Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

05 Political leaders

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: 05 Political leaders

    Originally posted by sarfraz_qamar View Post
    Its means keh Hmarray pass Koi aorr choice nai haii iss liey hamain Imran Khan koo aazzmaa laina Chahiey..yeh to koii baatt
    naa hoii janab..
    Ground Realities b daikhain,hamaray mojoodaa Political system main imran khan Chandd seats kay ilawa kia hsill kar lay
    gaaa...PML(N) wallayy Burray loog nai hain,aorr unn kay sath Mossoof kii bantii naii.....

    daikhtay hain yeh akelaa chana kia Bharr jhoonkta haii

    :)
    Allah

    Comment

    • #62

      hmm ... Ek hi party bachi hai ...isy bhi moqa dena chahiye ...jab log iqtdaar mein aa jaty hein tou phir se wohi purany masaal ko haal kerny k chahron mein mazeed uljha jaty hein ..tou any walee usi ka rona rony bethy hoty hain

      Is k ilawa Imraan khan ko dunya janti hai ..phir bhi abhi baqion k muqably mein kam karkun hein .. tou is se andaza lagaya ja sakta hai k unko kitna waqat darkaar hoga ..

      tou hum ye kese ummid ker sakty hein k new generation mein se koi educated log samny ayein gy ...jab k ana chahiye ..well hope 4 the best

      Comment

      • #63
        Re: 05 Political leaders

        Originally posted by sarfraz_qamar View Post

        its means kehh Ghaltii karoo aorr Phirr qoom sayy maaffii mangoo aoor mamllaa Taiin Taiinn Fininshh.......
        consequences too koom koo Bhugtnay parr rahhay hain aoorr abb tak bhuggat raii haii,
        Yaar meri maan tu uski ko vote dena jo ghalti nahi kerta
        :thmbup:

        Comment

        • #64
          Re: 05 Political leaders

          Originally posted by Yaaram View Post

          میں اسے مبالغہ آراـی ہی کہوں گا، عمران خان وہ بندا ہےجسے ہم پاکستانی عوام نےابھی آزمایا ہی نہیں، ہماری تو عادت ہوگــی ہے کہ ایک موقع پی پی کو دیتے ہیں اگلا موقع ن کو اور پھر ق کی باری آجاتی ہے، کیا پاکستان کی سیاست انہی لوگوں تک محدود رہ گـی ہے؟ درحقیقت سیاست محدود نہیں، ہماری سوچ ہی محدود ہے، ہم ذہنی طور پرکسی نـے بندے کو آزمانے کے لیے تیار ہی نہیں،اب ایک یہی لیڈر رہ گیا ہے جس پہ ہم بھروسہ کر سکتے ہیں، اور انشاـ اللہ مجھے قوی امید ہے کہ یہ پاکستانیوں کے بھرم رکھے گا، ابھی عمران خان کو کچھ عملی طور پرکرنے کا موقع ملا ہی نہیں ہے، لیکن جب بھی ملااور اگر اس نے ویسا ہی کیا جیسا آپ کہہ رہے ہیں تو یقینا پاکستانی لوگ اسے بھی مسترد کردیں گے،اپنی سوچ کو اب ان پرانے لوگوں کی مکروہ سیاست کے فریب سے آزاد کریں اور اچھے بندے کا انتظار کریں۔
          Waise aik baat hay. Mujay Imran Khan ki credibility per koi shak nahi he. Bulke mein to bazat-e-khud Imran khan ko vote dene ke haq mein hoon. Lekin Imran khan ki ghalti yeh k us ne last election mein hisa nahi lia aur us ki saza shayad usay ainda election mein bughatni paray. Last election ka boycott na kerta to aaj is ki position aaj ke mukablay kafi mazboot hoti. Imran Khan aik behtareen politician sabit ho sakta he lekin is ke numainday jo MNA banein ge MPA banein ge un per kis hud tak aitbaar kia ja sakta he yeh question mark he rahay ga. Us ke bar'aks Muslim League Nawaz ke numainday kafi mature hein seyasat mein aur kafi ba'shaoor bhi. Ager overall team ko dekha jaye to Mujay Nawaz League ki team per ziada confidence he. Yani Leadership mein Imran Khan aur team mein Nawaz League. Ager in dono parties ka collaboration ho jata to acha tha.
          :thmbup:

