Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

05 Political leaders

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: 05 Political leaders

    Originally posted by munda_Sialkoty View Post
    Imran Khan ne kahan pe corruption ker di?

    Imran Khan koo Uss kayy Kooll aoor Faaalll kii Tazzad kii Binaa par main nay iss List main Dalla hai,,,Musharraf
    koo sabb say pehllay dupport karnay walla Imran Khan,Aik jamhoorii Hakommat kaa takhtaa Ulttnnay parr Mithaiyyan bantnnay
    walaa yehhii Imran khan thaa....

    aor abi ussayy hakoomat main aannay ka mooka hi nai milla jab aa jaieyy ga to yeh b corruption main kissi say peechhay rehnay walla nai hoo gaa
    "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

    Comment

    • #47
      Re: 05 Political leaders

      Originally posted by sarfraz_qamar View Post

      Its just exaggeration. Abhi jab aap ussy test karein gy to baat kejye ga.
      Allah

      Comment

      • #48
        Re: 05 Political leaders

        Originally posted by munda_Sialkoty View Post
        Sub se pehli baat to mein Nawaz League ka voter nahi.
        That's good.....aap jaisay achey insaan ko N league ka voter hona bhi nahi chahiye.....laiken aik baat batayein agar aap inko vote nahi daingay tou ye jo saari khoobian aap ne bayan ki hain mousoof ki inse logg kaisay istefaada haasil karaingay?
        Originally posted by munda_Sialkoty View Post
        Doosri baat yeh k mere nazdeek judgement criteria yeh he ke jo less corrupt he us ko ziada mark aur jo ziada corrupt he us ko kum marks. Aik baat na bhoolein ke hukmaran awam se he aatay hein ager sub ke sub corrupt hein to is ka matlab zahir si baat he yeh bhi banta he ke hum awam bhi corrupt hein. Is liye mein sub ko is list mein dalnay se guraiz kerta hoon. Kuch achay loog hein jin ki sooch ko jin ki kawashon ko hamein acknowledge kerne ki zaroorat he.
        I completly agree.......and appreciate this.....

