN meN milte haiN. embroidered saamaan bhi bahot kam daamoN meN milte haiN.

                            is shahr meN 3000 muslim families hoNgi. ziyada-tar Arabs haiN...koii 300 Pakistani Families hioNgi magar Indian Muslim sirf mushkil se 5 families haiN...baaqii sab Indian Hindu haiN. is shahr meN 2 universities haiN...University of Waterloo [Waterloo hamaare shahr Kitchener kaa Twin City hai] aur Wilfred Laurier University. University of Waterloo Computer Studies ke liye mashhoor hai. yahaN COBOL-WATT5 language develope huii thii. musalmaanoN kii ek masjid hai alhamdolillah jismeN imaam hamaare ek Hindustani bhai haiN.

                            is shahr ke City Hall kii building meN India se dar-aamad shuda laal patthar ke baRe bare murabbe lage huye haiN jo bahot Haseen lagtaa hai.

                            yahaN ke qurb o jawaar emN ek bahot hii mashhoor jagah hai jo dunyaa kaa Honeymoon Capital kahlaataa hai aur uskaa naam hai Niagara Falls. qudrat kaa Haseen shaahkaar hai. laakhoN kii ta'daad emN log yahaN aate haiN dunyaa ke kone kone se. iskii tafseel phir kisi din. take care u all.


                            City of Kitchener/Waterloo Map



                            Kitchener City Hall



                            Mennonites Buggy




                            Mennonite Family




                            Kitchener Farmer's Market


                            Kitchener ajeeb sa naam hai :khi:
                            kafi tafseels ay aap nay is shehar ka bataya hai :thmbup:
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment


                            • Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

                              Originally posted by ummid
                              Bombay tu waise hi famous hai puri duniya mein....:)
                              hmmmmmmmm....
                              Bombay ki sub se mashhoor cheez "Bollywood" hai...
                              aur sharukh khan, salman khan, Hrithik Roshan...:thmbup:
                              aur Aishwariya ray...:thmbup:
                              Is ke allawa chupati ki pani puri aur bhel puri...:thmbup:
                              yahan tu Bolwood starz bhi aate hain paani puri khane...:thmbup:
                              aur aap sub ka fav. STAR PLUS, SONY,ZEE TV...:thmbup:
                              aur Ekta kapoor...:thmbup:
                              Tulsi, meeher, kamolika, Anurag, prerna, Ramola secun....:thmbup:
                              aur kya aap pehle in tareefon ko tu hazam kijye..:khi:
                              Baqi ka baad mein...
                              hmmm to stars zaidatar Bombay main hotay hain :)

                              acha apnay shehar kay mashoor shopping centers kay naam bataoo :D: jin main bridals kay lehngay , sari or jewellery hoo :lpop:

                              or sair-o-tafreeh ki jaghian ?:)
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment


                              • Re: aap kay shehar ki mashoor cheeizan ....?

                                Originally posted by Khalil
                                kharian..............................
                                kuch bataye apnay shehar kay baray main ?:rose
                                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                                Comment

                                Working...
                                X