          Comment

          • #65
            Re: 05 Political leaders

            Originally posted by ahsaas View Post

            hmm ... Ek hi party bachi hai ...isy bhi moqa dena chahiye ...jab log iqtdaar mein aa jaty hein tou phir se wohi purany masaal ko haal kerny k chahron mein mazeed uljha jaty hein ..tou any walee usi ka rona rony bethy hoty hain

            Is k ilawa Imraan khan ko dunya janti hai ..phir bhi abhi baqion k muqably mein kam karkun hein .. tou is se andaza lagaya ja sakta hai k unko kitna waqat darkaar hoga ..

            tou hum ye kese ummid ker sakty hein k new generation mein se koi educated log samny ayein gy ...jab k ana chahiye ..well hope 4 the best
            imran Khan ko Mookaa tabb Millay gaa jab wo next election main majority hasill karray tab,,aor mjay aissaa hotaa dikhaii naii dayy rahaa,,hamarray haan "Goodaa Leauge" system hain aorr vote wahii Purrannay Jageerdar etc hii lay jattay hainn.....
            isii liey kisi kisamm ki tabdeelli mj ko nai dikhaii dayy rahii,,Agar jamhoriett koo tasalassal sayy Chalnnay kaa mooka diaa jataa haii tabb hii koi good change aa sakta haii
            "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

            Comment

            • #66
              Re: 05 Political leaders

              Originally posted by munda_Sialkoty View Post
              Yaar meri maan tu uski ko vote dena jo ghalti nahi kerta
              Phirr to meraa vote apnay Shabratii ko hii jaieyy gaaaa
              "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

              Comment

              • #67
                Re: 05 Political leaders

                Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                Sub se pehli baat ka jawab yeh k Mujay kis ka voter hona chahiye aur kis ka nahi is ka faisla mere zameer per he aur yeh faisla mein aap ki tarah janabdari ke saath nahi kerne wala. Nawaz League ke loog mujay bohat pasand hein lekin is ke bawajood mein Imran khan ko vote kerne wala hon, aik change ke liye aur is liye bhi ke mujay Imran Khan per confidence he. Mein ager rozana apne 3, 4 ghantay different channels per political talk shows dekh ker guzaarta hoon aur mujay nahi lagta ke aap PPP ka mouth piece PTV se kuch aagay jatay hoon ge. Aap ka tajziya bhi isi baat ka akaas he ke aik established corrupt person ko aap deeda daleeri ke saath protect ker rahay hein. Agosta submarine ka scandal dekh lein, money laundering (swiss bank account) ka scandal dekh lein, rental power plants ke scandal dekh lein. kia saboot aap ko chahiye, kia aap aankhein aur kaan band ker ke is dunia mein reh rahtay hein? Aap ke inhi pyaaron ki badoolat aaj Pakistan ke banday banday ka baal baal kerz mein jakra hua he. Isi govt ne Pakistan ka foreign debt ko more than double kia, kia is ka aap ko tehreeri saboot chahiye?

                Itna kerza lene ke baad bhi aaj electricity nahi he aur bill triple ho gaya he. Yaar kia nazar aa gaya aap ko zardari mein. Zardari ke haq mein wohi bolta he jo us ke payroll pe hota he, warna mein ne kisi bhi zee shaoor ko us ke haq mein boltay nahi dekha. Aap ka zardari aap ko mubarak.

                Aur jatah tak gisay pitay jumloon ka ilzaam lagaya he, to aap apni statement bhi check ker lein. Babar Awan ki tarah aap ki jumlay bhi gisay pitay se ziada kuch nahi. Ager un ko imprison ker dia gaya tha to is mein bura kia he ke wo Pakistan se bahir chalay gaye, apni koowat ikathi ki aur phir anpi power ke saath wapis aaye? PPP walon ko is baat ki ager takleef he to mein khush hoon aur chahta hoon ke wo isi takleef mein ta'umer mubtala rahein :)

                Chonke mein PPP ka worker nahi isi liye aap ke allegation ka jawab nahi doonga ......inn partiyo ke workers aur leaders jaanay aur unka blame game.......Laiken sach ye hai ke dono leaderaan ne aapas mein baarian lagayee hui hain logon ko bewaqoof bananay ki........agar zardari par iss qism ke ilzaamat lagay hue hain to Nawaz ka daaman bhi saaf nahi........kal ko wo power mein aayega to uss par lagaye gaye ye allegations uske graph ko aisay hi neechay gira daingay jiss tarah aaj Zardari ka gir raha hai.......
                http://nawazsharifscandals.com/
                Aap ke paas kya jawab hai inn scandles ka???? aik unbiased person inn ilzaamat ko aur zardari ke khilaaf aapke lagaye hue allegations ko aik hi taraazoo mein toley ga........so faraq kya hua???????