        Originally posted by munda_Sialkoty View Post
        Aap ne apni list mein jo top 5 loog add kiye hein aur jin most deserving criminals ko list mein jagah he nahi di us se aap ki seyasat per jo nazar he us ka acha andaza hota he. Aap ke nazdeek Top 5 corrupt mein Na zardari ki jagah bani aur na Gillani ki jo ke door-e-hazir ke hukmaraan hein aur jis ki waja se aaj aadha pakistan sarkoon per aaya hua he.
        Aap ye kaisay keh saktay hain ke ye logg criminals hain????? jiss tarah aap ki nazar mein 22 ministries par barajman aik ambitious CM acha aur 2 adwar mein qoum ko lootnay wala doosra bhai eemandaar hai teek usi tarah meri nazar mein Zardari and co. unse achay hain......tabhi ye logg meri list mein nahi.....:hairdrayer:
        Originally posted by munda_Sialkoty View Post
        Tankeed kerne se pehlay aap hakaik aur stats aur aik rational analysis ko samnay zaroor rakha karein. Raiwand mein Mahal banana koi guna he kia? Aap ke paas paisa he aap Defence mein Mehal banaein, pakistan ke shehri hein aap, aap ko kon rookta he? Un ki base dekhein wo businessman hein Itfaq foundry ke malik he, ager wo us se apne liye assets banatay hein to bei aap ko kia aitraz he. Apne he paisay se wo Itfaq hospital bhi chal rahay hein jis se hazaaro loog mustafeed hotay hein. Motor way ager wo na banatay wo aap ke liye sahi tha?
        Aap ye batayein aap ne konsay haqayiq aur saboot saamnay rakhay hain jo mujse tawaqu kar rahay hain........mere bhai mujhe yaa kisi aur ko iss baat pe koi aiteraaz nahi ke koi banda halal ki kamayee se mahal tameer karay balke aiteraaz tab hota hai jab koi haram aur corruption se looti hui paiso se mahal tameer karay aur phir uss pe likh dey ke "Haaza min fazl e rabbi"........
        Originally posted by munda_Sialkoty View Post
        Corruption ke kia saboot hein siwaye zubani kalami baaton ke? Kia koi court mein gaya, koi faisla hua un ke khilaaf?
        Ab aap aagaye mere point pe..........aapne konsi aalami adalat ki statement laa kar dee hai zardari ke khilaaf?? agar wo corrupt hai chor hai to nawaz sharif ke baqol aazad adlia moujood hai .....kya koi court mein giya? koi faisala aaya unke khilaaf?.......mere bhai har dour mein mulk ke har hukumraan par iss qism ke ilazaamat lagtay rahay hain.....aur ye drust bhi hosaktay hain laiken guzarish ye hai ke Nawaz bhi iss dour se guzar chukey hain Benazir bhutto aur Nawaz par bhi money laundring aur corruption ke cases saamnay aaye hain.....koi proof kar saka kya.....ye sirf political victimization ke harbo ke hadd tak hain........zardari ne to phir bhi zindagi ke kayi saal jail mein guzaaray laiken nawaz ko kya saza mili........yahi Shairf brothers thay jinhon ne aik dictator ke paoon mein gir kar muafi maangi aur saudi arabia chale gaye.........iss waqt unhain watan aur awam ka khyal q nahi aaya? uss waqt unhon ne long march q nahi kiya????
        Originally posted by munda_Sialkoty View Post
        Mein phir keh raha hoon ke mein Muslim league N ka voter nahi hoon, instead I would go for PTI. Lekin aap apni mentality ko polarized kerne ki bajaye rational thinking paida karein, apne leaderaan ki kahi gai baaton per tajziya kerne ki bajaye khud research kerna seekhein. Yeh to isi tarah he ke koi Molvi keh de ke Quaid-e-Azam ne daarhi nahi rakhi thi wo kafir tha wo ghadaar tha aur isi tarah ki baatein baknay lagay to aap aisay insaan ko kia kahin ge?
        Mr. aap ne konsi research ki hai????? sirf chand ghussey puttey aur duqyanoosi rattay rattaye ilzaamat ka sahara liya hai.......muje mashwara deney ki bajaaye khud aap zara rational thinking se kaam laian.....jo ilzaamat aap ney zardari and co. par lagaye hain teek ussi tarah merey paas aisay hi ilzaamat hain Nawaz and co. ke khilaaf......agar aap proof dey dain tou phir ye ilzaamat nahi rahaingay ......laikn abhi tak inhain sirf ilzaamat hi kaha jaa sakta hai wohi ilzaamat jo mulk ke har maroof shaksiyat par lagtay rahay hain.......Meri guzarish ye hai ke Zardari aur Nawaz dono corrupt hain........I am not a die hard fan of Zardari neither i have voted PPP nor i will vote them in future but ye kehna ke fulan acha hai aur fulan ghalat ye teek nahi.......thats it..........
        مٹی كی محبت میں هم آشفته سروں نے--------وه قرض بھی اتارے هیں جو واجب هی نهیں تھے

        Comment

        • #49
          Re: 05 Political leaders

          Originally posted by Yaaram View Post

          Theek hay karachi Pakistan ka aik major part hay lekan is insan ne karachi k ilawa kabhi baat ki hi nahi hy, balkeh i hate those leaders jin k zuban se NASLI batein nikalti hain, Na jany kab yeh log Pakistan ka sochein gy.

