Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

!s!...Aanchal come here.....!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: !s!...Aanchal come here.....!

    Originally posted by Aanchal View Post
    KHANDAN I GHULAMAA

    1206-1290


    saltan i Dehli ki hakoomat hai is main ghulam bhi badhasha ban kay aye : d .. ..1206 main Muhammad ghori ki wafat kay bad us ka ghulam Qutb ud din Aebak dehli ka sultan bana ....

    13 sadi main jitnay badsha dehli kay takhat pay bethay sub kay sub apnay ibtedai door main ghulaam they ya kisi ghulam ki aulaad they is leye Aebak say 1290 tuk Dehli kay tamam salaten ko ..KHANDAN I GHULAMAA kaha jata hai ...

    12, 13 sadi main Ghulami ka rewaaj aam tha ..shahi darbaar main TURKEY nasal kay ghulamo ko pasan dkia jata tha ...in TURKeY GHULMAOO main kai aik achay Jarneel peda hovey ...yeh taraqqi kartay kartay badshahat tuk pounchay in main Qutab ud din Abek bhi tha ...
    AP mai koi mughlo ki kaniz ki rooh tu nai agai :eeek :
    Is history kay background ma anarkali wala gana b hona chaiya:gana:
    Last edited by fari; 6 October 2011, 11:52.

    Comment


    • #62
      Re: !s!...Aanchal come here.....!

      Originally posted by Aanchal View Post
      oye tum yaha bhi

      d
      Tu kia ma nai asakti yahan

      Admin un madaam fasadan ko baz kar lain :huh

      Comment


      • #63
        Re: !s!...Aanchal come here.....!

        Originally posted by Aanchal View Post
        inhoo nay jo shuruwaat ki the wo theek hai keh saktay hian kay sirf islam un ki nazar main nahi tha ....mulk pay qabza or dolat tha ....lekan is haqeeqat say bhi inkaar nahi kia ja sakta kay agay chal kay aik islami hakoomat qayam hovi .....aaj jo pakistan hai ...kaiii hazaar saal pechay jaoo to tasawur kar saktay hoo kay yeh pakistan aik islamic country ban sakti the kabhi ? ....yeh Muhammad bin Qasim nay start lia ...kai ups n down zaror aye ..lekan aik alug islamic mulk to ban gaya na hamara .....!

        or dosri baat har mulk ki apni tameerat hoti hain aap Firooneoo ki baat kar rehay hoo theek hai wo un kay mulk ki history main aik eham maqam rakhti hain ...or hamaray salaten or badsha ki tameerat hamari history main aik apna maqam rakhti hain : p
        Dunia ka naksha badalta aaya he. Pakistan ka ilaqa Islamic Mumlikat banay ga yeh bhi kisi ne nahi soocha ho ga, aur Saltnat-e-Usmania ke tukray hoon ge aur un mein se kai Non-Islamic countries wajood mein to aaye. 2nd world war ke baad jub UN ke keyaam amal mein aaya mere khyal se us ke baad puri dunia ko territorial stability mili. Us ke baad chand countries divide huay aur soverign countries mein convert huay per wo kisi saltanant ki jageer nahi banay. Khair yeh baat kahin door niklay jaye gi. Baat ho rahi thi Mughal baadshahoon ki, to yeh aik hakeekat he ke jahan inhoon ne Bar-e-sagheer mein Islami mumlikat ki bunyaad rakhi wahan inhoon ne distinctive blunders bhi kiye. Strong Islamic Vision ke saath Aurangzeb he aaya jis ne Akbar ke baad lambi hakoomat bhi ki aur is ke zamanay mein dunia ki 28% power bhi isi ke paas thi jo aane walay na'ehal loogon ne aahista aahista East Inidia aur 1957 ke baad Bartania ke haath ker di. Aurangzeb ko bhi ager dekha jaye to is ne bhi apne baap ke khilaaf bagawat ki aur usay merne tak aik prison mein choora jo Taj Mahal ke samnay banaya gaya tha. Aisay Islamic concept walay banday ko bhi pata nahi kia kehna chahiye jis ne apne baap ko bhi iktadaar k liye na bakhsha.
        :thmbup:

        Comment


        • #64
          Re: !s!...Aanchal come here.....!

          Aanchal u ne abhi koi step nae liya
          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

          Comment


          • #65
            Re: !s!...Aanchal come here.....!

            aanchal de ap step nai lay gi tu hum kasay lay gy :P baaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa maina kuch nai kia :blush:

            Comment


            • #66
              Re: !s!...Aanchal come here.....!