                Guzarish ye hai ke dono corrupt hain aur inn mein se aik ko doodh ka dhula hua kehna naainsaafi hai.......I am not a biased person but you are......mera inn dono partiyon se door door ka koi taluq nahi.....aap google search karain tou jitnay zyada ilzaamat zardari par lagaaye gaye hain unse zyada Nawaz sharif par bhi hain.......
                So meri iss lambi chori discussion ka asli matlab aap par ye aashkaar karna tha ke dono aik hi khait ki mooliyan hain.....agar aap ilzaamat ko bunyad bana kar aik par ungli uttaoo gay to koi b shaksh kuch iss hi qism ke ilzaamt ko bunyad bana kar dosrey par bhi ungli utta sakta hai........merey nazdeek dono mein koi faraq nahi agar paraq hai to woh sirf ye ke aik Sindhi hai aur doosra Punjabi.....
                So no more discussion on this topic.......take care
                مٹی كی محبت میں هم آشفته سروں نے--------وه قرض بھی اتارے هیں جو واجب هی نهیں تھے

                Comment

                • #68
                  Re: 05 Political leaders

                  Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                  Waise aik baat hay. Mujay Imran Khan ki credibility per koi shak nahi he. Bulke mein to bazat-e-khud Imran khan ko vote dene ke haq mein hoon. Lekin Imran khan ki ghalti yeh k us ne last election mein hisa nahi lia aur us ki saza shayad usay ainda election mein bughatni paray. Last election ka boycott na kerta to aaj is ki position aaj ke mukablay kafi mazboot hoti. Imran Khan aik behtareen politician sabit ho sakta he lekin is ke numainday jo MNA banein ge MPA banein ge un per kis hud tak aitbaar kia ja sakta he yeh question mark he rahay ga. Us ke bar'aks Muslim League Nawaz ke numainday kafi mature hein seyasat mein aur kafi ba'shaoor bhi. Ager overall team ko dekha jaye to Mujay Nawaz League ki team per ziada confidence he. Yani Leadership mein Imran Khan aur team mein Nawaz League. Ager in dono parties ka collaboration ho jata to acha tha.
                  Well said.......I agree......meri zaati raaye ye hai ke Imran bura banda nahi hai .....laiken ye kehna ke wo iqtedaar mein aakar tabdeeli laayega.....merey khyal se 100% drust nahi......inn mein 2 batain aisi hain jo awam ke liye fayedamand nahi......No.1 point to ooper mere bhai ney mention ki hai......PTI mein apney apney elaaqo ke bhagooray, badmaash, jageerdaar aur corrupt logg entry kar chukey hain.......ye aisay logg hain jinko dosrey partiyon ne corruption, badmaashi aur inke criminal nature ki waja se nikaala hua hai yaa ye logg mufad farasti ki siyasat kar rahay hain aur aaj jab inhone dekha ke awam doosri partiyon se ukta chukey hain(mein ye nahi kehta ke saray PTI ke workers aisay hain shayad kuch achay logg bhi hongay)...tou inhone PTI join karlee hai.....aisay logon se kaisay tawaqu ki jaa sakti hai ke ye future mein awam ki bhalayee ka sochaingay?? aur aik jamhoori mulk ko chalana chonke aik aadmi ke bass ki baat nahi isliye imran khan bechara premeir seat pe bait kar bhi kuch kar nahi paayega.......
                  No.2 baat jo mulk ke liye intehaayi dangerous hai wo Taliban terrorists ke liye Imran ke dil mein hamdardi hai.....issi waja se PTI ko Taliban ka political wing bhi kaha jaata hai.....Imran darinda sifat Taliban aur ISI par ungli uttanay se katraatay hain ......aur jab kabhi inn logon ke taraf se koi naarawa waaqia saamnay aata hai mosoof saara nazla India aur America par gira daitay hain .....mazeed ye ke wo aik interview mein ISI ke chief se mulaqaaton, aur unke mashwaro par chalnay ka zikar bhi kar chukey hain jo ke aik politician ke liye sharm ki baat hai......tabhi N League walay issey ISI ki paidawar samaj rahay hain.......Kal raat aik TV show mein Mehmood khan achakzai aur Imran khan guest banay thay.....Jahan Mehmood Khan ISI aur fouj par kari tanqeed kar rahay thay aur unki kotahyon par ungli utta rahay thay wahan mezbaan ke laakh kurednay par bhi Imran Taliban aur ISI ke khilaf aik lafz tak na bol sakey aur sirf America ko hi moorad e ilzaam tehraatay rahay....
                  Guzarish hai ke Imran ke paas koi Jaadoo ki chari nahi hai ke woh aik dam mulki haalat teek kar daingay....so tabdeeli ki umeed rakhna bey jaa hai....haan ye hai ke awam riwayati siyasatdaano se ukta chukey hain isiliye imran jo reletavily naye hain aur azmaye huey nahi hain isi liye inko vote daina pasand karaingay........
                  مٹی كی محبت میں هم آشفته سروں نے--------وه قرض بھی اتارے هیں جو واجب هی نهیں تھے

