Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

!s!...Aanchal come here.....!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: !s!...Aanchal come here.....!

    Originally posted by Masood View Post
    [FONT="Georgia"][COLOR="DarkRed"][SIZE="3"][I]

    Jis sey musalmano ko interest hai? Ya kis lehaaz sey? Sub Continent ki history to hazaron saal purani hai.

    ]
    lolz...isska jawab tou meri smjh me nae araha k kya doon.... me ne b anchal se confirm hi kiya hai k kya 6th century se strat hoti hai....agr aap k pas mazeed info ho tou most welcome zaroor dijiye. but briefly...unfortunately mera history me kabhi interest nae raha but i feel now tareekh ka ilam bohat zaroori hai...so i m really eager to know.
    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

    Comment


    • #32
      Re: !s!...Aanchal come here.....!

      Originally posted by Aanchal View Post
      @ahsaas n Masood

      yeh M.A History (Punjab Uni )ki books main say lia gaya hai ...books+guides mixture.





      @sarah
      ham nay in sub kay halat i zindagi , or kesa Intazam i saltanat tha yeh sub bhi parha , jangian , Tameeraat etc etc ... : )

      آنچل پنجاب یونیورسٹی کی کونسی بکس ہیں انکی اپنی تو کوئی بکس نہیں ہوتیں ۔۔۔۔ہاں پبلشرز ضرور بتائے ہونگے انھوں نے یا رائیٹر۔۔۔۔اور گائیڈ بکس عموما'' مستند نہیں ہوتیں اس لیے پلیز کوشش کرنا بک سے یا جو کچھ آپ کا اپنا نالج ہے وہی شئیر کرو
      شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

      Comment


      • #33
        Re: !s!...Aanchal come here.....!

        Originally posted by saraah View Post
        lolz...isska jawab tou meri smjh me nae araha k kya doon.... me ne b anchal se confirm hi kiya hai k kya 6th century se strat hoti hai....agr aap k pas mazeed info ho tou most welcome zaroor dijiye. but briefly...unfortunately mera history me kabhi interest nae raha but i feel now tareekh ka ilam bohat zaroori hai...so i m really eager to know.
        Khatoon-e-Khochal :D hamari (musalmano) ki bohat barri bad'qismati hai keh ham tareekh sey sabaq nahin seekhtey, halankeh Quran-e-Majeed mein jo baat sab sey ziyada biyaan ki gaii hai woh tareekh HI hai - pichhli qaumon ki tareekh - jis sey sabaq seekhna HI kaamyaabi hai. Magar hamarey haan tareekh ko ignore kiya jata hai.

        Aap ko kis tareekh sey dilchuspi hai? Hindustan ki ya sirf Hindustan mein Islam ki?
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #34
          Re: !s!...Aanchal come here.....!

          Originally posted by Masood View Post



          Aap ko kis tareekh sey dilchuspi hai? Hindustan ki ya sirf Hindustan mein Islam ki?
          ..filhal muje indo pak history me interest hai...
          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

          Comment


          • #35
            Re: !s!...Aanchal come here.....!

            Originally posted by saraah View Post

            آنچل پنجاب یونیورسٹی کی کونسی بکس ہیں انکی اپنی تو کوئی بکس نہیں ہوتیں ۔۔۔۔ہاں پبلشرز ضرور بتائے ہونگے انھوں نے یا رائیٹر۔۔۔۔اور گائیڈ بکس عموما'' مستند نہیں ہوتیں اس لیے پلیز کوشش کرنا بک سے یا جو کچھ آپ کا اپنا نالج ہے وہی شئیر کرو
            me nay jo bhi books ya guides dekhi hain un sub main indo o pak ki history same hai ....han sirf kuch jaghoo pay dates ka faraq nazar aya hai mujhay ..maybe printing main kahi masla ho gaya ho ga ..

            ham yaha baat kar rehay hain ..indo o pak ki na kay yaha pay Muslamano ki hakoomat jo qayam hovi Saltan i dehli or Mughliyaa ka shandaar dorr wo kesay qayam howa ?

            to wo Muhammad bin Qasim kay (712) hamlay kay bad say hi shuru howa ....