          Mein iss se agree nahi karta ke joo logg apney soobay, qoum ya alaqa ki baat kartay hain unse nafrat ki jayee ya unhain anti pakistani waghair ke alqaabat se nawaza jaaye......agar yehi baat hai to sabhi hukumraano ka jhukaaoo apni qoum/ilaaqay ya soobay ki taraf zyada hota hai......Zardari sahab Jiye sindh, Nawaz league waley "Jaag punjabi jaag aur kalabagh dam banoo" Q Leaque waley "Humara khaab parha likha punjab(pakistan nahi)" aur ANP walay "khpala khawra khpal ikhtyar" jaisay slogans lagatay rahay hain...laiken jab bhi baat pakistan ke baqa ki aaye hain tou inn logon ne party ikhtilaafat ko pas e pusht daaltay hue mulk ki behtari ka socha hai..for example Khan Abdul Wali khan hamesha apney soobay ki baat kartay rahay laiken 1973 mein jab wo opposition leader thay aur Ayeen bananay ka masala paida hua tou iss mein sab se barha hissa unhi ka raha...jab mashriqi pakistan ka masala paida hua tab bhi unhone apna role play kiya aur har mumkin koshish ki ke masala afhaam o tafheem se hal hojayee...so merey khayal se apney ilaaqay ya soobay ki siyasat karnay par kisi ko koi aiteraaz nahi hona chahiye...jab bhi mulk ki saalimiat par aanch aati hai to sab aik hotay hain recent APC ne bhi ye saabit kardia hai.....soobay mustahkam rahain gay to mulk bhi mazboot hoga.......so meri nazar mein mustafa kamal se nafrat uske manfi attitude aur badmaashi ki waja se karni chahiye na ke uski siyasat karnay ke andaaz pe.......
          مٹی كی محبت میں هم آشفته سروں نے--------وه قرض بھی اتارے هیں جو واجب هی نهیں تھے

          Comment

          • #50
            Re: 05 Political leaders

            جو پاکستان کے موجودہ مساـل ہیں، عوام کو ریلیف دینے کے سلسلے میں انفرادی نام نہاد سیاست کی بالکل بھی ضرورت نہیں ہے، پاکستان کو پاکستان کے بارے میں سوچنے والے لیڈرز چاءیے میں اس چیز کا منکر نہیں ہوں کے اپنے صوبے کی سیاست نہیں کرنی چاہیےلیکن پاکستان کے لیے مجموعی طور پر یہ لیڈرز کتنے پانی میں ہیں سب جانتے ہیں، پورے پاکستان میں یہ طالبان کی بدمعاشیاں روک نہیں سکتےان کے اپنے صوبے میں ایک اشارے پربدامنی اور قتل و غارت شروع ہو جاتی ہے اور ایک اشارے پرسب دنوں میں ٹھیک ہو جاتا ہے۔ آخر کیوں ہے ایسا؟؟ پاکستان تو سب کا ہے، ہماری جڑیں تو ایک ہی درخت کی ہیں۔پھر کیوں یہ لیڈرزمجموعی طور پرکچھ کرنے کے قابل نہیں ہیں، ان بڑی مچھلیوں کے داـرہ اختیار میں اقتدار میں رہتے ہوـۓ سب کچھ کرنے کا اختیارہوتا ہے،لیکن کسی کا درد ہم اپنے سر کیوں لیں، اتنی جراـت کسی بھی پارٹی کے رہنما میں نہیں ہے
            Allah

            Comment

            • #51
              Re: 05 Political leaders

              Jo "Sabse Pehle pakistan" ya jeewey pakistan ka naara laga rahay thay unhone konse kaarnaamey kar dekhaye jo ye karaingay????? Masala ye nahi ke kon kaisi siyasat kar raha hai.......masala ye hai ke koi mukhlis leader hai hi nahi........elect ho ke sab waadey aur elaanat bhool jaatay hain......nateeja wohi zeer......
              مٹی كی محبت میں هم آشفته سروں نے--------وه قرض بھی اتارے هیں جو واجب هی نهیں تھے