                  Comment

                  • #69
                    Re: 05 Political leaders

                    @ Dil Pashawari (Dil Pashoori),

                    Kisi bhi cheez ka analysis hum black or white ke asool per nahi kerna chahiye. Sub se pehlay hamein yeh soochna chahiye ke hamaray leaderaan insaan hein aur insaan ghaltiyan kerta he. Niyat aur amaal ki bunyaad per ham kisi ke baray apni raye kaim kerte hein, dhoodh ka dhula to na koi leader he na mein hoon aur na he aap is liye hamein dhoodh ka dhula huay dhoondnay ki zaroorat bhi nahi he.

                    Nawaz shareef ke jo scandals ki aap ne website di he, yeh kis hud tak authentic he aur kis hud tak unauthentic is ka andaza is baat se lagaya jata he ke Ehtasaab bureau ko high court ke faislay per Mian Brathraan ke 15 crore rupay jo Musharaf regime mein zabt kiye gaye thay ub release kerne par gaye, kyoon ke pahar khoodne per chooha bhi nahi nikla. Khair lambi details hein aur mein last 15 saalon se Pakistan ki politics pe nazar rakha raha hoon aur chooti chooti cheez ka analysis bhi kerta rehta hoon, is liye wo mujay Mr. 10% ki Regime se Mian Bratheran thousand times behtar lagtay hein despite of the fact k mein is baar unhein vote nahi ker raha.

                    Rahi baat Imran khan ki to yahan aap kuch over state ker gaye. Mein ne yeh likha tha ke PTI ke jo MNA MPA's banein ge wo itne tajurbakaar nahi hoon ge. Imran Khan aik aisa banda he jo aik proper mindset ke saath seyasat mein aaya he aur us ka vision relatively bohat clear he doosray leaderan se. Usay pata he ke wo kia ker raha he aur wo focused bhi he apne targets per. Mujay is ki baat abi bhi yaad he, is ne kaha tha bakriyoon ka leader ager 'Sher" ho ga to wo bakriyoon ko bhi sher ki tarah laraye ga. He got built-in leadership qualities and we acknowledge it. Baki party mein kon aaya kon nahi aaya us ki kaat'chaant waqt ke saath saath hoti rahay gi. Aur jahan tak aik concept he jisay hum ne "Lota" concept se relate kia he mujay yeh concept pasand nahi. Aik ba'zameer insaan ager corrupt loogon ki party mein aa gaya to kia wo band gali mein dakhal ho gaya, kia usay akhteyaar nahi ke wo corrupt loogon ko choor ker ba'zameer loogon ko join karay? Hotay hein kuch lotay bhi lekin kuch loog apne zameer ki awaz per bhi switch over kerte hein. Kindly is prospective mein bhi thoora soochna shuru karein.