              Originally posted by fari View Post
              aanchal de ap step nai lay gi tu hum kasay lay gy :P baaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa maina kuch nai kia :blush:
              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

              Comment


              • #67
                Re: !s!...Aanchal come here.....!

                Originally posted by Aanchal View Post
                @saraah
                Mehmood ghaznawi kay bad GHORI khandan ki hakoomat ai ...
                aik khandan main kai loog atay hian na history main zaida un ka likha jata hai jinhoo nay koi eham karnama saranjaam dia joo ....is khandan main Sultan Shahb ud din ghori kafi famous h ain ...ghori Afghan nasal say taluq rakhtay they ....1178 main Sultan Muhammad ghori nay hindustan ka rukh kia ...un ki jangian hoti rehian ..bus akhirkar us nay Hindustan fatah kar lia ...bari sagheer par us nay 11 hamlye keye they ...or aik Azeem us sham islamic saltanat ki bunyaad rakhi ...is say pehlay Muhaam bin Qasim or Mehmood ghaznawi ki taraha wo jaldbaaz ya sirf hamla kar kay wapsi ka rasta ikhteyar nahi kia ...un kay zehan main indo pak main aik islamic saltanat qayam karnay ka mansooba tha ....

                good...ok...
                Originally posted by Aanchal View Post
                KHANDAN I GHULAMAA

                1206-1290


                saltan i Dehli ki hakoomat hai is main ghulam bhi badhasha ban kay aye : d .. ..1206 main Muhammad ghori ki wafat kay bad us ka ghulam Qutb ud din Aebak dehli ka sultan bana ....

                13 sadi main jitnay badsha dehli kay takhat pay bethay sub kay sub apnay ibtedai door main ghulaam they ya kisi ghulam ki aulaad they is leye Aebak say 1290 tuk Dehli kay tamam salaten ko ..KHANDAN I GHULAMAA kaha jata hai ...

                12, 13 sadi main Ghulami ka rewaaj aam tha ..shahi darbaar main TURKEY nasal kay ghulamo ko pasan dkia jata tha ...in TURKeY GHULMAOO main kai aik achay Jarneel peda hovey ...yeh taraqqi kartay kartay badshahat tuk pounchay in main Qutab ud din Abek bhi tha ...
                waiting for next:rose
                شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                Comment


                • #68
                  Re: Historical discussion

                  Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                  In saaray Mughal Badshahoon ne sari zindagi fratricide mein guzaar di. In se kahin behtar Sher Shah Suri tha jo ziada dair hakooomat na ker saka, ager ker jata to aaj us ka impact bohat prominant hota
                  In you point of view :)

                  Akbar-e-Aazam jaisa leader bhi kam kam hi pedah ho ga - beshak usney aik bohat barra ghalt kaam kiya tha. But still.....
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • #69
                    Re: !s!...Aanchal come here.....!

                    Originally posted by saraah View Post
                    Aanchal u aamir k liye alag se ek thread laga dou jis me aamir apna advanced knowledge share kr skay me ko abhi basic knowledge chahiye
                    bibi alag thread hi bana na tha apnay humara ap ka ..........tu ap thread lagati hi ku hian ......PM per aanchal se baat kar lia karay ......kasay kasay dramay log hotay hain :p

                    Comment


                    • #70
                      Re: Historical discussion

                      Originally posted by Masood View Post


                      In you point of view :)

                      Akbar-e-Aazam jaisa leader bhi kam kam hi pedah ho ga - beshak usney aik bohat barra ghalt kaam kiya tha. But still.....
                      Akbar ne to kafi ghalat kaam kiye aur us ke saath saath usay greatest leader of Mughals bhi kaha jaye to yeh bhi ghalat na ho ga. Tum kis ghalti ki baat ker rahay ho?
                      :thmbup:

                      Comment


                      • #71
                        Re: Historical discussion

                        Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                        Akbar ne to kafi ghalat kaam kiye aur us ke saath saath usay greatest leader of Mughals bhi kaha jaye to yeh bhi ghalat na ho ga. Tum kis ghalti ki baat ker rahay ho?
                        Ghalti kis ney nahin ki?? Mujhey koi aik aisa leader btaa do East West mein jisney ghalti na ki ho? Yeh aur baat hai keh us ghalti ko "kis rang" sey dekha jata hai.

                        Akbar aik anparh insaan tha. Magar uskey dimagh mein leadrana soch thi. Usney jo Nau'rattan ka jorr milaya tha, woh aaj kal koi aala sey aala leader bhi nahin sakta.