              Comment

              • #52
                Re: 05 Political leaders

                Originally posted by sarfraz_qamar View Post

                Imran Khan koo Uss kayy Kooll aoor Faaalll kii Tazzad kii Binaa par main nay iss List main Dalla hai,,,Musharraf
                koo sabb say pehllay dupport karnay walla Imran Khan,Aik jamhoorii Hakommat kaa takhtaa Ulttnnay parr Mithaiyyan bantnnay
                walaa yehhii Imran khan thaa....

                aor abi ussayy hakoomat main aannay ka mooka hi nai milla jab aa jaieyy ga to yeh b corruption main kissi say peechhay rehnay walla nai hoo gaa
                You can't say which way train went by looking at the track. Hum her cheez ko foresee nahi ker saktay. Imran Khan ne kabi bhi peghambri ka dawa nahi kia wo aik aam insaan he. Us ne Musharaf ko support kia aur baad mein us ke consequences dekh ker us ne awam se moaafi mangi. Aik ba'zameer insaan mere khyaal se itna he ker sakta he ke wo apni ghaltiyoon se seekhta he. Nothing bad with his intention as far as I know him.
                :thmbup:

                Comment

                • #53
                  Re: 05 Political leaders

                  Originally posted by Dil Peshawari View Post
                  That's good.....aap jaisay achey insaan ko N league ka voter hona bhi nahi chahiye.....laiken aik baat batayein agar aap inko vote nahi daingay tou ye jo saari khoobian aap ne bayan ki hain mousoof ki inse logg kaisay istefaada haasil karaingay?

                  I completly agree.......and appreciate this.....

                  Aap ye kaisay keh saktay hain ke ye logg criminals hain????? jiss tarah aap ki nazar mein 22 ministries par barajman aik ambitious CM acha aur 2 adwar mein qoum ko lootnay wala doosra bhai eemandaar hai teek usi tarah meri nazar mein Zardari and co. unse achay hain......tabhi ye logg meri list mein nahi.....:hairdrayer:

                  Aap ye batayein aap ne konsay haqayiq aur saboot saamnay rakhay hain jo mujse tawaqu kar rahay hain........mere bhai mujhe yaa kisi aur ko iss baat pe koi aiteraaz nahi ke koi banda halal ki kamayee se mahal tameer karay balke aiteraaz tab hota hai jab koi haram aur corruption se looti hui paiso se mahal tameer karay aur phir uss pe likh dey ke "Haaza min fazl e rabbi"........

                  Ab aap aagaye mere point pe..........aapne konsi aalami adalat ki statement laa kar dee hai zardari ke khilaaf?? agar wo corrupt hai chor hai to nawaz sharif ke baqol aazad adlia moujood hai .....kya koi court mein giya? koi faisala aaya unke khilaaf?.......mere bhai har dour mein mulk ke har hukumraan par iss qism ke ilazaamat lagtay rahay hain.....aur ye drust bhi hosaktay hain laiken guzarish ye hai ke Nawaz bhi iss dour se guzar chukey hain Benazir bhutto aur Nawaz par bhi money laundring aur corruption ke cases saamnay aaye hain.....koi proof kar saka kya.....ye sirf political victimization ke harbo ke hadd tak hain........zardari ne to phir bhi zindagi ke kayi saal jail mein guzaaray laiken nawaz ko kya saza mili........yahi Shairf brothers thay jinhon ne aik dictator ke paoon mein gir kar muafi maangi aur saudi arabia chale gaye.........iss waqt unhain watan aur awam ka khyal q nahi aaya? uss waqt unhon ne long march q nahi kiya????