                    Imran Khan ager ISI aur Taliban ko bura nahi kehta to is mein kia bura he? Basically wo surface analysis ker ke aik baat ko generalize nahi kerta bulke root cause ko dekhta he ke aakhir wo aisay huay kyoon. Aur waise bhi wo ziada baat Taliban ki nahi apne kabaili ilaaqay ke rehne walay loogon ki kerta he jo extremist ho chukay hein. Kisi behtar formulay ke tehat apne loogon ko jo intha'pasand ban chukay hein unhein raah'e'raast per lana behtar he ya America ke isharay per un ko talaf kerna behtar he? ISI pe tankeed nahi kerta to is mein kia bura he. ISI koi india ki intelligence nahi he Pakistan ki he. Ager wo Pakistan ki intelligence per tankeed nahi kerta to is ka matlab yeh nahi ke isay ISI se associate ker dia jaye. Yeh to aisa he hay ke aap Iran ko pasand kerte hein to mein aap ko kahon ke aap ki sooch Pakistani nahi he Irani he. Please come out of this hype and be rational.
                    :thmbup:

                    Comment

                    • #70
                      Re: 05 Political leaders

                      Originally posted by sarfraz_qamar View Post
                      imran Khan ko Mookaa tabb Millay gaa jab wo next election main majority hasill karray tab,,aor mjay aissaa hotaa dikhaii naii dayy rahaa,,hamarray haan "Goodaa Leauge" system hain aorr vote wahii Purrannay Jageerdar etc hii lay jattay hainn.....
                      isii liey kisi kisamm ki tabdeelli mj ko nai dikhaii dayy rahii,,Agar jamhoriett koo tasalassal sayy Chalnnay kaa mooka diaa jataa haii tabb hii koi good change aa sakta haii
                      Aik naye statement suni kul ke Jamhooriyat aik behtareen intaqam he Awam ke saath :lol
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #71

                        drust kaha ..

                        lijiye ab MQM walon ko wohi mraat mil rahy hein ..hakomat jany ko hai ab in ko phir se hoosh aa gai ...phir se aishein ...roz naya game ..

                        Comment

                        • #72
                          Re: 05 Political leaders

                          Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                          Aik naye statement suni kul ke Jamhooriyat aik behtareen intaqam he Awam ke saath :lol
                          Agarr langroo Loolii jamhoriett hoo tabb.........

                          agar tasalsall sayy Jamhooriet ko panapnay ka mokkaa dia jaiey to its best
                          "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                          Comment

                          • #73
                            Re: 05 Political leaders

                            Originally posted by ahsaas View Post

                            drust kaha ..

                            lijiye ab MQM walon ko wohi mraat mil rahy hein ..hakomat jany ko hai ab in ko phir se hoosh aa gai ...phir se aishein ...roz naya game ..

                            mjay to Lagta hai Apnayy Zoordarii sahib kay pass Koii "GeedarrSingii" hai,,PML(q) walloo
                            nay thorii Ghairrat dikhaii too un koo chup kara dia giya aorr MQM walloo ki to abb aaddat
                            ban chukkii haii,,Kabi in to kabi out..aorr me ka khial hai yeh hakommat apnimuddat porrii
                            karray giiii
                            "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                            Comment

                            • #74
                              Re: 05 Political leaders

                              Originally posted by sarfraz_qamar View Post

                              mjay to Lagta hai Apnayy Zoordarii sahib kay pass Koii "GeedarrSingii" hai,,PML(q) walloo
                              nay thorii Ghairrat dikhaii too un koo chup kara dia giya aorr MQM walloo ki to abb aaddat
                              ban chukkii haii,,Kabi in to kabi out..aorr me ka khial hai yeh hakommat apnimuddat porrii
                              karray giiii
                              zahir hai ..awaam ko apny maslon mein daal rakha hai ..khudi sab kerwany waly .... awam ko roz behoshi ka injection de dty hein kabhi mahngai se kabhi taxes kabhi strikes etc ....
                              hakomat apni mooj mein araam se bethi hai 5 saal pory kerny ko

                              Comment

                              • #75
                                Re: 05 Political leaders

                                Originally posted by ahsaas View Post

                                zahir hai ..awaam ko apny maslon mein daal rakha hai ..khudi sab kerwany waly .... awam ko roz behoshi ka injection de dty hein kabhi mahngai se kabhi taxes kabhi strikes etc ....
                                hakomat apni mooj mein araam se bethi hai 5 saal pory kerny ko
                                I think pk political system kay liey behttar hai keh Yeh Gove apna door e hakomat
                                porraa karr layy ..iss say aik too achii Riwaet parray gii aorr dosraa agar ppp ko
                                door e hakoomat pora karnnay ka moka nai dia giyaa too unhoo nai "Siasii Shaheed"
                                ban karr phirr hamdardii kay vote lainay hainn

                                "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                                Comment

                                Working...
                                X