            is say pehlay Muslaman atay jatay rehay hain lekan ham "hukmarani" ki baat kar rehay hian .....wo Muhamamd bin Qasim nay sindh pay hamla kia tha aik Fateh ki heseyat say dakhil howa ..or islami taraz ki hakoomat qayam ki .....wo zaida dair vohan nahi raha tha .....
            pher Mammood ghazanvi or shaba ud din ghorri aye ...
            Qutb ud din Abeka salaten i delhi ka pehlay badsha samjha jata hai jis naay Hindustan main aik "mustaqil" hakoomat ki ...un say pehlay jo aye they un ka maqsad hindustan main aik mustaqil hakoomat ka nahi tha .......
            salataeen delhi ka akhri badshah IBARAHIM LODHI tha jesY ZAHEER UD DIN BABAR nay 1526 main pani put kay medaan main shiskhat day kay MUGHLIA sALTANAT ki bunyaad rakhi the ...jis ka end 1857 main BAHADUR SHAH zafar kay sath ho gaya .....

            ub Muhamamd bin Qasim say pehlay kon aya tha kon nahi mujhay is ka ilm nahi ....kisi ko hai to yaha zaror share karaye : d ..badsha ka naam?year? etc etc ....takay me ki knowledge main bhi izafa ho kay aisa kon sa badsha Hindustan main guzra hai jis kay baray main tareekhi kutb nay likhna munasib nahi samjha : d

            mere info indo o pak History ki hai ....islamic history ka mujhay zaida nahi pata Hazoor(saw) or Khulfaye Rasheed kay door tuk ka pata hai ....or Hazrat Adam (a.h) say lay kay Hazoor(saw) tuk kuch Anbeyaa ki history pata hai : d
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • #36
              Re: !s!...Aanchal come here.....!

              Anchal tu baray kaam ki cheez hain:P

              I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani


              Comment


              • #37
                Re: !s!...Aanchal come here.....!

                Originally posted by Aanchal View Post
                sher shah sori ka Mulak chalanay ka nizaam buhat acha tha .. lekan wo bechra jaldi mar gaya tha : d us kay janasheen achay nahi niklye jo us kay kaam ko agay barhtay : p
                us ka beta Islam shah b ziada nai ji paya warna wo he kuch ker pata. Us ki death ke baad ball Hamayon ki court mein aa gai jo us ne paker ke apni jaib mein daal li :p
                :thmbup:

                Comment


                • #38
                  Re: !s!...Aanchal come here.....!

                  Originally posted by Aanchal View Post
                  ..maybe printing main kahi masla ho gaya ho ga ..
                  Aanchal tum itni cute ho LOL

                  wo kehtey hein na "tumhari iss ada per ham mar na jatey tau kya kertey" :P
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #39
                    Re: !s!...Aanchal come here.....!

                    Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                    us ka beta Islam shah b ziada nai ji paya warna wo he kuch ker pata. Us ki death ke baad ball Hamayon ki court mein aa gai jo us ne paker ke apni jaib mein daal li :p
                    islam shah apnay baap jesa nahi tha ..han kuch cheezian zaror milti the ..intazaami lihaaz say us nay bhi kuch achay kaam keye ...lekan wo mizaaj kay lehaaz say shukki tha ..us kay baap kay door main jinhoo nay achay karnamye sar anjaam deye wo un ki bhi respect nahi karta tha ..kai logo ko marwa dia ..jo buch gay unhoo nay khudi bagahawat kar di ... : ) us nay Afghano kay itehaad ko khutem hi kar dia ...
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment


                    • #40
                      Re: !s!...Aanchal come here.....!

                      Originally posted by Z. View Post
                      Aanchal tum itni cute ho LOL

                      wo kehtey hein na "tumhari iss ada per ham mar na jatey tau kya kertey" :P
                      : d
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment


                      • #41
                        Re: !s!...Aanchal come here.....!

                        saraah agay ki history likhian ya kuch doubts hain : d
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment


                        • #42
                          Re: !s!...Aanchal come here.....!

                          Aanchal u krti jao share ....doubts hon gay tou discuss kr lu gi
                          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                          Comment


                          • #43
                            Re: !s!...Aanchal come here.....!