                  Mr. aap ne konsi research ki hai????? sirf chand ghussey puttey aur duqyanoosi rattay rattaye ilzaamat ka sahara liya hai.......muje mashwara deney ki bajaaye khud aap zara rational thinking se kaam laian.....jo ilzaamat aap ney zardari and co. par lagaye hain teek ussi tarah merey paas aisay hi ilzaamat hain Nawaz and co. ke khilaaf......agar aap proof dey dain tou phir ye ilzaamat nahi rahaingay ......laikn abhi tak inhain sirf ilzaamat hi kaha jaa sakta hai wohi ilzaamat jo mulk ke har maroof shaksiyat par lagtay rahay hain.......Meri guzarish ye hai ke Zardari aur Nawaz dono corrupt hain........I am not a die hard fan of Zardari neither i have voted PPP nor i will vote them in future but ye kehna ke fulan acha hai aur fulan ghalat ye teek nahi.......thats it..........
                  Sub se pehli baat ka jawab yeh k Mujay kis ka voter hona chahiye aur kis ka nahi is ka faisla mere zameer per he aur yeh faisla mein aap ki tarah janabdari ke saath nahi kerne wala. Nawaz League ke loog mujay bohat pasand hein lekin is ke bawajood mein Imran khan ko vote kerne wala hon, aik change ke liye aur is liye bhi ke mujay Imran Khan per confidence he. Mein ager rozana apne 3, 4 ghantay different channels per political talk shows dekh ker guzaarta hoon aur mujay nahi lagta ke aap PPP ka mouth piece PTV se kuch aagay jatay hoon ge. Aap ka tajziya bhi isi baat ka akaas he ke aik established corrupt person ko aap deeda daleeri ke saath protect ker rahay hein. Agosta submarine ka scandal dekh lein, money laundering (swiss bank account) ka scandal dekh lein, rental power plants ke scandal dekh lein. kia saboot aap ko chahiye, kia aap aankhein aur kaan band ker ke is dunia mein reh rahtay hein? Aap ke inhi pyaaron ki badoolat aaj Pakistan ke banday banday ka baal baal kerz mein jakra hua he. Isi govt ne Pakistan ka foreign debt ko more than double kia, kia is ka aap ko tehreeri saboot chahiye?

                  Itna kerza lene ke baad bhi aaj electricity nahi he aur bill triple ho gaya he. Yaar kia nazar aa gaya aap ko zardari mein. Zardari ke haq mein wohi bolta he jo us ke payroll pe hota he, warna mein ne kisi bhi zee shaoor ko us ke haq mein boltay nahi dekha. Aap ka zardari aap ko mubarak.

                  Aur jatah tak gisay pitay jumloon ka ilzaam lagaya he, to aap apni statement bhi check ker lein. Babar Awan ki tarah aap ki jumlay bhi gisay pitay se ziada kuch nahi. Ager un ko imprison ker dia gaya tha to is mein bura kia he ke wo Pakistan se bahir chalay gaye, apni koowat ikathi ki aur phir anpi power ke saath wapis aaye? PPP walon ko is baat ki ager takleef he to mein khush hoon aur chahta hoon ke wo isi takleef mein ta'umer mubtala rahein :)
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #54
                    Re: 05 Political leaders