                        Uski sab sey barri ghalti merey nazdeek Deen-e-Elahi ki thi, jisney bohat sarey fitney pedah kiyey - aur meri naaqis raaey mein aaj kal bhi uskey asraat paaey jaa rahey hain... - Akbar ki yeh ghalti uskey baas Shahjahan ney door karney ki koshish ki thi.
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • #72
                          Re: Historical discussion

                          Originally posted by Masood View Post


                          In you point of view :)

                          Akbar-e-Aazam jaisa leader bhi kam kam hi pedah ho ga - beshak usney aik bohat barra ghalt kaam kiya tha. But still.....
                          uncle seriously ap se kah rhi hon ya koi shehzadiyan hain saraah aur aanchal jin ki alag baatian alag thread ma ho.....ya inka koi tarqa ha post move kar kay alag kar dain .......agar asay tamshay karnay hain na unko tu ap inko alag section hi bana dain ya restrict kar dain sarah kay sabhi threads ko kay us mai sirf wohi post marti rahay ........mujhay tu ghusa arha ha in ki asay magrorpanay per
                          Last edited by fari; 10 October 2011, 13:51.

                          Comment


                          • #73
                            Re: Historical discussion

                            Originally posted by fari View Post
                            uncle seriously ap se kah rhi hon ya koi shehzadiyan hain saraah aur aanchal jin ki alag baatian alag thread ma ho.....ya inka koi tarqa ha post move kar kay alag kar dain .......agar asay tamshay karnay hain na unko tu ap inko alag section hi bana dain ya restrict kar dain sarah kay sabhi threads ko kay us mai sirf wohi post marti rahay ........mujhay tu ghusa arha ha in ki asay magrorpanay per
                            mujhey to khud dekh ker hairat ho rahi hai keh aamir shehzadi key kehney per yeh post alag ho gaii :D - yeh tumhari phuphi aanchal key kaam hi ho saktey hain - ussey pakro ....
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #74
                              Re: Historical discussion

                              Originally posted by Masood View Post


                              Ghalti kis ney nahin ki?? Mujhey koi aik aisa leader btaa do East West mein jisney ghalti na ki ho? Yeh aur baat hai keh us ghalti ko "kis rang" sey dekha jata hai.

                              Akbar aik anparh insaan tha. Magar uskey dimagh mein leadrana soch thi. Usney jo Nau'rattan ka jorr milaya tha, woh aaj kal koi aala sey aala leader bhi nahin sakta.

                              Uski sab sey barri ghalti merey nazdeek Deen-e-Elahi ki thi, jisney bohat sarey fitney pedah kiyey - aur meri naaqis raaey mein aaj kal bhi uskey asraat paaey jaa rahey hain... - Akbar ki yeh ghalti uskey baas Shahjahan ney door karney ki koshish ki thi.
                              Akbar ki tarbiyat shuru se us tarah nahi ho saki jese doosray mughal badshahoon ki hui. 13 saal ki umer mein Hamayoon ki wafaat ke baad isay saltanat ka taaj pehna dia gaya, aur is ki basic tarbiyat mein taqat aur warfare ke ilawa kuch khas shamil nahi tha. Perh na saka, lekin shaoori bedaari paida hui waqt ke saath saath lekin taleem ki kami ki waja se yeh misinterpret kerta gaya kafi cheezon ko. Mere khyaal se shah jahan se kai ziada Aurangzeb ke door mein Islam ki behtar interpretation hui aur tarveej hui.
                              :thmbup:

                              Comment


                              • #75
                                Re: Historical discussion

                                Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                                Akbar ki tarbiyat shuru se us tarah nahi ho saki jese doosray mughal badshahoon ki hui. 13 saal ki umer mein Hamayoon ki wafaat ke baad isay saltanat ka taaj pehna dia gaya, aur is ki basic tarbiyat mein taqat aur warfare ke ilawa kuch khas shamil nahi tha. Perh na saka, lekin shaoori bedaari paida hui waqt ke saath saath lekin taleem ki kami ki waja se yeh misinterpret kerta gaya kafi cheezon ko. Mere khyaal se shah jahan se kai ziada Aurangzeb ke door mein Islam ki behtar interpretation hui aur tarveej hui.
                                Hmmm - 13 saal ki umer tak uski taleemi tarbiyat na ho saki? Ajeeb nahin lagta sun ker keh us daur mein jahan bachon ki ibtidaii taleem hi Quran aur Sunnat sey kii jati thi, Akbar kaisey door rah saka???

                                Quran-e-Paak likh ker guzara karney wala badshah Aalimgeer tha ya Shahjahan? Mujhey yaad nahin aa raha. Jo bhi tha, ussi key daur mein ASAL Islam ki tarveej shuru hui.
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X