                            Originally posted by Aanchal View Post
                            islam shah apnay baap jesa nahi tha ..han kuch cheezian zaror milti the ..intazaami lihaaz say us nay bhi kuch achay kaam keye ...lekan wo mizaaj kay lehaaz say shukki tha ..us kay baap kay door main jinhoo nay achay karnamye sar anjaam deye wo un ki bhi respect nahi karta tha ..kai logo ko marwa dia ..jo buch gay unhoo nay khudi bagahawat kar di ... : ) us nay Afghano kay itehaad ko khutem hi kar dia ...
                            Sher Shah ka almiya yeh he ke wo Akbar aur Aurangzeb jesa lamba iktadaar per kaim na reh paya ager aisa ker pata to shayad aaj mughloon ki jagah us ki tareekh hoti. Islam Shah kay baray mein kuch kehna is liye moozon nahi ke wo aik icon nahi ban paya apne baap ki tarah ya atleast first 6 Mughal badshahoon ki tarah. Baap se wo different tha lekin ager wo bhi rehta to bhi kuch expect kia ja sakta tha baap ki death ke baad yeh bhi gaya. Differences hotay hein Chingaiz Khan aur Amir Taimoor mein thay. Hamayon aur akbar kafi different personalities thein, aur Aurangzeb aur Shah Jahan mein bhi zameen aasman ka farq tha. Aik baat bolta hoon ke jo tareekh hamein Nisaab mein perhai jati he wo kafi hud tak composed aur coated hoti he, cheeda cheeda waqeyaat ke ilawa is ka hakeekat se kuch khas taaluq nahi hota. Chingaiz khan ko mangolia ka hero, Amir Temoor ko Mangol-Uzbekistan ka hero, Mughalon ko Sub-continent ka hero bana ker pesh kia jata he halanke saari zindagi in ki apni salatnat ko bachanay mein apne bhaiyoon akurba ko rastay se hatanay mein guzar gai. Tahat k liye betay ne baap ko nahi dekha aur baap ne betay ko nahi, Shah Jahan ki misaal b samnay he.
                            :thmbup:

                            Comment


                            • #44
                              Re: !s!...Aanchal come here.....!

                              Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                              halanke saari zindagi in ki apni salatnat ko bachanay mein apne bhaiyoon akurba ko rastay se hatanay mein guzar gai. Tahat k liye betay ne baap ko nahi dekha aur baap ne betay ko nahi, Shah Jahan ki misaal b samnay he.
                              badshahat main aisa hi hota raha hai ..pehlay bhi or ub bhi yehi ho raha hai Iqtedaar ki khatir jo rastay main aye usay hata deytay hain ...sirf Mughloo or salaten dehli pay hakoomat karnay waloo pay hi sara ilzaam kio dala jata hai ...
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment


                              • #45
                                Re: !s!...Aanchal come here.....!

                                Muhamamd bin Qasim kay bad Ghaznawi khandaan 962 main aya ...1186 tuk hakoomat rahi ..

                                zaida famous Mahmood ghaznawi hain ....(997-1030)

                                Sindh or Multan kay bad Punjaab musalmaan hamlawaroo ki zid main aya ..is baar ARBOO ki bajaye TURKOO nay hindustan ka rukh kia .....Mehmood ghaznawi nay Hindustan pay 17 hamlye keye ..or punjab par is khandaan ki hakoomat 150 saal rahi ...us ka eham hamla SOMNAAT par hamla hai ...yeh aik mandir tha jis main but t hey ...yeh SHEOJI ka buhat bara or mashoor mandir tha ..shoji ko tamam dewataoo say afzal or tamam butoo ka sardaar tasawur kia jata tha ...
                                Malik ayaaz ka naam suna ho ga ..wo Mahmood ka mashoor ghulaam tha......."Mehmood o Ayaaz" wala aik shair bhi hai na : d
                                30 april 1030 Tuesday ko wafaat paai ...

                                mehmood ky baray main kuch Mourakheen kehtay hain aik dako lutera tha hindustan jo sonay ki chirya kehlata tha beshumaar dolat the usay lotnay aya tha , koi kehta hai Islam ka naam roshan karnay jahad kay leye aya tha ....yeh har aik ka apna point hai : d ...us kay jansheen bhi guzrye hain koi khas karnama saranjaam nahi dia unhoo nay jo likha jaye : d ....
                                pher Ghori khandaan ki hakoomat a gi ...
                                me aik alug topic pay in sub badshaoo ki tameerat kay baray main likhoo gee ...
                                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                                Comment

                                Working...
                                X