                    Originally posted by Dil Peshawari View Post

                    Mein iss se agree nahi karta ke joo logg apney soobay, qoum ya alaqa ki baat kartay hain unse nafrat ki jayee ya unhain anti pakistani waghair ke alqaabat se nawaza jaaye......agar yehi baat hai to sabhi hukumraano ka jhukaaoo apni qoum/ilaaqay ya soobay ki taraf zyada hota hai......Zardari sahab Jiye sindh, Nawaz league waley "Jaag punjabi jaag aur kalabagh dam banoo" Q Leaque waley "Humara khaab parha likha punjab(pakistan nahi)" aur ANP walay "khpala khawra khpal ikhtyar" jaisay slogans lagatay rahay hain...laiken jab bhi baat pakistan ke baqa ki aaye hain tou inn logon ne party ikhtilaafat ko pas e pusht daaltay hue mulk ki behtari ka socha hai..for example Khan Abdul Wali khan hamesha apney soobay ki baat kartay rahay laiken 1973 mein jab wo opposition leader thay aur Ayeen bananay ka masala paida hua tou iss mein sab se barha hissa unhi ka raha...jab mashriqi pakistan ka masala paida hua tab bhi unhone apna role play kiya aur har mumkin koshish ki ke masala afhaam o tafheem se hal hojayee...so merey khayal se apney ilaaqay ya soobay ki siyasat karnay par kisi ko koi aiteraaz nahi hona chahiye...jab bhi mulk ki saalimiat par aanch aati hai to sab aik hotay hain recent APC ne bhi ye saabit kardia hai.....soobay mustahkam rahain gay to mulk bhi mazboot hoga.......so meri nazar mein mustafa kamal se nafrat uske manfi attitude aur badmaashi ki waja se karni chahiye na ke uski siyasat karnay ke andaaz pe.......
                    Mera bhi first point yahi he ke mein Mustafa Kamal se nafrat us ke attitude aur us ki badmashi ki bina per kerta hoon. Wo meri pasandeeda shakhsiyat tha lekin jub us ki shakhsiyat ke kuch aur pehlu muj per ujagar huay to meri raye bhi us ke baray mein badal gai.

                    Aur Yaaram ki baat ko mein second karon ga k Mustafa kamal ki sooch purely ethnicity pe base kerti he. Us ne mahajaroon k ilawa shayad he kabi kisi per baat ki ho. Waise Punjab mein is tarah ke tafarkay bazi nahi he jo doosray soobon mein he, yahan per leadaran aur awam ki sooch ilaqai ya ethnicity per base nahi kerti.
                    :thmbup:

                    Comment

                    • #55
                      Re: 05 Political leaders

                      Originally posted by Yaaram View Post

                      Its just exaggeration. Abhi jab aap ussy test karein gy to baat kejye ga.
                      yeh kaisay exagerationn hoo gaii...jiss Political leader kay Kooll aorr Faeell main tazzadd hooo app kaisay
                      guess karr saktay hain keh wo future main Corruption naii karray ga.....
                      Actuallay Imran khan ko Behtti iGanaga main Hath Dhoonnay kaa Mokka jo nai milaa abii takk
                      "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                      Comment

                      • #56
                        Re: 05 Political leaders

                        Originally posted by sarfraz_qamar View Post
                        yeh kaisay exagerationn hoo gaii...jiss Political leader kay Kooll aorr Faeell main tazzadd hooo app kaisay
                        guess karr saktay hain keh wo future main Corruption naii karray ga.....
                        Actuallay Imran khan ko Behtti iGanaga main Hath Dhoonnay kaa Mokka jo nai milaa abii takk
                        Kakay tum is per analysis ker ke apne dimag ko na he thakao
                        :thmbup:

                        Comment

                        • #57
                          Re: 05 Political leaders

                          Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                          You can't say which way train went by looking at the track. Hum her cheez ko foresee nahi ker saktay. Imran Khan ne kabi bhi peghambri ka dawa nahi kia wo aik aam insaan he. Us ne Musharaf ko support kia aur baad mein us ke consequences dekh ker us ne awam se moaafi mangi. Aik ba'zameer insaan mere khyaal se itna he ker sakta he ke wo apni ghaltiyoon se seekhta he. Nothing bad with his intention as far as I know him.

                          its means kehh Ghaltii karoo aorr Phirr qoom sayy maaffii mangoo aoor mamllaa Taiin Taiinn Fininshh.......
                          consequences too koom koo Bhugtnay parr rahhay hain aoorr abb tak bhuggat raii haii,
                          "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                          Comment

