Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sirf cricket hee kyun??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: sirf cricket hee kyun??

    Originally posted by ambreen_shaam View Post
    government sirf apnay mafadaat ko promote karti hai....... jitnay grounds thay vo MNA aur MPA hazraat nay qabzay kar rakhay hain iss tarah khoob promotion ho rahi hai...... :lol
    no dout aisaa hii haii.................


    hakommat to kuch nahi karray gii Youth ko hii awazz uthanii hoo gii iss sab kay lieyyy
    "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

    Comment


    • #32
      Re: sirf cricket hee kyun??

      Originally posted by ambreen_shaam View Post
      assalam a alaikum

      kitni games/sports hain indoor games outdoor games e.g cricket, foot ball, hockey, table tennis, tennis, walli baal etc lakin pakistan mein sirf hamari youth cricket hee kyun khailti hain aur games mein kyun nahi khailtay???? gali kochon mein jain yaa posh areas mein jain sub cricket khailtay hee nazar aaein gay......agar aap europe jain aap ko youth her games/sports khailtay nazar aein gay.... lakin yahan sirf cricket aur sports ka tu pata bhi nahi....... aisa kyun hai????
      Wa allaikum salaam, may Allah bless u

      iski bohat sari wajoohat ho sakti hain.

      Duniya mein almost har jaggah per sports ko aik ba'qaidah asool key saath mutarif karwaney waley angrez hain, jo jahan jahan bhi gaey hain, aik zabtey key saath har us khail ko mutarif karwatey rahey hain jo unkey apney mulk mein khaila jata tha.

      Hamarey haan bhi angrezon ney Cricket, Football, Hockey aur Squash waghera ko mutarif karwaya. Aap ki ma'loomat key liyey btata chaloon keh bar-e-sagheer ka sab sey qadeem munazzam football club ghalban 1864 key qareeb Calcutta mein qayim huwa, uska naam Muhammadan Football Club tha. Magar football hamarey haan woh pazeeraii haasil na kar saka, jo duniya key doosrey mumalik mein ki. Iski bhi kaii aik wajoohat ho sakti hai, mausam mein garmi ki shiddat, insaan ki physical banawat (hamarey haan log physically utney sakht'jaan nahin hotey), iskey elawa sarkaari taur per tawajoh bohat barri wajjah hai. Hamarey haan -bad'bakhtgi- hai keh sarey nizaam ki tarha sports ka department bhi tabahi ka shikaar hai - to ham usi aik do game per tawajoh dein gey na jo aam khaili jati hai.

      Warna Squash mein jo naam ham ney pedah kiya hai, woh khud angrez pedah nahin kar sakey.

      Cricket Pakistan mein aik fashion bhi hai. Har koi Imran Khan banena chahta hai, Wasim Akram banena chahta hai - Heroism hamari raggon mein bhari hui hai, jabhi aap kabhi apney qaumi cricketers ko gaur sey dekhiyey ga, woh screen per khud ko hero bana kar pesh kartey nazar aaein gey :p

      Sari baat tawajoh ki hai - hamari mulk mein agar sarkaari satah per koi bhi kaam nazm-o-zabt key saath hota, to ham bhi har kisam ki sports mein shamil hotey...
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #33
        Re: sirf cricket hee kyun??

        ... aur merey nazdeek Cricket aik intihaii fazool game hai, nira waqt da ziyaa :D (inhein ab test cricket bhi 20 overs mein khailni chahiyey :lol)
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #34
          Re: sirf cricket hee kyun??

          Originally posted by Masood View Post
          Wa allaikum salaam, may Allah bless u

          iski bohat sari wajoohat ho sakti hain.

          Duniya mein almost har jaggah per sports ko aik ba'qaidah asool key saath mutarif karwaney waley angrez hain, jo jahan jahan bhi gaey hain, aik zabtey key saath har us khail ko mutarif karwatey rahey hain jo unkey apney mulk mein khaila jata tha.

          Hamarey haan bhi angrezon ney Cricket, Football, Hockey aur Squash waghera ko mutarif karwaya. Aap ki ma'loomat key liyey btata chaloon keh bar-e-sagheer ka sab sey qadeem munazzam football club ghalban 1864 key qareeb Calcutta mein qayim huwa, uska naam Muhammadan Football Club tha. Magar football hamarey haan woh pazeeraii haasil na kar saka, jo duniya key doosrey mumalik mein ki. Iski bhi kaii aik wajoohat ho sakti hai, mausam mein garmi ki shiddat, insaan ki physical banawat (hamarey haan log physically utney sakht'jaan nahin hotey), iskey elawa sarkaari taur per tawajoh bohat barri wajjah hai. Hamarey haan -bad'bakhtgi- hai keh sarey nizaam ki tarha sports ka department bhi tabahi ka shikaar hai - to ham usi aik do game per tawajoh dein gey na jo aam khaili jati hai.

          Warna Squash mein jo naam ham ney pedah kiya hai, woh khud angrez pedah nahin kar sakey.

          Cricket Pakistan mein aik fashion bhi hai. Har koi Imran Khan banena chahta hai, Wasim Akram banena chahta hai - Heroism hamari raggon mein bhari hui hai, jabhi aap kabhi apney qaumi cricketers ko gaur sey dekhiyey ga, woh screen per khud ko hero bana kar pesh kartey nazar aaein gey :p

          Sari baat tawajoh ki hai - hamari mulk mein agar sarkaari satah per koi bhi kaam nazm-o-zabt key saath hota, to ham bhi har kisam ki sports mein shamil hotey...
          aap ki maloomat bahut achi hai sports kay ma'amlaat mein lakin yeh sun kar hairaangi hoi kay aap wahid larkay hain jo cricket ko pasand nahi kartey............... :esmile:
          sigpic

          Comment


          • #35
            Re: sirf cricket hee kyun??

            Originally posted by ambreen_shaam View Post
            aap ki maloomat bahut achi hai sports kay ma'amlaat mein lakin yeh sun kar hairaangi hoi kay aap wahid larkay hain jo cricket ko pasand nahi kartey............... :esmile:
            Yeh jhoot he Melord
            :thmbup:

            Comment

            Working...
            X