Re: Historical discussion
Aurangzeb Alamgir ne he Quran ki taleemaat aur ahadees per aboor tha aur is ke ilawa yeh Persian, Turkik (Chugtai) mein bhi behtar tha. Mein ne jo perha he us mein yeh ke yeh Quran apne haath se likha kerta tha per mein ne yeh nahi perha ke yeh Quran ke nuskhay likh ker apni guzar aukaat kerta tha. Yeh Mughal shehanshaoon mein sub se bari aur ameer saltanat ka maalik tha. I assume ke usay Quran likh ker us ke hadiye se guzara nahi kerta ho ga, ho sakta he ke is ne shahi khazanay se apne liye koi wazeefa mukarar kia ho jese amooman mughal badshah apne bachoon ka wazeefa mukarar kertay thay. Lekin mujay is ka katai ilm nahi jo baat tum ne ki. Aur Shah Jahan is category mein nahi aata.
Originally posted by Masood
View Post
Comment