                          • #58
                            Re: 05 Political leaders

                            Originally posted by sarfraz_qamar View Post
                            yeh kaisay exagerationn hoo gaii...jiss Political leader kay Kooll aorr Faeell main tazzadd hooo app kaisay
                            guess karr saktay hain keh wo future main Corruption naii karray ga.....
                            Actuallay Imran khan ko Behtti iGanaga main Hath Dhoonnay kaa Mokka jo nai milaa abii takk
                            میں اسے مبالغہ آراـی ہی کہوں گا، عمران خان وہ بندا ہےجسے ہم پاکستانی عوام نےابھی آزمایا ہی نہیں، ہماری تو عادت ہوگــی ہے کہ ایک موقع پی پی کو دیتے ہیں اگلا موقع ن کو اور پھر ق کی باری آجاتی ہے، کیا پاکستان کی سیاست انہی لوگوں تک محدود رہ گـی ہے؟ درحقیقت سیاست محدود نہیں، ہماری سوچ ہی محدود ہے، ہم ذہنی طور پرکسی نـے بندے کو آزمانے کے لیے تیار ہی نہیں،اب ایک یہی لیڈر رہ گیا ہے جس پہ ہم بھروسہ کر سکتے ہیں، اور انشاـ اللہ مجھے قوی امید ہے کہ یہ پاکستانیوں کے بھرم رکھے گا، ابھی عمران خان کو کچھ عملی طور پرکرنے کا موقع ملا ہی نہیں ہے، لیکن جب بھی ملااور اگر اس نے ویسا ہی کیا جیسا آپ کہہ رہے ہیں تو یقینا پاکستانی لوگ اسے بھی مسترد کردیں گے،اپنی سوچ کو اب ان پرانے لوگوں کی مکروہ سیاست کے فریب سے آزاد کریں اور اچھے بندے کا انتظار کریں۔
                            Allah

                            Comment

                            • #59
                              Re: 05 Political leaders

                              Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                              Kakay tum is per analysis ker ke apne dimag ko na he thakao
                              its democratic country aorr yahan analysis ka haqq sabb koo haii......
                              "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                              Comment

                              • #60
                                Re: 05 Political leaders

                                Originally posted by Yaaram View Post

                                میں اسے مبالغہ آراـی ہی کہوں گا، عمران خان وہ بندا ہےجسے ہم پاکستانی عوام نےابھی آزمایا ہی نہیں، ہماری تو عادت ہوگــی ہے کہ ایک موقع پی پی کو دیتے ہیں اگلا موقع ن کو اور پھر ق کی باری آجاتی ہے، کیا پاکستان کی سیاست انہی لوگوں تک محدود رہ گـی ہے؟ درحقیقت سیاست محدود نہیں، ہماری سوچ ہی محدود ہے، ہم ذہنی طور پرکسی نـے بندے کو آزمانے کے لیے تیار ہی نہیں،اب ایک یہی لیڈر رہ گیا ہے جس پہ ہم بھروسہ کر سکتے ہیں، اور انشاـ اللہ مجھے قوی امید ہے کہ یہ پاکستانیوں کے بھرم رکھے گا، ابھی عمران خان کو کچھ عملی طور پرکرنے کا موقع ملا ہی نہیں ہے، لیکن جب بھی ملااور اگر اس نے ویسا ہی کیا جیسا آپ کہہ رہے ہیں تو یقینا پاکستانی لوگ اسے بھی مسترد کردیں گے،اپنی سوچ کو اب ان پرانے لوگوں کی مکروہ سیاست کے فریب سے آزاد کریں اور اچھے بندے کا انتظار کریں۔
                                Its means keh Hmarray pass Koi aorr choice nai haii iss liey hamain Imran Khan koo aazzmaa laina Chahiey..yeh to koii baatt
                                naa hoii janab..
                                Ground Realities b daikhain,hamaray mojoodaa Political system main imran khan Chandd seats kay ilawa kia hsill kar lay
                                gaaa...PML(N) wallayy Burray loog nai hain,aorr unn kay sath Mossoof kii bantii naii.....

                                daikhtay hain yeh akelaa chana kia Bharr jhoonkta haii

                                Working...
                                X